[ATTACH]50912[/ATTACH]
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
*Almiya Urdu......!
Collapse
X
-
Tags: None
-
-
Re: *Almiya Urdu......!
Originally posted by La'hasil View PostHmmm Buhat Achi Baat Kahi Rida Aik tu Ghalat Bolna Dosre Mix Bol Kar bhi Logo'n Ko Dukh Nahin hota Berhaal Hamara Almiya Hi Yahi Kay Hum Apni Ghalti Kabhi Nahin Bante :)
Khush Rahiye :rose
Comment
-
Re: *Almiya Urdu......!
hmmm..baat tu aap nay bilkul thik kahi hai...
Yakeenan urdu ki is zaboo'n Hali main HUm baraaber kay shareek hain...
Lakin humain chaiay kay jiss kadar aor jahan tak ho sakay..Urdu ko thik thik bolain aor likhain...
Khush Rahiay Rida itnay Aham problem per tawajoh mabzool kerwanay kay liay..:rose
Comment
-
Re: *Almiya Urdu......!
Aaj kul mehngai ziada he loogon ke paas 25 rupay kahan hein.
Jokes apart, topic acha he, lekin urdu ko eventually khatam hona he hay aur is ki jagah kabi na kabi english lay gi. Wo is liye ke hum pichli 2 sadiyoon se urdu ko kaarobaar aur science ki zubaan bananay mein kaamyaab nahi ho sakay. It is quite unfortunate, ke yeh subaan sirf adab ki had tak he survive ker paye gi. Ub ager hum soochein ke hum bhi China aur Japan ki tarah apni he zubaan mein taraki kar saktay hein, then i am sorry to say ke ub bohat der ho chuki, ub hum jis track pe chal rahay hein hamein usi mein he improvement kerni he. Urdu hamari koomi zubaan he, hamein urdu achi lagti he, lekin aik baat jo hakeekat he ke ager urdu zuban mein itna dum hota to aaj is ka survival khatray mein na hota. Science ki aik kahawat he "Survival of the fittest". Jo zubaan sub se ziada fit ho gi survive wohi karay gi. Thats it:thmbup:
Comment
-
Re: *Almiya Urdu......!
Walikum salam
bhaut sahi kaha app ne Rida
meri aik urdu ki teacher kaha karti theen ke hum jis tarhan urdu "aam zaban" main bolin gey kuch arsey baad yehi zaban ka hissa ban jaey ga...kiun keh urdu zaban ki yehi khasiyat hai keh iss main har zaban ke alfaz shamil hojatey hain.....jahan tak ghalat likhney ka masla hai ye waqai maanon aur asateza ki ghaflat hai aur um tamam logon ki jo urdu adab aur urdu dars-o-tadrees se wabasta hain...iss par hamarey taleemi idaron ko tawaja deni chahiye
munda ji ne bhi aik bahu aham baat ki hai...aur ye haqeeqat bhi hai...hum sahi urdu bolney se zada tv ki zaban boltey hain aur 70% taleem science & tecnology ki urdu mian nahi hai...ye bhi aik almiya hai ke hum abhi tak in mazameen ko urdu main tarjuma nahi kar sakey......jab keh dunya main bahut se mulk asey hain jo aney tallemi idaron main sirf apni qoumi zaban istemal kartey hain...kia ye kaam hum nahi kar saktey
Comment
-
Re: *Almiya Urdu......!
@Rida
Home Chicken Beans Equal :lol :lol (kitni khoobsurat misalein hain URDU mein - jinki Urdu ki samajh nahin aati unkey liyey: ghar ki murghi daal braber)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: *Almiya Urdu......!
Walekma-Aslam
bohat achi baat ki taraf point out kiya hai aap nay...aur is mein koi shak nahi hai kay hum khud he apni zabaan ko kharab ker rahey hein....
kise ko bhi naseehat karnay say pehlay hamein khud ko theek kerna ho ga
baaton say koi nahi seekhta jab tak apni baaton ko amal mein bhi na muntaqil kia jayey:)
Comment
Comment