Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Attn Mods

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Attn Mods

    Salamzzzz,

    Mods hazraat se mein yeh poochna chahta hoon ke aap loog itnay inactive aur passive kyoon hein.

    Jo threads aik baar sticky ho jatay hein un pe koi feedback aaye na aaye, wo wahin ke wahi paray rehtay hein :donno: kesa kaam ker rahay hein aap:donno: yaar kuch hil ke dikhaoo, achay threads ko sticky karo for limited time period aur jub us threads per response aanay band ho jaein to unhein release ker do...itna kaam bhi nahi hota aap se :slap:
    :thmbup:

  • #2
    Re: Attn Mods

    agreed....

    Comment


    • #3
      Re: Attn Mods

      haan jee app ki baat 101% thik hai par iss ki ik wajah hai............:(

      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


      Comment


      • #4
        Re: Attn Mods

        Aamir bhai zara in ke kaan khenchein

        Comment


        • #5
          Re: Attn Mods

          Thread mention karein jin ki aap baat ka rahey haiN
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: Attn Mods

            Originally posted by MSA View Post
            agreed....
            Originally posted by CHAMPION_PAKISTANI View Post
            haan jee app ki baat 101% thik hai par iss ki ik wajah hai............:(
            Originally posted by Super Cop View Post
            Aamir bhai zara in ke kaan khenchein
            Haan yaar khainchta hon
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: Attn Mods

              :S


              kaun se Threads :S
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #8
                Re: Attn Mods

                Originally posted by Yaaram View Post
                Thread mention karein jin ki aap baat ka rahey haiN
                Haazri Register ! Naya Saal Naye Hazri !
                (Thread starting Date: December 31, 2007)

                Gupshup ke quaid-o-zwabat
                is ki bhi ub koi zaroorat nahi, mere khyaal mein quaid-o-zawabat main page per honay chahiyein in ka sections mein koi kaam nahi :donno:

                Personality of the Month
                Yeh thread sirf shuru ke 2, 4 din chalta he us ke baad koi is pe reply nahi kerta, lehaza personality of the month ke bajaye personality of the week ho to ziada behtar he. Koi zaroorat nahi he aisay threads ko puray month ke liye sticky kerne ke :donno:

                Is ke ilawa kuch achay threads hein jin ko sticky kerna chahiye aap loogon ki un threads per nazar he nahi perti. Aisy topics jo though provoking hotay hein, achay threads ko aap promote karo gay to loogon ke zehan mein aik kuch acha likhnay ka bhi concept develop ho ga.

                These are the suggestions from my part. Take it in positive sense.
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Attn Mods

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Salamzzzz,

                  Mods hazraat se mein yeh poochna chahta hoon ke aap loog itnay inactive aur passive kyoon hein.

                  Jo threads aik baar sticky ho jatay hein un pe koi feedback aaye na aaye, wo wahin ke wahi paray rehtay hein :donno: kesa kaam ker rahay hein aap:donno: yaar kuch hil ke dikhaoo, achay threads ko sticky karo for limited time period aur jub us threads per response aanay band ho jaein to unhein release ker do...itna kaam bhi nahi hota aap se :slap:
                  Mera khiyaal hai keh unhein bhi tumhari tarha stick marney ki zaroorat hai - tum kaun sa hiltey ho jis jaggah jagali karney kharrey ho jaou wahan sey hiltey nahin :lol
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Attn Mods

                    Originally posted by Masood View Post
                    Mera khiyaal hai keh unhein bhi tumhari tarha stick marney ki zaroorat hai - tum kaun sa hiltey ho jis jaggah jagali karney kharrey ho jaou wahan sey hiltey nahin :lol
                    :fuming: :fuming: :fuming:

                    Apni nalaiq team ko samjanay ki bajaye hud daant nikaal rahay ho.

                    Ager tum nahi samjaoo gay to mein bhi aaj bataye deta hoon, ager tumhari team sudhari na to phir muj se bhi acha aur koi nahi ho ga :na:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Attn Mods

                      Hmmm Lekin Personality Of The Month Ki Time Limit hoti hai Aik Week Baad Us Ko Neechay kar Diya Jata hai

                      Aur Hazri Reg Ki Wahaan Members Regular hain Jab Nahin hon gay Tab kar diya Jay Ga

                      Aur Quaid-e-Zawabat ki tu Wo New Members kay liye hain New Members ko Rules Maloom nahin hotay
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Attn Mods

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Haazri Register ! Naya Saal Naye Hazri !
                        (Thread starting Date: December 31, 2007)

                        Gupshup ke quaid-o-zwabat
                        is ki bhi ub koi zaroorat nahi, mere khyaal mein quaid-o-zawabat main page per honay chahiyein in ka sections mein koi kaam nahi :donno:

                        Personality of the Month
                        Yeh thread sirf shuru ke 2, 4 din chalta he us ke baad koi is pe reply nahi kerta, lehaza personality of the month ke bajaye personality of the week ho to ziada behtar he. Koi zaroorat nahi he aisay threads ko puray month ke liye sticky kerne ke :donno:

                        Is ke ilawa kuch achay threads hein jin ko sticky kerna chahiye aap loogon ki un threads per nazar he nahi perti. Aisy topics jo though provoking hotay hein, achay threads ko aap promote karo gay to loogon ke zehan mein aik kuch acha likhnay ka bhi concept develop ho ga.

                        These are the suggestions from my part. Take it in positive sense.

                        Pehla thread waqiyey team ki ghaflat hai keh abhi tak unstick nahin kiya geya, kuchh baton per mujhey bhi afsos tha keh kuchh threads main ney unstick kiyey hain. Accepted.

                        Doosrey thread sey mujhey aap ki soch sey itfaaq nahin, mera to khiyaal hai keh rules har thread mein laganey parrein gey kyun keh ham log rules parhney sey pehley hi apni baat karney key aadi hain - main to soch raha hoon keh Rules key thread FORCED READ kar doon once a month!

                        Teesrey thread key liyey bhi aap ki apni soch hai, jis sey main itifaaq nahin karta - yeh poorey month ka thread hai. Aik din chaley do din chaley - rules are rules :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Attn Mods

                          Originally posted by La'hasil View Post
                          Hmmm Lekin Personality Of The Month Ki Time Limit hoti hai Aik Week Baad Us Ko Neechay kar Diya Jata hai

                          Aur Hazri Reg Ki Wahaan Members Regular hain Jab Nahin hon gay Tab kar diya Jay Ga

                          Aur Quaid-e-Zawabat ki tu Wo New Members kay liye hain New Members ko Rules Maloom nahin hotay
                          kahin tum sooch ke to nahi aai ke tum ne meri her baat ki nafi kerni he, chahay meri baat sahi ho ya ghalat :donno:

                          Kitni fazool si logics di hein tum ne. Personality of the Month ko tum week baad hata deti ho :khi:kia ho gaya he tumhein, tabiyat to theek he na tumhari :donno:

                          Hazri register koon sa bara acha thread he jo sticky kia hua he aap loogon ne, yeh January ke initial 10 din ke liye kaafi tha, itna lamba sticky kerne ka kia maksad he, aur is tarah ke threads to gupshup ki bajaye fungama mein honay chahein :na:

                          Quaid-o-Zawabat ka threads jo loog new registration kerwatay hein aur jub wo first time kisi section mein aatay hein to un sections ko open kerne se pehlay wahan is ka display hona chahiye, ya aik auto window honi chahiye new members ke liye.
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Attn Mods

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            :fuming: :fuming: :fuming:

                            Apni nalaiq team ko samjanay ki bajaye hud daant nikaal rahay ho.

                            Ager tum nahi samjaoo gay to mein bhi aaj bataye deta hoon, ager tumhari team sudhari na to phir muj se bhi acha aur koi nahi ho ga :na:
                            Meri jaan meri khala jaan :kr:chulhey sey zara neechey utar kar betho mehfil jal jaey gi :lol - yaar itna serious kyun ho jatey ho - main ney tumhari baat ko aaj pehli baar zindagi mein dil sey liya hai - ab yeh na samajhna mujhey tum sey ISHQ ho geya hai - yeh main kisi aur per chhorr deta hoon :eye:
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: Attn Mods

                              Originally posted by Masood View Post
                              Pehla thread waqiyey team ki ghaflat hai keh abhi tak unstick nahin kiya geya, kuchh baton per mujhey bhi afsos tha keh kuchh threads main ney unstick kiyey hain. Accepted.

                              Doosrey thread sey mujhey aap ki soch sey itfaaq nahin, mera to khiyaal hai keh rules har thread mein laganey parrein gey kyun keh ham log rules parhney sey pehley hi apni baat karney key aadi hain - main to soch raha hoon keh Rules key thread FORCED READ kar doon once a month!

                              Teesrey thread key liyey bhi aap ki apni soch hai, jis sey main itifaaq nahin karta - yeh poorey month ka thread hai. Aik din chaley do din chaley - rules are rules :)
                              Shuker he mera aik point to maana :tauba

                              whereas second thread, to i think tum ne pata nahi yeh idea tanziya diya ya jo bhi, mujay yeh idea pasand aaya tumhara. yeh acha idea he force read ka but once in a month. Sections mein un threads ki jagah honi chahiye jo section ki soul ko meet karein.

                              Interview ko ager aik month ke liye sticky karein to baat kuch samaj mein aati he. Aap loog wo threads sticky kerte ho jis mein loogon ki dilchaspi bohat kum hoti he. Members ki dilchaspi kin threads mein ziada he, ya kin threads mein acha potential he, aap unhein promote ker saktay hein.

                              Yeh meri suggestions thein. Aap loogon ke kaan mein baat daal di, aap is pe amal karo na karo, mein ne apni taraf se apni responsibility pori ker di
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X