Re: Teachers or Danda
Asslam O Alekum
Mein bhi is baat k khilaf hoon k bachoon ko tashadud ka nishana banaya jai
balkay aaj kal hamein is baat ki training bhi di jati hai k shararti bachoon ko kaisay
handle karna hai jo bachay parhnay mein kamzor hain un ko kaisay motivate karna
karna hai ek daor woh tha jab hum parhte thay tab school ka teacher school mein
khud ko wahan ka shahenshah samjhta tha aur bachoon ko apna ghulam lekin aaj
daor badal gaya hai ab hamein trainings mein sikhaya jata hai k school k students
wahan k hukmran hain hamein un ki age k hisab se un k jaisa ban k un ko handle
karna hai un ki zehni satah k hisab se un ko parhana hai khel khel mein parhana hai
un ko bore nahi honay dena hai class room mein aisa mahol create karna hai k bachay
ghar ja kar bhi subah honay k intazar karen k kab subah hogi aur hum school jain
mene bhi aisi 4 , 5 training ki hui hain aur us k baad un ko class mein apply bhi kiya hai
aur ye tajarba bahoot kamiyab raha mene kabhi class mein Danda use nahi kiya hai

Comment