Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

    Assalam-o-alekum!
    umeed hy ap sub apnay apnay gharon may bohat khush aur kheriyat say hongay.main aj ap k liye aik naya silsila lay kar haazir hoe hon..SITARON KI DUNYA.es may ap jaan saktay han apnay star k baray may wo sub kuch jo ap jan"na chahtay han!main apko monthly update karongi!ap evry month aik naey sitaray k baray may jaanain gay..umeed karti hon k ap sub ko ye silsila pasand aaeyga!aj apko doo burj(star)k baray may may malomaat dongi!ok take care!thanks~:rose
    ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
    NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

  • #2
    Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

    BURJ(star)KYA HY?
    SITARON ka elam aaj bhi itna he sacha aur kabil-e-aamal hy jitna k aaj say hazaron saal pahlay tha.sitaro ka elam jaan"nay walon nay aj say hundreds years ago date of birth ki munaasbat say insaano ko 12groups ya burjo may takseem kar diya tha.aur in kay makhsos ishaan bana diye thy.yahan main tamam burjo k naam darj kar"rahi hon,date of birth k mutabik.

    01_ HAMAL(aries)........21march to 20april
    02_ SOUR(taurus)....... 21april to 21may
    03_ JOZA(gemini).........22may to 21june
    04_ SARTAAN(cancer)..22june to 23july
    05_ ASAD(leo).............24july to 23august
    06_ SUMBALA(virgo).....24august to 23saptember
    07_ MEZAAN(libra)........24saptember to 23october
    08_ AKRAB(scorpio).......24october to 22november
    09_ KOOS(sagittarious)..23november to 21december
    10_ JADDI(capricorn).....22december to 20jan
    11_ DILO(aquarius)........21jan to 19feb
    12_ HOUT(pisces)..........20feb to 20march.

    ye in sitaron k ilist hy..but main apko month k mutabik update karongi.spose pahlay os star k baray main bataongi ja k jan aur feb may aata hy.pahlay CAPRICORN than AQUARIUS. OK
    ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
    NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

    Comment


    • #3
      Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

      me ko to pany star k bary main jany k liy bhot waot kerna pary ga pher

      Comment


      • #4
        Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

        1~ JADDI(capricorn)
        hakam sayara_ zahal
        nashaan_bakri(goat)
        ansar_matti
        manssob din_saturday
        mansoob adad_8
        khush bakhti ka hindsa_5,9
        mansoob rung_dark blue,brown
        muwafik nageena_neelam
        khush bakhti ka nageena_heera,pukhraaj
        muwafik phol_munnsukh,gul-e-sanober.

        22DEC TO 20JAN k doraan peda honay walon ka burj jaddi kahlata hy.es burj ka khas neshaan bakra,hakam sayara zahal aur khush bakhti ka num 8 hota hy.en logon ko saturday ka din zada raas aata hy.aur neela rung en logon k liye acha samjha jata hy.enka khas anser matti hy laykin en logonki tabyat may haakmiyat prominent hoti hy.es sitaray say taaluk rakhnay walay male aur female agar koe stone pahan"na chahain tu woh neelam,sung-e-mosa,feeroza,panna,zamurd,almaas may say kisi aik ka intakhaab kar len!
        es burj say taaluk rakhnay wali khawateen aur mard kadamat pasand lakin stronge will power k maalik hotay han.ba-ikhlaak,mohazzab hotay han.choton ka lehaaz aur baron ki ezzat kartay han,aur dosron say bhi eski tawakka kartay han.es burj say talluk rakhnay walay log jafa-kush,mahanti,kabil-e-aitamaad,hotay han.ye log dosron ka ahsaan kam he laytay han.aur ahsaan ka badla chukanay k liye bechain rahtay han.ye log es kabil hotay han k impossible ko possible bana dain.her chhez may high standard chahtay han.aur es say kam par kam he raazi hotay han.apni es aadat ki waja say ye log aksar sirf cheez ki zahri haalat say impress ho jatay han.es burj say taaluk rakhnay walay log nakabil-e-taskheer khasosiyaat k haamil hotay han.aur kaamyabi en k kadam chomti hy.yahe waja hy k ye log madels,aur asnaad hasil kartay han
        ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
        NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

        Comment


        • #5
          Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

          es burj say talluk rakhnay walay log kadamat pasand laykin stronge will power k maalik hotay han.baekhlaak hotay han.choton ka lehaaz kartay han,aur baron ka ahtaraam kartay han aur dosron say bhi esi salook ki umeed rakhtay han.yeh log jafa kash,mahanti,
          kabil-e-aitamaad,aur ba amal hotay han.kisi ka ahsaan kam he lay tay han.agar lay lain tu osay jaldi utaarnay ki koshish may rahtay han.ye log es kaabil hotay han k impossible ko possible bana sakain.her cheez k liye aala mayaar k kaael hotay han.aur es say kam
          par kam he tayaar hotay han,aur es aadat ki waja say yeh log aam tor par mayaar par nazar daalnay ki bajaey sirf oskay husan aur
          banawat par he nazar rakhtay han,es burj say wabasta log nakaabl-e-taskheer khasosiyaat k malik hotay han.aur her medaan may kamyabi k jhanday gaartay han,ye log usually apni zindgi ka start mamoli hesiyat say kartay han,laykin itnay sabat kadam hotay han k atlast apni manzil pa letay han.ye log her kam sanjedgi say kartay han.tanhae pasand hotay han.zayada tar apnay ghar par rahna pasand kartay han.en logon ki aik khas khobi ye hoti hay k ye bohat kam makrooz hotay han.aur ye kafayat shuaar hotay han es liye aahista aahista khasi dolat jama kar letay han.ye log achi damaghi salahiyaton k malik hotay han,es liye samaji edaron may aur karobaar may acho post par nazar aatay han,enki zindgi 2hisson par mushtamil hoti hay zindgi ka pahla hissa takleef may guzartay han aur aakhri hissa araam say basar kartay han.ye log realistic hotay han,gossa bohat kam karta yhan.laykin agar enko ye pata chal jaey k koe shaks unka doshman hay tu osay mushkil say he maaf kartay han.
          ye log apnay aas paas tankeedi nazar rakhtay han.diceplend hotay han,apni mohabbat k liye dunya ko nazar andaaz nhe kartay.ye log akalmund logon ki bohat kadar kartay han,kisi k matter may interfair nhe kartay aur dosron say bhi yahe umeed rakhtay han.es burj ki khawateen khas tor par bohat romantic hoti han,aur shadi bohat soch samajh kar karti han.ye khawateen mohabbat aur farz ka bohat khas khayaal rakhti han.enka clear point of view ye hota hy k mohabbat qurbani maangti hay.ye khawateen bevi ban kar bohat wafadaar aur basalahiyat nazar aati nah.en khawateen ki shaksiyat bohat sahar anggez aur pur kashish hoti hay.ye log bazahir sakhat tabyat k nazar aatay han laykin dil k bohat naram hotay han.ye mazhab say bohat nazdeek hotay han.ye log aala satha k adeeb aur shaair hotay han,.ye log doston k intakhab may dhoka kha jatay han.aur en k baaz dost aagay chal kar en k khatarnaak doshman sabat hotay han.achanak dabaao ya tension ki waja say enki sehat mutasir hoti hay.ye log nakami bardasht nhe kar patay. :rose
          ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
          NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

          Comment


          • #6
            Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

            Originally posted by Afroze View Post
            me ko to pany star k bary main jany k liy bhot waot kerna pary ga pher

            Haan ji sadi key khatam honey sey pehley ho hi jaey ga :p

            Bakhtawar merey paas bhi aik kitaab hai, main bhi ussey kaafi parhta hoon aur socha tha kabhi share karney ka - achha huwa aap kar rahi hain :thmbup:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

              Originally posted by bakhtawer View Post
              Assalam-o-alekum!
              umeed hy ap sub apnay apnay gharon may bohat khush aur kheriyat say hongay.main aj ap k liye aik naya silsila lay kar haazir hoe hon..SITARON KI DUNYA.es may ap jaan saktay han apnay star k baray may wo sub kuch jo ap jan"na chahtay han!main apko monthly update karongi!ap evry month aik naey sitaray k baray may jaanain gay..umeed karti hon k ap sub ko ye silsila pasand aaeyga!aj apko doo burj(star)k baray may may malomaat dongi!ok take care!thanks~:rose
              wsalam :rose
              bakhtawar ji aap kya kya bata'en gi :lpop:
              mujhy bhi apne future k bare mein janna he :kr:

              Comment


              • #8
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

                  Bakhtawer U Dont Mind

                  Lekin Aap In Cheezon Par Yaqeen Rakhti Hain???

                  Gaibi Haalaat To Sirf ALLAH Aur ALLAH Ke RASOOL Jaante Hain

                  Aur Aaj Kal To Sub Frod Karte Hain

                  To Main Aap Se Request Karta Hoon Ke Aap Apna Time Yahan Zaaya Karne Ke Bajaaye

                  Kahin Aur Lagaayein

                  Umeed Hai Aap Meri Baat Samajh Gayi Haun Gi Agar Aap Ko Phir Bhi Bura Lage To

                  Mujhe Yahin Keh Dijiye Ga Main Sorry Kar Doon Ga

                  Lekin Jo Such Hai Wo Such Hai Aur Such Ko Koyi Jhutla Nahin Sakta

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

                    Salam to all~
                    umeed hy ap sub khush hongay..!1st of all main apsay ye kahna chahongi k main koe najomi nhe hn k apka future bata sakon.infact future tu najomi bhi nhe bata sakta.and ye baat zarori nhe hy k jo apko acha lagta hay wo sub ko acha lagay ya jo cheez ya baat apko buri lagay wo dosron ko bhi buri lagay..Silent tears apko main ye kahongi k mujhay papki koe bhi baat buri nhe lagi,ap ki sub baatain theak han...No doubt k gaaib ka elam siraf Allah jee k paas he hay..but agar hum zara possitively sochain tu aisa kah saktay han k es thread say ap star related personality k baray may jaan saktay han,oski good+bad habits.....,aur ab es baat ka ye matlab mat lelijeyega k jo jo khobi ya khami likhi ho star related personality 100% waisi he hogi...!ye bas aik andaza hy...jis par koe pora otray ga aur koe nhe.!apka kya khayal hy es baray main masOod sir???am i rong or right?
                    take care of urs~ALWAZ THINK POSSITIVE& BE OPTIMISTIC~
                    ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
                    NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

                      Originally posted by Masood View Post
                      Bakhtawar merey paas bhi aik kitaab hai, main bhi ussey kaafi parhta hoon aur socha tha kabhi share karney ka - achha huwa aap kar rahi hain :thmbup:
                      :s aesey threads k liye ap k forum mein jagah hai or jab koi Dk k barey mein post kerta hai tu usey aap dosrey forum per janey ka mashwarah detey hain ............
                      apki mujhe samajh nahi ayi:s

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

                        what is DK ???plz miss madeha explain mekindly!
                        ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
                        NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

                          Originally posted by bakhtawer View Post
                          what is DK ???plz miss madeha explain mekindly!
                          Denmark

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~SITARON KI DUNYA~by BAKHTAWER!

                            Aquarius Here! Magr i dnt Blv in This Stuff!!!
                            ::::: HAN NACHATA TO ZAROR HAI::::: http://www.facebook.com/TearsInLOve
                            sigpic
                            http://www.facebook.com/TearsInLOve

                            Comment

                            Working...
                            X