Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dosti kasi honi chaye ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Dosti kasi honi chaye ?

    Originally posted by senorita View Post
    nahi me walk karte huye socha karti hon
    aisay tumhari kisi cycle walay ke saath taker bhi ho sakti he :lpop:
    :thmbup:

    Comment


    • #32
      Re: Dosti kasi honi chaye ?

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      aisay tumhari kisi cycle walay ke saath taker bhi ho sakti he :lpop:
      pahar par log cycle nahi chalate:eye:

      Comment


      • #33
        Re: Dosti kasi honi chaye ?

        Originally posted by senorita View Post
        pahar par log cycle nahi chalate:eye:
        koon se pahaar pe rehti ho, aaj bata he doo me ko
        :thmbup:

        Comment


        • #34
          Re: Dosti kasi honi chaye ?

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          koon se pahaar pe rehti ho, aaj bata he doo me ko
          pakistan ke sab se buland pahar K2 par:khi:

          Comment


          • #35
            Re: Dosti kasi honi chaye ?

            Originally posted by senorita View Post
            pakistan ke sab se buland pahar K2 par:khi:
            oh chal rehan de hun:na:
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #36
              Re: Dosti kasi honi chaye ?

              Originally posted by aabi2cool View Post
              oh chal rehan de hun:na:
              achaa aap kehte hen to rehne dete hen:donno:

              Comment


              • #37
                Re: Dosti kasi honi chaye ?

                Originally posted by senorita View Post
                pakistan ke sab se buland pahar K2 par:khi:
                Yani tum wo larki ho jo K2 pe ja ke K2 ke cigerate peeti ho
                :thmbup:

                Comment


                • #38
                  Re: Dosti kasi honi chaye ?

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Yani tum wo larki ho jo K2 pe ja ke K2 ke cigerate peeti ho
                  zaruri nahi k2 par rehne wale k2 hi pite honme dunhill k cigearte piti hon

                  Comment


                  • #39
                    Re: Dosti kasi honi chaye ?

                    Originally posted by MSA View Post
                    me ne to general bat ki thi....

                    jo haqeqyt he....appp ko nahi lugta k ye sahi bat he...??

                    jab tak sorate-hal yehi rahi aap ki so called frndship bar qaarar rehay gi ...lakin jis point per thora sa bhi expect kia wahin break ho jai ga relationship
                    ham bhi insaaan hain.....give more expect less kay tehet ham less expect kar saktay hain....lakin aap ki bhi aik emotinal health hoti hai....jis ko barqarar rakhnay kay liye aap ko bhi kuch khaas beheviour chahiye hota hai......lihaza aisay sorat mein rishtay paidar nahin hotay.... aur hpir aisay loagoon per aap kitna aitbaar kar saktay hian jo sirf laina hi jantay hain.....
                    hamin bhi kuch experiences ho chukay hain...tum chotay ho...lakin itnay bholay ho yeh nahin maloom tha....raviyoon mein twazun hona chahiye.....aisa karna buht mushkil hota hai .....main aisa keh zaroor rahi hoon...lakin amal nahin kar pati.....
                    jo tum nay kaha naa....woh bhi ho sakta hai......lakin practical ho kar sochain tu yeh normal nahin......jab tak aap dosroon kay kaam atay rehain gongay behray ban kar......dosray aap ko use kartay rehain aap ka relationship qaim rehay ga...lakin jahan aap nay thora sa expect kar lia......ya use honay say inkaar kia...wahin relationship khatam...
                    aisay loag aap kay is kholoos bharay rawiye ko for granted laitay hain ...apna haq samajtay hain......na hi is relatin ko DOSTI kehtay hain aur na hi aisay loagoN ko dost.....:)...
                    her relation ki base Ikhlaaas hai....sincerity.......aisay gharz kay bandoon mein khloos ki by had kami hoti hai.....
                    main yeh nahin keh rahi keh aap expectations hi rakhain buht zyada.... lakin dost tu woh hota hai keh jo aap ki museebat kay waqt aap kay bhi kaam aye.... jo dour khara ho kar hamin mushkil mein daikh kar khush o woh tu dost nahin kehlata naa........
                    Last edited by *Rida*; 21 May 2008, 11:35.
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #40
                      Re: Dosti kasi honi chaye ?

                      ASWK,
                      Dosti aisi honi chahiye jo dost ke bina kahe hi uski baat samajh le, har acche bure waqt main ek doosre ka saath denewale hone chahiye. Len den ke bina par dosti nahin tikti. Ek doosre ki madat ke liye hamesha tayyar rahe. Buri baat aur buri aadatein par tokna chahiye. Apne dost par yakin rakhnewala hona chahiye, na ki doosro ki baaton main aakar apne dost par aitbaar nahin karnewala...
                      :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                      Comment


                      • #41
                        Re: Dosti kasi honi chaye ?

                        Originally posted by senorita View Post
                        zaruri nahi k2 par rehne wale k2 hi pite honme dunhill k cigearte piti hon
                        Senoritiyeeeeeeeee ki keh rai ein
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #42
                          Re: Dosti kasi honi chaye ?

                          Originally posted by astrofreak1234 View Post
                          ASWK,
                          Dosti aisi honi chahiye jo dost ke bina kahe hi uski baat samajh le, har acche bure waqt main ek doosre ka saath denewale hone chahiye. Len den ke bina par dosti nahin tikti. Ek doosre ki madat ke liye hamesha tayyar rahe. Buri baat aur buri aadatein par tokna chahiye. Apne dost par yakin rakhnewala hona chahiye, na ki doosro ki baaton main aakar apne dost par aitbaar nahin karnewala...
                          aray waah, itni nice achi aur pyaari sooch ko dekh ker meri to aankhon mein aansu aa gaye
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #43
                            Re: Dosti kasi honi chaye ?

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            aray waah, itni nice achi aur pyaari sooch ko dekh ker meri to aankhon mein aansu aa gaye
                            Aamirji aap rote bahut hain roye nahin sailaab aane ka darr lagta hai mujhe aur kya hain na mujhe tairna nahin aata:khi::khi:
                            :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                            Comment


                            • #44
                              Re: Dosti kasi honi chaye ?

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Senoritiyeeeeeeeee ki keh rai ein
                              kion sunai nahi de raha k kia keh rahi hon

                              Comment


                              • #45
                                Re: Dosti kasi honi chaye ?

                                Originally posted by astrofreak1234 View Post
                                Aamirji aap rote bahut hain roye nahin sailaab aane ka darr lagta hai mujhe aur kya hain na mujhe tairna nahin aata:khi::khi:
                                Aap ne kaha to me chup ker raha hoon, warna me ko chup karana koi asan baat nahi

                                Waise mein ne to suna tha ke tadpoles buchpan mein he reeraki ke mahir hotay hein :khi:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X