Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

    Asalamaalaikum

  • #2
    Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

    apne yeh thread laga ker me ko udaas ker diya hai:embarasse...mujhay apni daddi amma say bohut pyaar tha aur main oonka bara ladla tha.jab main ghar may koi gar bar karta tha tou daddi amma hamaisha meri tarf daari kiya karti thi aur mujhay apnay abba jaani ki dant dapt say bacha liya karti thi... ghar may koi be aham baat manwani ho yah bapu jee ki jaib dheeli karwani ho tou daddi amma say he rabta kiya jata tha :D:aur agar daddi ko be woh baat na gawar guzarti tou main buri si shakal bana ker daddi k samnay baith jata
    tha aur main daddi ko dhamki diya karta tha k yah tou abba jaani say paise lay ker dain yah phir khood day dain warna main khana nhi khaoo ga :na:kuch dair roothnay ki acting karna parti thi jis per daddi ko mujh per bohut tars ata aur mera kaam ho jata tha...lakin ab sab kuch oon ki yaadain ban ker reh gaya hai.:embarassecoz jab main italy aya
    tha tou ooske bara din baad apnay gaaoo'n jatay hue road accident may oonki death ho gayi thi ..ghar waloo say suna tha k janay say pehlay woh mujhay bohut duaain day rahi thi:embarasse....u know yeh safaid baloo walay ghar
    ki ronak hotay hain yeh jab hamaray darmiyaan hotay hain tou ajeeb sa sakoon hota haiteddy oonke kamray may baith ker puranay kisay sunnay ka apna he maza hota tha.oonki daant daput onnki naseehtain jin ka oos waqt hum per asar nhi hota :D:ajj yaad ati hain tou ankh num ho jaati hai:embarasse..lakin oonki naseehtain ajj mujhay bohut faida day rahi hain....allah meri daddi amma ko janat-ul-fardos may jagh ata farmaye.........................dua
    Last edited by BUS U HE; 11 July 2008, 15:52.

    Comment

    • #3
      Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

      wa alikum aslam
      nice thraed:)
      meri dadi jaan to is duniya main nahi hain lakin wo hum sab say bohaaaaaaaattt pyaar krti theen...kabhi kabhi un ki kami bohat mehsoos hoti hai...un k jaany k baad bohat kuch badal gya:(...main jb b unen khwaab main dekhti hoon to mujhy bohat yaad aati hain dil chahta hai k wapis aa jayen:(...

      meri nani jaan b hum sab say bohat pyaar krti hain...lakin wo bohat gussy waali b hain...chaaye ya khana waghera late ho jaye to naraaz ho jaati hain...wo FSD main nahi hain lakin aati jaati rehti hain...hum un k saath or wo hamaary saath bohat mazaq krti hain...she is sooooooooo sweeeeett and lovely:hug:

      lakin meri dadi jaan ki kami koi b pooi nahi kr saka or na kr sakta hai:(...i mess her soooooooo much:(.......
      Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

      Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

      Comment

      • #4
        Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

        Originally posted by ummid View Post
        Asalamaalaikum

        waalaykum salaam...:)
        ahaan...meri nanu ...kia hi baat ha meri naanu ki....teddy...mera nick name unho nay hi rekha...:lpop:...me pooray khandaan main apni nanu ki aaknho ka taara hoon....teddy..bachpan say llay ker abb tak kaafi time nanhyaal main guzra issi liay nanu kay kaafi kareeb raha..aik aajeeb say aor nakabile biyaan piyaar aor muhabbat main ghunday huay din guzray...now missin those days....

        Comment

        • #5
          Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

          My Grand Mom....Jin ko Ham Bari Aman kehtay hain ........ Itni piyari itni mohabat kerne wali.....Asal main agar yeh kaha jaey k unhon ne hi mujh ko pala hai tu ghalat nahien ho ga..... Her qadam per her baat per itni duaien deti hain main samjhta hooon k aaj main jo kuch bhi hooon un ki dua'own ki wajha se hi hooon
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

            Kia khoob topic he, chaliye isi bahanay kuch purani yaadein taaza ho jaein.

            mein apnay grand parents ka bohat ladla tha, infact jitna laad pyaar mujay mila wo mere baray cousins ya chotay cousins wagaira mein kisi ko nahi mila, us ki waja shayad yeh thi ke mere abbu mere dada ke laadlay thay jub ke meri mom mere naana ki laadli thein aur mere parents dono he apnay behan bhaiyoon mein ziada perhay likhay thay which made them special in their parents eye aur mein un ki pehli aulaad tha, mein jub bohat chota tha to mere grand parents ki mujay le ker bohat high hopes thein. Mere dada mujay apnay dooston ke ghar le jatay thay aur un ke sabi doost mujay pyaar kerte thay, isi tarah meri dadi mujay bohat pyaar kerti thein, wo mujay bohat poems sunati thein but punjabi mein. Unfortunately fate didn't allow to live long to my Dada and Dadi and both met to their God when I was just 4, but still everything is fresh in my memory.

            Phir meri Nani ki baari aai, wo Gujrat mein hoti thein, saal mein 2 baar approximately visit kerte thay hum unhein. Unhoon ne bhi mujay apni aulaadon ki auladon mein sub se zyada pyaar kia, mere Nana retired Navy Officer thay, to wo faujiyoon ki tarah muj se pyaar kerte thay, wo muj se different questions poochtay aur mein answer deta to wo bohat khush hotay...meri apni naani se bohat attachment rahi, unhon ne apni death se 1 hr. pehlay bhi mujay bohat pyaar kia. Abi to meri dadi dada, nani nana is duniya mein nahi hein, but I feel myself lucky to have such great grand parents
            :thmbup:

            Comment

            • #7

              Originally posted by BUS U HE View Post
              apne yeh thread laga ker me ko udaas ker diya hai:embarasse...mujhay apni daddi amma say bohut pyaar tha aur main oonka bara ladla tha.jab main ghar may koi gar bar karta tha tou daddi amma hamaisha meri tarf daari kiya karti thi aur mujhay apnay abba jaani ki dant dapt say bacha liya karti thi... ghar may koi be aham baat manwani ho yah bapu jee ki jaib dheeli karwani ho tou daddi amma say he rabta kiya jata tha :D:aur agar daddi ko be woh baat na gawar guzarti tou main buri si shakal bana ker daddi k samnay baith jata
              tha aur main daddi ko dhamki diya karta tha k yah tou abba jaani say paise lay ker dain yah phir khood day dain warna main khana nhi khaoo ga :na:kuch dair roothnay ki acting karna parti thi jis per daddi ko mujh per bohut tars ata aur mera kaam ho jata tha...lakin ab sab kuch oon ki yaadain ban ker reh gaya hai.:embarassecoz jab main italy aya
              tha tou ooske bara din baad apnay gaaoo'n jatay hue road accident may oonki death ho gayi thi ..ghar waloo say suna tha k janay say pehlay woh mujhay bohut duaain day rahi thi:embarasse....u know yeh safaid baloo walay ghar
              ki ronak hotay hain yeh jab hamaray darmiyaan hotay hain tou ajeeb sa sakoon hota haiteddy oonke kamray may baith ker puranay kisay sunnay ka apna he maza hota tha.oonki daant daput onnki naseehtain jin ka oos waqt hum per asar nhi hota :D:ajj yaad ati hain tou ankh num ho jaati hai:embarasse..lakin oonki naseehtain ajj mujhay bohut faida day rahi hain....allah meri daddi amma ko janat-ul-fardos may jagh ata farmaye.........................dua

              ahan.... lucky guy... daadi jaan se itna pyaar mila MashAllah... or aap ne sahi kaha ke yeh log gher ki ronaq hote hain.... in ka haath ser per ho tu sukoon milta hai... zindagi ke her doar ko azmaya howa hota hai inho ne.... or in duaaein... yahi zindagi bhar saye ki tarah saath rehti hai...
              Allah aap ki dadi jaam ko janat-ul-firdos mein jaga ata farmaye aameen....:rose
              khush rahiye... and thanx for your lovely reply...:)

              Comment

              • #8
                Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                Originally posted by lucky View Post
                wa alikum aslam
                nice thraed:)
                meri dadi jaan to is duniya main nahi hain lakin wo hum sab say bohaaaaaaaattt pyaar krti theen...kabhi kabhi un ki kami bohat mehsoos hoti hai...un k jaany k baad bohat kuch badal gya:(...main jb b unen khwaab main dekhti hoon to mujhy bohat yaad aati hain dil chahta hai k wapis aa jayen:(...

                meri nani jaan b hum sab say bohat pyaar krti hain...lakin wo bohat gussy waali b hain...chaaye ya khana waghera late ho jaye to naraaz ho jaati hain...wo FSD main nahi hain lakin aati jaati rehti hain...hum un k saath or wo hamaary saath bohat mazaq krti hain...she is sooooooooo sweeeeett and lovely:hug:

                lakin meri dadi jaan ki kami koi b pooi nahi kr saka or na kr sakta hai:(...i mess her soooooooo much:(.......

                awwwww... koi baat nahi lucky... woh na sahi.. un ki duaon ka saya humesha aap ke saath hai ro rahega InshAllah... aap udas na ho... or apni nani jaan se khoob pyaar wasoolein.. Lol.. Allah unhe umr-e-daraz afiyat ke saath ata kare aameen... or aap ki daadi jaan ko janat-ul-firdos mein ala maqam ata kare.. aameen...
                thanx for your reply chanda... khush rahiye...

                Comment

                • #9
                  Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                  Originally posted by sccorpion81 View Post
                  My Grand Mom....Jin ko Ham Bari Aman kehtay hain ........ Itni piyari itni mohabat kerne wali.....Asal main agar yeh kaha jaey k unhon ne hi mujh ko pala hai tu ghalat nahien ho ga..... Her qadam per her baat per itni duaien deti hain main samjhta hooon k aaj main jo kuch bhi hooon un ki dua'own ki wajha se hi hooon
                  aap ki daadi jaan ko daad milni chahiye ke aap ko palan waqai mushkil tha... :lol....
                  joke apart.. May Allah bless your grand mom...
                  aap bhi khush rahiye... and thanx for your reply...:rose

                  Comment

                  • #10
                    Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                    Originally posted by Sher Ali View Post
                    waalaykum salaam...:)
                    ahaan...meri nanu ...kia hi baat ha meri naanu ki....teddy...mera nick name unho nay hi rekha...:lpop:...me pooray khandaan main apni nanu ki aaknho ka taara hoon....teddy..bachpan say llay ker abb tak kaafi time nanhyaal main guzra issi liay nanu kay kaafi kareeb raha..aik aajeeb say aor nakabile biyaan piyaar aor muhabbat main ghunday huay din guzray...now missin those days....
                    LOl.. maani ji... :D nice nick...:D:

                    awwww... aap tu waqai lucky hai.. MashAllah itna pyaar jo mila nani jaan se... :rose May Allah bless her.. .aameen
                    and thanx for your reply....:)

                    Comment

                    • #11
                      Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Kia khoob topic he, chaliye isi bahanay kuch purani yaadein taaza ho jaein.
                      hum akser hi koshish karte hain ke koi KHOOB sa hi topic start kare per chand aik members ke illawah baaki koi reply karna zaroori nahi sumjhta.. yahi khoobi hai humare thread ki...:) khair...

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      mein apnay grand parents ka bohat ladla tha, infact jitna laad pyaar mujay mila wo mere baray cousins ya chotay cousins wagaira mein kisi ko nahi mila, us ki waja shayad yeh thi ke mere abbu mere dada ke laadlay thay jub ke meri mom mere naana ki laadli thein aur mere parents dono he apnay behan bhaiyoon mein ziada perhay likhay thay which made them special in their parents eye aur mein un ki pehli aulaad tha, mein jub bohat chota tha to mere grand parents ki mujay le ker bohat high hopes thein. Mere dada mujay apnay dooston ke ghar le jatay thay aur un ke sabi doost mujay pyaar kerte thay, isi tarah meri dadi mujay bohat pyaar kerti thein, wo mujay bohat poems sunati thein but punjabi mein. Unfortunately fate didn't allow to live long to my Dada and Dadi and both met to their God when I was just 4, but still everything is fresh in my memory.

                      Phir meri Nani ki baari aai, wo Gujrat mein hoti thein, saal mein 2 baar approximately visit kerte thay hum unhein. Unhoon ne bhi mujay apni aulaadon ki auladon mein sub se zyada pyaar kia, mere Nana retired Navy Officer thay, to wo faujiyoon ki tarah muj se pyaar kerte thay, wo muj se different questions poochtay aur mein answer deta to wo bohat khush hotay...meri apni naani se bohat attachment rahi, unhon ne apni death se 1 hr. pehlay bhi mujay bohat pyaar kia. Abi to meri dadi dada, nani nana is duniya mein nahi hein, but I feel myself lucky to have such great grand parents

                      ahan... aap bhi MashAllah kaafi lucky hoye phir tu.. subhi taraf se kaafi laad pyaar batora aap ne.... :rose.. daad daadi or nana nani ki muhabbat tu waqai aisi hoti hai ke bus maza aajata hai.. or us waqt zyadah maza aata hai jub in mein se koi apne baccho ko yaani humare parents ko humare liye daante.. Lol...
                      Allah aap ke dada or nana hoozor or daadi or nani jaan ko jant-ul-firdos mein ala maqam ata kare... aameen...
                      khush rahiye.. and thanx for your reply...:rose
                      Last edited by ummid; 12 July 2008, 18:17.

                      Comment

                      • #12
                        Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                        Originally posted by ummid View Post
                        hum akser hi koshish karte hain ke koi KHOOB sa hi topic start kare per chand aik members ke illawah baaki koi reply karna zaroori nahi sumjhta.. yahi khoobi hai humare thread ki...:) khair...

                        ahan... aap bhi MashAllah kaafi lucky hoye phir tu.. subhi taraf se kaafi laad pyaar batora aap ne.... :rose.. daad daadi or nana nani ki muhabbat tu waqai aisi hoti hai ke bus maza aajata hai.. or us waqt zyadah maza aata hai jub in mein se koi apne baccho ko yaani humare parents ko humare liye daante.. Lol...
                        Allah aap ke dada or nana hoozor or daadi or nani jaan ko jant-ul-firdos mein ala maqam ata kare... aameen...
                        khush rahiye.. and thanx for your reply...:rose
                        aap fiker na karein muj jese azeem-shakhsiyaat aap ke thread mein participate ker ke aap ke thread ko 4, 5 chaand laganaay ki bharpoor aur nakaam kooshish kerne ki zaroor kooshish karein ge.

                        Apart, thanx
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                          Originally posted by ummid View Post
                          LOl.. maani ji... :D nice nick...:D:

                          awwww... aap tu waqai lucky hai.. MashAllah itna pyaar jo mila nani jaan se... :rose May Allah bless her.. .aameen
                          and thanx for your reply....:)
                          jee...maani ji....:D....
                          mai baaz okaat had say zyaada bhi lucky ho jaata hoon...:D..khair iss time utna hi hoon jitna aap nay kaha...:kr:......
                          @ thanks.......u r welcome :D

                          Comment

                          • #14
                            Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            aap fiker na karein muj jese azeem-shakhsiyaat aap ke thread mein participate ker ke aap ke thread ko 4, 5 chaand laganaay ki bharpoor aur nakaam kooshish kerne ki zaroor kooshish karein ge.

                            Apart, thanx

                            awwww... I know... aap tu ho hi sweet heart... :hug:
                            Last edited by ummid; 13 July 2008, 19:30.

                            Comment

                            • #15
                              Re: **Grandmas are moms with lots of frosting.....!!

                              Originally posted by Sher Ali View Post
                              jee...maani ji....:D....
                              mai baaz okaat had say zyaada bhi lucky ho jaata hoon...:D..khair iss time utna hi hoon jitna aap nay kaha...:kr:......
                              @ thanks.......u r welcome :D
                              LOl... aap jitne lucky hain utne hi theek.:D.me ke kehne se kuch farq nahi parta.... :lpop:

                              Comment

                              Working...
                              X