Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Humari Eid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Humari Eid

    Asslam o allaikum Sathiyo!

    Ramzan ulmubarak ka maheena shiroo hotay hi har koi eid k liye din ginena shiroo kar deta hey. naye kaprray, jootay, tohfay tahaaif, jewellery, da'watein..........
    muger iss bar shayed hi koi eid ki khushi mehsoos karay ga, meray ghar (pakistan) per jo qayamat e sughra guzar gai uss ki har kisi ko khaber hey, har aankh ashk bar hey, har dil khoon k aansoo ro rha hey, har dil se dua nikel rahi hey k ya Allah hum per rehm farma, ya Allah hum per apna mazeed qehr naazal nah kar, ya Allah humaray gunahon ki bakhshish farma, ya Allah humein humari taqat se zayada nah aazma, ya Allah hum per rehm farma, ya Allah hum per rehm farma, ya Allah hum per rehm farma..ameen
    Allah ki zat ghafoor hey, Allah ki zat raheem hey, woh kareem hey, humari duayein zaroor sunay ga aur apnay nabi pak sallahu alaie wasallam k sadqay humari duayein zaroor qabool farmaye ga...........Behno aur Bhaiyo! jo ramzan k iss mubarak maheenay mein hum se bicherr gaye wo sub shahadat ka darja pa gaye hein, hum jo bach gaye hein humein sahadat ki zindagi guzarni hey.
    iss thread ko start kernay ka maqsad yeh hey k hum unn behn bhaiyon aur bachon ko to wapas nhi la saktay jo jaan bahaqq ho chukay hein lekin khabron k mutabiq 30 laakh se zayada log be ghar ho gaye hein, unn k pass khanay ko kuch nhi hey, peenay ko pani bhi nhi raha, ser chupanay ko chatt nhi rahi, unn k zakhmon se rista hua khoon humein pukar raha hey, aankhon ki weerani hum se apna haqq mang rhi hey, unn k aansoo humen insan honay ka ehsaas dila rahay hein............meri aap sub se darkhwast hey k aap jahan tak bhi mumkin ho, barhay huye hathon ko tham lijiye, unhein sahara dijiye, zaroori nhi hey k aap boht saray paisay atiya karein....ager aap k pass 2 sweater hein to 1 donate ker dijiye.........sardi mein munjamid hotay huye khoon ko apni maded ki hararat se zindagi bakhsh dijiye.....aap eid per naye kaprray silwanay k bajaye uss raqm se 1 blanket ya 1 razaai khareed ker de dijiye......eid per naye kaprray pehnena sunnat hey lekin museebat mein apnay behn bhaiyon ki takleef ko door kerna iss se kai zayada swab ka bahes ho ga.....ager aap bazar jayein to koi bhi cheez khareednay se pehlay apnay museebat zadah behn bhaiyn k baray mein sochiye........aap 1 cassette, 1 Cd, cigrette ka 1 packet, ya 1 risala khareednay se pehlay sochiye k inn paison ko aap kisi ki zindagi ki bahali mein serf ker saktay hein. Hatta k eid cards jo k eid se pehlay apnay azizon rishtedaron se muhabbat ka barra zareea samjha jatay hein, aap eid cards aur unn per aanay wali daak ki laget ko bacha ker kisi bilkatay huye bachay ki siskiyan kum kernay mein istemal ker sktay hein.
    1 choti see bat mein btana to nhi chahti thi mugar iss liye bata rhi hoon k ghair mulk mein rehnay walay logon ka zameer jag sakay. beshakk meray logon ne boht atyat diye hein lekin wo log jin ka han paisay ki rail pail hey unhon ne kai bahanay trash liye, kuch ne kaha k imdadi tanzeemein paissa kha jati hein, kuch ne kaha k humaray han apnay aziz rishtedar iss k zayada haqdar hein, gharz iss qader sangdili k.........Allah hi unn ko hadayet day aur unn k dil mein rehm peda karay, woh nhi sochtay k yeh waqt ager unn per aata to woh kia kertay? kehnay ka maqsad yeh hey k aap ne jo kuch bhi dena hey fi sabeel Allah dena hey, aap ko apni niyyat ka ajer milay ga aur jo aap ki di hui amanat mein khayanat karain gay uss ke woh khud Allah k samnay jwabdeh hon gay. Aam dino mein kheraat kernay ki ager 10 naikiyan milti hein to ramzan ul mubarak k meaheenay mein yeh tadaad barh ker 70 ho jati hey.
    Aaiye mil ker nah sirf iss duniya mein apnay insan aur sub se barh ker musalman honay ka saboot dein balkeh aakhrat k liye bhi kuch naikiyan ikathi ker lein, koi khaber nhi k kub maut humein aan dabochay aur phir yeh waqt humaray hath nah aaye....... Allah hum sub ko iss kaar e khair mein barh charh ker hissa lenay ki taufeeq ata farmaye.
    mein aap sub se janena chahoon gi k aap apni apnay behn bhaiyon k liye kia kiya aur eid k akhrajat mein se kitna donate karein gay......???

  • #2
    Re: Humari Eid

    ^JazakAllah khair

    Allah T'ala hamien apney watan ki aur us key logon key kaam aaney ki taufeeq dey Ameen,

    Jitni help hum ker saktey hein utni hum ker rahey hein, aur Allah sey du'a hai key Allah hamari koshishon ko qabool karein aur Apna rehm farmaye Ameen,

    Is key ilawa aik kaam hum ker saktey hein jo log Pak. mey hein wo to inshALlah wahan to Friday ko khsoosi duaien hon gi leykin ham mey sey jo bhi watan sey dur hai wo apni kareebi masaajid mey ja ker Imam ya masjid key incharge sey ye request karey key Friday prayers mey Pak. key liye aur un tamaam logon key liye khasoosi du'a karein inshAllah....

    is key ilawa Islamic Reliefe MashAllah bohot kaam ker raha hai aur unhein volunteers ki bhi zaroorat hoti hai khas ker aaj kal key dino mey, hum un key liye kaam ker saktey hein inshAllah...

    Allah T'ala hamari kaam mey barkat daaley Ameen.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Humari Eid

      kash her kee soach aap jaisi hu jay,,
      very nice post

      Comment


      • #4
        Re: Humari Eid

        Hadees shareef mein hey k "musalman aik jism ki manind hein, jism k kisi aik hissay mein takleef ho to sara jism uss takleef ko mehsoos kerta hey"

        Hum kis qadar be dard aur be hiss ho gaye hein k humein apnay bhaiyon ka ehsas hi nhi hey, be gor o kafan parri lashein dafnaye janay k intezar mein hein, mosam ki shiddat nah janay aur kitnay logon ki jaan le le gi mugarrr hummm........ALLAH HUMEIN HADAYAT DAY, ameen...............mein ne raat ko news mein suna k transportation k log imdadi teams se dugna aur 3 guna kiraya wasool ker rhay hein aur kai jagahon per imdadi teams transporters k iss ghair insani rawayyay ki wajah se ta'atul ka shikar hein, woh agar saman barwaqt nhi pohnchayein gi to maded kernay walay nojwanon k houslay passt ho jayein gay. In logon ko chahiye to yeh tha k baghair kirayon k apni khidmat pesh kartay mugar nhi shayed inn k dilon per zang lag chukay hein, lalach inn ki ragon mein rach bass gaya hey.
        Phir sub se barri bat transport companies k karta dharta kahan hein? jo inn logon se baz purs ker sakain???

        Aur meray pegham k sathi ab tak kiyon khamosh hein? kia meri koi behn aisi nhi hey jo apni eid ki mehndi aur chooriyon k paissay bacha ker bhook aur pyas se bilkatay huye kisi bachay k liye pani ki aik bottle aur biscuits ka aik packet atiya ker sakay??? kia mera koi bhai yehan aisa nhi hey jo sirf 1 din k NET CARD k paissay bacha ker kisi ki duaon se apnay liye musarratein khareed sakay??
        Iss thread ka maqsad namood o numayesh nhi hey balkeh aik jazba peda kerna hey, aap aaiye aur btaiye k aap ne apnay hum watno k liye kia kiya, iss se doosray logon mein bhi josh o jazba peda ho ga aur wo her mumkin koshish karein gay k kisi nah kisi trah se iss kam mein apna hissa daal skain. ab tak 12 log iss thread ko view ker chukay hein lekin kisi aik ne bhi reply nhi kiya!

        Comment


        • #5
          Re: Humari Eid

          Originally posted by barg.e.gul
          ^JazakAllah khair

          Allah T'ala hamien apney watan ki aur us key logon key kaam aaney ki taufeeq dey Ameen,

          Jitni help hum ker saktey hein utni hum ker rahey hein, aur Allah sey du'a hai key Allah hamari koshishon ko qabool karein aur Apna rehm farmaye Ameen,

          Is key ilawa aik kaam hum ker saktey hein jo log Pak. mey hein wo to inshALlah wahan to Friday ko khsoosi duaien hon gi leykin ham mey sey jo bhi watan sey dur hai wo apni kareebi masaajid mey ja ker Imam ya masjid key incharge sey ye request karey key Friday prayers mey Pak. key liye aur un tamaam logon key liye khasoosi du'a karein inshAllah....

          is key ilawa Islamic Reliefe MashAllah bohot kaam ker raha hai aur unhein volunteers ki bhi zaroorat hoti hai khas ker aaj kal key dino mey, hum un key liye kaam ker saktey hein inshAllah...

          Allah T'ala hamari kaam mey barkat daaley Ameen.
          Jazak Allah Khair gul....ameen sum ameen

          Jaisa k aap ne point out kiya k imdadi tanzeemon ko iss waqt afradi quwatt ki bhi zaroorat hey....agar hum aisi tanzeemon k sath mil ker baghir moawzay k kam kertay hein to yeh bhi aik naiki hey aur beshakk Allah k han iss ka barra ajer milay ga. Aap k ilaqay mein boht see tanzeemon ne imdadi camps qayem kiye hon gay aap wahan ja ker unn k maded ker saktay hein. apnay mohallay k logon se imdadi saman ikatha ker k unn tak pohncha sktay hein.

          Comment


          • #6
            Re: Humari Eid

            Originally posted by khl
            kash her kee soach aap jaisi hu jay,,
            very nice post
            Khalil Bhai iss karray waqt mein humein SOCH ki nhi AMEL ki zaroorat hey, meray ikhtyar mein jo tha wo mein ne kiya aur inshaAllah ab mein apnay doston aur rishtedaron se bhi funds jamah ker rahi hoon, aap bhi aisa hi kijiye, aap ko boht se logon se boht see chubhti hui batein sunenay ko milain gi mugar aap apni niyyat ko danwan doll nah honay dijiye ga aur koshish jari rakhiye ga.
            Mein ne jo kuch donate kiya wo to nhi btaon gi lekin itna zaroor kahoon gi k mein ne apnay zati istemal ki kuch cheezain baich ker paissay donate kiye hein, kiyun k mein samjhti hoon k ager meray ser per chatt hey, khanay ko hey, pehnenay ko hey to cheezain aur ban jayein gi, nah bhi banein to koi dukh nhi k unn k baghair bhi guzara ho skta hey.
            Iss k ilawah mein ne apnay liye eid ki koi shopping nhi kerni hey nah hi meri family karay gi. wohi paissay ager kisi ki zindagi bachanay k kam a saktay hein to meray liye iss se zayada eid ki koi khusi nhi ho gi.

            Comment


            • #7
              Re: Humari Eid

              bilkul theek muskan,eid bilkul sadgi se karen ge,or jo kuch ho saka inshallah karen ge.

              Comment


              • #8
                Re: Humari Eid

                Originally posted by Muskan
                Khalil Bhai iss karray waqt mein humein SOCH ki nhi AMEL ki zaroorat hey, meray ikhtyar mein jo tha wo mein ne kiya aur inshaAllah ab mein apnay doston aur rishtedaron se bhi funds jamah ker rahi hoon, aap bhi aisa hi kijiye, aap ko boht se logon se boht see chubhti hui batein sunenay ko milain gi mugar aap apni niyyat ko danwan doll nah honay dijiye ga aur koshish jari rakhiye ga.
                Mein ne jo kuch donate kiya wo to nhi btaon gi lekin itna zaroor kahoon gi k mein ne apnay zati istemal ki kuch cheezain baich ker paissay donate kiye hein, kiyun k mein samjhti hoon k ager meray ser per chatt hey, khanay ko hey, pehnenay ko hey to cheezain aur ban jayein gi, nah bhi banein to koi dukh nhi k unn k baghair bhi guzara ho skta hey.
                Iss k ilawah mein ne apnay liye eid ki koi shopping nhi kerni hey nah hi meri family karay gi. wohi paissay ager kisi ki zindagi bachanay k kam a saktay hein to meray liye iss se zayada eid ki koi khusi nhi ho gi.
                Muskan aap kee batian bilkul theek hay...
                main yehan batana chahta hun balky pehly b araz ker chuka hun
                k mera aik chota sa villge hay...hum doston ny mil ker aik social walfare socity banai hay
                aur hum mil ker apny gaon k her Gher main gay hain aur sab sy kuch na kuch akhta ker hee lia hay aor apny jaib kharach main jo kuch tha wo dy diy hain
                hum ny mukhtalif ashaiya k 2 truck aur takreeban 2 lakh rupees akhty kiy haun aur b ker rahy hain.
                ...........
                humain to koi aur kaam kerny ko dil hee nahi ker raha hay hum ny abi to apna maksad hee yehi bana lia hay

                bakee ALLAH behter kery ga inshaALLAH.

                Comment


                • #9
                  Re: Humari Eid

                  Originally posted by khl
                  Muskan aap kee batian bilkul theek hay...
                  main yehan batana chahta hun balky pehly b araz ker chuka hun
                  k mera aik chota sa villge hay...hum doston ny mil ker aik social walfare socity banai hay
                  aur hum mil ker apny gaon k her Gher main gay hain aur sab sy kuch na kuch akhta ker hee lia hay aor apny jaib kharach main jo kuch tha wo dy diy hain
                  hum ny mukhtalif ashaiya k 2 truck aur takreeban 2 lakh rupees akhty kiy haun aur b ker rahy hain.
                  ...........
                  humain to koi aur kaam kerny ko dil hee nahi ker raha hay hum ny abi to apna maksad hee yehi bana lia hay

                  bakee ALLAH behter kery ga inshaALLAH.

                  MashaAllah meray bhai Allah tabarak wata'ala aap ko aur aap k doston ko jazaye khair ata farmaye, ameen.
                  Mujhey aap per fakher mehsoos ho raha hey Allah karay har museebat zadah ki aankhon se nikelnay wala aik aik aansoo aap k liye k lakhon duaon ka bahes ban jaye. Khalil aap dekhein gay k zindagi mein aap kabhi bhi be'sakoon nhi hon gay, aur Allah Ta'ala aap ko humesha denay ki taufiq ata farmaye ga, wo aisay waseelay peda farma de ga k aap ko ehsaas bhi nhi ho ga k aap k pass Allah ki itni nehmatein kahan se aa rhi hein.

                  Allah meray har bhai ko himmet aur housla day k wo khalil ki trah apni zaroorton ko pass e pusht daal ker iss waqt maded k muntazir behn bhaiyon ka aasra ban jayein, ameen

                  Comment


                  • #10
                    Re: Humari Eid

                    thnks dear

                    Comment


                    • #11
                      Re: Humari Eid

                      "musalman aik jism ki manind hein, jism k kisi aik hissay mein takleef ho to sara jism uss takleef ko mehsoos kerta hey"

                      nice thought muskaan.


                      Eid kesi reh gaii na... har teraf afsurdagi ka aalam hai.... Allah un masoomon pe Reham Farmaaye....May Allah Bless them all...
                      merey paas words nahen hain... cannt bear it ...
                      Visit My Early PS Work
                      You Are Welcome To Comment

                      Comment


                      • #12
                        Re: Humari Eid

                        JazakALlah khl,

                        jab hum thora bhi kaam karein logon key liye khas ker apney logon key liye to itni achi khushi mehsoos hoti hai

                        Allah T'ala hum sab koshishon ko qabool farmaye Ameen
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: Humari Eid

                          :jazak: Muskan Sis , aap ne buhut achi post ki aur buhut achi batein kaheen.

                          Mian late repley ke liyeh mazrat cahhtti hoon, magar weekend main kam time milta hai aaney ka.

                          Humarey office main sab collegues Muslim hi nahi non-mulim (jo ke different nationals hain, pak, indian, srilankan, jordanian, lebanese) sab en mil ker donate kiya aur wo raqam Alhamdillilah last week hi UBL ke account per oun logoki imdad ke liyeh bhaijh di gayi hai, hum apney watan se dour hain magar apney behan bhaio ki takleef se na-ashna nahi hai, her jagah log her mumkin imdad ker rahey hain, meri choti sis hai oun ke schol main bhi donations collects ki ja rahi hai aur shayed bhej bhi di gayi hain.
                          An sms has been send randomly to all mob users from Pak embassy mentioning Contact number and account number of UBL to help those ppl in pak.
                          Aur in our neighbourhood ek uncle jo Jamal-e-Islami in Qatar ke member hain, onhon ne physically oun ki imdad ke liyeh saman ikhata kiya jis main garm kaprey, blankets aur dosri ashiyaan shamil hain aur pak bheja hai. Aainda bhi jese mumkin ho hum sab madad kertey rahey gai :insha:

                          Afsos hai to bas is baat ka ke kash is takleef main hum waha oun ke sath nahi, dil main khawahish thi to work there as volunteer. Even though I haven't completed my training as volunteer yet, magar kash mumkin hota in halat main waha aana aur oun logo ki mada kerna :( paney behan bhaio ki madad na ker sakein to kya faida kahin aur as volunteer kaam kerne ka :(
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Humari Eid

                            Asslam-oA_likum WRW B

                            Muskan ! aap ki ya post nehayt hi achi hy ......Masood ki baat ko barhaty hui yhi kho ... ky Really agr asi soch aur sirfs och hi nhi balky amal bhi agr aap jasa ho jay ya jo aap ny byan kya hy asa ho jay .. to beleve me koi bhi takleef insan ko cho na pay ..

                            JazakAllah ,
                            Allah Pak un sab logo ko jo ahmary becah hy aur jo hamary becah nhi rahy un sab ky Gunho ko maaf karay Ameen ,,, aur hamain , Hakook-ulIbad ka khayl rakhny aur bakyda amal krnay ki bhi sadat ata kary

                            FeaamNAllah
                            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                            Comment

                            Working...
                            X