Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kiya beti ik booj hay?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kiya beti ik booj hay?

    baiti kabhi bhi kisi door main waldain par bojh nahain rahi. waaldain os say piyar aur shafqat kartay aa'ay hain. assal masla yah tha aur hai kah os ka aata kal gher'mahmfooz samjha jata raha hai. yah surat-e-hal aaj kay door main bhi mojood hai. shaed aatay kal main bhi rahay. yah eak rovaeya/rujhan hai jis kay liay kabhi kuch nahain kaha/kiya giya. es hawala say wase tanazar main mutwatar aur tasalsal say baat cheet hoti rehni chahiay. es mozo par ahbaab say guftagu ki estada ki jati hai

    :donno:BYE :donno:

  • #2
    Re: kiya beti ik booj hay?

    اگر یہ کہا جائے کہ بیٹی کو بوجھ نہیں سمجھا جاتا رہا تو یہ اصل حقائق سےنظریں چرانے کے مترادف ھو گا۔
    :donno:

    I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


    Comment


    • #3
      Re: kiya beti ik booj hay?

      ummmm i think aisa kehna chahye keh

      puranay zamanay k log zara baybaak thay is liye dankay ki chhot pay baiti ko bojh kehtay thay
      aur aaj kal k log [ ya maan baap ] zara waza darana rawaiya apnatay hain is liye us ko barahay raast bojh kehnay k bajaye aanay walay kal ka bahana sath laga letay hain .

      niways
      baiti kal bhi bichaari thi
      aaj bhi bichari hay

      kal bhi zinda dargor hoti thi
      aaj bhi zinda dargor hoti hay

      magar thori mukhtalif sorat main :)
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • #4
        Re: kiya beti ik booj hay?

        Originally posted by champion_pakistani View Post
        اگر یہ کہا جائے کہ بیٹی کو بوجھ نہیں سمجھا جاتا رہا تو یہ اصل حقائق سےنظریں چرانے کے مترادف ھو گا۔
        :donno:
        agreed
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • #5
          Re: kiya beti ik booj hay?

          Betio'n Say Kal Bhi Imtiyazi Salook hota Tha Aur Aaj bhi Haan Bus Tareeqa'kaar Badal Gaya hai :)


          Khuch Log Yeh Kehtay hain Betiyan Bojh nahin hoti haaN Un kay Naseebo'n Say Dar Lagta hai Ab baat ko Ghooma kar karo ya Seedhay Maghar Matlab aik hi niklta hai :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #6
            Re: kiya beti ik booj hay?

            Originally posted by La'hasil View Post
            Betio'n Say Kal Bhi Imtiyazi Salook hota Tha Aur Aaj bhi Haan Bus Tareeqa'kaar Badal Gaya hai :)


            Khuch Log Yeh Kehtay hain Betiyan Bojh nahin hoti haaN Un kay Naseebo'n Say Dar Lagta hai Ab baat ko Ghooma kar karo ya Seedhay Maghar Matlab aik hi niklta hai :)
            Yesss

            Baiti k janam say dar nahi lagta
            baiti k karam say dar lagta hay


            kuch is type ki baten sunni hain main nay bi:)

            kuch log to ba qaida rotay hain k baiti ho gai haq hawwww

            kesay bad naseb log hain
            baiti ko shafqat say palnay walon k liye RASOOL ALLAH [S.A.W.W] NAY APNI QURBAT KA WADA KIA HAY .
            us pay bhi inhen aqal nahi aati .
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • #7
              Re: kiya beti ik booj hay?

              ajkal to betyon ke sath bura saluk nahi hota jese pehle hota tha.ab to beto jitna hi betyan parhti hen bulke beton se zeada achi taleem hasil karti hen.lekin wo jo lahasil ne kaha na k un ki qisamt se dar lagta he to ye bat to he k jab beti ko piyar mohabat se paal pos kar jab aik ajnabi k hawale karte hen to parents tab darte to hen k najane kesa salook ho un ki beti se:donno:

              Comment


              • #8
                Re: kiya beti ik booj hay?

                Originally posted by Saira_abdul View Post
                baiti kabhi bhi kisi door main waldain par bojh nahain rahi. waaldain os say piyar aur shafqat kartay aa'ay hain. assal masla yah tha aur hai kah os ka aata kal gher'mahmfooz samjha jata raha hai. yah surat-e-hal aaj kay door main bhi mojood hai. shaed aatay kal main bhi rahay. yah eak rovaeya/rujhan hai jis kay liay kabhi kuch nahain kaha/kiya giya. es hawala say wase tanazar main mutwatar aur tasalsal say baat cheet hoti rehni chahiay. es mozo par ahbaab say guftagu ki estada ki jati hai
                agar society ka her farad apna ahtesaab kare aur hakook va faraz mein tawazan kaim karey tu yakeenan hamari zindgi usvay husna hazrad Muhammad (PBUH) ki khushbo se mehak uthay gi aur phir koi beti yeh sawal na karey gi k mein beti kyun????

                Comment


                • #9
                  Re: kiya beti ik booj hay?

                  :s
                  Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                  Sadly, common sense is not very common..!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: kiya beti ik booj hay?

                    booujh bana kay reakhian gay to booujh hi lagay gi pher :donno:
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #11
                      Re: kiya beti ik booj hay?

                      actually topic buhat hee acha hai ....buhat kuch kaha ja sakta hai....
                      MALE oriented society hai na ...iss liyay ....Beyti ko bojh samjhna inn ki majboori hai...
                      Beyti jis k piyar ka ehsaas maa baap ko hamysha oss ki shadi walay dino mein bhar jata hai waqi Amna wali baat k ....tarz badal kar keh diya jata hai naseeboun se dar lagta hai..yeh baat choonk buhat kahi jaati hai tu may b1% sahi b ho k beyti ko bojh nahi samjha jaata balkeh onn k naseeb se dar lagta hai...chalein bil farz hum maan b lein ..tu kia beytoun k naseeb ka inn ko pehlay se pata hota hai ..???? K onn k naseeb equally khatray mein par saktay hein agar khuda na khuwasta wo buri society ka shikar ho ja-ay ..!?? kia kehtay hein aap..............!

                      Comment


                      • #12
                        Re: kiya beti ik booj hay?

                        Betti booj hoti he














                        ager wo aap ki tarah bohat mooti ho :bhago:
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #13
                          Re: kiya beti ik booj hay?

                          beti boojh haii..!
                          aisa sirf sooch pr munhaisr hai..waisey main is baat sey agree nahi krtii ,kunk shayed na hi mujheykabhi samjha gaya hai na hi abb merey saath aisa kuch horaha hai or agr is baat ko is zumrey main laya jaraha hai k us ki jald az jald shadi kr di jati haii tu yeh tu humarey religion haii or maan baap ka fareeza hai k woh apni beetiyoo ko jald az jald achii jagah shadi kr dain is main yeh baat kaha sey agai k woh un k lya boojh hoti haii..shadi k fareezey ko boojh samjhna yeh ghalat baat hai or thora sa app apney app ko un maa baap ki nazar sey soochoo kal ko jub humari aulad hogii or woih bhi betii tu jo zamana chal raha hai us hissab sey kon aqlmand parents nahi chaian gey k izzat sey un ki beti ka gher abad hoo or woh ek respected life guzarey ..main yeh hrgiz nahi keh rahi hai k bian soochey samnjheyy betii bia'ah di jayee mager ek munasib proposla pr shadi kr dena koi ghalat baat nahi ,aaj kal kzamney k hissab sey larki ko taleem bhi dilwani chayea us ko hr trha k moqa dey mager us ki shadi k faisley k waqat larkiya yeh soochain k ji hum tu boojh hain isi lya woh aisa kra rhey hian yeh apney parents ki mohabt or khaloos pr shak wali baat hai.or haa is k ilawa yeh baat bhi such ahi k beti ek nazuk cheez hoti ahi tu us ki hifazat krk or ussey mehfooz zindagi deney ki agr parenst koshish krtey hain tu kya ghalat krtey hian
                          main kisi or ki nahi apni misal hi deti haii..HUm 05 sisters hian hum pathan family sey hain jin k barey main yeh mashoor hai k betiyoo ko woh izzat nahi detey jub k meri family main aisa kuch nahi ,merey parents ney humain hr trha ki tarbiyat or taleem k mawaqey dya..merey gher tu beta nahi thaa isi lya app keh saktey hian k humain koi comaprision nahi milaa but jaha betey hian meri family main wahan bhi barabari haii.is waqt merey father nahi...mainey 05yrs job ki hia but abb meri mother meri shadi kr rahi hai tu mujhey nahi aisa lagaa k woh is lya kr rahi hai k main un pr boojh hoo bulk mujhey achi trha ahsas haii k un ki position main main bhi hoti tu yehi krtii or aaj woh nahi karaingi tu un ko zayda mushkilat paish asakti hain..
                          my dear baat sirf sooch ki hai ..thora sa un ki postion ko smajhain woh itney ghalat bhi nahi lagain gey app ko.kisi farz ko anjam tak poohnchaneyt ka mutlab yeh nahi k boojh utara jaraahaa haii :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: kiya beti ik booj hay?

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Betti booj hoti he














                            ager wo aap ki tarah bohat mooti ho :bhago:
                            :) Buhat Umdah laga aap ka style :):):):)but aap bataein na kia waqi ?? beytiyaN ...maa bap per bojh hoti hein ?

                            Comment


                            • #15
                              Re: kiya beti ik booj hay?

                              actually topic buhat hee acha hai ....buhat kuch kaha ja sakta hai....
                              MALE oriented society hai na ...iss liyay ....Beyti ko bojh samjhna inn ki majboori hai...
                              Beyti jis k piyar ka ehsaas maa baap ko hamysha oss ki shadi walay dino mein bhar jata hai waqi Amna wali baat k ....tarz badal kar keh diya jata hai naseeboun se dar lagta hai..yeh baat choonk buhat kahi jaati hai tu may b1% sahi b ho k beyti ko bojh nahi samjha jaata balkeh onn k naseeb se dar lagta hai...chalein bil farz hum maan b lein ..tu kia beytoun k naseeb ka inn ko pehlay se pata hota hai ..???? K onn k naseeb equally khatray mein par saktay hein agar khuda na khuwasta wo buri society ka shikar ho ja-ay ..!?? kia kehtay hein aap
                              Bayti ALLAH paak ki naymate uzma hy aur bayti ko ahdeethe paak main rehmat se tashbih de gai hy aur KHUDA KI QASAM jo maray rasool epaak ki baat par zarasa bhi shuba kary wo momen naheen jab maray paak rasool saw ki paak zuban mubarak se ye nikla k bayti rehmat hy to kon keh sakta hy k bayti bojh hy.....
                              laikin hamary han aysa taswur kion paya jata hy aayey main aap ko us ki wazahat kardon...dekhiye beta aur beti dono hi ALLAH aap ki ata karda naymateen hain laikin in dono ki choon k sinf alg alg hy is liye khasoosiat bhi alg alg hain beta jo k mard hota hy wo fitratan qawee hota hy aur mard ki fitrat asar andaz hona hoti hy jab k beyti jo k sinfi nazuk hoti hy fitratan kamzoor hoti hy aur us ki fitrat asar pazeer hona hoti hy. ab choonk beyti nazuk sinf se taluq rakhti hy is liye man baap us k moamlay main ziyada hassas hotay hain aur us k mustaqbil ki ziyada fikar lahaq hoti hy baytay k muqablay main kion k un ko maloom hota hy k ye larka hy fitratan aqwee hy ye hallat ka muqabla bayti k muqablay main ziyada achi tarah karsakta hy jab k bayti zara nazuk hoti hy is ;iye man baap us k liye sakhat halaat ka taswur bhi naheen karsaktay .. bas issi souch ki wajha se logon main ye taswur jar pakar gaya k shyed bayti koi boojh hoti hy halnka aysa naheen hy bayti to aik lehaz se khush kismat hy k maan baap ki ziyada tawju aur ziyada fikar us kiliye hoti hy.....
                              mari apni aik beyti hy mara koi bayta naheen laikin khuda ki kasam mujhy pani bayti se jitna payar hy shayed hi kisi aur se ho rishton ki had tak ..bayti bohat ziyada careing hoti hy man baap ki ziyada qadar karnay wali hoti hy baytay k muqablay main....gharz ye k bayti aik aysi naymat hy k us ki ataa par ALLAH paak ka jitna bhi shukar kiya jay wo kam hy ....
                              serf bayti k sinfe nazuk honay ki waja se us ki fikar maan baap ko ziyada hoti hy is liye us tention ko shyed khuch log boojh ka naam day detay hain....
                              Last edited by aabi2cool; 12 November 2007, 12:55.
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X