Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

    walaikum salam

    bohat acha thread start kya hai wasi ap ne,,

    or yaaram bahi ap ki yeh pehli qist ager thori or bari hojati tu shaid meri ankho mai anso ajate..abhi bas thora dil bher ayaa...nahi janti kyun...:)

    ap ki agli qist ka intazar rhay gaaa

    bohat kuch suna tha pegham ke baray main..thori bohat tafseel ap ne bata di bohat acha lagaa janker..:)




    Comment


    • #17
      Re: ~~~ Pegham Life ~~~

      Originally posted by Yaaram View Post
      Pehli qist - is main many pegham ka mukhtasran jaeza liya hay :)


      ki gal aa paa jee....cha gaye ho tussi ..:khi:

      Comment


      • #18
        Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

        Originally posted by sarfraz_qamar View Post
        yarramm bhaiii
        bohhtt he achhayy andazz main aap nay Likhaaaaa
        abb jabb Peghamm parr kuchh cricess chall rahha haii too app
        joo kayy purannay Member bhee haii aoor aap nay Pg kayy lieyy bohtt kaam bhe ekiaa haiiii too main samjhattaa hoo aap koo Inn Roothhayy hoeyy sathionn koo dobaraa wapiss bulannayy kayy liayy kaamm karnan chahieyyyyyyy
        Pegham se muhabbat karne waloN ko Pegham zaroor wapis laye ga inshALLAH :)
        Originally posted by Aanchal View Post
        buhat acha silsila shuru kia hai wasi Anjum aap nay :thmbup:

        yarram ki pehli qisat parh li ..mazi main chalye gay :D:
        mazeed qistoo ka intazar rehye ga :thmbup:

        ham sawal pouuch saktay hian na member say ..:hhh:
        Shukrya - aur aap poch sakti hain
        Allah

        Comment


        • #19
          Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

          Originally posted by Sher Ali View Post
          ki gal aa paa jee....cha gaye ho tussi ..:khi:
          Shukrya
          Originally posted by Lagan View Post
          walaikum salam

          bohat acha thread start kya hai wasi ap ne,,

          or yaaram bahi ap ki yeh pehli qist ager thori or bari hojati tu shaid meri ankho mai anso ajate..abhi bas thora dil bher ayaa...nahi janti kyun...:)

          ap ki agli qist ka intazar rhay gaaa

          bohat kuch suna tha pegham ke baray main..thori bohat tafseel ap ne bata di bohat acha lagaa janker..:)
          Na kurye - rona nai

          Originally posted by jamil123 View Post
          :36_3_12[1]:
          یارم جی لئی چا شا تیار کرو کنی اچھی فورم دی تریخ تے اپنا ساتھ سنایا

          یارم میں نیا ہوں آپ کیلئے بلکل اجنبی لیکن آپ کی داستان بہت پسند آئی
          شکریہ
          Shukrya
          Originally posted by Silent Angel View Post
          Yaaram bhai buhat acha laga ap ke bare mein aur Pegham ke bare mein Parh ke
          Shukrya
          Originally posted by MSA View Post
          very nce
          shukrya
          Originally posted by Afroze View Post
          wasi jee bhot acha silsela shoro kia ha..
          Yaram pra..bara wadya lekha ha ap ny
          agli qeast ka intazar rahy ga
          InshALLAH - bohat jald
          Originally posted by aabi2cool View Post
          bohat ummda thred shuru kiya hy wasi bhai nay aur yaraam bhai ka jawab bhi lajawab hy....
          Shukrya
          Allah

          Comment


          • #20
            Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

            Is silsale ki doosri qist ke sath hazir hoN - yeh qist bohat lambi hay - aur yahi aakhri hay - is main un dosotN ka zikar karon ga - jo mere sath munsalik hain - aur thay :)

            Jums

            Junaid se meri baat cheet aik doosrey forum per hoi thi - aur phir ahsta ahsta yeh baat cheet be misaaal dosti main badal gayi - junaid mere bohat qareeeb hay - Junaid hi woh member hay jis ne mujhey Pegham ka rasta dikhaya - junaid ki muhabbat ke tufail main aaj yahaN aap logoN ke sath hoN - Juanid ke hi baes meri MASOOD bhai se baat hoi thi - Junaid hi mere sath tutorial Section main moderator thay - yeh woh member hay jo bohat ba salahyat hay - bohat ba kamal hay - agar aap ki in se baat ho to aap bilkul nai jaan sakein gay ke in main kya salahaytein hain - Photoshop kaafi aata hay inhain - lekan aap logon ne in ke karishmay nai dekhe - yeh mere Photoshop main ustaad hain - Junaid ne hi mujhey pegham ka link dya tha - main ne aur juandi ne mil kar tutorial section kaam kya - aik woh waqt tha ke log humari dosti ki misaal dete hotey thay - MSN per humari guftgo ka mozoo aksar Forum hi hota hay - Junaid ki tabayat MazaH se bharpoor hay - bohat khush ikhlaaq aur funny hain - Phir jonhi pegham per kaam zada honay laga junaid ki pegham main dilchaspi kam ho gayi aur is ki bari wajah sab member ka GupShup ki taraf mutwajo hona hay - Junaid is baat ko bilkul pasand nai kartry aur inhon ne isi wajah se phir aik waqt per moderatorship se resign kar dya tha - phir jab main pegham se gair hazir raha us doran aik fin junaid ka fone aaya ke mujhey aur tumhain phir se moderator bana dya gaya hay - aur IT main ikathay moderator hain - mujhey bari khushi hoi ke aik baar phir junaid ke sath kaam karnay ka moqa milay ga - lekan phir whi GupShup Junaid ke moderator ship chorne ka baes bani - Junaid Pegham per GupShup main to bohat kam aate hain - Mazahya Adab aur Latreefay aur IT section zada visit kartey hain - aap main se aksar member ne yeh jaiza lya ho ga ke pegham per yeh posts nai kartey - bus main inhain Silent Member ka khitaab doN ga - Yeh aksar Websites banane aur nayi nayi cheezon ki talash main rehte hain - pichle dino bhi in ki aik website band hoi hay :khi: Jis ki wajah free hosting thi :khi: waqt ne junaid ko bohat takleefein di hain - Junaid kaanoN se mehroom ho gaye - yani ab yeh sun nai saktey - meri awaz nai sun saktey - sms per baat hoti rehti hay - meri aaj bhi junaid se wesi hi baat hoti hay jesi aaj se 3 saaal pehle hoti thi Alhamdolillah - aur Junaid mera langotya yaar hay:khi: Khush reho :rose
            Allah

            Comment


            • #21
              Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

              very nice

              Comment


              • #22
                Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

                Thread pasand karne liye sab ka bahoot bahoot shukriya

                Pehli qist parh kar bahoot achha laga
                baqi qistoon ka intazzar rahega
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

                  Khoobsurat Sisila Wasi

                  Aur Acha Laga Aap kay Safar kay Mataliq JaaN Kar Yaraam :) Baqi Ka Intezar Rahay ga :)
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

                    yaram bhai sach kahoon mai bhi forum ka admin hoon, aisa laga app apni nahi mere kahani suna rahay hain sach main..insan ka dil waqyi uth jata hay jab wo mahnut karay aur us ko sila na milay ya response na milay mujhy bhi moderator say shikayat rahti hay wo dhung say posts nahi detay lakin kasor ajj kay logo ka hay jinhay kam ki chezon say zaida gapoo say maza ata hay(mazrut kay sath) mujhy inpage ka nahi pata tha ajj sirf app sab ki waja say thora buhat samjh aya ..is liye kay is forum nay mujhy dia is liye mai isay achi posts aur khalos lutaon gan..baat lambi hogyi bas app kush raha kijyi...
                    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~~~ Pegham Life - Yaaram ~~~

                      Originally posted by jamil123 View Post
                      yaram bhai sach kahoon mai bhi forum ka admin hoon, aisa laga app apni nahi mere kahani suna rahay hain sach main..insan ka dil waqyi uth jata hay jab wo mahnut karay aur us ko sila na milay ya response na milay mujhy bhi moderator say shikayat rahti hay wo dhung say posts nahi detay lakin kasor ajj kay logo ka hay jinhay kam ki chezon say zaida gapoo say maza ata hay(mazrut kay sath) mujhy inpage ka nahi pata tha ajj sirf app sab ki waja say thora buhat samjh aya ..is liye kay is forum nay mujhy dia is liye mai isay achi posts aur khalos lutaon gan..baat lambi hogyi bas app kush raha kijyi...
                      :salam:
                      Allah

                      Comment

                      Working...
                      X