Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap kiya faisla karainge?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Aap kiya faisla karainge?

    bhai zindegi aap ko guzarni hay .is ka faisla bhi aap ko kerna chahiye.waldain to apni guzar chukay.laken akser waldain apnay bechon kay hasse ki zindgi bhi guzarna chahtay hain.aur ye samjhtay hain keh wo apnay bechon kay haq main behter fisla ker rehay hain.
    ferz kertay hain keh waldain ki zerzi ki shadi h lati hay aur wo nakam hoti hay to aik ghalti ho aap kay khelaf hoi hay us ka zema dar aap waldain ko thehrain gay.
    laken ager wo hi ghalti aap khud kertay hain to aap ko itna afsos nahain ho ga
    jesay kehtay hain keh na khelnay say behter hay khel ker har jao.ye bhi to ho sakta hay keh aap jeet jao.

    Comment


    • #17
      Re: Aap kiya faisla karainge?

      Originally posted by chalakie View Post
      :khi:
      Last option sab say best hay:blush:

      magar agar koi desert main rehta ho' jahan paani ki kami ho' to' uskay liye problem hojaye gii na:(
      nak debonay kay liye to her jega mil jata hay

      Comment


      • #18
        Re: Aap kiya faisla karainge?

        Originally posted by Shaka View Post
        Ek sawal kar raha hon

        Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

        Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?
        karnaa kiaa haii kuchh bhee naa karrayy ..... yehh mohabbatt waghairaa waghairaa sabb topi Dramaa haii..main samjhtaa hoo aaj kayy iss door main mohabbatt kaa wajood mumkin hee nahee
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • #19
          Re: Aap kiya faisla karainge?

          Thanks for all the views. :)

          Waise yeh main apne baray main nahi ek dost ka masla lekar yeh sawal post kiya hai .. (for all those who think its for me)

          Aur main tu yeh sochta hon ke is duniya main sabse asaan rishta bana na konsa hota hai bhala ?? Sabse asaani say mil jata hai jaise kisi ko bhai keh loo wo dil say bhai ban jata hai behan bana lo .. dost ho ya biwi sab kitne baar mil jatay hain :D

          Lekin maa aur baap aisa rishta hai jo kabhi nahin ban sakhtay wo pyaar wo dard jo maa baap kay dil mein apne bachon ke liye hota hai wo kabhi kisi surat nahin mil pata
          Maine tu apne dost ko yeh bola hai ke foran parents ki baat maan jana acha hai duniya aur akhrat dono mein sukooooooooooon. :D
          Badi gundi dunya hai yeh...

          Comment


          • #20
            Re: Aap kiya faisla karainge?

            well well well - sab ne apne apne comments dye aur phir bhi yeh masla hal talab hay -
            main aap ko apna batata hoN
            many apne pyar ko chuna - aaj mera pyar meri bv hay - aur waldein bohat khush hain - sab ALLAH pe yakeen ka nateeja hay - main duaoN main apne waldeiN aur pyar ko mangta tha -
            Shukar hay ALLAH ka :)
            Allah

            Comment


            • #21
              Re: Aap kiya faisla karainge?

              Good Adnaan Bhai ..aap nay tu ek panth DO kaaj wali baat ki :D: MaShaAllah!

              Comment


              • #22
                Re: Aap kiya faisla karainge?

                Originally posted by Shaka View Post
                Ek sawal kar raha hon
                Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

                Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?


                mEra khiyal hai bohat kum itna hota hai k jis ko aap chahein wo aap ko mil ja-ay ....and mostly parents against hee hotay hein ...Kion k wo behar Haal Ziyada Experienced hotay hein , behtar samjhtay hein....Agar aisi koi situation Ho tu I think k Sha-oor ko hath se nahi janay deyna chahiyay ..!aur Cool minded .. ho K ....Parents ko samjhana chahiyay .. nahi tu ..Khud samjh leyan chahiyay aur agar maloom ho k parents kaisay hein means k kabhi wo aap ki baat nahi manein gay tu ...aisa koi faisla nahi leyna chahiay ...Jo emotionally baad mein takleef puhanch-ay ..Bass itna hee :blush:

                Comment


                • #23
                  Re: Aap kiya faisla karainge?

                  Originally posted by Gul View Post
                  Good Adnaan Bhai ..aap nay tu ek panth DO kaaj wali baat ki :D: MaShaAllah!
                  ji aapi - baat aa ja ke ALLAH pe kitna yakeen hay - yaahan khatam ho jati hay :)
                  Allah

                  Comment


                  • #24
                    Re: Aap kiya faisla karainge?

                    agar koi larki pasand a jaye tou oos say love ki bajaye mangni yah shaadi ker lo aur phir pyaar karo:kr:na koi tension na koi rola:kr:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Aap kiya faisla karainge?

                      Originally posted by Shaka View Post
                      Ek sawal kar raha hon

                      Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

                      Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?
                      Ghar walon ki baat man lo .... khud bhi khush raho aur dooosron ko bhi rakho...i m experienced in this matter
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: Aap kiya faisla karainge?

                        Originally posted by ummid View Post
                        LOl... best option yeh hai ke shaadi hi na kare... na parents ki pasnd na khud ki pasnd... :lpop:aur ager akele nahi rehna tu apni pasnd ke saath bhaag jana chahiye... shaadi kar leni chahiye aur baad mein parents ko aa ker mana lena chahiye.:lpop:..aur hmmm...agetr yeh bhi nahi aur ager parents kuch zyadah hi emotinally presurise karein tu jis larki ya larke ko unho ne pasnd kiya hai usey sub such such baat dena chahiye...:lpop:.. aur ager yeh bhi na kar sake tu chilo bhar paani mein doob marna chahiye... :lpop:..
                        :tauba


                        oey is ki baton main mat aana yeh zara khiski hoee hai
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: Aap kiya faisla karainge?

                          Originally posted by sccorpion81 View Post
                          :tauba


                          oey is ki baton main mat aana yeh zara khiski hoee hai
                          say something new...:blush:

                          Comment


                          • #28
                            Re: Aap kiya faisla karainge?

                            Originally posted by Shaka View Post
                            Ek sawal kar raha hon

                            Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

                            Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?
                            esi surat me shadi karni hi nahi chaey

                            Comment


                            • #29
                              Re: Aap kiya faisla karainge?

                              Originally posted by hamzad View Post
                              esi surat me shadi karni hi nahi chaey
                              lay ik hor aaaiey a...:tauba
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: Aap kiya faisla karainge?

                                Originally posted by ummid View Post
                                say something new...:blush:
                                yani yeh sab ko pehle hi pata hai???
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X