Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

dil k ache,zuban k bure

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • dil k ache,zuban k bure

    ap sab ne aksar suna ho ge k falan falan insan zuban ka bohat bura he lekin dil ka bohat acha he:donno:kia dil ka acha hona zuban ke bure hone ko ya ghusili tabeyat ko balance kar deta he?:cc:ap ka wasta kisi ese insan se pare to ap ka kia raweya hota he?or ese log is tarah ke kion hote hen?:mm:

  • #2
    Re: dil k ache,zuban k bure

    hahahha Acha Sawal kia hai Mujhay bhi Aaj Tak Samjh nahin ayi Zuban kay Bura Jo Ga tu Dil ka Acha kaise ho ga Is par meri Aik Shakas Say hamesha Larye hi rehti the kyun kay WO Zuban kar Bura tha maghar Log kehtay thay wo DIL KA BUHAT ACHA HAI :D Ab yeh DIL Ka kaise Acha howa mUjhay Aaj Tak nahin Pata chala :D
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment

    • #3
      Re: dil k ache,zuban k bure

      well... jo log zubaan ke bure hote hain... woh log wahi kaihte hain jo un ke dil mein aaye.... aise mein yeh kaihna ke yeh zubaan ke bure hain dil ke acche... sirf defence mechanism use karne jaisa hai... aur kuch nahi... jaise "dil ki tasali ko ghalib yeh khayal accha hai..." waali baat...:donno:.... humare nanu jaan kaihte the... "zubaan sheeri'n mulk geerin.." ager zubaan mein mithas ho tu duniya fateh ki jaa sakti hai.... hosakta hai kuch log waqai aise hon bhi... per phir bhi... kya matlab aisi baaton ka... dil ka haal tu sirf Allah hi janta hai.... jub ke kalam duniya sunti hai na...:)

      Comment

      • #4
        Re: dil k ache,zuban k bure

        acha swal hy per jawab kuch dair baad dongi...
        ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
        372-haha372-haha372-haha

        Comment

        • #5
          Re: dil k ache,zuban k bure

          hhmmm baat kafi achi ki ha ap nay, kafi mushkal ho raha ha ap ki baat ka juwab dena. kahir challo dekhtay han kay baqi behan bahi kia kuch kehtay han,
          Note : apnay bachon ko qareebi Hospital ly ker jahia oor aaj hi un ko Poliyoo kay Teekay lagwahi

          Comment

          • #6
            Re: dil k ache,zuban k bure

            Originally posted by La'hasil View Post
            hahahha Acha Sawal kia hai Mujhay bhi Aaj Tak Samjh nahin ayi Zuban kay Bura Jo Ga tu Dil ka Acha kaise ho ga Is par meri Aik Shakas Say hamesha Larye hi rehti the kyun kay WO Zuban kar Bura tha maghar Log kehtay thay wo DIL KA BUHAT ACHA HAI :D Ab yeh DIL Ka kaise Acha howa mUjhay Aaj Tak nahin Pata chala :D
            to ap kia karti then jab koi zuban ka bura apni zuban ki burai dikhata tha?:mm:

            Comment

            • #7
              Re: dil k ache,zuban k bure

              Originally posted by ummid View Post
              well... jo log zubaan ke bure hote hain... woh log wahi kaihte hain jo un ke dil mein aaye.... aise mein yeh kaihna ke yeh zubaan ke bure hain dil ke acche... sirf defence mechanism use karne jaisa hai... aur kuch nahi... jaise "dil ki tasali ko ghalib yeh khayal accha hai..." waali baat...:donno:.... humare nanu jaan kaihte the... "zubaan sheeri'n mulk geerin.." ager zubaan mein mithas ho tu duniya fateh ki jaa sakti hai.... hosakta hai kuch log waqai aise hon bhi... per phir bhi... kya matlab aisi baaton ka... dil ka haal tu sirf Allah hi janta hai.... jub ke kalam duniya sunti hai na...:)
              bohat achi baat kahi ap k nanu jaan ne:)

              Comment

              • #8
                Re: dil k ache,zuban k bure

                Originally posted by hamzad View Post
                to ap kia karti then jab koi zuban ka bura apni zuban ki burai dikhata tha?:mm:

                Array nahin Koshish karti hoon Jawab na Doon :)
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment

                • #9
                  Re: dil k ache,zuban k bure

                  Originally posted by KurriPunjaban View Post
                  acha swal hy per jawab kuch dair baad dongi...
                  haan plzz zarur jawab deejeay ga me waiting:)

                  Comment

                  • #10
                    Re: dil k ache,zuban k bure

                    Originally posted by kashmiri_munda View Post
                    hhmmm baat kafi achi ki ha ap nay, kafi mushkal ho raha ha ap ki baat ka juwab dena. kahir challo dekhtay han kay baqi behan bahi kia kuch kehtay han,
                    mujhe bhi mushkil lag raha tha tabhi sab se poocha par abhi tak mujhe koi hal nazar nahi aya:blush:

                    Comment

                    • #11
                      Re: dil k ache,zuban k bure

                      Originally posted by La'hasil View Post
                      Array nahin Koshish karti hoon Jawab na Doon :)
                      haan ye aik bohat acha tarika hota he lekin akher kab tak?jab bardasht khatam ho jaey tab?:cc:

                      Comment

                      • #12
                        Re: dil k ache,zuban k bure

                        Originally posted by hamzad View Post
                        ap sab ne aksar suna ho ge k falan falan insan zuban ka bohat bura he lekin dil ka bohat acha he:donno:kia dil ka acha hona zuban ke bure hone ko ya ghusili tabeyat ko balance kar deta he?:cc:ap ka wasta kisi ese insan se pare to ap ka kia raweya hota he?or ese log is tarah ke kion hote hen?:mm:

                        Hmm waisye tu dear yeh depend krta hai k woh loog zaban k kaisey burey hainn! i mean to say kuch loog thoreyy saaf goo hotey hain jinhain hum straigh fwd bhi kehtey hain in logo ki bhi 2 iqsam hai ek woh straigt fwd jo k mun'h phat hotey hain mager apney app ko staright fwd kehtey hain or kuch aisey hotey hain k jo haqeeqat main saaf goo hotey hain or woh apni is adat sey islah ka kaam letey hain na k dil azar'i ka mager saaath hi yehi zaban hi hain jo humain kisi ki nazar main achaa ya bura bana deti haii ,kunk lafzoo ki chout barii burii lagti haii.or rahi baat aisey logoo k diloo kii tu ek tu Diloo ka hall Allah hi janta haii or dooosrey jo dil k achey hotey hain woh kahi na kahi yeh baat sabit kr detey hain k woh dil k achey hain is main un ki zaban ka aml dakhal itnaa bhi zarori nahi.
                        Or kuch loog hotey hain zaban k bauhtttttt achey jinahin hum urf-e-aam main meethi churi bhi kehtey hain :khi: yeh loog app k mu'nh pr bauht achey or dil main app k lya kuch achaii nahi rakhteyy mujehy lagta hai in ka yeh tarz-e-aml zayda takleef dey hota haii kunk hum in ki charb zabani ki waja sey in pr bharoosa krney lagtey hainn,
                        over all meri observation haii k kisi k bhi pehley tarz-e-aml ko dekh kr us insan k barey main judgement nahi krni chahyeaa or 2ndly yeh zaban k karwey or dil k acheyy yeh hr jaga bhi dil k achey nahi hoteyy na hi hr jaga dil k acheyy zaban k burey hotey hain...
                        Haa mera wastaa para hai aisey logoo sey ,usualy mera rad-e-aml sirf hota hai khamoshii or ainda k lya naseehat ley leti hoo k in logo sey kya or kon si baat krni chahyea k nahi .:)
                        Akhri baat k yeh aisey ku hotey hain tu my dear insan mukamil nahi hosaktaa us main kuch na kuch burai tu hoti hain soo kuch logoo main yehi burai hoti haii

                        Comment

                        • #13

                          Aksar log aisey hotey hain jo talkh'kalam hotey hain, talkh'kalami sey murad yeh hai keh unhein alfaz key chunao per aboor nahin hota, woh aik seedhi si baat bhi karwey andaz mein kahein gey - aisey log zaroori nahin keh dil key burey hon, ya unki kisi baat key peechhey koi buri niyyat ho - magar chunkeh unhein alfaz key istimal per qudrat nahin hoti, isi liyey woh zuban key karrwey mehsoos hotey hain - i think yeh aisey logon key liyey kehtey hain :donno:
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: dil k ache,zuban k bure

                            Originally posted by aquari View Post

                            tafsili reply ke leay thanx:)or ye acha point he k ese logon se soch samjh kar baat ki jaey:blush:

                            Comment

                            • #15
                              Re: dil k ache,zuban k bure

                              Originally posted by Masood View Post
                              Aksar log aisey hotey hain jo talkh'kalam hotey hain, talkh'kalami sey murad yeh hai keh unhein alfaz key chunao per aboor nahin hota, woh aik seedhi si baat bhi karwey andaz mein kahein gey - aisey log zaroori nahin keh dil key burey hon, ya unki kisi baat key peechhey koi buri niyyat ho - magar chunkeh unhein alfaz key istimal per qudrat nahin hoti, isi liyey woh zuban key karrwey mehsoos hotey hain - i think yeh aisey logon key liyey kehtey hain :donno:
                              jee bilkul sahi andaza lagaya ap ne ese hi logon ke bare me poocha he me ne:donno:lekin ese log jitna bhi dil ke ache hon apni zuban or aik dam bharak jane wali adat se dusron ke leay pareshani or akser tehkeer ka baes bhi to bante hen:mm:

                              Comment

                              Working...
                              X