Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sehri ka ehtamaam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Sehri ka ehtamaam

    Originally posted by ummid View Post
    yeh ilzam nahi... suchai hai meloard.... hahaha...

    LOlz... hum is se zyadah kuch kha bhi nahi sakte.:donno:.. ager aik roti bhi kha lein tu doodh nahi pee paate..... so amma kaihte hain.. doodh hi pee lo wahi sahi hai... lolz... so bus...:blush:..
    Aap dhoodh kyoon peeti ho, ub aap bakri to nahi rahein :kr:theek he theek he piyo aur piyo calcium hota he is mein, protein bhi hoti he...acha he sehat ke liye :khi:
    :thmbup:

    Comment


    • #77
      Re: Sehri ka ehtamaam

      Originally posted by Super Cop View Post
      bhai ye bhi theek hai laiken subah subah kisi ko bhi pata nehi chalta ke is ne moun dohya hai ke nehi is liye kaam chal jata hai
      Bari zabardast policy he, ager tum kisi aisi jagah chalay jao jahan loog na hoon to tum to kabi bhi moun na dho'ooo :khi:
      :thmbup:

      Comment


      • #78
        Re: Sehri ka ehtamaam

        Originally posted by Xenya View Post
        :mm:


        Roza 5h40 tak band hota hai .... to agar 5 bajey bhi insaan uth jaye to phir bhi kafi sara time hota hai.....:mm:
        Oh theek he theek he...ziada khaya piya keejiye, kahin sehat na down ho jaye aap ki :eye:
        :thmbup:

        Comment


        • #79
          Re: Sehri ka ehtamaam

          Originally posted by Masood View Post
          sehri mein khana khana, namaz parhna aur so jana kaafi kaam hotey hain yaar :p aur phir kaam per bhi to jana hota hai na :cc:
          Tum pehlay kaam per se ho aao, phir aa ke bata dena ke tum sehri mein kia khatay ho :tauba
          :thmbup:

          Comment


          • #80
            Re: Sehri ka ehtamaam

            Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
            hmmm W salam

            Sehree ka time khatam hota hay 5:45 per ...aur hum sotay hain Almost 2:00...2:30 bajay ..................................bulkey kaaey baar to phir sotay hee nahin ye soch k Sehree kar k so jaaen gay.....:blush:................................... .........agar 2:00..2:30 bajay soen gay to phir uthhna bhi to aisssay hee haina......

            so hum time khatam honay se 20 minutes pehlay uthh k 2 glass paani pee kar phir.............................................. half chapatee kisi bhi Vege: ya Curry(jo bhi bana ho) us k saath khaa k Do large size cup chaey k peetay hain (kion k Sara din chaaey k bagher Guzaarna hota hay)................................................. .........
            phir us k baad Namaz perh k half hour k liey so jatay hain dobara:blush::blush::blush:
            Bohat mehanti larki ho, 2:00, 2:30 bajay tak kerti kia rehti ho waise :khi:

            2 glass paani, 2 glass chaye is ke dermeyaan tum chapati ka khawa makhwa takaluf kerti ho :kr:

            Tumhari neend ke baray mein sooch ke mujay apni neend ki yaad aa gai, puri raat jaagta rehta hoon aur phir aankh lagti he to sehri ka time ho jata he :tauba
            :thmbup:

            Comment


            • #81
              Re: Sehri ka ehtamaam

              Originally posted by D@y W@lk3r View Post
              NA sehri na Aftar. Sehri kay waqt on job Aftar kay waqt on job..................
              Roozay to rakhtay ho ke wo bhi nai :donno:
              :thmbup:

              Comment


              • #82
                Re: Sehri ka ehtamaam

                Originally posted by ahsaas View Post
                Ap ny makhsoos logon ko Salam kia ..
                but hum Wa Alikum Aslam kah rahy hein un sab se hat k ....
                yahan per aik baat ki wazahat chahein gy ..k Seher aur Saher k maenon mein faraq hota hai Seher(jadoo).n...Saher(Subah)..almost sab ny Seher likha hai ..anyways
                Sahri ka time khatam hony se half an hr pahly uthty hein ...Sahri mein Dehi ..Salan etc..Tea must hai.
                pani 2 se 3 glass hoty hein ..
                bas phir Movi sahibaan azan dety hein phir namaz..........
                The End:)
                Roman Urdu mein hum pronounciation pe ziada dehaan dete hein ke koon say spelling collectively specific urdu work ko achay tareekay se pronounce kerte hein. Sahir is read like somewhat Saahir, and Seher like Se'hr...so Se'hr or Seher seems more nearer to Se'hri, this is what i think. Khair chalta he.

                The End aap ne acha kia, is ke baad aap soo jati hoon gi, i guess
                :thmbup:

                Comment


                • #83
                  Re: Sehri ka ehtamaam

                  Originally posted by A.h.khan View Post
                  ye bhi zindagi ki haqiqat haw sheri ke bad aftari ki bhi jarorat hae;;;;;

                  hsbe mamol azan se phle tak khob maze le kar sheri karta hon jo ke meri piyari bivi ne grma garam parathe or salan banai hoti hae banai hae khata hon ALLAH ka sukar ada karta hon phir aek cup grma garam chye pita hon phir wajo kar ke quran le ke bahyt jata hon jamat soro hone se phle tak phrta hon phir namaz ke bad ake khowab e khrgosh ki wadion main yani nind ki ghrai main chla jata hon, 10 baje offic chla jata hon
                  wapsi pe pakore banane main begum ki madad karta hon
                  Aray waah, what an ideal sehri and aftaari, jeetay raho mere cheetay :khi:Begum ki aur help kia karo, bohat sawaab ka kaam he, khasoosan Ramzan mein :khi:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #84
                    Re: Sehri ka ehtamaam

                    Originally posted by aquari View Post
                    nahi main slice ko itnaa moqaa hi nahi detii..pehely ussey khaa leti hoo
                    phr chayee pii leti hoo :blush:
                    Acha kerti hein, warna chaye baaz aukaat slice ko bhi apnay ander khainch leti he aur phir slice ko spoon se bahir nikaalna perta he :tauba
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #85
                      Re: Sehri ka ehtamaam

                      Originally posted by raafi View Post
                      1 1/2 galss lassi ka pii kay walk karnay lagay jese aap nay kashmir fatah karliya ho...... :khi: mujhe dekh 3 glass lassi kay pii kay bhi dikhar nahi leta..... :lpop:
                      Aray waah tu to baazi maar gaya mere laal, neelay, peelay, haray :khi:

                      walk ka maksad sirf yeh hota he ke kuch bhook lagay, ta ke me aadh paratha kha sakon, yaar subhu subhu kuch khanay ko dil he nahi kerta, aur aftaari ke time kuch choornay ko dil nahi kerta :tauba
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #86
                        Re: Sehri ka ehtamaam

                        Originally posted by hamzad View Post
                        me 3.15 par uth jati hon,tahajud ke nafil parh kar quran parhti hon. sehri khansama banata he.sehri table par lagi hoti he to sab bari bari uth kar apne apne time se kha lete hen.mujhe sehri me paratha chaey n sabzi ya daal pasand he gosht bilkul nahi.2/3 khajuren or 2 glass pani or phir roza band.
                        Ahan good to know...waise me aik baat soochta hoon ke yahan pe jitni larkiyon ne reply kiya he sabi uth ke sehri kerti hein, koi bhi sehri khud teyaar nahi kerta, aap ke sehri to khansama bana leta he lekin sub larkiyon ko bani banai sehri kahan se mil jati he :donno:

                        Aur aap ghoosht pasand kyoon nahi kerti ho :lpop:
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #87
                          Re: Sehri ka ehtamaam

                          Originally posted by chalakie View Post
                          main sehrii main hawa khana pasand kartii hoon:lpop: aur sath main ami ki daant:blush:

                          (assal main sehrii k waqt bilkullllllllll bhook nahi hoti...sehrii karna itna mushkil kaam hay...matlab paratha khaana)

                          phir pait bhar jaata hay aur namaz parh kar sakoon kii neend so' jaati hoo'n...adhay ghantay baa'd uth kar Univ. ki tyari aur buss
                          Mein kia kahon tumharay baaray mein, bus yahi kahon ga ke meri hamdardiyaan tumharay saath hein :kr:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #88
                            Re: Sehri ka ehtamaam

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Acha kerti hein, warna chaye baaz aukaat slice ko bhi apnay ander khainch leti he aur phir slice ko spoon se bahir nikaalna perta he :tauba
                            :hehe:mujhey chayee ki is kharab adat ka maloom hai naa isi lyaa aisa krti hoo :lpop:

                            @ Topic
                            aaj sehri main 4.15 uthi ,aaj chooti behn ney falafil fry kyaa phr unhi k sandwitch banayee phr mainey chayee banaii or phr namaz ka time hogaaya:dua

                            Comment


                            • #89
                              Re: Sehri ka ehtamaam

                              Originally posted by Wafa View Post
                              Walaikum Salam....:salam:
                              mai raat ko takreban jaghti he hoo :blush:........subha sab ko jagati ho..aur pher ammi aur mai mil kar sehri ke tayaari kartay hai........roti salan aur lassi petay hai.....pher end mai pani....pher mai tahajjat parhti ho aur quran parhna start karti ho........azaan hoti hai 430 per......tu mai pher namaaz parh kar ya tu thora Quran parhti ho .......ya pher soo jaati ho......
                              Aray waah tumm to sub larkiyon se mufff-ta-liff nikli :kr:kitni hardworking kuri ho saari raat jaagti rehti ho ta ke sehri miss na ho jaye...internet pe bethi hoti ho na

                              Khana khanay ke baad tahajjad perhti ho

                              chalo ub yeh batao ke jub sooti ho to aftari se kitnay minute pehlay uthti ho :kr:
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #90
                                Re: Sehri ka ehtamaam

                                Originally posted by Masood View Post
                                tumhara to mujhey pata hai keh tum achhi bachi ho magar yeh fari pari kis khatey mein achhi ho gaii? Issey to roza rakhney sey bhi alergi hai, chhup chhup ker jagali karti rehti hai :D
                                yaar mere hotay huay fari ki bisti to mut karo

                                itna he khyaal ker lo ke wo meri shagird he

                                mein nahi bardaasht ker sakta ke us ki koi bhi bisti karay :na:




















                                mere ilawa :kr:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X