Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**barisho ke mosam mein......!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **barisho ke mosam mein......!!

    Asalamaalaikum:rose

    ummid hai aap sub khairyat se honge...:lpop:

    Yahan na bari barishein ho rahi hai.... aik dum zor zor se... sub jal thal hogaya hai.... MashAllah...:D:.
    Chote bacche paani mein khail rahe hain or bare bhi bagiar chatriyon ke barsat ka maza le rahe hain.... barish ka mosam hume tu bara pasnd hai... shairo ne is per kai nazmein , ghazlein or ashar bhi kahein hai... LOl... ab chaliye aap log bhi koi dhang ka kaam kijye.... I mean is thread mein reply ker ke yeh bataiye ke barsat ke mosam se aap ki kya yaadein jori hai... koi waqia share karein... koi maze ki baat... school life ki koi kahani... ya kuch bhi...

    Waiting for your reply...

    Khush rahiye...
    Allah haafiz:)

  • #2
    Re: **barisho ke mosam mein......!!

    me pehly barish main nahoon gi then koi bat karoon

    ye barish wesy ho kahan rahi hai

    Comment


    • #3
      Re: **barisho ke mosam mein......!!

      kal yahan aadhay (half) lahore main bari baarish hoi aur main poora ka poora bheeg gya bra maza aaya
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: **barisho ke mosam mein......!!

        wa salaam


        Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah kya yaad dila diya beta! Barishon sey to bohat sari yadein wabasta hain. Mujhey yeh mausam bohat pasand hai. Yaad hai keh jab main collegea aur uskey baad naii naii job per laga to subah uthney key baad sab sey pehley khirrkey key pardey hata kar bahir ka mausam dekha karta, agar barish ho ya mausam abr-e-alood hota to dil khush ho jaya karta, aur agar suraj hota to udaas :D.

        I like LOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOONG drive aur woh bhi barish mein. Itna haseen lagta hai barish mein driving karna. Once main Copenhagen sey Aarhus jaa raha tha koi 300 KM ka faasla tha, raastey mein Motorway per itni tez barish thi keh aagey ki garri nazar mushkil sey aa rahi thi - bohat mazzah aaya tha us din driving ka.

        Barish mein bheegney ... waooo. Mujhey aaj bhi bachpan ka woh din yaad hai jab Pak mein itni tez barish huwa karti keh ham apney sehan mein paani jama kar liya kartey aur phir us mein nahaya kartey - aik baar nahatey huwey koi kaanch ka tukrra meri thorri per lag geya, uska nishaan aaj tak hai :D

        Mujhey yeh bhi yaad hai keh Pakistan hi mein jab main tha, to I had a stick jis key sahara main chala karta tha, woh baghal wali. Main aur merey dost ham sab musla'dhar barish ka mazzah ley rahey they keh itna tez paani ka bahaou aaya keh meri stick chhoot gaii aur main pani key bhaoo key saath beh nikla - merey doston ney dekha to barri mushkilon sey mujhey bachaya - warna aaj main kisi nadi naley mein machhliyon ki khorak ban chuka hota :D :D :D

        .... aur bhi yadein hain per phir sahi :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: **barisho ke mosam mein......!!

          Barisho'n Say tu Buhat Se Yaadein Wabasta hain Achi buri Bhalli Sab :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #6
            Re: **barisho ke mosam mein......!!

            Originally posted by sham-e-mehfil View Post
            me pehly barish main nahoon gi then koi bat karoon

            ye barish wesy ho kahan rahi hai
            Lol... theek hai sham.. jaisa aap ko theek lage...bheeg lein barsat mein phir dasna... :D:

            or barish yahan humari taraf bombay mein ho rahi hai... bheegna hai tu aa jao... ya kaho tu hum bhaij dein chan phowarein??:D

            Comment


            • #7
              Re: **barisho ke mosam mein......!!

              ws !!

              hey Umm :d

              tumhari taraf barisheiN phonch gaieiN :wink

              @topic

              mujhey bohot halki barish achi lagti hai aur teyz barishoN sey mujhey dar lagta hai :$
              btw meyri taraf kafi dino balkey ab to weeks ho gaye heiN key barisheiN hi chal rahi heiN
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: **barisho ke mosam mein......!!

                Originally posted by ummid View Post
                Asalamaalaikum:rose




                ummid hai aap sub khairyat se honge...:lpop:

                Yahan na bari barishein ho rahi hai.... aik dum zor zor se... sub jal thal hogaya hai.... MashAllah...:D:.
                Chote bacche paani mein khail rahe hain or bare bhi bagiar chatriyon ke barsat ka maza le rahe hain.... barish ka mosam hume tu bara pasnd hai... shairo ne is per kai nazmein , ghazlein or ashar bhi kahein hai... LOl... ab chaliye aap log bhi koi dhang ka kaam kijye.... I mean is thread mein reply ker ke yeh bataiye ke barsat ke mosam se aap ki kya yaadein jori hai... koi waqia share karein... koi maze ki baat... school life ki koi kahani... ya kuch bhi...

                Waiting for your reply...

                Khush rahiye...

                Allah haafiz:)
                Wa Alaikum Assalam,
                I was just thinkin abt k 5, 6 roz se baarish ho rahee hay to koi thread start kiya jaey ...abhi aak dekha aapka thread to maza aaya .......
                Wessay long drive bht pasand hay baarish mein

                Ya phir dheemi dheemi baarish mein bht sare walk kerna achha lagta hay

                bheegna achha lagta hay

                pak mein to itna bhegtay thay hum log barishon k mausam mein k us k baad fever ho jata tha :hehe:

                barishon k mausam ki yaadein baqi :)hmm soch k dastay hain
                Last edited by Eshaa Chaudhry; 6 June 2008, 15:42.
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: **barisho ke mosam mein......!!

                  Originally posted by Xenya View Post
                  mujhey bohot halki barish achi lagti hai aur teyz barishoN sey mujhey dar lagta hai :$
                  Same here:
                  Ab raat mein thunderstorm , hail , lightening savb kuch saath hee tha baarish k n u knw itna darr lag raha tha :embarasse
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: **barisho ke mosam mein......!!

                    Originally posted by ummid View Post
                    Lol... theek hai sham.. jaisa aap ko theek lage...bheeg lein barsat mein phir dasna... :D:

                    or barish yahan humari taraf bombay mein ho rahi hai... bheegna hai tu aa jao... ya kaho tu hum bhaij dein chan phowarein??:D
                    Ummid, mujhe nahin pata tha aapne yeh thread shuru kiya hai, maine bhi abhi ek thread Fungama mein start kiya hai. Main bhi aapki tarah Bombay se hoon. Mujhe baarish ka mausam itna khaas pasand nahi hai, (July 2005 ki yaad dilata hai) par ghar mein baith kar luft uthaana accha lagta hai. Garam bhajiye aur bhutta, baarish mein khane ka mazaa hi kuch aur hain. :)
                    :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                    Comment


                    • #11
                      Re: **barisho ke mosam mein......!!

                      But u knw what shona :eye:
                      aapk thread k is tittle per humko nazmein ghazlein yaad aarahee hain :lahoul
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: **barisho ke mosam mein......!!

                        Originally posted by astrofreak1234 View Post
                        Ummid, mujhe nahin pata tha aapne yeh thread shuru kiya hai, maine bhi abhi ek thread Fungama mein start kiya hai. Main bhi aapki tarah Bombay se hoon. Mujhe baarish ka mausam itna khaas pasand nahi hai, (July 2005 ki yaad dilata hai)
                        Astro ji wo kehtay hain mann ka mausam achha to sab rang sab mausam suhanay kabhi kabhi hamein bhi chhir se hoty hay barish se
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: **barisho ke mosam mein......!!

                          Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                          Astro ji wo kehtay hain mann ka mausam achha to sab rang sab mausam suhanay kabhi kabhi hamein bhi chhir se hoty hay barish se

                          Eshaa, shayad apko pata nahin hai teen saal pehle Mumbai mein sailaab aaya tha, usme bahut logon ka nuksaan hua tha isiliye bahut se logon ko barsaat se darr lagne laga hai
                          :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                          Comment


                          • #14
                            Re: **barisho ke mosam mein......!!

                            Originally posted by astrofreak1234 View Post
                            Eshaa, shayad apko pata nahin hai teen saal pehle Mumbai mein sailaab aaya tha, usme bahut logon ka nuksaan hua tha isiliye bahut se logon ko barsaat se darr lagne laga hai
                            Dear yehe haal Pakistan mein hota hay ..zara baarishein berhei'N to log darnay lagtay hain
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: **barisho ke mosam mein......!!

                              Waise mere ghar se thodi duur par ek picnic spot hain, wahan par log waterfall dekhne aate hai. Jab chhoti thi toh kaagaz ki naav banakar paani mein chodti thi. Aur zameen par pada hua paani ek doosre par uchaalte the :-)
                              :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                              Comment

                              Working...
                              X