Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap kiya faisla karainge?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aap kiya faisla karainge?

    Ek sawal kar raha hon
    Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

    Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?


    Badi gundi dunya hai yeh...

  • #2
    Re: Aap kiya faisla karainge?

    meray khayal mein gher walon ki baat man leni chaiye.wo bhi acha hee sochtay hain hamaray baray mein.
    sochtay hain tujhay wazoo ker k
    yun tera ehtaram kertay hain:)

    Comment


    • #3
      Re: Aap kiya faisla karainge?

      Originally posted by **NISHA** View Post
      meray khayal mein gher walon ki baat man leni chaiye.wo bhi acha hee sochtay hain hamaray baray mein.
      AgR gher walay ek 18 saal ki larki ki shadii ek 40 saal ke aadmi se kar rahay hoN tu karleni chahiye na us larkii ko Shadii?
      Badi gundi dunya hai yeh...

      Comment


      • #4
        Re: Aap kiya faisla karainge?

        Originally posted by Shaka View Post
        AgR gher walay ek 18 saal ki larki ki shadii ek 40 saal ke aadmi se kar rahay hoN tu karleni chahiye na us larkii ko Shadii?
        well kiya parents aisa ker saktay hain:mm:
        aur ager aisa ker rahay hain to is k peechay yaqeenan un ki majbori ya prob ho sakta ai jis ka solution wo is tarah nikaal rahay hon.is liy parents ko samjhna chaiye k akhir wo aisa kiyun ker rahay hain aur ager jo prob ya majboori un ko der pesh hai us ka hal is k ilawa aur koi na ho to u n k faislay k aagay ser jhuka dena chaiye.kiyun k koi bhi waldain apni aulad ko jaan boojh k tabah nahin keraty
        ho sakta ap ko meri baat say ittafaq na ho
        but mera nazariya kuch aisa hee hai
        sochtay hain tujhay wazoo ker k
        yun tera ehtaram kertay hain:)

        Comment


        • #5
          Re: Aap kiya faisla karainge?

          Originally posted by Shaka View Post
          Ek sawal kar raha hon
          Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

          Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?


          aisi surat mai unhein apnay parents ko samjhana chaheye , bt agar pher bhi na maanay tu jahan parents kahay wahan shadi kar laini chaheye.....kyu kay parents apnay bachoo ke bhalaye he chahtay hai aur un kay akser faislay sahi hotay hai.........:)

          Awal tu jab pata tha kay parents ke marzi say he baad ko shadi karni ho gi.........tu pyaar he kyu kea.....:tauba :khi:
          Last edited by Wafa; 22 December 2007, 15:21.
          sigpic


          Comment


          • #6
            Re: Aap kiya faisla karainge?

            LOl... best option yeh hai ke shaadi hi na kare... na parents ki pasnd na khud ki pasnd... :lpop:aur ager akele nahi rehna tu apni pasnd ke saath bhaag jana chahiye... shaadi kar leni chahiye aur baad mein parents ko aa ker mana lena chahiye.:lpop:..aur hmmm...agetr yeh bhi nahi aur ager parents kuch zyadah hi emotinally presurise karein tu jis larki ya larke ko unho ne pasnd kiya hai usey sub such such baat dena chahiye...:lpop:.. aur ager yeh bhi na kar sake tu chilo bhar paani mein doob marna chahiye... :lpop:..

            Comment


            • #7
              Re: Aap kiya faisla karainge?

              agar kisi say pyar kartay ho tou phir sirf apnay dil ki suno ..parents ki aur kisi teesray banday ki sunnay ki zaroorat he nahi.:)..kisi ko beech rastay may chorna nahi chahiye..pyaaar karnay say pehlay he hum ko soach lena chahiyee k hamari rah may hazar rakawtay a skti hain .
              agar pyaar kia hai tou datay raho aur shaadi ker k choro chahay jo kuch marzi ho jaye no mauzrat no majboori.:eye:

              Comment


              • #8
                Re: Aap kiya faisla karainge?

                Pyar paany ka hi name ni ha...
                Pyar to ap apny parents sy bhi kerty ha na..to kia fer ap ak aasy person k liy jes sy ap ki chand din ki jan phanchan ha us k liy apny parents ko bhi chor dy gy..
                Yaad rakhy parents kabhi bhi apny bacho ka bura ni chaty..
                Ager wo person waqi ma apni passnad sy shadi kerna chata ha to apny parents ko many..or parents apny bacho ki khushi chaty ha ..so wo maan jay gy
                if koi pro ha or parents ni maanty to fer bas khamoshi sab sy bhater ha

                Comment


                • #9
                  Re: Aap kiya faisla karainge?

                  bas ak shair yaad aa gaya















                  kahte hai k pyaar man neend or jaati hia
                  hume b koe pyaar kare kambkhat neend bohat ati hai

                  wel na pyar k bare man etna janta hon na pata hai

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aap kiya faisla karainge?

                    best option is sab kuch allah par chor dein aur duaa kartey rahin.....
                    jo app ke haq main behtar hoga wo ho jaey ga
                    wesey duaa main bahut taqat hai

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aap kiya faisla karainge?

                      Originally posted by Shaka View Post
                      Ek sawal kar raha hon

                      Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

                      Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?

                      bas parents ki baat maan kar sara mamla Arrah per choar dena chahiye....wo behter karay ga....coz..aapki intention achi thi...:)
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aap kiya faisla karainge?

                        kuch kha nahi sakteen

                        I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                        Comment


                        • #13
                          Re: Aap kiya faisla karainge?

                          Originally posted by ummid View Post
                          LOl... best option yeh hai ke shaadi hi na kare... na parents ki pasnd na khud ki pasnd... :lpop:aur ager akele nahi rehna tu apni pasnd ke saath bhaag jana chahiye... shaadi kar leni chahiye aur baad mein parents ko aa ker mana lena chahiye.:lpop:..aur hmmm...agetr yeh bhi nahi aur ager parents kuch zyadah hi emotinally presurise karein tu jis larki ya larke ko unho ne pasnd kiya hai usey sub such such baat dena chahiye...:lpop:.. aur ager yeh bhi na kar sake tu chilo bhar paani mein doob marna chahiye... :lpop:..
                          :khi:
                          Last option sab say best hay:blush:

                          magar agar koi desert main rehta ho' jahan paani ki kami ho' to' uskay liye problem hojaye gii na:(
                          Finding truth - Finding love
                          These diamonds sparkle from lights above

                          Lorraine Venner

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aap kiya faisla karainge?

                            Originally posted by Shaka View Post
                            Ek sawal kar raha hon

                            Agar koi shaks kisi se piyaar karta ho aur us se shadi karna chahta ho, or ghar wale chahte heN k kahiiN or shadi ho.. ab agar ye shaks apne piyaar ki shadi karta he to walden naraaz or agar ghar walooN ki baat manta he to zindagi jahannam ban jaati hai.

                            Agar aisi surat e haal ho tu aap kiya faisla karainge?
                            shadi apni pasand se karo..... :lpop: pyar kiya tu darrna kia..... :lpop:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aap kiya faisla karainge?

                              Originally posted by raafi View Post
                              shadi apni pasand se karo..... :lpop: pyar kiya tu darrna kia..... :lpop:
                              lekin jinhooN ne hamein paal pos kar bara kiya......kiya un ko apnay mafadat
                              ki takmeel ki khatir chhor dena chahiye.......jo apnay waaldeen k sath wafa nahi kar sakta woh kisi k saath bhi sacha ur wafadaar nahi hai
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X