Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pyare bachon ke gaal per thappar.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pyare bachon ke gaal per thappar.

    Kal raat ek dawat mein tha mein ek khatoon theen bari hi cartoon type ki :D:
    Unhon ne apne bachay ko khench kar lappar mara uski waja yeh thi usne juice floor per gira diya tha mera dost mere saat betha tha kehta hai lagta hai aunty ko bhi bachpan main baray paray honge badla bachay per nikal rahi hai. :kr:

    Khair bachon ko maarna chahiye? Don you think bachay maar kha kha kar dheet hojate hain? :cc:

    Apne views zaroor share kijiye

    Badi gundi dunya hai yeh...

  • #2
    Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

    mare khyal sy marna nahi dantna chaiy .

    Comment


    • #3
      Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

      Originally posted by Rai View Post
      mare khyal sy marna nahi dantna chaiy .
      :budhu: aur agar daant se bhi naa manain tu :budhu:
      Badi gundi dunya hai yeh...

      Comment


      • #4
        Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

        buri bat
        marna nahain chahiye is say bechay main bahut si buri aadat peda ho jati hain
        khas ker becha jhut bolnay legta hay tekeh mar say bach sekay
        becho ko to kai teriqon say samjhaya ja sakta hay
        peyar say,lalach say,khail khail say etc

        Comment


        • #5
          Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

          Originally posted by naveed iqbal View Post
          buri bat
          marna nahain chahiye is say bechay main bahut si buri aadat peda ho jati hain
          khas ker becha jhut bolnay legta hay tekeh mar say bach sekay
          becho ko to kai teriqon say samjhaya ja sakta hay
          peyar say,lalach say,khail khail say etc
          aap tu samjhdarri wali batain bhi kartain hain :D: .. good :thmbup:
          Badi gundi dunya hai yeh...

          Comment


          • #6
            Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

            kabhi kabhi aap kay sath mil ker kuch ulti sethi batain bhi to ho jati hain

            Comment


            • #7
              Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

              Originally posted by Shaka View Post
              Kal raat ek dawat mein tha mein ek khatoon theen bari hi cartoon type ki :D:


              Unhon ne apne bachay ko khench kar lappar mara uski waja yeh thi usne juice floor per gira diya tha mera dost mere saat betha tha kehta hai lagta hai aunty ko bhi bachpan main baray paray honge badla bachay per nikal rahi hai. :kr:

              Khair bachon ko maarna chahiye? Don you think bachay maar kha kha kar dheet hojate hain? :cc:

              Apne views zaroor share kijiye
              bacho ki tarbaiyat bari zemaydari ka kaam hy aur is main bohat se cheezon ka khas khial rakhna chaiye kionk bachay baray hassa hotay hain . mery khial main maar se ziyada bachon ko dra kar rakhna chaiye tak marnay ki nobat hi na aay aur agar kabhi koi aysi surat ban jay k bagair mar k kaam na chaly to kabhi kabar us par amal karlaynay main koi harj naheen laikin yaad rahay k wo maar aysi ho k jis ki shidat kum ho magar dar ziyada ho bachay ko is tarah bacha kharab naheen hota aur is tarah wo maar se bhi buch jata hy aur apni zid se bhi baz rehta hy magar aik baat ka khail rahay k agar kabhi bhi bachon ko mareen to monh par mat mareen monh par marnay se islam main mana kia gaya hy han kamar wagera par mar lain.
              Last edited by aabi2cool; 16 January 2008, 22:51.
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • #8
                Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                Buchay ko na maarna chahiye na drana chahiye, buchay ke ander buchpan se achai aur burai ka shaoor paida karo...ager bucha aap ki baat nahi maanta to aap yeh samaj lijiye ke kami aap mein he buchay mein nahi, kyoon ke aap buchay mein sahi shaoor paida kerne mein nakaam ho gaye hein.

                Mera nahi khyaal ke achi tarbiyat kerne ke baad buchay ko maar ya daant ki zaroorat hoti he
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Buchay ko na maarna chahiye na drana chahiye, buchay ke ander buchpan se achai aur burai ka shaoor paida karo...ager bucha aap ki baat nahi maanta to aap yeh samaj lijiye ke kami aap mein he buchay mein nahi, kyoon ke aap buchay mein sahi shaoor paida kerne mein nakaam ho gaye hein.

                  Mera nahi khyaal ke achi tarbiyat kerne ke baad buchay ko maar ya daant ki zaroorat hoti he
                  daranay se meri murad ye naheen thi k us ko bhoot ban k daraya jay:khi:balk ye thi k maar se ziyada us ko mar parnay ka dar ho . to bacha burai se baz rehta hy aur ye mera zati tajarba bhi hy.aur mery khial main daant aur kabhi kabar maar ka dar bhi achi tarbiat hi ka hisa hain.
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment


                  • #10
                    Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                    Originally posted by Shaka View Post
                    Kal raat ek dawat mein tha mein ek khatoon theen bari hi cartoon type ki :D:



                    Unhon ne apne bachay ko khench kar lappar mara uski waja yeh thi usne juice floor per gira diya tha mera dost mere saat betha tha kehta hai lagta hai aunty ko bhi bachpan main baray paray honge badla bachay per nikal rahi hai. :kr:

                    Khair bachon ko maarna chahiye? Don you think bachay maar kha kha kar dheet hojate hain? :cc:

                    Apne views zaroor share kijiye
                    Salamz to all
                    Bachon ki marna nahi chahiye....aur iss tarrhan ki situation main tu kabhi bhi nahi coz iss time bacha khud hi dar jata hai ke us ne ye kia kar diya... marne ke bajae piyar se samjhana chahiye..aur agar bacha na sunne tu dantna chahiye....in pubic iss se zada nahi karna chahiye..... mar se bachey dheet ho jatey hain...aur public embarrassment se bacha zidi ho jata hai.

                    Munda ji ne bilkul sahi kaha ke kami samjhane waley main hai...agar bacha baat nahi sunta
                    Aabi bhai ki baat bhi sahi hai...but bachey ko tanhai main marna chahiye... agar kabhi iss haad tak baat pohnchey...

                    wesey bahut se loog apni frustration aur embarrassment ka badla bachon par nikaltey hain...jo ke bilkul ghalat hai.... parents ko itna control hona chahiye ke bacha unki baat sunley

                    aur ghalti/mistake bhi koi chiz hoti hai....agar ghalti ho bhi gai tu Malesh

                    Comment


                    • #11
                      Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                      bacho ko marro tab bhi problem hota hai k vo inferiority complex yaa hard attitude apna letay hain lakin ziyada pyar karo phir bhi biggar jatey hain....... berhaal bahut muhtaat chalna parta hai......

                      Comment


                      • #12
                        Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                        Originally posted by raafi View Post
                        bacho ko marro tab bhi problem hota hai k vo inferiority complex yaa hard attitude apna letay hain lakin ziyada pyar karo phir bhi biggar jatey hain....... berhaal bahut muhtaat chalna parta hai......
                        :em: right

                        Comment


                        • #13
                          Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                          Pyaar Se Samjhao Kyun kay Bachay tu Pyaar Ki Hi Zuban Samjhtey haiN Maar Dant Say tu Wo Zidi Ho Jate hain :)
                          Zindagi Thak Gaye ..!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                            ishfaq ahmed ki book zaweya me aik wakia parha tha bachon ki batamizi or un ko samjhane se mutalik wo yad araha he or hansi arahi he:khi:ap bhi parheay ga kabhi :D:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Pyare bachon ke gaal per thappar.

                              Originally posted by La'hasil View Post
                              Pyaar Se Samjhao Kyun kay Bachay tu Pyaar Ki Hi Zuban Samjhtey haiN Maar Dant Say tu Wo Zidi Ho Jate hain :)
                              bilkul theek:thmbup:bachon k sath bacha ban kar unhen har baat samjhai ja sakti he:)

                              Comment

                              Working...
                              X