Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Haq ya Farz?~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Haq ya Farz?~*~

    Assalamo allaikum

    Ham hamesha aik baat per larrtey jhagarrtey hain keh HAMEIN HAMARA HAQ DIYA JAEY!

    Haqooq key barey mein to sabhi jantey hain.. kabhi aap ney socha hai keh duniya mein 1000ron na'chakiyaan khatam ho jaein agar ham sirf aik baat ko poora karney ki koshish karein? APNEY FARZ ko!

    Agar har insaan apney faraiiz ehsan tareeqey sey poorey karney ka aadi ho jaey to mera nahin khiyaal kisi ko apney haqooq key liyey larrna parrey...

    aap kya kehtey hain?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

    mera khayal hai k haq orr farz main faraq hai
    faraz main wo cheeze atti hai jin ko hamara deen or dunyia dono is ko pora karnay ka kehtti hai
    magra kuch haqooq hamry appnuy banyee hotty hai ..jin ko nibhana orr pora karna muskal hi na mumkin bi ho jatta hai

    misal k toor par
    magrib ki ourat har waqtti apny khudsakhta haqooq ka rona rotti hai
    jesa k ajkal masriq main bi ho raha hai ...

    mera bi ye hi asool hai k agar farz pora ho jayee to ....taman jhagry kahtm ho jaye

    Comment


    • #3
      Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

      haan jee her ik ko apna faraz porah karna chahiye saasay jab hum apna faraz porah kareen gay tu samanay walay baday ko us ka haq mil jayay ga.jb wo apna faraz bora karay ga tu app ko haq mil jayey ga. ik forum say iss masal ko liyah ja sakta hay

      Comment


      • #4
        Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

        Originally posted by sham-e-mehfil View Post
        misal k toor par
        magrib ki ourat har waqtti apny khudsakhta haqooq ka rona rotti hai
        jesa k ajkal masriq main bi ho raha hai ...
        Roshni daalein...(tourch chahiyey? :p)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

          Originally posted by Karrish View Post
          haan jee her ik ko apna faraz porah karna chahiye saasay jab hum apna faraz porah kareen gay tu samanay walay baday ko us ka haq mil jayay ga.jb wo apna faraz bora karay ga tu app ko haq mil jayey ga. ik forum say iss masal ko liyah ja sakta hay
          aur aap ka farz kya hai? :) jo aap daily poora kartey ho?
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

            Originally posted by Masood View Post
            Roshni daalein...(tourch chahiyey? :p)

            aloo gar app tourch ki rosni se dekhy gayee haooq-o- fariz ki bat kar rahy hai to un ka me ko nahi pata:na::na::na:

            Comment


            • #7
              Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

              jaisi rayasat k under rayasat qaim kurna galat he....
              issi tarah mein sawal k ander aik aur sawal kur raha ho...:p

              buhat si cheezain hoti he....jo mujh pe farz nahi he kurna....
              lekin mera haq bunta he k mein kuro...:p

              yeh jo haq app ne pocha he...yeh yahi haq he???:p

              sorry thora il-logical question he

              Comment


              • #8
                Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                Originally posted by Masood View Post
                Assalamo allaikum

                Ham hamesha aik baat per larrtey jhagarrtey hain keh HAMEIN HAMARA HAQ DIYA JAEY!

                Haqooq key barey mein to sabhi jantey hain.. kabhi aap ney socha hai keh duniya mein 1000ron na'chakiyaan khatam ho jaein agar ham sirf aik baat ko poora karney ki koshish karein? APNEY FARZ ko!

                Agar har insaan apney faraiiz ehsan tareeqey sey poorey karney ka aadi ho jaey to mera nahin khiyaal kisi ko apney haqooq key liyey larrna parrey...

                aap kya kehtey hain?
                meray nazdeek dono ki poori poori ahmiat hai...hak ki bhi utni ahmiat ha jitni ferz ki...:) or meray nazdeek faraaiz say jo ghafil nahi rehtay unhay un ka haq bhi poora milta rehta ..:) Ferz bayshak wo cheez hain jo pooray kia jaanay ka haq rakhatay hain..:)

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                  Originally posted by sham-e-mehfil View Post
                  aloo gar app tourch ki rosni se dekhy gayee haooq-o- fariz ki bat kar rahy hai to un ka me ko nahi pata:na::na::na:
                  lo tey fery itni waddi gal kyun mar ditti jey - yeh sach hai keh haqooq aur faraiiz mein farq hai, haqooq mangna asan hai faraiiz poorey karna mushkil :zuban:
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                    Originally posted by MSA View Post
                    jaisi rayasat k under rayasat qaim kurna galat he....
                    issi tarah mein sawal k ander aik aur sawal kur raha ho...:p

                    buhat si cheezain hoti he....jo mujh pe farz nahi he kurna....
                    lekin mera haq bunta he k mein kuro...:p

                    yeh jo haq app ne pocha he...yeh yahi haq he???:p

                    sorry thora il-logical question he
                    yani aap jaan bojh ker ghalt kaam kar rahey ho

                    chalein aik baat sochein zara, jis cheez ko aap APNEY liyey haq samajhtey hain, kya woh doosrey key liyey bhi haq nahin? Kya doosrey bhi ussey apney liyey haq nahin samajh saktey? :mm:
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                      Originally posted by Sher Ali View Post
                      meray nazdeek dono ki poori poori ahmiat hai...hak ki bhi utni ahmiat ha jitni ferz ki...:) or meray nazdeek faraaiz say jo ghafil nahi rehtay unhay un ka haq bhi poora milta rehta ..:) Ferz bayshak wo cheez hain jo pooray kia jaanay ka haq rakhatay hain..:)
                      Malsan? Koi roz'marrah ki zindagi ki misaal dijiyey aur phir yeh btaiyey keh aap us mein kya kartey hain?
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                        Originally posted by Masood View Post
                        lo tey fery itni waddi gal kyun mar ditti jey - yeh sach hai keh haqooq aur faraiiz mein farq hai, haqooq mangna asan hai faraiiz poorey karna mushkil :zuban:
                        me ko paat hai magr u nay tourch ki bat ki thi ..:)
                        un haqooq se meri waqfeeat nahi hai ji

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                          Originally posted by Masood View Post
                          yani aap jaan bojh ker ghalt kaam kar rahey ho

                          chalein aik baat sochein zara, jis cheez ko aap APNEY liyey haq samajhtey hain, kya woh doosrey key liyey bhi haq nahin? Kya doosrey bhi ussey apney liyey haq nahin samajh saktey? :mm:

                          dosre usse haq nahi samjhte na...
                          wo to usse khuwari samjhte hein :p
                          ya be-maqsud samjhte hein

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                            Originally posted by sham-e-mehfil View Post
                            me ko paat hai magr u nay tourch ki bat ki thi ..:)
                            un haqooq se meri waqfeeat nahi hai ji

                            Shama merey nazdeek har haq key saath aik farz lagoo hai, aap jo apney liyey chahtey ho, wohi doosra bhi apney liyey chah sakta hai. Is tarha haq hai to saath mein aik farz bhi hai... to bjaey haq key farz per tawajoh na di jaey?
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~Haq ya Farz?~*~

                              Originally posted by Masood View Post
                              Shama merey nazdeek har haq key saath aik farz lagoo hai, aap jo apney liyey chahtey ho, wohi doosra bhi apney liyey chah sakta hai. Is tarha haq hai to saath mein aik farz bhi hai... to bjaey haq key farz per tawajoh na di jaey?

                              :mm:baat tu ap ki sahi ha aur sab jantay bhi ha ya baat per uncleya baat agar practically hotay dekhay koi bacha tu sari zindagi us per amal karay ga agar nhi dekhay ga agar ghar per us ko asa mahol hi na milay jahan haq kay bajay farz per tawajho di jay tu chahay kitna parh likh lay kitna samjhdar banda ho woh wohi karay ga jo us nay hota dekha ha bachpan se

                              Comment

                              Working...
                              X