Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

    Aslam-o-Alikum!
    Friends maine yeh forum ajj he join kia.
    Main sirf yeh kehna cahta hon ke aik Bhai sahib nai Bidat say bachain .. naam ka aik thread start kia hai gup sup main ke Quran Khawani kar ke Isal-e-Sawab karna ghalat hai.
    Tu aghar yeh Buri Bidat hai tu Ghilaf-e-Kaba kyon BIDAT nahi ?
    Hazrat Muhammad Mustafa (saw) ke Zaman-e-Aqdas main tu Ghilaf-e-Kaba nahi tha aur na hee Khana Kaba ko itna zyada Phelaya gaya tha ?
    Kia yeh Bidat nahi ? :donno:
    Bus iss sawaal ka jawab cahta hon. :cc:

  • #2
    Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

    Originally posted by Revolution View Post

    sorry no knowledge about this , neither read about this before

    lakin pir bi, kia ghalaf ko kisi ney part of islam kaha,
    kia ghalaf change kernay ko islamic rasam kaha
    part of deen kaha

    kia yeh kaha key baghir ghalaf key haj naeen ho ga etc etc

    ager esa kaha hay to yakeenan yeh kehna bidat hay
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment

    • #3
      Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

      Originally posted by tauruskhan View Post

      Kia Quran Khawani kar ke Isal-e-sawab karne ko kisi nai Mana kia ?
      Tum nai apnai Sawal ka jawab khudh he de dia.
      Samajdar ke liye ishara he kafi hai... :wk

      Comment

      • #4
        Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

        Originally posted by Revolution View Post
        Kia Quran Khawani kar ke Isal-e-sawab karne ko kisi nai Mana kia ?
        Tum nai apnai Sawal ka jawab khudh he de dia.
        Samajdar ke liye ishara he kafi hai... :wk
        sorry i am super duffff okey
        explain kareen plz

        baat to yeh hay mana us waka kia jata jab yeh hota Hazoor PBUH key zamaney main hoa hota ie is ko part of islam kaha jata
        islamic rasam

        Qool , Quran khawani for isaley sawab ko part of islam kaha jata hay

        Ghilaf ko kisi ney part of islam naeen kaha , as per my knowledge
        and na hi ghalaf change kernay ko islamic rasam

        ager kaha hay to yakeenan bidat hay
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment

        • #5
          Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

          Originally posted by tauruskhan View Post
          sorry i am super duffff okey
          explain kareen plz

          baat to yeh hay mana us waka kia jata jab yeh hota Hazoor PBUH key zamaney main hoa hota ie is ko part of islam kaha jata
          islamic rasam

          Qool , Quran khawani for isaley sawab ko part of islam kaha jata hay

          Ghilaf ko kisi ney part of islam naeen kaha , as per my knowledge
          and na hi ghalaf change kernay ko islamic rasam

          ager kaha hay to yakeenan bidat hay
          Isaal-e-Sawab ko kisi nai Islami rasam nahi kaha.
          Bhai tum Isal-e-Sawab nahi karte tu maat karo.
          Aur jo nahi karte tu jub woh martay hain tu unn ke baray main kuch logh yoon kehtay hain... Don't Mind!

          MAR GAYA MARDOOD NAH FATIYA NA DOROOD

          Comment

          • #6
            Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

            Originally posted by Revolution View Post
            Isaal-e-Sawab ko kisi nai Islami rasam nahi kaha.
            Bhai tum Isal-e-Sawab nahi karte tu maat karo.
            Aur jo nahi karte tu jub woh martay hain tu unn ke baray main kuch logh yoon kehtay hain... Don't Mind!

            MAR GAYA MARDOOD NAH FATIYA NA DOROOD
            kia app ney wo hadees perhi hay jo dosray thread ki first post hay

            second
            bahi bakeyada rasam kaha jata hay , and second is sey swab pohanchaya jata hay marhoom ko ( based on believe) swab is part of islamic believe

            bahi yahi to main keh raha hoon key ager main ghalat hoon to islah karo takey main bi shorow ker do
            main dua kerta hoon , fatiya perta hoon , lakin qool wagera sey ijtanab kerta hoon

            second according to ahadees , insan key kam sirf woi ayeh ga , jo us nay kia , dosra koi faida naeen pohancha sakta
            yeh bi contradict ker deta hay , kia naeen
            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

            Comment

            • #7
              Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

              Originally posted by Revolution View Post
              Isaal-e-Sawab ko kisi nai Islami rasam nahi kaha.
              Bhai tum Isal-e-Sawab nahi karte tu maat karo.
              Aur jo nahi karte tu jub woh martay hain tu unn ke baray main kuch logh yoon kehtay hain... Don't Mind!

              MAR GAYA MARDOOD NAH FATIYA NA DOROOD
              :) fatiya and darood both are duas , not transfering of swab
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment

              • #8
                Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                Originally posted by tauruskhan View Post
                :) fatiya and darood both are duas , not transfering of swab
                How can you say Fatiya and Darood both are not transfering of sawab ?
                Jub itnai itnai baray Awlia aur Ulama nai kaha thekh hai tu thekh hai kyon ki Allah ke walion ko koi dar nahi (Al-Quran)

                Comment

                • #9
                  Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                  no comments

                  Comment

                  • #10
                    Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                    Closed
                    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                    Comment

                    • #11
                      Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                      lakin pir bi, kia ghalaf ko kisi ney part of islam kaha,
                      kia ghalaf change kernay ko islamic rasam kaha
                      part of deen kaha
                      agar gilaf e kaba part of islam naheeen hy to kaya part of nusraniat hy?
                      k har sal ussay tabdeel karnay se pehlay khana kaba ko baqaeda ghusal diya jata hy aur phir gilaf tayar kiya jata hy jis par sonay k pani se ayat tehreer ki jateen hain aur phir baqaeda rasam k taur per hi usay har sal tabdeel kiya jata hy aur rasam kaya hoti hy wohi hoti hay na jo k aik moashray main baqaedgi se raiej ho aur ussy bar bar rpeat kiya jay?
                      kia yeh kaha key baghir ghalaf key haj naeen ho ga etc etc
                      moaf jikiye ga k aaj tak quran khani k kisi qail nay bhi ye naheen kaha k bagair quran khani k mayat ko sawab naheen pohncaya jaskta aur na hi hamara ye aqeeda hy.kionk hum quran khani ki mojuda shakal ko jaiez aur fiqhi aytbar se serf musthab yani acha samjhtay hain koi farz ya wajib naheen kehtay is liye jis ka dil chahay wo apny murdon kiliye kar lay aur jis ka je na chahay wo na karay
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment

                      • #12
                        Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                        Close karo yaar yeh topic..............................

                        Comment

                        • #13
                          Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                          kia app ney wo hadees perhi hay jo dosray thread ki first post hay
                          je bhai us hadeeth main serf ye bataya gaya hy k jab bhi koi insaan wafat paa jata hy to us ka apna amal karnay ka silsala khatam hojata hy yani phir wo khud koi aysa amal naheen karsakta k jis say us k apnay amaal namay main koi izafa ho magar teen cheezen aik ye k us ka ilam jis se log faida uthain yani ilme nafe ki koi kitab agar wo likh gaya ho to jitnay parh kar faida hasal kareen gay un sab ka sawab usay milay ga. us k bad sadqa jaria jaysay wo koi school ya madrisa banwa gaya ho tesra us ki aulaad jo k us k liye dua karay . ab mery bhai is hadeeth main ye kahan hy k us ki aulaad us kiliye serf dua hi karsakti hy magar quran parh kar dua naheen karsakti ? dua to karsakti hy magar us ki taraf se nafal namaz parh kar dua naheen karsakti ? dua to karsakti hy magar us ki taraf se haj kar k dua naheen karsakti? dua to karsakti hy magar us ki taraf se nafli roza rakh kar dua naheen karsakti? maray bhai ye jitnay bhi amaal main nay zikar kiye hain in sab ka ahdeeth se sabit hy k sawab miyat ki taraf se us k lawaqeen us ko pohnca saktay hain
                          second
                          bahi bakeyada rasam kaha jata hay , and second is sey swab pohanchaya jata hay marhoom ko ( based on believe) swab is part of islamic believe
                          jee sawab pohnchana islam hi ka hisa hy aur is par bayshumar dalil hain. phir kabhi fursat main arz karon ga.

                          bahi yahi to main keh raha hoon key ager main ghalat hoon to islah karo takey main bi shorow ker do
                          main dua kerta hoon , fatiya perta hoon , lakin qool wagera sey ijtanab kerta hoon
                          jee aap bila shuba dua bhi kiya kareen aur koi na koi acha amal maslan tilawat ya nafli roza ya sadqa ya degar amaal kar k sawab apnay murdoon ko pohcha sakty hain is ka koi munkar naheen seway us k jo k khud bidati ho.
                          second according to ahadees , insan key kam sirf woi ayeh ga , jo us nay kia , dosra koi faida naeen pohancha sakta
                          pehli baat ye hadeeth naheen balk quran ki ayat hy k insaan kiliye serf wohi hy jo k us ka apna amal hy ayat hy laisa lil insaan e illa ma saa.
                          aur ye ghalat fehmi is ayat ki ghlat interpatetion ki waja se hy ayat ka mani ye k kisi insaan par kisi dosray insaan k buray amal ka wabal naheen hoga har jan apna apna amal ka bojh uthanay wali hogi aur ye bhi quran hi ki ayat hy ko k us pehli ayat ki tafseer hy raha sawal aik dosray ko apnay naik amaal ka sawab pohnch sakta hy k naheen to us ka jawab bara asaan hy hy quran o sunnat aur ahadeeth mutwatira se ye baat serahat k sath sabit hy k aysa karna drusat hy aur sawab pohnchta hy bukhari ki mashoor hadeeth hy k jis ka mafhoom ye hy ALLAH KAMI BESHI MOAF FARMAY K hazrat abdullab bin saad ki walida fout hogaien to unhoon nay nabi kareem saw se arz ki k yarsool ALLAH meri walida fout hogaien main un k pass na tha k wo khuch wasiat karti kaya main un ki taraf se khuch karon k un ko faida ho to aap nay farmaya k han zaroor to unhoon nay us waqat aik kunwan khudwaya jis k khud rasool saw ny hazhi le umme sad keh kar tabeer kiya .choonk us waqat muslmanon ko pani ki tangi thi is liye wo behtreen sadqa tha
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #14
                            Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                            Originally posted by Revolution View Post
                            How can you say Fatiya and Darood both are not transfering of sawab ?
                            Jub itnai itnai baray Awlia aur Ulama nai kaha thekh hai tu thekh hai kyon ki Allah ke walion ko koi dar nahi (Al-Quran)
                            kia kabi tarjumay key sath perha hay
                            and transfering of sawab ka concept islam main hay hi naeen

                            insan ko usi ka hisab dena ho ga , jo us ney kia , na zeyada na kam
                            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                            Comment

                            • #15
                              Re: Ghilaf-e-Kaba BIDAT nahi kia ?

                              Originally posted by aabi2cool View Post
                              agar gilaf e kaba part of islam naheeen hy to kaya part of nusraniat hy?
                              kis ney kaha hay key yeh part of islam hay
                              main ney to kabi naeen suna key ager gilaf naeen ho ga to Hajj naeen ho ga
                              etc etc
                              ager kisi ney kaha hay to sorry meray knowledge main naeen hay
                              as per my knowledge is concern ager kaha hay to bidat hay yeh

                              k har sal ussay tabdeel karnay se pehlay khana kaba ko baqaeda ghusal diya jata hy aur phir gilaf tayar kiya jata hy jis par sonay k pani se ayat tehreer ki jateen hain aur phir baqaeda rasam k taur per hi usay har sal tabdeel kiya jata hy aur rasam kaya hoti hy
                              ager log is ko part of islam and islamic rasam kehtay haan to beshak yeh bidat hay , no doubt

                              wohi hoti hay na jo k aik moashray main baqaedgi se raiej ho aur ussy bar bar rpeat kiya jay?
                              rasam is different from islamic rasam , can't u understand the difference
                              moaf jikiye ga k aaj tak quran khani k kisi qail nay bhi ye naheen kaha k bagair quran khani k mayat ko sawab naheen pohncaya jaskta aur na hi hamara ye aqeeda hy.kionk hum quran khani ki mojuda shakal ko jaiez aur fiqhi aytbar se serf musthab yani acha samjhtay hain koi farz ya wajib naheen kehtay is liye jis ka dil chahay wo apny murdon kiliye kar lay aur jis ka je na chahay wo na karay
                              repetition
                              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                              Comment

                              Working...
                              X