Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ramzan aur Eid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ramzan aur Eid

    AOA,

    Kese ho mere bhaiyo aur un ki behno

    Ramzan aa chuka he, aur Eid bhi aa hi jaye gi (koi rook ke to dikhaye)...topic bhi isi se related he, aap ko yeh batana he ke aap Ramzan ka maheena kis tarah guzaartay hein, is maheenay mein aap ki zehni kefiyat kesi hoti he, aur joon joon Eid ke din kareeb aatay hein, eid ke liye aap ki teyaariyaan bhi tez hoti hoon gi ...lehaza aap ne yeh bhi batana he ke aap End of Ramzan mein aap ki activities kia hoti hein (regarding Sehri, Aftari and the preparation of eid) aur Eid kese celebrate kerte hein. Aur sub se khaas baat, aap kis kis ko eidi dete hein aur kis kis se eid lete hein, aur kitni eidi lete hein.

    chalo ub start ho jao, one, two, thruuu....:kr:
    :thmbup:

  • #2
    Re: Ramzan aur Eid

    ji bhayya sabar karain abhi jawab daytay hain aap ko
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Ramzan aur Eid

      24 ghantay baad sirf aik reply aur us mein bhi sabar ki talkeen...roonay wala icon kahan he

      Hum aap ke jawaab ka keyamat tak intzaar karein ge
      :thmbup:

      Comment


      • #4
        Re: Ramzan aur Eid

        ahem..ahem munda sialkotiya u ko kisi khas bandey key reply ka intezar hai kia?... /curious icon

        Accordin' to yr topic Ramadan buhat busy guzarta hai family members father's friends invite hotey hain khas khas cookin' hoti hai or hamarey yahan sab ghar mai prepare kia jata hai even samosay 'n rolls etc.etc
        Eid ki tayari sath sath rehti hai end mai chorian mendi latey hain or or

        Eidi to mai sab sey leti hoon sab sey choti jo hon or eid apnay young cousins ko bhanjey bhani o deti hoon bas Eidi ka apun ka rate fix hai bhi 500 sey kam nai lenay ka!.....


        P.s. isi liye mujhy koi Eidi nai deta..../cryin'

        Comment


        • #5
          Re: Ramzan aur Eid

          Ramzaan say pehlay hi yeh soouchna shuru kar daiti houn yeh karoun gee woh karoun gee yeh parhoun gee , cooking main flan flan cheezain banaoun gee Aftaari main.....Aftaari pay to rooz hi koi na koi nai dish banati houn ....eid ki tayaarian to ramzan kay mid say shuru hoo jati hain .....mery kaprey to ramzaan kay akhri din to bantay rehtay hain hehehe kabhi yeh cheez nahi kabhi woh cheez chaye .....us din dair tak sirf main hi jag rahi hoti houn or apni cheezian poori kar rahi hoti houn or mehndi bhi to lagana hoti hai na :blush: ...eidi kisi ko nahi daiti ham leenay waloun main say hain ..ghar main koi choota bacha nahi hai na jis ko eidi doun
          main to bas eid pay achi dishes bana kay eidi aisay kheela daiti houn sab ko :wk
          pehlay din to guest hi ghar atay hain 2nd day mostly jatay hain bahir ..or 3rd ko bhi ..or ham bhi jatay hain un say eid milnay ...bas younhi hansi khushi sab kuch guzar jata hai
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: Ramzan aur Eid

            yaar abi to hum zalzily kee waja sy preshan hain..baad main btaonga

            Comment


            • #7
              Re: Ramzan aur Eid

              Oo' haan we also so worried abt. May Allah save them....May Allah save our beautiful country 'n our brave ppl. amin

              Comment


              • #8
                Re: Ramzan aur Eid

                Originally posted by munda_sialkoty
                aap kis kis ko eidi dete hein aur kis kis se eid lete hein, aur kitni eidi lete hein
                Yeh Eidi kya hota hai...
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: Ramzan aur Eid

                  Ramzan ka maheena rozay rakh kar aur Eid ka din Eid manna kar guzaartay hain.

                  Comment

                  Working...
                  X