Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khushya'N

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khushya'N

    Asalam alaikum

    Kal mey ney aasman mey do jahaz deykhey aik landing ker raha tha iss liye wo kafi neechey tha aur uss sey aik kafi upoor perwaz ker raha tha aur dono jahaz hi do mukhtalif simmat mey they. BadloN mey aur halki halki sham ho rahi thi uss time wo itney payarey lagey key bey-ikhteyaar meyra dil chaha key her aik ko wo jahaz deykhaouN :$ leykin mey ney aeysa nahi kiya :D shayad iss liye key doosroN key liye ye itni khushi ka ba'iss na hoti.....jitni khushi mujhey hui waisey hi jaisey jab ham bachpan mey jahaz deykhtey to her aik ko deykhatey aur khush bhi hotey :D

    Leykin ab ham jahaz deykh ker itney khush kyun nahi hotey :donno:, Bachpan mey her choti si choti baat pey ham khush ho jatey they aur ab wo saari cheezeiN aeysi lagti heiN key ....bhala ye bhi koi khush honey wali baat thi :D

    Aap logoN ko nahi lagta hai key kabhi kabhi baRi baRi khushy'oN key hasool ya inteyzaar mey ham kitni hi choti choti khush'yaN nazar andaaz ker jatey heiN......

    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Khushya'N

    haan bilkul theek kehti ho ham wakai bari bari khusheyon ke leay choti choti si khusheyon ko nazar andaz karte rehte hen.wo baten jo hamen bachpan me khushi deti then wo ab nahi deten.lekin hamen kabhi kabhi in choti choti khusheyon ko zarur enjoy karna chaey.ya shaed ham ab bare ho gaey hen to esa karte huey darte hen:D:jese barish ke baad garhon me pani khara ho to mera bohat dil karta he us me paon marun bachpan me esa kia karti thi.abhi gari guzarti hon zor se pani ki awaz or us ka splash karna mujhe behad acha lagta he:Dsab mera mazak hi urate hen k kia bachgana harkat he :blush:lekin kar guzarna chaey kabhi kabhar:D

    Comment

    • #3
      Re: Khushya'N

      waalaikumasalam...

      LOl... innne maze ka nazara... hume MSN per aa ke kaih dete tu hum bhi enjoy kar lete... Lol...

      waise humare saath aisa koi masalah nahi... hum tu khoob khush rehte hain..:alhamd:... LOl... aap tu jaanti hi ho... :D...

      kisi hud tak yeh such hai ke log ab choti khushiyon ko aihmyat nahi dete.... pata nahi kya masalah hota hai unhe... ...

      per you see.. bloo... aaj hum sara din sirf aik wajah se khush khush rahe ke aaj market mein grapes aa gaye hain zyadah saare.... aur hum ne ammi se kaha tu woh le bhi aaye... ... aur hum ne angoor kha bhi liye.... :blush:...

      Comment

      • #4
        Re: Khushya'N

        Originally posted by ummid View Post

        sooo sweet:phool:bohat acha laga u ki choti si khushi jaan kar:D:

        Comment

        • #5
          Re: Khushya'N

          Buhat Achi baat kahi Bari Bari Khushiyo'n kay liye Choti Choti Khushiyan Nazar Andaz kar detay hian :) Shayeed Hum Khud ko BUhat Bara Mehsooos kartay hian Aur Un Choti khushiyo'n ko Ehmiyatnahin detay Halkey Dekha Jay tu Yeh Choti Choti khushiyan bhi tu Be'had Mushkil Se Milti hain Hamian :) Phir Inhein Hum Ignore kyun kartay hain hum :) Khud Ko Aqaal-o-Kul Janney Walay Yeh Nahin Jante Khud ko hi Mehroom kar rakha hai :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment

          • #6
            Re: Khushya'N

            Originally posted by hamzad View Post
            sooo sweet:phool:bohat acha laga u ki choti si khushi jaan kar:D:
            thanxx.... :blush:... yeh sub bus aise hi hai... kaihte hain khushyaan aap ke ird gird hi hoti hai bus unhe bolane ke liye bahanu ki sirhiyaan lagani parti hai.... hum bus wahi karte hain... and.. I... I tu have lots of reason to smile..:D: Allahmdullilah... :rose

            Comment

            • #7
              Re: Khushya'N

              Ham jahaz dekh ker khush is liyey nahin hotey keh ab hamein khof hai keh jahaz kahin hamari buildings mein na takra jaein :D
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Khushya'N

                Insaan ki khushi us ke andar hoti hay - jab us ka andar ka haal behter hota hay woh har cheez ko aik pur musarrat andaz main dekhta hay - jab insaan bachpan main hota hay to bilkul neautral hota hay(meri tarah :D) - ab yeh insaan pe depend krta hay ke us ke nazdeek kya khushi hay - jahan aap ne kaha ke hum bari bari khushyoN ke lye choti choti khushyaN nazar andaz kar dete hain to yeh baat bhi ooper wali baat se juri hay - dar'asal insaan janta hota hay ke us ne kya karna hay kya nai - yeh sab preplaned tareeke se woh karta hay - us ke bus main hota hay ke woh jis khushi ko chahe nazar andaz kar de aur jis pe chahe khush ho le - aik tarah se dekha jaye to jo khushyaN woh nazar andaz kar deta hay woh us ke nazdeek khushi nai hoti - keunke agar khushi hoti us ke nazdeek to woh usay nazar andaz na karta - yeh insan ki androoni halat hoti hay jo usay khush karti hay - aur us ke andar ka haal kese theek hota hay to jonhi koi aisa unsar ussay nazar aata hay to woh khush hota hay :)

                Yonhi Khush rehye - Amin
                Last edited by Yaaram; 2 February 2008, 04:57.
                Allah

                Comment

                • #9
                  Re: Khushya'N

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Asalam alaikum

                  Kal mey ney aasman mey do jahaz deykhey aik landing ker raha tha iss liye wo kafi neechey tha aur uss sey aik kafi upoor perwaz ker raha tha aur dono jahaz hi do mukhtalif simmat mey they. BadloN mey aur halki halki sham ho rahi thi uss time wo itney payarey lagey key bey-ikhteyaar meyra dil chaha key her aik ko wo jahaz deykhaouN :$ leykin mey ney aeysa nahi kiya :D shayad iss liye key doosroN key liye ye itni khushi ka ba'iss na hoti.....jitni khushi mujhey hui waisey hi jaisey jab ham bachpan mey jahaz deykhtey to her aik ko deykhatey aur khush bhi hotey :D

                  Leykin ab ham jahaz deykh ker itney khush kyun nahi hotey :donno:, Bachpan mey her choti si choti baat pey ham khush ho jatey they aur ab wo saari cheezeiN aeysi lagti heiN key ....bhala ye bhi koi khush honey wali baat thi :D

                  Aap logoN ko nahi lagta hai key kabhi kabhi baRi baRi khushy'oN key hasool ya inteyzaar mey ham kitni hi choti choti khush'yaN nazar andaaz ker jatey heiN......
                  a great post....... happiness is your birthright..... u r right there are a lot of small sweetnesses that we always ignore.....

                  Comment

                  • #10

                    tum bachpan maiN jahaz daikh kar khsuh hoti theeN :eye:, uff kitni purani baat batai hai :kr:, well xeni aaj kal pakistani bach'chay aisay nahe rahay , aaj he ka zikar hai, ma'badulat aaram farma rahay thay kay bahar say chotay chotay bachoN kay siasi narooN ki awaz aanay lagi :donno: awaz say lag raha tha kay woh khush hain :khi:
                    That's Enough...!!

                    Comment

                    • #11

                      Walikumas salam

                      so sweet....bilkul sahi kaha app ne....jab bachon ki tarhan kisi chuti si baat par khushi manatey hain tu wo dil se hoti hai...aur jab dil khush ho tu aur insaan ko kia chahiye...main bhi aksar apni nieces ke saath mil kar choti choti khushyan manati hoon aur khelti bhi hoon....aur meri iss care free enjoyment ko dekh kar meri ammi ko bhi khushi hoti hai...really is tarhan ke moqon par bara maza aata hai:khi:

                      Comment

                      • #12

                        Xenya kuri, aap ki kia baat he...kuch aisi he baatein mein he soochta hoon.

                        mein akser loogon se kehta hoon ke paisa Khushi ka meyaar nahi. Ager insaan khush he to wo paisay se bohat bari neemat he. Hum jese jese baray hotay hein, materialistic ho jatay hein. Hamari priorities badal jati hein, hamaray jism ka nazam, hormones tak badal jatay hein :khi:lehaza hamein yeh cheezein sooch ke tension nahi leni chahiye ke aisa kyoon hota he. Haan albata hamein yeh kooshish kerni chahiye ke chooti chooti khushiyoon ko right time pe cash ker lein, thats it :D
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Khushya'N

                          Originally posted by hamzad View Post
                          haan bilkul theek kehti ho ham wakai bari bari khusheyon ke leay choti choti si khusheyon ko nazar andaz karte rehte hen.wo baten jo hamen bachpan me khushi deti then wo ab nahi deten.lekin hamen kabhi kabhi in choti choti khusheyon ko zarur enjoy karna chaey.ya shaed ham ab bare ho gaey hen to esa karte huey darte hen:D:jese barish ke baad garhon me pani khara ho to mera bohat dil karta he us me paon marun bachpan me esa kia karti thi.abhi gari guzarti hon zor se pani ki awaz or us ka splash karna mujhe behad acha lagta he:Dsab mera mazak hi urate hen k kia bachgana harkat he :blush:lekin kar guzarna chaey kabhi kabhar:D
                          fantastic yara...ye to kafi mazzey ka kaam hai
                          Originally posted by ummid View Post
                          waalaikumasalam...

                          LOl... innne maze ka nazara... hume MSN per aa ke kaih dete tu hum bhi enjoy kar lete... Lol...

                          waise humare saath aisa koi masalah nahi... hum tu khoob khush rehte hain..:alhamd:... LOl... aap tu jaanti hi ho... :D...

                          kisi hud tak yeh such hai ke log ab choti khushiyon ko aihmyat nahi dete.... pata nahi kya masalah hota hai unhe... ...

                          per you see.. bloo... aaj hum sara din sirf aik wajah se khush khush rahe ke aaj market mein grapes aa gaye hain zyadah saare.... aur hum ne ammi se kaha tu woh le bhi aaye... ... aur hum ne angoor kha bhi liye.... :blush:...
                          lol ummid how cute....iss liye mey kehti huN key tum apney taur ki hi aik inssan ho :P

                          Originally posted by La'hasil View Post
                          Buhat Achi baat kahi Bari Bari Khushiyo'n kay liye Choti Choti Khushiyan Nazar Andaz kar detay hian :) Shayeed Hum Khud ko BUhat Bara Mehsooos kartay hian Aur Un Choti khushiyo'n ko Ehmiyatnahin detay Halkey Dekha Jay tu Yeh Choti Choti khushiyan bhi tu Be'had Mushkil Se Milti hain Hamian :) Phir Inhein Hum Ignore kyun kartay hain hum :) Khud Ko Aqaal-o-Kul Janney Walay Yeh Nahin Jante Khud ko hi Mehroom kar rakha hai :)
                          khawish bohot cute baat ki hai..... insaan hai hi itna na-shukra...choti choti khushyaN mil ker hi bohot saari khushiyaN aur bohot saari khushiyaN itself baRi khushi hoti hai
                          Originally posted by Masood View Post
                          Ham jahaz dekh ker khush is liyey nahin hotey keh ab hamein khof hai keh jahaz kahin hamari buildings mein na takra jaein :D
                          phir kam sey kam kaghaz key jahaz uRa ker khush ho saktey heiN.....wo building lag bhi jayein to unheiN kuch nahi ho ga :P
                          Originally posted by Yaaram View Post
                          Insaan ki khushi us ke andar hoti hay - jab us ka andar ka haal behter hota hay woh har cheez ko aik pur musarrat andaz main dekhta hay - jab insaan bachpan main hota hay to bilkul neautral hota hay(meri tarah :D) - ab yeh insaan pe depend krta hay ke us ke nazdeek kya khushi hay - jahan aap ne kaha ke hum bari bari khushyoN ke lye choti choti khushyaN nazar andaz kar dete hain to yeh baat bhi ooper wali baat se juri hay - dar'asal insaan janta hota hay ke us ne kya karna hay kya nai - yeh sab preplaned tareeke se woh karta hay - us ke bus main hota hay ke woh jis khushi ko chahe nazar andaz kar de aur jis pe chahe khush ho le - aik tarah se dekha jaye to jo khushyaN woh nazar andaz kar deta hay woh us ke nazdeek khushi nai hoti - keunke agar khushi hoti us ke nazdeek to woh usay nazar andaz na karta - yeh insan ki androoni halat hoti hay jo usay khush karti hay - aur us ke andar ka haal kese theek hota hay to jonhi koi aisa unsar ussay nazar aata hay to woh khush hota hay :)

                          Yonhi Khush rehye - Amin
                          Ameen aur apney views hamarey share kerney key liye thanks :rose
                          Originally posted by raafi View Post
                          a great post....... happiness is your birthright..... u r right there are a lot of small sweetnesses that we always ignore.....
                          bilkul .... aur ye chaar lafz bohot cute heiN ...."happiness is our birthright"
                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                          tum bachpan maiN jahaz daikh kar khsuh hoti theeN :eye:, uff kitni purani baat batai hai :kr:, well xeni aaj kal pakistani bach'chay aisay nahe rahay , aaj he ka zikar hai, ma'badulat aaram farma rahay thay kay bahar say chotay chotay bachoN kay siasi narooN ki awaz aanay lagi :donno: awaz say lag raha tha kay woh khush hain :khi:
                          Aap ko bachpan mey jahaz deykh ker kya lagta tha :P
                          uff waqai??? ho sakta hai wo koi siyasi game kheyl rahey hoN :d
                          Originally posted by Pakiza View Post
                          Walikumas salam

                          so sweet....bilkul sahi kaha app ne....jab bachon ki tarhan kisi chuti si baat par khushi manatey hain tu wo dil se hoti hai...aur jab dil khush ho tu aur insaan ko kia chahiye...main bhi aksar apni nieces ke saath mil kar choti choti khushyan manati hoon aur khelti bhi hoon....aur meri iss care free enjoyment ko dekh kar meri ammi ko bhi khushi hoti hai...really is tarhan ke moqon par bara maza aata hai:khi:
                          wow .... bhanji key sath kheylney ka apna mazza hota hai

                          khush raho
                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Xenya kuri, aap ki kia baat he...kuch aisi he baatein mein he soochta hoon.

                          mein akser loogon se kehta hoon ke paisa Khushi ka meyaar nahi. Ager insaan khush he to wo paisay se bohat bari neemat he. Hum jese jese baray hotay hein, materialistic ho jatay hein. Hamari priorities badal jati hein, hamaray jism ka nazam, hormones tak badal jatay hein :khi:lehaza hamein yeh cheezein sooch ke tension nahi leni chahiye ke aisa kyoon hota he. Haan albata hamein yeh kooshish kerni chahiye ke chooti chooti khushiyoon ko right time pe cash ker lein, thats it :D
                          good points sialkoty ..... aur aap sahih sochtey heiN :thmbup:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #14
                            Re: Khushya'N

                            aur Ainda sab ney jahaz deykh ker zaroor khush hona hai.....atleast aik smile hi sahih
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: Khushya'N

                              Originally posted by Xenya View Post
                              good points sialkoty ..... aur aap sahih sochtey heiN :thmbup:
                              Ager aap samajti hein ke me sahi soochta hoon to phir me kahon ga ke aap mere baray mein kitna sahi soochti hein....lolz
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X