Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

    Originally posted by aquari View Post
    app ko kaisa feel hota haii dukh batney sey or app kaisey define krsaktey hian k woh dukh kum hogaya?

    Yes yeh baat tu thek hai k situation pr depend krta hai or bundey pr bhi k hum kis sey or kya share kr rahey hian..tu app kis qism k dukh share krna munsib nahi samjhtey ? i mean to ask k ku app ko lagta hai k yeh duukh share krna munasib nahi ?
    Kuch cheezein mehsoos ki ja sakti hein unhein alfaaz mein dhaalna bohat mushkil hota he. Its just like ager aap ke kisi pyaray ko koi katal kerta he aur aap us ke kaatil ko saza dilwatay hein to aap ko kuch skoon ho jata he...yeh bhi kuch isi tarah he hay :donno:
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

      Originally posted by Khalil View Post
      yeh bilkul jhoot hay aur yeh kamzoor dil walon ka kaam hay...
      apna dukh biyan karny sy kuch nahi huta ...yeh aik choar rasta hay...
      main b pehly apna dukh share ker daita tha aur os k baad apny ap ko kafee kamzor samjta tha ..aur bahz dafa to loag hunsi per utar aty hian
      so main to yehi kahonga k apna dukh kisi ko b na bataya chayee bus apny he dil main chupa lia jay
      aap jis se share ker rahay hein to wo aap se mukhlis na ho to this is the best way ke aap kuch bhi kisi se share na karo...kisi had tak mein tumhari baat se agree kerta hoon
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

        Originally posted by sccorpion81 View Post
        hmmm Depend kerta hai .... baz dukh aur takaleef tu aisi hoti hain k agar aap un ko bantain tu wo aur barh jati hain....maslan agar kisi cheez ka koee hal na ho aur aap us ko apne kisi bhot qareeb ki hasti say share kerain aur wo bhi pareshan ho jaey aur koee hal na niklay tu us bantnay ka koee faida nahien hai...yeh dukh aur pareshani ko barhanay wali baat hai pehle aik fard pareshan tha ab 2 ho gay....aur kuch dukh waqi aisay hotay hain jin ko share kerna chahiey...apni kisi bhot hi azeez hasti k saath....us k Ilawa jaisa k ummid nay kaha k apna dukh apnay paasss hi acha hai...agar us ko bant liya jaey tu us ka wo maza nahien rehta
        yes u said right k depend krta hai
        or mera bhi yehi manaa haii k aisey dukh share krney ka faida jin ko bant kr agla bhi dukhi hojaye or woh dukh mazeed barh jayee...
        tu woh azez tareen hasti kon hoti hai jis sey aap bant'tey hain?

        Comment


        • #19
          Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          aap jis se share ker rahay hein to wo aap se mukhlis na ho to this is the best way ke aap kuch bhi kisi se share na karo...kisi had tak mein tumhari baat se agree kerta hoon
          mager kuch loog becharoo ko tu maloom bhinahi hotaa k jis sey share krrahey hain woh mukhlis nahi....

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Kuch cheezein mehsoos ki ja sakti hein unhein alfaaz mein dhaalna bohat mushkil hota he. Its just like ager aap ke kisi pyaray ko koi katal kerta he aur aap us ke kaatil ko saza dilwatay hein to aap ko kuch skoon ho jata he...yeh bhi kuch isi tarah he hay :donno:
          ha kuch cheezain sirf mehsoos hi ki jasakti hai un ko bayaan krney main lafz saath choor detey hain,or aisi hi cheezain hum lafzoo sey na sahi kisi aml sey bayaan krney ki koshish krtey hain jaisey mera tu yeh bhi manaa hai k jub dukh had sey zayda under bhar jata hai tu insan sirf dukh ya gham ki tasveer ban kr hi nahi bulk zaroorat ya routine sey zayda khush hokr bhi apna gham chupney ya phr sey apney under smaitney or samney waley sey bayaan krney ki koshish krta haii.

          App ney doosrey sawal ka jawab nahi diaa? tu app kis qism k dukh share krna munsib nahi samjhtey ? i mean to ask k ku app ko lagta hai k yeh duukh share krna munasib nahi ?

          Comment


          • #20
            Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

            Originally posted by aquari View Post
            yes u said right k depend krta hai
            or mera bhi yehi manaa haii k aisey dukh share krney ka faida jin ko bant kr agla bhi dukhi hojaye or woh dukh mazeed barh jayee...
            tu woh azez tareen hasti kon hoti hai jis sey aap bant'tey hain?
            Her insan ki apni aik azeez tareen hasti hoti hai jis say wo hot piyar kerta hai aur wo bhi us hasti k liey bhot kuch hota hai ... kisi ka koee dost...kisi ki maan , kisi k Dad,, kisi ki wife Etc.. koee bhi ho sakta hai
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

              Originally posted by sccorpion81 View Post
              Her insan ki apni aik azeez tareen hasti hoti hai jis say wo hot piyar kerta hai aur wo bhi us hasti k liey bhot kuch hota hai ... kisi ka koee dost...kisi ki maan , kisi k Dad,, kisi ki wife Etc.. koee bhi ho sakta hai

              :) haa koi bhi hosakti hai.chaheyy woh koi bhi rishtaa hoo bus ek baat hoti hai us hasti main k woh humara dukh apney under samait kr na sirf humain bikhrney sey bachatii haii bulk sath sath ek pyara sa ahass bhi deti hai k main hoo na tumharey sath.

              Comment


              • #22
                Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                Originally posted by aquari View Post
                :) haa koi bhi hosakti hai.chaheyy woh koi bhi rishtaa hoo bus ek baat hoti hai us hasti main k woh humara dukh apney under samait kr na sirf humain bikhrney sey bachatii haii bulk sath sath ek pyara sa ahass bhi deti hai k main hoo na tumharey sath.
                Jee Bilkul Laikin aaj kal aisi hasti milna bhot mushkil hai jis ko mil jaey wo khushqismat hai
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                  Originally posted by sccorpion81 View Post
                  Jee Bilkul Laikin aaj kal aisi hasti milna bhot mushkil hai jis ko mil jaey wo khushqismat hai
                  well... aisa kuch nahi... duniya lo aur do ke asool per chalti hai... aap ager kisi ko khaloos deing tu badle mein khoolos hi milega... so its better ke aap khud ko daikhein... apni ghaltiyon ki islah karein... ta keh aap kisi dosre se tawaq na lagani pare... aur Insaan khud, khud ka behtreen dost sabit hosakta hai..... baaqi ager aap apne relations mein fair hai.. chahe woh frndz ka ho.. parents ka.. ya kisi bhi aur tareeqa ka... ager aap apna best de rahe hain tu shaid hi aisa ho ke koi aap ko dhoka de... thats what I feel.. kyun ke yeh humara personal xperince hai.. aur ager koi aisa karta hai tu woh khud apne amal ke liye jawab deh hai.. kum az kum aap tu mutamin hote hain ke aap ne kisi ko dhoka nahi diya...

                  Comment


                  • #24
                    Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                    Originally posted by aquari View Post
                    mager kuch loog becharoo ko tu maloom bhinahi hotaa k jis sey share krrahey hain woh mukhlis nahi....



                    ha kuch cheezain sirf mehsoos hi ki jasakti hai un ko bayaan krney main lafz saath choor detey hain,or aisi hi cheezain hum lafzoo sey na sahi kisi aml sey bayaan krney ki koshish krtey hain jaisey mera tu yeh bhi manaa hai k jub dukh had sey zayda under bhar jata hai tu insan sirf dukh ya gham ki tasveer ban kr hi nahi bulk zaroorat ya routine sey zayda khush hokr bhi apna gham chupney ya phr sey apney under smaitney or samney waley sey bayaan krney ki koshish krta haii.

                    App ney doosrey sawal ka jawab nahi diaa? tu app kis qism k dukh share krna munsib nahi samjhtey ? i mean to ask k ku app ko lagta hai k yeh duukh share krna munasib nahi ?

                    Mein pehlay alfaaz ka kuch hair phair ker gaya....actually kuch typical dukh hotay hein wo mein almost kisi se share nahi kerta, jinhein mein ziada personal samajta hoon...zaroori nahi ke insaan apnay dil ka her raaz doosray ke goosh-e-guzaar ker de...aisa nahi ker sakta mein. haan kuch maslay masail ya kuch tensions ko share ker leta hoon jo bohat he apnay hoon, bulke un mein bhi mein hatal-amkaan avoid kerta hon kisi se share kerne mein...cuz, her bunday ke ander aik homostatic system hota he ager insaan ko koi dukh milta he to wo bhi waqt ke saath saath neutralize ho jata he...haan albata kuch dukh aisay hotay hein jo bohat lamba saath chaltay hein, lekin un ki shidat waqt ke saath maand he perti he...yahi kanoon-e-kudrat he jo kudrat ne insaan ki baka ke liye banaya he
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                      Originally posted by ummid View Post
                      well... aisa kuch nahi... duniya lo aur do ke asool per chalti hai... aap ager kisi ko khaloos deing tu badle mein khoolos hi milega... so its better ke aap khud ko daikhein... apni ghaltiyon ki islah karein... ta keh aap kisi dosre se tawaq na lagani pare... aur Insaan khud, khud ka behtreen dost sabit hosakta hai..... baaqi ager aap apne relations mein fair hai.. chahe woh frndz ka ho.. parents ka.. ya kisi bhi aur tareeqa ka... ager aap apna best de rahe hain tu shaid hi aisa ho ke koi aap ko dhoka de... thats what I feel.. kyun ke yeh humara personal xperince hai.. aur ager koi aisa karta hai tu woh khud apne amal ke liye jawab deh hai.. kum az kum aap tu mutamin hote hain ke aap ne kisi ko dhoka nahi diya...
                      hmmmm
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                        Originally posted by sccorpion81 View Post
                        hmmmm
                        teri sehat ke mutabik tera jawaab banta bhi itna he hay
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          teri sehat ke mutabik tera jawaab banta bhi itna he hay
                          mera baqi jawab tu apni sehat k mutabiq day day na motay hathi
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                            Originally posted by sccorpion81 View Post
                            mera baqi jawab tu apni sehat k mutabiq day day na motay hathi
                            Mein ne jawaab to diya

                            lekin kisi ne perha nai :donno:
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                              Originally posted by sccorpion81 View Post
                              mera baqi jawab tu apni sehat k mutabiq day day na motay hathi
                              :slap:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Kya dukh batn'ey sey kum hota hai ?

                                waise yasir akser dekha gaya he ke seeng ouper ko hotay hein, lekin tere seeng neechay ko kyoon aaye huay hein???
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X