Originally posted by Ms.Khan
View Post
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
! میرے والد رحمہ اللہ!
Collapse
X
-
Originally posted by wareesha View Postassalam o alaikum .
bhai hamen is bat ka bohat dukh hua aap apne valid e mohtaram ka akhri deedar na kar sakeALLAH rab ul izat unhein us muqam par zaroor po'ncha de'n ge jiska us ne apne nake bandon kesath vada kiya he .
aapki himmat or hosla mashALLAH se qabil e deed he:rose
bila shuba aap jesi olad hi validen k liye sadqa e jariya hoti he.
jazak ALLAh bhai ALLAh RAb Ul IZAT aap k liye asaniyan peda farmae(main)
bayshuk aap nay baja farmaya aur main aap k yahan par apnay jazbat ka izhar karnay par aap ka tehe dil se mashkoor hon .aur aap k aik aik lafz par dil se serf aik hi sada buland hoti hy aur wo hy AMEEEN ki sada.
ALLAH paak aap ko apni rehmat khas se barkateen ata farmay aur aap k waledain ka saya ta hashar bhi aap par qaim rakahy aur aap ko apnay waldain ka hamesha hamesha kliye farmanbardar banay ameen .:roseساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Originally posted by arshii4u View Postmeray main to itna hosla nahi hai kai our na hi himat hai kai pora par sakoon ,main abid kai abu ko personaly janta hoon mughay woh barhudar kaha kartay thay .main lafzoon main biaan nahi kar sakta kai chacha inayt kia thay .......... bus itna kai hamaray mohalah sai aik ALLAH ka naik bunda chala gia abid ki tarah mughay bhi yaqeen hai kai un ki magfirat ho chuki hai .ALLAH un kai dargaat buland farmai our ahlehana ko sabar our hosla dai ........is sai aahgay mugh main himat nahi hai kai kuch likh sakoonساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View PostIna lillah-e-wa-ina elahey rajeoon, aabid meri taraf say ma'zrat kay masrofiyat ki wajah say bar'waqt elm na ho saka, Allah'tala aap kay walid ko jan'nat-ul-firdous maiN jagah aata farmaiy aur aap ko yeh sadma himmat say jhailnay ki toufeeq ata farmaiy (Ameen)
aur aap k jazbat k izhar par main aap ka mashkoor hon aur aapki duaoon par ameen ki sada buland hy. jazak ALLAH:roseساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Originally posted by aabi2cool View Postmohtarm doc. sahab aslam o alykum :rose
mery pass alfaaz naheen hain k aap nay jin jazbaat ka izhaar kiya hy main un ka shukriya ada karsakon bus aap ki tamam baton par jazak ALLAH aur ameen hi kahoon ga .:roseya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
Abi-Bhai sahib .Assalam O alaikum !
yaqeen maniyay yeh dard wahi janta hai
Jiss per yeh sab guzar chuki ho. Abu ki judaai aur oss waqt
kum naseebi k khud ka wahan mojood na hona ..aur na hee
aakhri waqt ka deedar kar pana ..saari omer ki khalish hai
...yeh mein buhat achay se samjh sakti hoon kion k mein b
iss karb se guzri hoon ...Jab abhu dhabi mein eid ka din tha
aur pakistan mein chand raat bhai nay fone kar k yeh
khabar sunai...aur hamein pakistan k liyay flight nahi mil
saki thee, saari raat dubaai ...sharjha abudhbai har jagah
se fone kar k pata kartay rhay ; Magar eid ki wajh se sab
flights book theeN ...Mein chali tu gaii...magar wahan abu
jee nahi thay ...! jaisay mano hamaray sar se chatth oth
gaiii thee .
Aap ka dard ..k baray mein bass itna kahoon gee ..!
k Aap ki tehree go k mukamil nahi parh paaii mein ..
magar itna jana k aap mashaAllah Hoslay walay hein
Aur Allah Taalah Har haal mein shukar karnay
waloUn ko dost rakhta hai ..Beyshak ..
Allah taalah nay itnay naik Walid Sahib Ko
Zaroor Baukhsha ho ga.. InshaAllah O ameen! sum ameen
Hamein iss baat per shukar karna chahiyay jo mein khud ko
samjhaati hoon k janay kitni takleef mein rahay houn gay woH
Allah ko itna piyaar aya k mera banda ab mazeed takleef nahi seh sakta
Tu Onn ko apnay pass Bula liya..
Bila shak har cheez ki muddat makhsoos hai ..
magar hum loag har haal mein apnay piyaroun ko
apnay samnay deykhna chatay hein ..
aur yehi baat kasak ka ehsas
bharhaa deyti hai
K kash ...Hum wahan onn k pass hotay...
Laikin ..Alhamdolillah ..Wo jismani takleef se azad ho kar
apnay khaliq-e haqeeqi ko piyaray ho gay ..!
Hamein sabr karna hai aur bass dua karna hai ..
K Allah Jee ...Hamein Hamaray Walidein k liyay sadqa-e Jariyaa
Bana deyna ameen !
Allah taalah Walid Sahib Ko Jannat-ul Firdos mein Sawaleheen k sath
Jagah Aata karay ameen sum ameen ..!
aap k dukh mein barabar Shareek
GUL.
Last edited by Gul; 2 February 2008, 04:53.
Comment
-
Originally posted by Gul View PostAbi-Bhai sahib .Assalam O alaikum !

ye sun kar intihai dukh hua k aap k walid mohtarm bhi ab is dunia main naheen hain aur aap bhi bilkul isi tarah ki sortehal se guzarchuki hain INNALILAH E WINNA ALIHE RAJEOON.
baqi dear sister main aap k jazbaat ki qadar karta hon aur aap nay kitni bhi bateen likheen un sab par dil se dua nikalti hy .
aur bayshuk aap nay baja farmaya k ab mary walid har kisam ki takleef se azad hokar ALLAH ki bargah main hain NABI KAREEM SAW ki hadeeth ka mafhoom hy k momen ko kanta bhi chubey to us ko us ka ajar milta hy to mery walid sahab nay to 25 saal is bimari yani injaina se jang ki hy bohat takleef bardashat kartay thy wo hum sab minateen kar kar k thak gay thy k abu apna by pass karwa lain magar wo kisi ki na suntay thy mery baray bhai doctor hain wo bhi kitni bar arz kar chuky magr un ka aik hi jawab hota tha k jo paisay mery by pass par lagnay hain wo tum logon k kaam aajain gay aur khud itni takleeef bardashat karty thy ...................
ALLAH kareem un k darajaat ko buland farmay ameen.
aur akhir main aap k dili jazbat k izhar par aap ka tehe dil se mashkoor hon.:roseساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Originally posted by ASAD View PostInna Lillahay Wa Inna Elah e Raaj e oon
mery bhai aabid tumare tahreer par kar abe tak mery ankh main ansoo hain.. Allah pak tumy sabr day (ameen) me nay to jab tumy phone kia tha os waqt b os waqt b mery pass koe ilfaz nahe thy , aik to tumary piyary walid sahb ke hamesha k judae or dosry on k ahree dedaar sey mehroome,, bas yaar Allah tumy is imthaan main surhro kary,,
tumary abu jaan (Uncle Inayt ) Allah on ko janat ata farmya, me khud b on ke shahsyat sey boht mutasar thaa,, jab wo masted main hoty or jamat ka time hota to mera dil karta tha k main on k sath khara ho paoon.. Allah on k darjat boland farmya..(ameen)ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Originally posted by ASAD View PostInna Lillahay Wa Inna Elah e Raaj e oon
mery bhai aabid tumare tahreer par kar abe tak mery ankh main ansoo hain.. Allah pak tumy sabr day (ameen) me nay to jab tumy phone kia tha os waqt b os waqt b mery pass koe ilfaz nahe thy , aik to tumary piyary walid sahb ke hamesha k judae or dosry on k ahree dedaar sey mehroome,, bas yaar Allah tumy is imthaan main surhro kary,,
tumary abu jaan (Uncle Inayt ) Allah on ko janat ata farmya, me khud b on ke shahsyat sey boht mutasar thaa,, jab wo masted main hoty or jamat ka time hota to mera dil karta tha k main on k sath khara ho paoon.. Allah on k darjat boland farmya..(ameen)
I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani
Comment
Comment