Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kya baat hai hamari!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kya baat hai hamari!

    Assalamo allaikum

    Kahan sey shuru karoon????

    Election 2008 mein kul 59 Parties ney apney kaaghzat jama karwaey hain!

    59!!!!!!

    Siraf Muslim League ki 15 Parties hain!!!!!!

    15 parties Muslim League ki! Farq kya hai in mein? Siraf chand haroof ka!! Siraf aik isi baat sey Pakistan ki problems ka ba'khoobi andaza lagaya jaa sakta hai.

    Bjaey iskey keh yeh 15 parties apna apna parcham buland kartin, apney ander aik common factor talash kartin aur phir us aik platform per jama ho jatin, to kya baat thi!!

    Magar shayid IQTIDAAR hamari gutti mein shamil hai. Internet per hi dekh lijiyey, bjaey log mil ker kaam karney key, har doosra bandah uth ker apna forum bnaa raha hai :kr:

    Magar ham log muntashir hain, jahan jiski soch doosrey sey aik ratti braber alag hui, usney apni party bnaa li - yehi haal ham log ISLAM ka kar rahey hain :)

    America jo ham sey kaii gunah bada mulk hai, wahan siraf 2 jumatein hain, yehi haan England ka bhi hai aur hamarey haan 59!!!!!

    Hamara to shayid ab Allah bhi Hafiz nahin :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Kya baat hai hamari!

    Originally posted by Masood View Post

    wese admin jii iss tarah ka raafi thread open karta tu aap yakeenan foran saddarti ordinance issue kar daytay...... :cc: aap ko yeh bhi nahi pata gupshup mein siyaasi guftgu mannah hai..... agar mein mod hota tu aap ki yeh thread delete kar kay PM kay through warning deta k iss tarah siyasi thread next time add na kiya karein..... lakin afsos ab kon mod admin ko challenge kare...... :lpop:

    Comment

    • #3
      Re: Kya baat hai hamari!

      Originally posted by raafi View Post

      :kr::kr::kr::kr:

      Yeh siyasi baat hai? Nahin yaar yeh to mehaz aik gup thi - kyun keh aaj kal aisi batein siraf gup hi lagti hain jis mein siyasat ka naam aaey - main ney socha Halaat-e-Haazira mein aisa thread dagney ki kya zaroorat hai - yeh to aaj kal hamari ragon mein andherey ki manind phaili hui siyahi hai, issey gup mein hi urra do :khi:
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: Kya baat hai hamari!

        Hum awam main se hi leader bante haiN - hum awam main se hi parties banti haiN - kis ko banda kahe kis ko na kahe - aap jante hi hain ke sab iqtidaar ke bhooke haiN - humare samne saamne sab wazeh hay to hum keu vote dete haiN - aap pakistan main hotay to soch rhe hona tha is waqt ke vote kisay doN :D:
        Allah

        Comment

        • #5
          Re: Kya baat hai hamari!

          Originally posted by raafi View Post
          wese admin jii iss tarah ka raafi thread open karta tu aap yakeenan foran saddarti ordinance issue kar daytay...... :cc: aap ko yeh bhi nahi pata gupshup mein siyaasi guftgu mannah hai..... agar mein mod hota tu aap ki yeh thread delete kar kay PM kay through warning deta k iss tarah siyasi thread next time add na kiya karein..... lakin afsos ab kon mod admin ko challenge kare...... :lpop:
          Siasat se sab ka dil uchaat ho gaya hay - isi wajah se sab is ko mazak samjhte haiN - Pakistan ki siasat bhi gahreeb awam ke sath ghanaona mazak hay:kr: - Halat-e-Hazira main serious disscussion hoti hay - wahan behas ki jati hay - aap dekhein to is thread main behas karne ke qaaabil koi cheez nai :kr:
          Last edited by Yaaram; 26 December 2007, 06:57.
          Allah

          Comment

          • #6
            Re: Kya baat hai hamari!

            Originally posted by Yaaram View Post
            Hum awam main se hi leader bante haiN - hum awam main se hi parties banti haiN - kis ko banda kahe kis ko na kahe - aap jante hi hain ke sab iqtidaar ke bhooke haiN - humare samne saamne sab wazeh hay to hum keu vote dete haiN - aap pakistan main hotay to soch rhe hona tha is waqt ke vote kisay doN :D:
            Beta ji yeh log hamarey beech mein sey nikaltey to zaroor hain, magar yeh khabees ooper jaa ker apni juu badal letey hain - aur phir jab chaar paisey haath aatey hain to apna zameer tak beechna shuru kar detey hain :tauba

            Haan main yehi soch raha hota keh DOON TO KISSEY DOON - ghalban phaarr ker phaink deta apna vote :D
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Kya baat hai hamari!

              Originally posted by Masood View Post
              Beta ji yeh log hamarey beech mein sey nikaltey to zaroor hain, magar yeh khabees ooper jaa ker apni juu badal letey hain - aur phir jab chaar paisey haath aatey hain to apna zameer tak beechna shuru kar detey hain :tauba

              Haan main yehi soch raha hota keh DOON TO KISSEY DOON - ghalban phaarr ker phaink deta apna vote :D
              Abhi kuch hi din ki baat hay meri mulaqat aik tehsil nazim se hoi - jo ke pichli baar PML Q ki tarf se hara tha - is dafa usay Q ne ticket nahi di election ki - to ji us ne faisla kya ke woh awam ka hamdard PPP main reh kar bane ga - agle hi din us ne PML Q ke khilaaf bayan dye:kr: ab kon kis ke sath hay - kon awam ka hamdard hay - ya hay bhi ke nai - pehchaan'na mushkil hay :cc:
              Allah

              Comment

              • #8
                Re: Kya baat hai hamari!

                mein pakistani siyasat se mayuus hochuka hoon jo bhi politics per koi baat karta hai mujhe gussa aata hai...... pata nahi kyun mujhe pakistani politics achi nahi lagti...... :)

                Comment

                • #9

                  :kr::kr:

                  Yeh un baratiyon wala hisaab ho geya beta, jo jahan tambuu dekhtey hain, wahan maduu kar letey hain khud ko :D

                  Let me tell you just in case - yahan DK mein aisa nahin hota, agar koi party kisi ko ticket na dey, to woh usi party mein rah ker behtar karney ki koshish karta hai, aur is koshish mein uski umer guzar jati hai :D
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Kya baat hai hamari!

                    Originally posted by raafi View Post
                    mein pakistani siyasat se mayuus hochuka hoon jo bhi politics per koi baat karta hai mujhe gussa aata hai...... pata nahi kyun mujhe pakistani politics achi nahi lagti...... :)
                    Arey yaar Pakistan mein POLITICS hai hi kahan? Wahan gun'point per vote liya jata hai, dandey dey zor per - Awwam bhairr'bakriyon ki tarha hain, jo jitni ziyada haank ley :D

                    • #11
                      Re: Kya baat hai hamari!

                      Originally posted by Masood View Post
                      :kr::kr:

                      Yeh un baratiyon wala hisaab ho geya beta, jo jahan tambuu dekhtey hain, wahan maduu kar letey hain khud ko :D

                      Let me tell you just in case - yahan DK mein aisa nahin hota, agar koi party kisi ko ticket na dey, to woh usi party mein rah ker behtar karney ki koshish karta hai, aur is koshish mein uski umer guzar jati hai :D
                      Many aik jagah parha hay ke DK main sirf 5 main parties haiN :D - may be woh log zameer parast hoN:) - Bus bhai aik jagah aa ke bat khatam ho jati hay - yeh log watan farosh haiN - awam ka khoon choosne wale - Iqtiddaar ke bhooke - paisay k lye kisi bhi ghareeb ka haqooq ko kuchalne se dareegh nai karte
                      Allah

                      Comment

                      • #12
                        Re: Kya baat hai hamari!

                        Originally posted by raafi View Post
                        wese admin jii iss tarah ka raafi thread open karta tu aap yakeenan foran saddarti ordinance issue kar daytay...... :cc: aap ko yeh bhi nahi pata gupshup mein siyaasi guftgu mannah hai..... agar mein mod hota tu aap ki yeh thread delete kar kay PM kay through warning deta k iss tarah siyasi thread next time add na kiya karein..... lakin afsos ab kon mod admin ko challenge kare...... :lpop:
                        :khi: nice shot

                        Comment

                        • #13
                          Re: Kya baat hai hamari!

                          Originally posted by Masood View Post
                          Arey yaar Pakistan mein POLITICS hai hi kahan? Wahan gun'point per vote liya jata hai, dandey dey zor per - Awwam bhairr'bakriyon ki tarha hain, jo jitni ziyada haank ley :D
                          kahan bhai - ab in ko itni mehnat karne ki zaroorat nahi parti - bari hi chikni chupri batein sunaiN gay - muflis log in ke jhansay main bohat jaldi aate haiN - un ka bhi koi kasoor nahi - woh har leader main apna maseeha dhoondte haiN - jo unhein ROTI, KAPRA, MAKAN jese sahoolteiN muhayya kare - taake woh bhi muashre main acha muqaam hasil kar sakeiN
                          Allah

                          Comment

                          • #14
                            Re: Kya baat hai hamari!

                            Originally posted by Masood View Post
                            :kr::kr:

                            Yeh un baratiyon wala hisaab ho geya beta, jo jahan tambuu dekhtey hain, wahan maduu kar letey hain khud ko :D

                            Let me tell you just in case - yahan DK mein aisa nahin hota, agar koi party kisi ko ticket na dey, to woh usi party mein rah ker behtar karney ki koshish karta hai, aur is koshish mein uski umer guzar jati hai :D
                            yahan bhi behter kerna ki koshish kerta to hain, haan yeh alag baat hai keh mulk ko na sahi khud ko hi sahi:kr:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Kya baat hai hamari!

                              Originally posted by raafi View Post
                              mein pakistani siyasat se mayuus hochuka hoon jo bhi politics per koi baat karta hai mujhe gussa aata hai...... pata nahi kyun mujhe pakistani politics achi nahi lagti...... :)
                              Raafi aap ka yeh hak hay - humarey leader isi qaaabil haiN - inhoN ne kesi siasat ki - mujhe bohat afsos hota hay - awam ko apne hak main na kar sake - behtri ki jaanib keu na gamzin hoe - iqtidaar ke nashe main mulk ka mufaad bhool gaye - haye sad afsos - in logoN ne ghareeb awam ke votoN ko seerhi ke tor per istemal kya - aaj yeh moka aa gaya hay ke humare bhai dost, rishtedar, awam kehte hain ke woh pakistan ki siasat se mayoos ho chuke haiN
                              Allah

                              Comment

                              Working...
                              X