Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

    اسلام علیکم پیارے پیارے پیغام ساتھیوں۔
    میرا آپ سے ایک سوال ہے۔کہ انسان جو سوچ سکتا ھے وہ کر سکتاھے

    کیا آپ کو اس فقرے سے اتفاق ھےاگر ھے تو کیوں اور اگر نھیں تو کیوں

    I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani



  • #2
    Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

    hota wahi hai jo qismat main hota hai lekan insan jo sochta hai agar us main himat hai tu woh ker sakta hai
    Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
    Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
    Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
    Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

    Comment


    • #3
      Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

      waalaikumasalam...
      yes. ofcourse... banda jo chata hai wohi usey milta hai...aur jo woh sochta hai woh ker sakta hai... hume tu is baat per pakka yaqeen hai... aur famous quote bhi tu hai... "where there's a will there's a way".. and really when you want something badly enough you can find the means to get it... :D:..
      bus thori si himmmat... bauaht sa sabar... dhair saari saari duaein aur Allah per pakke sacche yaqeen ki zaroorat hoti hai...:rose

      Comment


      • #4
        Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

        har dafa insan esa nahi kar sakta k jo soche us par amal bhi kar paey.sab qismat ki baat hoti he yani Allah ki marzi jis ke bina aik pata bhi nahi hila sakte ham:)

        Comment


        • #5
          Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

          Walaikumsalam

          Lagan sachi ho tu sab kuch ho jata hai. Jo na kar sakein wo amar ho jatay hain. Lekin kabi kabi insaan ki behtri kay lye kuch chezein badal di jati hain. Baqi yeh Qudrat kay raaz hain .
          Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
          Sadly, common sense is not very common..!!

          Comment


          • #6
            Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

            Sirf sochne se kuch nahi hota apni sochoon ko haqeeqat ka roop dene k liye himmat aur mehnat ki zaroorat hoti hai.....sochnay ko to hum janay kiya kiya soch lete hai lekin woh sab pana kabhi na mumkin to kabhi mushkil hota hai....jo mushkil hota hai woh mehnat aur himmat se mill jata hai lekin jo namumkin hai woh woh Khuda k haath mein hota hai agar hamari taqdeer mein hoga to millay ga nahi to kuch bhi karo woh khiyal sirf khiyal reh jaiga kabhi haqeeqat ka roop nahi payega
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

              Originally posted by CHAMPION_PAKISTANI View Post
              اسلام علیکم پیارے پیارے پیغام ساتھیوں۔

              میرا آپ سے ایک سوال ہے۔کہ انسان جو سوچ سکتا ھے وہ کر سکتاھے

              کیا آپ کو اس فقرے سے اتفاق ھےاگر ھے تو کیوں اور اگر نھیں تو کیوں
              Nice Question.....
              Inssann soochhtaa too bohhtt kuchh haii butt hotaa wahee haii joo Khudaa kooo Manzoorr hootaaa haiiiiiii......Insaan kee saree Khawhishatt pooree nahee hoo saktee shayydd issee cheezeezz kayy Lieyy Mirzaa Ghalib nayy Kahaa thaa .....
              Hazaroon Khawhishain aisee kehh harrr khawhishh parr Dam nikllayy
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment


              • #8
                Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

                Haan kyun nahin kar Sakhta Himmat Honi Chahiye Mushkilo'n Say Ghabrao Nahin Chattan Jitna Hosla Ho Qadam Jama kar Rakho Tu OFcourse Jo Chaho Gay Wo Pao Gay Aghar Tu MERAY RAB ko Manzor howa tu :)
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment


                • #9
                  Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

                  Originally posted by WASI ANJUM View Post
                  Sirf sochne se kuch nahi hota apni sochoon ko haqeeqat ka roop dene k liye himmat aur mehnat ki zaroorat hoti hai.....sochnay ko to hum janay kiya kiya soch lete hai lekin woh sab pana kabhi na mumkin to kabhi mushkil hota hai....jo mushkil hota hai woh mehnat aur himmat se mill jata hai lekin jo namumkin hai woh woh Khuda k haath mein hota hai agar hamari taqdeer mein hoga to millay ga nahi to kuch bhi karo woh khiyal sirf khiyal reh jaiga kabhi haqeeqat ka roop nahi payega
                  :rose

                  I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                  Comment


                  • #10
                    Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

                    Originally posted by CHAMPION_PAKISTANI View Post
                    اسلام علیکم پیارے پیارے پیغام ساتھیوں۔

                    میرا آپ سے ایک سوال ہے۔کہ انسان جو سوچ سکتا ھے وہ کر سکتاھے

                    کیا آپ کو اس فقرے سے اتفاق ھےاگر ھے تو کیوں اور اگر نھیں تو کیوں


                    kyun nahi karsaktay........ everything is possible in life if u put ur heart in it..... meinay CSS karnay ka socha tha aur mehnat ki CSS qualify kar gaya.... aur jo group ka socha tha vohi mujhe mila..... if u beleive in urself u can achieve whatever u think..... jese wasi anjum nay bahut khoob kaha k jo socho uss per amal bhi karo tu kaam banjata hai..... agreed.......

                    Comment


                    • #11
                      Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

                      Hazrat Ali ki aik quote hai k main ne "Allah ko apne iradoo'n ki shikist se pehchana hai"
                      or insan jo ooch sakta hai usko haqeeeqat ka roop b dey sakta hai is ki buhat sari examples invention or discoveries ki soorat mai hamarey samne hai .....or iski aik or little example ye hai k her koi bachpan mai apne liyay koi goal set kr leta hai k doctor banana hai ya engineer etc tu usko k liyay mehnut kero ap us goal ko achieve ker loo gay but if unfortunately u don't qualify tu is baat ko zindagee mout ka masla banaye baghair go for the altenate opportunity ....
                      INNOCENT DECEIVER:eye:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

                        yeh depend karta hai....
                        sochnay say hi sab nahin hota....practical approach kay sath plan karna chahiye......jo kuch bhi karna hai us kay liye her pehlo per soch kar khaas stratigy ko follow karna zuroori hai.....
                        bay shak jo qismat mein likha hai wohi hota hai.....lakin koshish tark kar kay qismat ko qosorwar nahin thehraya ja sakta.....Quran ki aik ayat ka mafhoom hai ....Insaan ko utna hi milay ga jitnay ki us nay koshish ki hogi.....
                        apni taraf say kaam ko mehnat aur zahanat say mukammal karain ....aur nataij ALLAH TALA per chor dain....tu kamyaabi zuroor milay gi...
                        :lpop:
                        You'll never fail if you never quit.....

                        Comment


                        • #13
                          Re: Insaan jo sochta hai wo kar sakta hai k nahi?????????????

                          gee han,

                          Comment

                          Working...
                          X