Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

!!change!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • !!change!!

    Asalamaalaikum...

    ummid hai sub khairyat se honge...:rose

    kaihte hain : "The only constant thing in life is change"

    kya waqai waqt or halat ke saath Insaan badal jata hai?? aap ka xperince kya kaihta hai....???

  • #2
    Re: !!change!!

    waalaykum salam...:)
    kaafi interesting topic ha ..:p
    mera khayaal ha insaan wakt kay saath nahi badalta ...assal main wakt hi her gerdish kay saath zamaanay ki aik nahi teh *Layer* cherti jaati ha ,,,,yay layer buri aor achi ..dono ho sakti hai......:) meray khayaal main insaan agar life main kissi stage per bhi aik khaas time span main wapis aana chahay tu aa sakta ha...meray nazdeek insaan nahi badalta...:)

    Comment


    • #3
      Re: !!change!!

      abi tu merah khar experince nahen hay.wesay insan ko waqat badal deta hay.halat badal deteen hainy.zaman majboor karta hayn.lod majboor karteen hayn.

      Comment


      • #4
        Re: !!change!!

        sab cheezen waqat k saath badal jati hain.... un mein insaan bhi shamil hai
        lekin kuch insaano k chehre aur zahiri nima ko to waqat badal deta hai magr un k under ka insaan kabhi nahi badlta mene dekha hai hamare barooN k jo dost thay class fellow thay aaj 50, 60 years baad bhi un ki dosti mein koi tabdeeli nahi aai hai
        lekin hamare jaisay nai nasal bahot jald badal jati hai.............aaj ka naojawan
        bahot jald badal jata hai bahot kam waqat mein
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: !!change!!

          Originally posted by ummid View Post
          Asalamaalaikum...

          ummid hai sub khairyat se honge...:rose

          kaihte hain : "The only constant thing in life is change"

          kya waqai waqt or halat ke saath Insaan badal jata hai?? aap ka xperince kya kaihta hai....???
          Wa salaam beti...

          constantly chaning life is one thing aur insaan ka badalna doosri baat hai.

          Jahan tak baat life ki hai to agar koi zindagi key taghayyur ko na samjhey aur uskey mutabiq apney aap ko na dhaley, woh kabhi kamyab zindagi nahin guzar sakta. Zindagi har dam tabdeeli ka naam hai.

          Zahiri si baat hai jahan zindagi mein itni sari tabdeeliyaan aaein, wahan insaano mein bhi yeh tabdeeliyan ru'numa hoti hain. Insaan badal jatey hain, is mein koi shak nahin, magar kuch jazbey, kuchh ehsasaat kabhi nahin badaltey. Jis insaan key dil mein ehsaas zindah rahein, woh halaat sey samjhota to kar sakta hai, magar apney aap ko us shay, us insaan, us entity key liyey badal nahin sakta, jiskey liyey koi jazbah dil mein ho :) gokeh Aisa bhi dekha geya hai keh aik insaan ki jaggah doosra insaan ley leta hai, aur kisi ko iski fiker tak nahin hoti :) magar jinkey dil mein koi jazbah ho woh kabhi nahin badal saktey.
          Last edited by Masood; 25 June 2008, 13:23.
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: !!change!!

            Originally posted by Masood View Post

            gokeh Aisa bhi dekha geya hai keh aik insaan ki jaggah doosra insaan ley leta hai, aur kisi ko iski fiker tak nahin hoti :) magar jinkey dil mein koi jazbah ho woh kabhi nahin badal saktey.
            yay baat tu kaafi had tak thik ha..

            Comment


            • #7
              Re: !!change!!


              lekin hamare jaisay nai nasal bahot jald badal jati hai.............aaj ka naojawan
              bahot jald badal jata hai bahot kam waqat mein
              bata to thik ha ..lakin yay buhat zayda terbiat per bhi tu depned kerta ha na..:)

              Comment


              • #8
                Re: !!change!!

                i guess insaan khud nahi badalta ...us ko muashra badal deta he...

                jaise shakespear ki aik line thi k dunya stage he...aur aadmi actor....aur shayd 7 different role hote hein....
                to aisai ... insaan hur role ko play ukrne k lie....thora change hojata he...thinking me fark ajata he....

                aur i think insaan ko badalna chahie....kyun k agur wo nahi budla aur wahi raha...to phir us k lie teaz berhte huwe dunya mein agay jana mushkil ho jay ga :)

                Comment


                • #9
                  Re: !!change!!

                  Originally posted by MSA View Post
                  i guess insaan khud nahi badalta ...us ko muashra badal deta he...

                  aho yaar yeh bhi drust hai, kal merey ghar walon ney merey kaprey badal diyey - aaj mujhey kaam per har bandah yehi kah raha hai keh tum kintey badal gaey ho :kr:
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: !!change!!

                    Originally posted by Masood View Post
                    aho yaar yeh bhi drust hai, kal merey ghar walon ney merey kaprey badal diyey - aaj mujhey kaam per har bandah yehi kah raha hai keh tum kintey badal gaey ho :kr:
                    to kia app wakiya badal ge ho uncle jee

                    Comment


                    • #11
                      Re: !!change!!

                      i think insaan tou wohi rehta hai lakin haalaat badal jatay hain..
                      tafseel batanay ka time nhi waqt k saath saath sab pata chal jaye ga apko
                      Last edited by BUS U HE; 25 June 2008, 14:36.

                      Comment


                      • #12
                        Re: !!change!!

                        Originally posted by BUS U HE View Post
                        i think insaan tou wohi rehta hai lakin haalaat badal jatay hain..
                        tafseel batanay ka time nhi waqt k saath saath sab pata chal jaye ga apko
                        bahiya app nay thik kahan hayn

                        Comment


                        • #13
                          Re: !!change!!

                          Originally posted by Karrish View Post
                          bahiya app nay thik kahan hayn
                          aap plz apna font color badal lo..:p:p:D
                          Last edited by Capt.Abdur Rehman; 25 June 2008, 18:58.

                          Comment


                          • #14
                            Re: !!change!!

                            Originally posted by ummid View Post
                            Asalamaalaikum...

                            ummid hai sub khairyat se honge...:rose

                            kaihte hain : "The only constant thing in life is change"

                            kya waqai waqt or halat ke saath Insaan badal jata hai?? aap ka xperince kya kaihta hai....???
                            Wasalam

                            Aap ne sahi kaha, "the only constant thing in life is change", aur insaan bhi badalta he, is mein koi shak nahi...yeh tabdeeli zaroori nahi ke negative ho gi, yeh positive aur negative dono ho sakti hein :donno:
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #15
                              Re: !!change!!

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Wasalam

                              Aap ne sahi kaha, "the only constant thing in life is change", aur insaan bhi badalta he, is mein koi shak nahi...yeh tabdeeli zaroori nahi ke negative ho gi, yeh positive aur negative dono ho sakti hein :donno:
                              achaa..:p:p:p
                              menu nai c pata...:D

                              Comment

                              Working...
                              X