Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

    ..
    Attached Files

  • #2
    Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

    Is bary sary article ko perhny k baad aap sab ek baat ye bataye ky aap eid ka din kesy guzaaarty hain??
    gher mai tv dekhty hoay?


    sooty hoay?

    friends / relatives k gher jaty hain?


    kahi outing py jaaty hain?


    ya kise aur tarah ??
    Last edited by aik_lerki; 14 October 2007, 13:26.

    Comment


    • #3
      Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

      nice Article........
      ajj kuch tv computer k sath kuch tv k sath or kuch apnay dostoo k sath baqi ka kuch time mobile k sath.........apnay friendzz k sath khoob bateen kii

      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


      Comment


      • #4
        Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

        sachaii to yehi hai keh ab kisi ko Eid ka mafhoom yaad nahin raha. Main ney Eid ki namaz key baad jahan pehley pehal log na siraf apni jaan pehchan waley logon sey bhi Eid miltey they wahan ab insaan apni jaan-pehchan walon sey bhi kam kam hi miltey hain, balkeh insaan siraf un logon sey eid milney laga hai jin sey ussey koi raghbat ho - yahan tak jab tak insaan khud kisi ko "Eid Mubarak" na kahey kisi ko tofeeq nahin hoti keh doosron ko Eid Mubarak kahey. Ab aap Pegham hi ki misaal ley lijiye - ham log bhi to siraf unhein hi Eid ki wish kartey hain jin sey hamein koi nisbat ho :) Warna jab tak koi khud sey na pukarey koi kisi ko yaad hi nahin karta.

        Eid dar'asal Allah Tala ki rehmat hai magar ham be'gharz ho chukey hain, hamein apney aap key siwa koi doosra yaad hi nahin
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

          wakaey koi SHAK nahin k log EID ka sahee mafhoom bhool gaey hain ..Ye to ALLAH ki taraf se Ek tohfa hay ..... Jisay ab log yunhee sara din so k guzaar detay hain
          Ya shayad phir humaree Nano walli baat sachi hay k pouranay waqton mein EID ka husn, uS ki sachi khushi is lieey hoty thi k log itnay advance nahin thay ...SARA saal hee kapray jootay nahin bantay tahy...Ek limit mein reh k hee shopping hoty thi to EID k kapron , jooton , chhoriyon ko lenay ki ek ajeeb hee anokhgi see khushi hoty thi ...:)

          LEkin ab Dunya sara saal hee kapray jootay k , achhay se achha pehan'nay , khanay aur namood o numaeesh mein masroof hay ....so EID aur aam dino mein farq hee mita diya hay logon nay .....:)
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

            Main ney parsoo Eid key namaz per yeh haal dekha hai keh log beqrar hain keh jaldi jaldi namaz ada ho aur log apney dhandhon mein lag jaein - hamarey liyey dunyavi dhandhey ziyada importance rakhney lagey hain, deeni faraiiz to mehaz rasm-o-rawaj tak hi reh geya hai. Namaz key baad mein ney yeh bhi dekha keh logon ko kisi ko Eid Mubarak kehney ki tofeeq tak nahin hui - main ney zabardasti 3-4 bandon sey jinhein main nahin janta tha, un sey Eid mili :lol
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

              hmmmmm wow nice writing

              mere aadhi Eid tu duty pe guzri baqi ke

              friends / relatives se milte milate guzre

              and shaam ko baqi ka waqat ghar waloon ke saath

              Comment


              • #8
                Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post

                LEkin ab Dunya sara saal hee kapray jootay k , achhay se achha pehan'nay , khanay aur namood o numaeesh mein masroof hay ....so EID aur aam dino mein farq hee mita diya hay logon nay .....:)

                Haan BIBI sach kehti ho, logon mein quwat-e-khareed ab barh gaii hai, ab woh chahein to har saal Eid ki tarha ki shopping kar saktey hain is tarha Eid ka asal husn gharat jata hai...

                Mujhey yaad hai keh merey bachpan mein jab ham abhi Pakistan they, aur Eid per ham apney muhalley key sabhi bachey aik doosrey ko Eid tak yeh kaha kartey they merey kaprey tum sey achhey hain aur merey jootey bhi - aur jab Eid aani to aik doosrey sey kaprey aur jootey match karna :lol yahan tak keh jooton key tasmey - yani lashes tak ko match karna :lol - kya din they woh bhi aaaaaahhhhh!
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                  very nice mari eid maray gher thiii

                  :donno:BYE :donno:

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                    Originally posted by aik_lerki View Post
                    Is bary sary article ko perhny k baad aap sab ek baat ye bataye ky aap eid ka din kesy guzaaarty hain??
                    gher mai tv dekhty hoay?


                    sooty hoay?

                    friends / relatives k gher jaty hain?


                    kahi outing py jaaty hain?


                    ya kise aur tarah ??
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                      acha article likha he:thmbup:ye eid meri life ki udas tareen eid thi subho ki namaz ke baad me sab ghar walon ke sath apne father ko eid milne gai is baar unhon ne mujhe eid mubarak nahi kaha

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                        Originally posted by hamzad View Post
                        acha article likha he:thmbup:ye eid meri life ki udas tareen eid thi subho ki namaz ke baad me sab ghar walon ke sath apne father ko eid milne gai is baar unhon ne mujhe eid mubarak nahi kaha
                        :comfort: Kaha ho ga, aap ko aawaz nahin aai ho gi. Shehr-e-Khamoshan mein kabhi kisi ko aawaz aai hai? Bas wahan aik taweel khamoshi hai, na'khatam honey wali.

                        Waisey sheharon mein jitna shor-o-ghul, us mein bhi to dil ko udaas kar deni wali khamoshi hoti hai to phir shehr-e-khamoshan hi achha hai na?
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                          Originally posted by Masood View Post
                          :comfort: Kaha ho ga, aap ko aawaz nahin aai ho gi. Shehr-e-Khamoshan mein kabhi kisi ko aawaz aai hai? Bas wahan aik taweel khamoshi hai, na'khatam honey wali.

                          Waisey sheharon mein jitna shor-o-ghul, us mein bhi to dil ko udaas kar deni wali khamoshi hoti hai to phir shehr-e-khamoshan hi achha hai na?
                          haan or is khamoshi me aik na khatam hone wali udasi shamil he jo insan ko buri tarah apni lapaet me le leti he phir insan shaed khud apne aap se bhi bicher jata he

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                            Originally posted by hamzad View Post
                            haan or is khamoshi me aik na khatam hone wali udasi shamil he jo insan ko buri tarah apni lapaet me le leti he phir insan shaed khud apne aap se bhi bicher jata he
                            najaney kyun yeh dawa karney ki dil karta hai keh ham log khud sey bichhrey huwey log hain - har insaan kisi na kisi shay ki talsh mein hai jo ussey complete karey, har ruh na'mukamil hai, har kitab ka aakhir baab abhi likha jana hai, har mazmoon ka ikhtitam baqi hai :donno:
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~ Eid Ki Riwaiti Khushya ~

                              [COLOR="Green"]hmmmmm...
                              mana to gar ma he Eid manai es bar pahlay kabi jata tha dostoon ka sath lakin ab nahi....sirf gar ma he raha
                              [/COL
                              OR]
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X