Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

BeychaiNiiii....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • BeychaiNiiii....?

    salam all!!!

    Aaj key daur ko ham gahma gahmi ka daur to kehtey heiN leykin sath mey aap logoN ney ye baat note ki hai key ham hamesha jaldi mey hotey hein yani hamein her waqt hi kisi na kisi cheez ki jaldi hoti hai......aik waqt mey ham das kisam key kaam khatam kerney ka soch rahey hotey hein....leykin din key akhir mey??? iss sab hasil ???

    (wat we have at the end of the day!! ? )
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: BeychaiNiiii....?

    achha topic hai .
    hum soochhte hen k waqat ki raftaaar taiz hoo gayy mager hum ny khud ko donayvi kaamon me khud ko bara phansaa lyya ha..to kaam zyaada laagty hen aur waqat kamm ..
    lekin is tarhaa hamry adhyy kaam pending raah jatty hen ..aor kaam utnaa hii hoota haa jittni waqat kii raftaar hooti ha
    sigpic
    Dill Nasheen ho
    ...
    Dill kasheen ho ...

    Comment

    • #3
      Re: BeychaiNiiii....?

      Originally posted by Rameez View Post

      haan jaisey meyrey abhi pending mey perhey heiN :lol

      leykin hamein jaldi kis baat ki hoti hai .....kam pey kaam kerney ki ya kamoN sey farigh honey ki?? :mm:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: BeychaiNiiii....?

        hameein in doono mein sse kiisi baat kii jalddiii naii hotiii... ziaada kaam ker k bhi ukta jaty hein ..aur naa ker k bhii borr ho jatty heein

        bas yehi tou becheeni hai jo ab almost sabhii mein aa gai hai
        sigpic
        Dill Nasheen ho
        ...
        Dill kasheen ho ...

        Comment

        • #5
          Re: BeychaiNiiii....?

          Originally posted by Rameez View Post
          hameein in doono mein sse kiisi baat kii jalddiii naii hotiii... ziaada kaam ker k bhi ukta jaty hein ..aur naa ker k bhii borr ho jatty heein

          bas yehi tou becheeni hai jo ab almost sabhii mein aa gai hai
          aur iss ka hal??
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: BeychaiNiiii....?

            is kaa haal iss dooor meinn tou shaid hi milyy..kionn k humm saaab bb iss cheez kk aadii hoo chukyy hein ...auur yee iiss liyee bhiii haai kk dunyaaa herr paal taraqqiii kii ourrhh jaa raahi haaa ..toou huum bhii kucch kerrny kii tagoo doo meinn adhha kaam choor jaaty heein
            sigpic
            Dill Nasheen ho
            ...
            Dill kasheen ho ...

            Comment

            • #7
              Re: BeychaiNiiii....?

              Originally posted by Rameez View Post
              is kaa haal iss dooor meinn tou shaid hi milyy..kionn k humm saaab bb iss cheez kk aadii hoo chukyy hein ...auur yee iiss liyee bhiii haai kk dunyaaa herr paal taraqqiii kii ourrhh jaa raahi haaa ..toou huum bhii kucch kerrny kii tagoo doo meinn adhha kaam choor jaaty heein
              right :d

              leykin her cheez ka aik hal maujood hota hai......iss liye iss ka bhi hal maujood hai....ab aap socheiN key wo hal kya ho sakta hai :d
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: BeychaiNiiii....?

                haha ..pahly bateen aap ny haal sochh liaaaa???
                sigpic
                Dill Nasheen ho
                ...
                Dill kasheen ho ...

                Comment

                • #9
                  Re: BeychaiNiiii....?

                  Originally posted by Xenya View Post
                  salam all!!!

                  Aaj key daur ko ham gahma gahmi ka daur to kehtey heiN leykin sath mey aap logoN ney ye baat note ki hai key ham hamesha jaldi mey hotey hein yani hamein her waqt hi kisi na kisi cheez ki jaldi hoti hai......aik waqt mey ham das kisam key kaam khatam kerney ka soch rahey hotey hein....leykin din key akhir mey??? iss sab hasil ???

                  (wat we have at the end of the day!! ? )
                  kuch din pehle aik kitab me parha tha k qayamat ki nishanion me se ye bhi aik he k waqt tezi se guzre ga or esa is leay he k waqt me se barkat khatam ho gai he warna waqt to wohi he bas ham hi esa sochte hen k waqt kam he or dher sare kaam abhi rehte hen.jab se ye baat parhi he me Allah se dua karti rehti hon k Allah is me barkat dale.or din ke akher me to yehi soch hoti he aj kitne kaam reh gaey jo kal par utha kar rakh deay:)

                  Comment

                  • #10
                    Re: BeychaiNiiii....?

                    Originally posted by hamzad View Post

                    waqt tu nahi badalta waqt tu woh hi phele wala hai hum log badal gaye hain..:khi:

                    Comment

                    • #11
                      Re: BeychaiNiiii....?

                      hamzaad ki baat sahhiii haai ...yee baat iss liyee naaaii kahiii k heer kissi koo yee paataa b haai too woohi baaat dohhraany kii bajaayy ,,,kuuchh auur joo mummkinn sooch hooo..wwoo b kahiii jayeee

                      kittabeen too bharii parii heeen ..maageer hamaara kyyaa nazrriyaa haaa
                      sigpic
                      Dill Nasheen ho
                      ...
                      Dill kasheen ho ...

                      Comment

                      • #12
                        Re: BeychaiNiiii....?

                        Originally posted by Xenya View Post
                        salam all!!!

                        Aaj key daur ko ham gahma gahmi ka daur to kehtey heiN leykin sath mey aap logoN ney ye baat note ki hai key ham hamesha jaldi mey hotey hein yani hamein her waqt hi kisi na kisi cheez ki jaldi hoti hai......aik waqt mey ham das kisam key kaam khatam kerney ka soch rahey hotey hein....leykin din key akhir mey??? iss sab hasil ???

                        (wat we have at the end of the day!! ? )
                        a good nights sleep :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: BeychaiNiiii....?

                          Originally posted by hamzad View Post
                          kuch din pehle aik kitab me parha tha k qayamat ki nishanion me se ye bhi aik he k waqt tezi se guzre ga or esa is leay he k waqt me se barkat khatam ho gai he warna waqt to wohi he bas ham hi esa sochte hen k waqt kam he or dher sare kaam abhi rehte hen.jab se ye baat parhi he me Allah se dua karti rehti hon k Allah is me barkat dale.or din ke akher me to yehi soch hoti he aj kitne kaam reh gaey jo kal par utha kar rakh deay:)
                          i
                          thumbup - aap ney bhilkul theek parha hai, waqt usi raftar sey guzar raha hai jis sey hamesha guzarta hai - lekin woh kya hai keh jo aap ney bhi likha keh barkat uth gaii hai - ab hamein aik poora week aik do din ki tarha lagney laga hai - abhi haal hi mein Ramzan-ul-Mubarak guzra hai, us mein lagta hai keh din guzar hi nahin paa raha - kyun? isi liyey keh Ramzan key dino mein Allah Tala ki barkatein nazal hoti hain aur din ka patah chalta hai - jab keh doosrey dino mein yeh barkatein utha li jati hain...
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: BeychaiNiiii....?

                            Originally posted by hamzad View Post
                            kuch din pehle aik kitab me parha tha k qayamat ki nishanion me se ye bhi aik he k waqt tezi se guzre ga or esa is leay he k waqt me se barkat khatam ho gai he warna waqt to wohi he bas ham hi esa sochte hen k waqt kam he or dher sare kaam abhi rehte hen.jab se ye baat parhi he me Allah se dua karti rehti hon k Allah is me barkat dale.or din ke akher me to yehi soch hoti he aj kitne kaam reh gaey jo kal par utha kar rakh deay:)
                            100 % agreed!!
                            leykin ham ney in baatoN ko for granted leyna shuru ker diya hai jaisey tum ney kabhi note kiya hai ham ye kehtey hein haan ye sab sach hai "leykin"..... aur phir na khatam honey wali kahani ....
                            Originally posted by Rameez View Post
                            hamzaad ki baat sahhiii haai ...yee baat iss liyee naaaii kahiii k heer kissi koo yee paataa b haai too woohi baaat dohhraany kii bajaayy ,,,kuuchh auur joo mummkinn sooch hooo..wwoo b kahiii jayeee

                            kittabeen too bharii parii heeen ..maageer hamaara kyyaa nazrriyaa haaa
                            yahi to massla hai key ham ney kitabi baateiN bas kitaboN tak hi mehdood ker di heiN
                            Originally posted by Masood View Post
                            a good nights sleep :)
                            wah!! a very comprehensive jawab :thmbup:
                            aap key liye aik CRUNCH :D
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: BeychaiNiiii....?

                              Originally posted by cute_Shah View Post
                              waqt tu nahi badalta waqt tu woh hi phele wala hai hum log badal gaye hain..:khi:
                              yes ham log itney "badal" gaye hein key wapas apney origin mey aaney key liye phir sey "badalna" hai :d

                              Working...
                              X