Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

    JEE DOSTON aj main(BAKHTAWER) pahli baar ap sub k liye kuch lae hon,umeed karti hon k ap sub mery es silsilsy ko pasand karen gay...
    "MERI DAIRY KA AIK SAFHA"es may hum os din ki ap beeti likhen gay jo hmari zindagi may humaray liye bohat ahmiyat rakhta hay...chahay os din ko guzray saalon guzar chukay hon,laykin aj bhi wo din humay waisay he yaad hy,jaisay abhi kal ki baat ho..zinsgi insan ko bohat kuch dikhati hy,aur kbhi kbhi apnay honay ka ahsas bohat zabardust tareekay se dilati hy...zindgi may guzra hova koe pal khushyon se bharpor bhi ho sakta hy.aur anso'on se tarr bhi..ab apki marzi hy k ap yahan kya share krna pasand karen gay,
    "apni hansi....ya....apnay aanso.
    shuruaat main apnay ap se karti hon,ap sub se share karti hon apni dairy ka aik safha.!!!

    *****************************
    9APRIL 2006!
    Zindgi ka itna bhayanak chahra aj maine pahli baar dekha,kbhi scha na tha k aisa bhi ho sakta hy,IMRAN HAMAD(my fionsy)aj es dukh bhari dunya ko chor kar chalay gay han...aur such tu ye hy k wo mujhay chor kar chalay gay hn,mout bohat beraham hy,ye kisi ko nhe chorti,esay sirf apnay kam s kam hy,kisi ki khushi se esay koe matlab nhe hy,esay ahsas nhe hota k koe kisi ka kitna pyara hy,kisi ka beta,kisi ka bhai,aur kisi ki khushi....
    CHITHI NA KOE SANDES,JANAY WO KONSA DES
    JAHAN TUM CHALAY GAEY.
    EK AAH BHARI HOGI HUMNAY NA SUNI HOGI
    JATAY JATAY TUMNE HMKO AWAZ TU DI HOGI
    CHUPKAY SAY CHURA KR HATH,HM KESAY KAREN WISHWAS
    K,HAAN TUM CHALAY GAY
    KAHAN TUM CHALAY GAY!!!!!
    meray saray lafz gom ho gay han,kahan???shayad imran ahmad k aas paas he kahen kho gay hn,kuch samajh nhe aaraha k kya likhon.
    TUJHKO KIS PHOL KA KAFAN HUM DAIN
    TU JUDA AISAY MOSAMON MAY HOVA
    JAB DARAKHTON K HATH KHALI THY:rose
    ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
    NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

  • #2
    Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

    inna lilah wa inna aleh e raje oon.
    aap ki daira ka itna bheyanak safa parh kar bohat dukh hua:comfort:
    Last edited by aabi2cool; 25 January 2008, 14:36.
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment

    • #3
      Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

      well acha silsila hay aur ALLAH ap ko sbr dy ameen..

      waisy to meri life pori aik kitab hy kahan kahan sy share kron....

      Comment

      • #4
        Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

        hmmmmmmmmm!

        I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

        Comment

        • #5
          Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

          Originally posted by aabi2cool View Post
          inna lilah wa inna aleh e raje oon.
          aap ki daira ka itna bheyanak safa parh kar bohat dukh hua:comfort:
          too b likh na wo din jab apni hee jeeb sy rooti khai theee too ny wo bianak din yaad ker

          Comment

          • #6
            Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

            Inna lilah Wainna Aleh e Rajeo'on

            Allah Talah Un Ko Jannat MAin Jagah Dey Ameen

            :)
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment

            • #7
              Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

              wah wah ki kaha hai
              Mein Allah da malang
              my mobile no is 03008377221

              Comment

              • #8
                Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                Inna lilah Wainna Aleh e Rajeo'on
                app ki diary ke ye safa parh kar really dukh hua

                likin meri jaan gham bhulay bhoolty hain...zindagi thehrti nahi hai

                wesey main ne dairy likhni chor di hai
                in ghamoon ko tehreer karney se behtar hai kuch bhi na likha jaey
                aur zindagi ke khushgawar pal baghair dairy ke bhi yaad rehtey hain..:)

                khush rahein

                Comment

                • #9
                  Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                  Originally posted by Khalil View Post
                  too b likh na wo din jab apni hee jeeb sy rooti khai theee too ny wo bianak din yaad ker
                  chal nikal ja hun:slap:
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment

                  • #10
                    Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                    hmmmmm

                    Inna lilah Wainna Aleh e Rajeo'on

                    Allah Miyan ap k fiance ko janet ul firdos main jaga ata fermaiye..or ap ko saber....Ameen....

                    its all part of life...hasi, gum, khushiyan, dukh...yeh sab mil ker he zindgi banatay hain...so her tarhan ki situation ko face kerna he parta hai...i know mushkil hota hai..but jo kismat main lhika hota hai us ko koi badal nahi sakta..wo ho ker he hatna hota hai....

                    me dairy likhti hoon but only poetry..or kuch nahi......

                    Comment

                    • #11
                      Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                      seee reee us topic hay........................

                      Comment

                      • #12
                        Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                        Inna lilah Wainna Aleh e Rajeo'on ap ki diary ka aik safah parh kar bohat dukh hua Allah ap ko saber ata farmaey.ameen

                        Comment

                        • #13
                          Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                          Allah Miyan ap k fiance ko janet ul firdos main jaga ata fermaiye..or ap ko saber....Ameen....

                          Aslam o alykum shake tmana jee:rose
                          ALLAH paak k naam k sath lafz mian ka istimal jaiz naheen ye lafaz makhlooq k liye bola jata hy aur bari waja is ki ye hy k ye aik aysa lafaz hy jo k apnay mani k aytbar se is laiq naheen k ALLAH paak ki zaat par bola jay.
                          lehaza aap k tawasut se meri sab behan bhaion se guzarish hy k jab bhi ALLAH PAAK ka naam likheen to sath mian ki bajay paak ka ka lafaz likha kareen . jazak ALLAH
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #14

                            w salam

                            hmmmmmmmm

                            acha ji...ainda say khayal rakhon gi..me ko nahi pata tha...na he me nay kabhi suna hai ais ka....Thanks:rose

                            Comment

                            • #15
                              Re: "MERI DAIRY KA AIK SAFHA".by BAKHTAWER!

                              Originally posted by Khalil View Post
                              too b likh na wo din jab apni hee jeeb sy rooti khai theee too ny wo bianak din yaad ker
                              kis din ki baat khalil sahb abbhi nai kub apni jaib sai roti khai thi zara main bhi to sunoon our kounsay hotal sai khai thi....................
                              Dunya fani hai

                              Comment

                              Working...
                              X