Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Baat Ki Samajh Nahin Aati

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Originally posted by Masood View Post

    is per aik gana ho jaey:

    aaj hai mehfil deed key qabil shama bhi har Parwana bhi
    aik haqeeqat ban jata hai kabhi kabhi afsana bhi
    Wah wah khoob... mjhy ganay ni aty warna koi ala jawab dyti...
    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

    Comment


    • #17
      Originally posted by Masood View Post

      Patah nahin aap kis "aik nasal" ki baat kar rahi hain - 67 saal tabah ho gaey hain is uncertain mahol mein.... koi patah nahin aagey kitni naslein tabah hongi magar jamhooriyat ki samajh nahin aaey gi
      Masood bhai ap agr ghor karain tu in 67 salon ma 50 saal ye mulk dictators k hathon ma raha, is qom nay jamhoriyat daiki hi kahan hai, jamhoriyat kay tasalsul ko baar baar isliye tora jata ha takay awam shaor hasil na kersakay, agr jamhoriyat ka ye exercise bena kesi rakawat kay jari rehta tu shayad aj ye mulk koch or hota, jamhoriyat jaisi bi ho magr chaltay rehna chahye waqt k sath sath behtari ati jati hai magr koi chalnay tu dain na, akhir kitni dafa nawaz sharif aye ga or kitni dafa zardari aye ga akhir kaar awam nay samaj jana hai or apni taqdeer ka khud faisla ker daina hai.

      Comment


      • Masood
        Masood commented
        Editing a comment
        Tariq bhai hamarey haan yehi rona roya jata rahey keh "jamhooriyat ka tasalsul...." - 10 saal honey ko hain is naam-nehad jamhooriyat is ney hamein kya diya hai? Aaj ki hakoomat kal ki opposition thi aur un per tana'zan thi aur hai, kal ki hakoomat aaj ki oppostion hai aur in per tana'zan hai. Agar yeh log opposition mein rah ker itni achhi achhi baatein kartey hain to jab hakoomat hoti hai to kyun nahin kartey???

        Kuchh din pehley ki khabar hai keh Nawaz hakoomat mein mulk mein koi kam-o-besh 100 hospitals ki manzoori di hai, yahan wahan motorways ki manzoori di hai, fulan fulan pasmaandah basti ko INTERNATION AIRPORT bnaney ka elan kiya jaa raha hai, Speaker of Parliment luteron mein shamil hai, Naib, FBI hakoomat sarkaari ohdon per logon ko haath nahin daal saktey, Chief Justice tarha tarha key biyaan deta hai - jo sirf biyaan'bazi tak hi hai - merey bhaii yeh sab "bakwas" jamhooriyat hai??? Kya jamhooriyat mein awwam key samney jawab'dehi nahin? Nawaz Shareef kisi AIK fard ko jawab'deh hai??????? Aap issey jamhooriyat kah rahey hain?????
    Working...
    X