Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hamara Almiya - aik misaal!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hamara Almiya - aik misaal!

    Hamara almiya kya hai?

    Rameez Raja ko kabhi aap ney Commentary kartey suna hai? Nahin? To suniyey ga. International TV broadcasters sey char paisey ley ker is qadar anti-pakistani commentary karney ka aezaaz bhi inhein hi hasil hai.

    Yeh Hamara almiya hai keh Pakistani char paison key aagey apna eeman tak bech deta hai aur apney hi bhai per ungli uthaney sey bhi daregh nahin karta - faqat char paison ki khatir :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Hamara Almiya - aik misaal!

    well me ko waisay he nahi pasand rameez raja...so me kuch nahi kahon gi yahan....

    Comment


    • #3
      Re: Hamara Almiya - aik misaal!

      EMan ki kamzoryaN hain bhai Eman ki kamzoryaN :) Gairat naam ki koi chez in ke seenoN main nahi hay - Poocho to kehte haiN ke yeh humara profession hay :) La hula wala Quwwata
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Hamara Almiya - aik misaal!

        apun tu cricket nahi dekhta..... :)

        Comment


        • #5
          Re: Hamara Almiya - aik misaal!

          Hmmmm Yahaan Kis Kis Ki Jan Ko Ro Gay Tum Yahaan Har Jagah Yehi Alam Hai :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #6
            Re: Hamara Almiya - aik misaal!

            Originally posted by Masood View Post
            Hamara almiya kya hai?

            Rameez Raja ko kabhi aap ney Commentary kartey suna hai? Nahin? To suniyey ga. International TV broadcasters sey char paisey ley ker is qadar anti-pakistani commentary karney ka aezaaz bhi inhein hi hasil hai.

            Yeh Hamara almiya hai keh Pakistani char paison key aagey apna eeman tak bech deta hai aur apney hi bhai per ungli uthaney sey bhi daregh nahin karta - faqat char paison ki khatir :)
            maslan aap batana pasand farmain gay k akhir rameez raja sahab nay kaya gul khilaeen hy jo aap ko un ka imaan hi khtaray main nazar aanay laga:cc:
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #7
              Re: Hamara Almiya - aik misaal!

              awwwwww..... oh bhai... kabhi tu khush hojaya kijye.:comfort:.. her waqt hi almiyon ki baat karte hain.... kitne tragic hai aap....

              Comment


              • #8
                Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                Originally posted by aabi2cool View Post
                maslan aap batana pasand farmain gay k akhir rameez raja sahab nay kaya gul khilaeen hy jo aap ko un ka imaan hi khtaray main nazar aanay laga:cc:

                Phir sey kahoo ga keh unki commentary sunein aur us per ghaur karein - baqi batein aap ko khud samajh aa jaein gi :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                  haan hote hen ese bhi log ager is tarah ke log na hote to aaj hamare mulk ka ye haal na hota jo ab ho raha he:(

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                    Originally posted by Masood View Post
                    Hamara almiya kya hai?

                    Rameez Raja ko kabhi aap ney Commentary kartey suna hai? Nahin? To suniyey ga. International TV broadcasters sey char paisey ley ker is qadar anti-pakistani commentary karney ka aezaaz bhi inhein hi hasil hai.

                    Yeh Hamara almiya hai keh Pakistani char paison key aagey apna eeman tak bech deta hai aur apney hi bhai per ungli uthaney sey bhi daregh nahin karta - faqat char paison ki khatir :)
                    masood bhai itni tension mut lia karainnn...warna sir per jo arai baal hain woh be jatay rahain gay:kr:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                      Originally posted by Masood View Post
                      Phir sey kahoo ga keh unki commentary sunein aur us per ghaur karein - baqi batein aap ko khud samajh aa jaein gi :)
                      tu bhia un ki comentry to main sunta hi rehta hon us main mujhy to aysi koi baat nazar naheen aai jis bina par un ko zameer farosh ya watan farosh bhi kaha ja sakay che jayk log un k imaan per hi shuk karnay lgay:cc:
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                        main to itna hi khaonga ager yah char paisay app ko milay to app sab us say bhi agay hongay. yaar wo jo kuch bhi karay yah us ka right hain.. app sab us ko hi sahi kiyun mantay ho jo app ki ray kay mutabik ho aur jo against ho uskay khelaaf....
                        yah free world hain aur free hi sab ko rehnay day...........
                        adhay say zada pakistani pakistan chor kar bhagna chahtay hain aur baatein kartay be pakistani.........:cc: thanx
                        Last edited by D@y W@lk3r; 20 November 2007, 01:02.
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment


                        • #13
                          Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          tu bhia un ki comentry to main sunta hi rehta hon us main mujhy to aysi koi baat nazar naheen aai jis bina par un ko zameer farosh ya watan farosh bhi kaha ja sakay che jayk log un k imaan per hi shuk karnay lgay:cc:
                          Pehli baat to yeh keh main ney Ramiz Raja key liyey zameer farosh ya watan farosh ka koi lafz istimaal nahin kiya, aap phir sey post dekh saktey hain. Main ney kaha hai keh woh ANTI-PAKISTANI commentary kartey hain - aur ghalban unki ziyada tar commentary English mein hoti hai :p - main har match mein yeh baat sabit kar sakta hoon keh woh anti-pakistani commentary kartey hain.

                          Rahi baat zameer faroshi ki ya watan faroshi ki to Aabid bhai aap jantey hain keh in alfaaz key peechhey kya hai? Merey nazdeek apney mufaad key liyey jis tarha bhi apney watan key namoos ko khareedah jaey woh watan faroshi hai - jaisa keh Daywalker ney kaha keh AADHEY SEY ZIYADA PAKISTANI PAKISTAN CHORR KER BHAGNA CHAHTA HAI - aap bhi jantey hain keh is baat mein kitni sachaii hai - aur aap bhi jantey hain keh watan chhorr ker bhagney key kuchh tareeqey watan faroshi key mutradif bhi ho saktey hain :) Ghaur kijiye! :comfort:
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                            Salam ti all..... Masood sahab ne bilkul theek kaha hai...Ramiz Raja aksar Pakistan ke khilaf booltey hain aur bahut discouraging statements detey hain ....aur kafi baar dosrey commentrators ney Ramiz Raja ke comments ko contradit bhi kiya hai....unke muqabley main Waqar Yonus ney hamesh on tv paki team ke lian incouraging aur achey alfaz ke islemal kiya hai...chahey paki team lossing position main hi kiun na ho..... mera khayal hai Ramez Raja agar team ki tarif nahi kar saktey tu unko paki team ko discourage karney ka bhi haq nahi hai

                            Comment


                            • #15
                              Re: Hamara Almiya - aik misaal!

                              Originally posted by Masood View Post
                              Pehli baat to yeh keh main ney Ramiz Raja key liyey zameer farosh ya watan farosh ka koi lafz istimaal nahin kiya, aap phir sey post dekh saktey hain. Main ney kaha hai keh woh ANTI-PAKISTANI commentary kartey hain - aur ghalban unki ziyada tar commentary English mein hoti hai :p - main har match mein yeh baat sabit kar sakta hoon keh woh anti-pakistani commentary kartey hain.

                              Rahi baat zameer faroshi ki ya watan faroshi ki to Aabid bhai aap jantey hain keh in alfaaz key peechhey kya hai? Merey nazdeek apney mufaad key liyey jis tarha bhi apney watan key namoos ko khareedah jaey woh watan faroshi hai - jaisa keh Daywalker ney kaha keh AADHEY SEY ZIYADA PAKISTANI PAKISTAN CHORR KER BHAGNA CHAHTA HAI - aap bhi jantey hain keh is baat mein kitni sachaii hai - aur aap bhi jantey hain keh watan chhorr ker bhagney key kuchh tareeqey watan faroshi key mutradif bhi ho saktey hain :) Ghaur kijiye! :comfort:
                              lagta hy masood bhai aap nay bhi khalil wala kaam shoru kardiya hy yani post ko baghor pary bagair jawab dena ...main nay likha tha k......
                              tu bhia un ki comentry to main sunta hi rehta hon us main mujhy to aysi koi baat nazar naheen aai jis bina par un ko zameer farosh ya watan farosh bhi kaha ja sakay che jayk log un k imaan per hi shuk karnay lgay.
                              yani mujhy un ki coments main aysi koi baat nazar naheen aati k jisay zameer faroosh ya watan faroosh bhi kaha jasaky chejayk ... yahaan zoor bhi kaha aur chejaike par hy aur aap se behtar urdu dan bhala kon hoga jo k jumlay main kahan kis lafaz par zor hy aur ye na jan sakay .
                              mera kehnay ka to saaf matlab ye tha k serf pakistani team ya us ki creiket par tanqeed karnay se kisi ko zameer ya watan faroosh kehna to door ki baat aap nay to sedha sedha imaan par hi shuk kardiya aur ab main zara khul kar ye bata don k anti pakistan comentry karnay ka ye matlab hargiz naheen k banda imaan faroosh hogaya hy comentery karana rameez ki job hy aur agar wo pakistani team main koi kami dekhty hain aur us ki nishandehi kartay hain to serf is bina par unheen itna bara ilzam dena ko wo imaan faroosh hain ye hargiz munasab naheen . main yahaan ye bhi wazy kardon k rameeez mary koi pasandeda comentator bhi naheen laikin jo baat ghalat hy wo ghalat hy chahay wo main kahon ya aap? main aap se ye arz kiya tha k aap ny bagir soobt k aik banda par itna bara ilzaam laga diya k us k imaan par hi shuk ka izhaar kardia ye munasab naheen hosakta hy us nay kabhi pakistan ki team par shadeed tanqeed ki ho pakistan ki criecket par shaded tanqeed ki ho nizam par tanqeed ki ho laikin is ka ye matlab hargaz naheen jo aap log akhaz kar rahay hain..
                              aur mazay ki baat ye hy k aap nay apny isi thred main pehlay aik cheez ki nafi ki hy aur phir usi cheez ka isbaat bhi kiya hy issy kehtay hain darogh go hafiza nabashid agay aap khud samjh dar hain...:tauba
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X