Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hey na sochnay ki bat........???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hey na sochnay ki bat........???

    :cc: ......... Ghar ghar ki kahani...........saas bahoo mein jhagrra.............qasoorwar kon? saas ho ya bahoo ......humein iss se kia:donno: ??? koi nai baat thori hey har roz ka mamool hey.........yeh ..........:hathora :tauba .

    Hum iss maslay mein:na: nhi parrtay.

    Hmmmm aap ko dawat di jati hey k aap zara ird gird k gharon mein nazer doraaiye:eye: , mera matlab tak jhank nhi hey:hathora ...........yeh poochna chah rhi hoon k jaisay saas bahoo ka jhagrra hota hey uss trah SUSAR aur DAMAAD ka jhagrra kiyun nhi hota?
    aaiye aur btaiye k aap iss baray mein kia ketay hein? aap ka mushaheda kia hey? agar:ahhh: tajurba ho to zayada chances hein k aap ki bat se sabaq hasil kiya jaye ga:tasali: ....:D

  • #2
    Re: Hey na sochnay ki bat........???

    he he he ...Muskan sis tajruba to koi nahi hai abhi :lol

    shayad ye isi liye hota ho key Susar aur damaad apas mey kam kam miltey hien jab key saas aur bahu ka 24 hr ka sath hota hai to ......

    waisey Musakn aaj key is itney taiz raaftar daur mey shayad saas aur bahu mey bhi nauk jhok na hoti ho :D
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: Hey na sochnay ki bat........???

      Originally posted by barg.e.gul

      Gul aap ki bat sahi hey k shayed kum kum milnay ki wajah se hi damaad aur susar mein larrai nhi hoti................waisay meray khyal mein aisa iss liye bhi hey larki to bahoo ban ker susral mein rehti hey aur larka apnay maan baap k ghar mein........warna to jahan ghar damaad hotay hein wahan susar ssahb bhi saas jaisay hi hotay hon gay:shh: , hey na?

      Aur saas bahoo ki larrai mein iss daur mein bhi koi kumi nhi aai han yeh ho skta hey k iss ki noiyat thorri mohazzib ho gai ho! jaisay amnay samnay k bajaye fon per jhagrra, fashion mein sabqat le janay ka jhagrra, bass kisi nah kisi treeqay se aik doosri ko neecha zaroor dikhanay ki koshish ki jati hey.

      Comment

      • #4
        Re: Hey na sochnay ki bat........???

        nice dono ke points realtistic hai...

        Comment

        • #5
          Re: Hey na sochnay ki bat........???

          AOA,

          Abi tak to daikh daikh k ji rahye hain lakin baat sohne ki hai mere khaiyaal se hum se pahle b bohat se sochne waloon naon socha ho ga magar un ko b koch na mila ho ga iss liye ab ye ho sochte hain k aap ho batain na:)

          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment

          • #6
            Re: Hey na sochnay ki bat........???

            koi tajerba nahi hay...

            Comment

            • #7
              Re: Hey na sochnay ki bat........???

              Originally posted by KHL
              koi tajerba nahi hay...

              toh kub ker rhay hein tajurbaaaaaaaaaaa?:) ..ghabrana nhi zindagi mein boht kuch face kerna parrta hey:tasali:

              Comment

              • #8
                Re: Hey na sochnay ki bat........???

                Assalaam o alekum,

                waise to topic bahoot achchaa chunaa hai aapnien saaas bahooo kaa jhagraa hi kyon????

                Main shaadi shuda hun shaayad kuch tajurbaa haansil kiyaa hai mainien to meri rai mien saas bahoo kaa jhagra aaj se nahin balke kadeem zamaanien se chalaa aarahaa hai to main yeh kehnaa chaah rahaa ke ke saas bahooo kaa jhagraa koee bahot ahem baat kaa nahin hootaa sirf aur sirf ek doosre ko khud se upper dikhaanien ke liye hi jhagre hoote hain akser aur aaj kal to saas bahoo ke jhagre bhi pehle jaise nahin rahe aaj kal to wo zabardast laraayi hooti hai saas bahoo mien ke beta aur sasur uss laraayi ko dekh ker sharmindaa hojaate hain bass mujhe aaj tak sirf aur sirf yeh samajh nahin aayaa ke yeh jhagraa koon hootaa hai bahoo jab tak bahoo hooti hai usse saas ki her baat buri lagti hai lekin wohi bahoo jab khud saaas banti hai to usse bahoo ki her baat buri lagti hai aisa kyoon, ghaur kernien ki baat hai ke yehaan sirf saas bahoo ki hi laraayi nahin hooti balke saas bahoo , dewaraani jethaani mien bhi khoob tanaa tani rehti hai :cc: :cc: :cc:
                Last edited by khurram_shaikh; 27 October 2005, 18:51.
                :tang: RISK IS MY BUSINESS

                DANGER IS MY GAME

                DONT PLAY WITH ME
                BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                Comment

                • #9
                  Re: Hey na sochnay ki bat........???

                  :rose hann!!! ye sochne ke saath saath afsos ka maqam bhi hai,
                  ye ek apne apne wajood ke baqaa ki jang hoti hai jis men
                  saas ki taraf se nandeN payada sipahi aur devrani ya jethani
                  opposition ka kirdar khoob ada krati hain, NATEEJAH....masoom
                  bacche in ki jang ki nazar ho jate hain. shaohar bechara kolhoo ka bail ban
                  kar rah jata hai NA GHAR KA NA GHAT KA...
                  rahi bat damad aur sasur ki to ek pahle hi pis kar itna dilbardashta hota hai ki kinara kashi hi men wo apni afiyat samajhta hai,
                  magar har ghar men sas zaalim aur bahoo nafarman ho aisa bhi nahin,baaz
                  waqt to ladai ke baojood bahoo sas ke begair khana nahin khati.

                  Comment

                  • #10
                    Re: Hey na sochnay ki bat........???

                    Originally posted by khurram_shaikh
                    Assalaam o alekum,

                    waise to topic bahoot achchaa chunaa hai aapnien saaas bahooo kaa jhagraa hi kyon????

                    Main shaadi shuda hun shaayad kuch tajurbaa haansil kiyaa hai mainien to meri rai mien saas bahoo kaa jhagra aaj se nahin balke kadeem zamaanien se chalaa aarahaa hai to main yeh kehnaa chaah rahaa ke ke saas bahooo kaa jhagraa koee bahot ahem baat kaa nahin hootaa sirf aur sirf ek doosre ko khud se upper dikhaanien ke liye hi jhagre hoote hain akser aur aaj kal to saas bahoo ke jhagre bhi pehle jaise nahin rahe aaj kal to wo zabardast laraayi hooti hai saas bahoo mien ke beta aur sasur uss laraayi ko dekh ker sharmindaa hojaate hain bass mujhe aaj tak sirf aur sirf yeh samajh nahin aayaa ke yeh jhagraa koon hootaa hai bahoo jab tak bahoo hooti hai usse saas ki her baat buri lagti hai lekin wohi bahoo jab khud saaas banti hai to usse bahoo ki her baat buri lagti hai aisa kyoon, ghaur kernien ki baat hai ke yehaan sirf saas bahoo ki hi laraayi nahin hooti balke saas bahoo , dewaraani jethaani mien bhi khoob tanaa tani rehti hai :cc: :cc: :cc:

                    Khurram Bhai aap k jwab k liye be hadd Shukriya mugar aap ne meray swal ka jwab to diya hi nhiiiiiii k Dmaad aur Susar mein jhagrra kiyooooon nhi hota?? saas bahoo k rawaiyye to har kisi k ilm mein hotay hein. aur iss ki barri wajah humara joint family system hota hey, Larki k liye naya ghar, susral walon ka mukhtalif tarz e zindagi, mukhtalif mahol...............agar to larki samjhdar ho to jaldi uss mahol mein dhal jati hey ya phir apnay rang mein sub ko rang leti hey aur agar susral k mahol ko zehni taur per qabool nah ker paye ya apnay taur treeqay nah badal paye to yaqeenan ghar mein jhagrray shiroo ho jatay hein
                    Aur yeh sas bahoo k jhaggrray ka topic aisa hey k iss per hazaron kitabein bhi likhi ja sakti hein......................
                    aur humara yeh thread saas bahoo nhi balkeh daamad aur susar k liye waqf kiya gaya hey..........khurram bhai iss baray mein aap k khyalaat ka intezar hey.

                    Comment

                    • #11
                      Re: Hey na sochnay ki bat........???

                      Originally posted by riyaz
                      :rose hann!!! ye sochne ke saath saath afsos ka maqam bhi hai,
                      ye ek apne apne wajood ke baqaa ki jang hoti hai jis men
                      saas ki taraf se nandeN payada sipahi aur devrani ya jethani
                      opposition ka kirdar khoob ada krati hain, NATEEJAH....masoom
                      bacche in ki jang ki nazar ho jate hain. shaohar bechara kolhoo ka bail ban
                      kar rah jata hai NA GHAR KA NA GHAT KA...
                      rahi bat damad aur sasur ki to ek pahle hi pis kar itna dilbardashta hota hai ki kinara kashi hi men wo apni afiyat samajhta hai,
                      magar har ghar men sas zaalim aur bahoo nafarman ho aisa bhi nahin,baaz
                      waqt to ladai ke baojood bahoo sas ke begair khana nahin khati.
                      Riyaz Bhai aap ki bat se 101% ittefaq kerti hoon k sas aur bahoo ka jhagrra nah sirf ghar k deegr afraad ko afsurdah kerta hey balkeh aik treeqay se yeh humaray bachon ki tarbiyyat per bhi aser andaz hota hey, shayed humari nanhi nanhi bachiyan bachpan se hi yeh bat zehn mein bitha leti hein k unn ki maan(bahoo) mazloom aur daadi(saas) zaalim hey, aur jub wo byah ker naye ghar mein jati hein to unhein apni saas zalim hi lagti hey mugar jaisay khurram bhai ne bhi kaha k jub yehi bahoo saas banti hey to ussay apni bahoo zaalim lagnay lagti hey....yeh nasal dar nasal muntaqil honay wala humara culture hey jo shayed sadiyan guzar jayein gi mugar badlay ga nhi.........

                      hnmmm aap ne aik traf ka zikr to ker diya k susar saahb pehlay hi pis chukay hotay hein iss liye kinara kashi ker letay hein,,,,,,,,kia aap samjhtay hein k waqaee humaray han susar aur damaad k darmyan jhaggrra hota hey??? agar hota hey to kiyoon? nhi hota to iss ki kia wajoohat hoti hein?? har do fareeqain mein se zalim kon aur mazloom kon hota hey??

                      Comment

                      • #12
                        Re: Hey na sochnay ki bat........???

                        Muskan sis aik point ye bhi to ho sakta hai key .....saas aur bahu key talaalukaat ko hamarey muashrey mey ziada highlight kiya jata hai .....

                        baat agar choti si bhi ho to ird gird waley log bhara deytey hien jaisey kuch logon ki adat hoti hai .... unhein koi na koi topic chahiye hota hai baat waat kerney key liye ...

                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: Hey na sochnay ki bat........???

                          Originally posted by barg.e.gul
                          Muskan sis aik point ye bhi to ho sakta hai key .....saas aur bahu key talaalukaat ko hamarey muashrey mey ziada highlight kiya jata hai .....

                          baat agar choti si bhi ho to ird gird waley log bhara deytey hien jaisey kuch logon ki adat hoti hai .... unhein koi na koi topic chahiye hota hai baat waat kerney key liye ...

                          Gul aap ki bat bhi bilkul sahee hey k aas pass k log dhuwan dekh ker aag bharrkanay ki koshish kertay hein ..........lekin agar saas ya bahoo kisi ghalat fehmi ka shikar hon to unhein apas mein bat kerni chahiye na:five ! nah k logon se dukh sukh bantanein chahiyein..................and believe me Gul k agar ghar se baher ka koi fard bahoo k khilaf saas k kaan bharay to agar saas uss fard ko ussi waqt :hathora danntt day k yeh humara apas ka moamla hey to meray khyal se baher k log dakhal andazi kernay ki jurat hi :na: nah karein.........mugar aisa hona mumkin hi nhi hey na...hum log doosron ki humdardi:tasali: ki wajah se hi apnay hunstay bastay ghar barbad ker bethatay hein..........

                          Comment

                          • #14
                            Re: Hey na sochnay ki bat........???

                            Kyon ki
                            SAAS bhi
                            Kabhi
                            BAHU
                            Thi

                            Hai naa achha title
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: Hey na sochnay ki bat........???

                              Koi bhi SAAS apni bahu se khush nahin hoti aur koi bhi BAHU apni SAAS se khush nahin hoti...aisa kyon hota

                              Iski ek hi wajah hai SAAS yeh samajhti hai ke unka beta jisko 25 saal tak parwarish kiya, ghanton mein uss ladki (bahu) ki ho gayi, Saas ko darr hota hai, plus aur bhi bahut si internal conflictions hotey hain,

                              Jabke SASUR damad ko bahut chahta hai dono mein kabhi koi nok jhonk ka to tasawwar bhi nahin hota...hai naa great example,

                              Waise aurtein kiccchh kichhh karne wali zyadah hoti hain tabhi to Saas bahu mein tuu tuu mai mai
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X