Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Ehad-nama aur Moahida do alag alag cheezein hoti hein...mein ne TV per ehad namay ki kuch text perhi thein

    It was like

    Confidentiality and Hamrless Agreement

    Yeh kisi stamp paper pe nahi bana tha, aik safaid kagaz per.

    aur waise bhi bandook ke zoor per is tarah ki tehreer likhwai gai jo ke bilkul reject ho jani chahiye...hope supreme court nawaz shareef ke haq mein faisla karay gi
    to nawaz chacha yeh haq paa ker kya sabit kar lein gey? Kya woh sachey hain?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #17
      Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

      Originally posted by Aanchal View Post
      yeh Altaf husian ko jab bhi tv pay deekha haai humesha dosray dosray mulk hi hotay hain ..kia yeh bhi Nawaaz shareef or Benazir ki taraha pakistan main ban hain ?:cc:
      Woh ban nahin, magar khud'sakhta ban lagaya huwa hai, woh terrorist hai bohat bada aur British Hakoomat ki panah mein hai, issey British Passport bhi mil chuka hai 1992 sey England mein hai - aur leadership karta hai :D
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #18
        Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

        Originally posted by Masood View Post
        to nawaz chacha yeh haq paa ker kya sabit kar lein gey? Kya woh sachey hain?
        Andhon mein kana Raja suna he na tum ne

        bus yahi samaj lo

        Waise bhi APDM mein Imran khan bhi he, is liye mein Nawaz Shareef ko support ker raha hoon....personally mein Imran khan ki favour mein hoon :donno:
        :thmbup:

        Comment

        • #19
          Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

          Originally posted by Aanchal View Post
          yeh Altaf husian ko jab bhi tv pay deekha haai humesha dosray dosray mulk hi hotay hain ..kia yeh bhi Nawaaz shareef or Benazir ki taraha pakistan main ban hain ?:cc:
          Ainda Altaf Hussain ke baray mein baat bhi na kerna

          Chalo dono kaanon ko haath laga ker moaafi maang lo, me bohat reham dil hoon :blush:
          :thmbup:

          Comment

          • #20
            Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Andhon mein kana Raja suna he na tum ne

            bus yahi samaj lo

            Waise bhi APDM mein Imran khan bhi he, is liye mein Nawaz Shareef ko support ker raha hoon....personally mein Imran khan ki favour mein hoon :donno:

            Yani tum ussey support karo gey jiskey luterey honey ka yaqin hain, is liyey keh woh uska etihad mein shamil hai jissey tum support kar rahey ho? :cc:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #21
              Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

              Originally posted by Masood View Post
              Yani tum ussey support karo gey jiskey luterey honey ka yaqin hain, is liyey keh woh uska etihad mein shamil hai jissey tum support kar rahey ho? :cc:
              I am seeking for the best AVAILABLE option which is APDM (All parties democratic moment).

              Is se koi acha he to baat karo, phir mein tumhein batata hoon :donno:
              :thmbup:

              Comment

              • #22
                Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                I am seeking for the best AVAILABLE option which is APDM (All parties democratic moment).

                Is se koi acha he to baat karo, phir mein tumhein batata hoon :donno:
                BOYCOTT - Imran key naam khat likho keh chunkeh tum Nawaz key etihaad sey ho main tumhara bhi boycott karta hoon - jab is tarha keh 1000 khat ussey mo'sool hongey to woh apney is etihad key barey mein zaroor sochey ga - warna sab aik hi thali key chatey bhatey hain :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #23
                  Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                  Originally posted by Masood View Post
                  BOYCOTT - Imran key naam khat likho keh chunkeh tum Nawaz key etihaad sey ho main tumhara bhi boycott karta hoon - jab is tarha keh 1000 khat ussey mo'sool hongey to woh apney is etihad key barey mein zaroor sochey ga - warna sab aik hi thali key chatey bhatey hain :)
                  Come on masood, yahan pe jo option hein hamein selection bhi to unhein mein se kerni he...Nawaz shareef ke door mein kuch stability thi, mehangai pe bhi control tha, jo ke is hakoomat ke aanay ke baad dono cheezein khatam ho gai hein :donno:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #24
                    Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Come on masood, yahan pe jo option hein hamein selection bhi to unhein mein se kerni he...Nawaz shareef ke door mein kuch stability thi, mehangai pe bhi control tha, jo ke is hakoomat ke aanay ke baad dono cheezein khatam ho gai hein :donno:
                    Bakwas!!!! Sorry yaar!!!

                    Ham log khud nahin sudhartey na sudharna chahtey hain - jahanum mein gaey option - BOYCOTT is the best available option!!! Main ney aik column mein likha tha: HAM NA'SOOR KHUD PAALTEY HAIN!!!
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #25
                      Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Ainda Altaf Hussain ke baray mein baat bhi na kerna

                      Chalo dono kaanon ko haath laga ker moaafi maang lo, me bohat reham dil hoon :blush:
                      laoo donoo kaan hath laga kay kheenchoun pher :a stick:
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #26
                        Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                        Originally posted by Masood View Post
                        Bakwas!!!! Sorry yaar!!!

                        Ham log khud nahin sudhartey na sudharna chahtey hain - jahanum mein gaey option - BOYCOTT is the best available option!!! Main ney aik column mein likha tha: HAM NA'SOOR KHUD PAALTEY HAIN!!!
                        Chal yaar mujay bata ke pakistan ki govt. kin logon ke haath mein honi chahiye, un bundon ka naam bhi mention kerna, phir mein dekhta hoon ke tumhari sooch kis had tak sahi he :lpop:
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #27
                          Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          laoo donoo kaan hath laga kay kheenchoun pher :a stick:
                          Khabardaar jo mere kaanon ko haath bhi lagaya to 2000 volts ki live wire paker ker na khud buchon ga aur na tumhein zinda janay doon ga
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: Kuchh Siyasi-bak-bak-bak-bak-bak

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Chal yaar mujay bata ke pakistan ki govt. kin logon ke haath mein honi chahiye, un bundon ka naam bhi mention kerna, phir mein dekhta hoon ke tumhari sooch kis had tak sahi he :lpop:
                            Pehli baat to yeh hai keh ham log TOP level sey kyun shuru kartey hain? ROOT level sey kyun nahin shuru kartey? Hakoomat koi bhi ho, jab tak hakoomaton sey wabasta log, system, muashra nahin theek kiya jata koi bhi hakoomat ho woh nakaam sabit ho gi.

                            Musharraf is not a bad leader - in fact - in my eyes - he is one of the better leaders Pakistan have ever got! Kis ki jurrat thi pehley keh India ki aankhon mein aankhein daal ker dekhey? Musharraf ney Wajpaii ko siyasat key maidan mein woh shikast di jo TV per sari duniya ney dekhi, Agra jaa ker woh banda apni zidd sey nahin hatta aur India ko majboor kar diya keh Kashmir ko ISSUE samjhey - Kargil mein kamyabi bhi hasil ki... Phir intihaii nazuk halaat mein Pakistan ki behtareen leadership ki - Musharraf is a great leader - MAGAR

                            jaisey keh hamarey haan aksar hota hai, taqat ka nasha bohat bura sabit hota hai, Musharraf ISI muashrey ka aik hissah hai - uskey gird jo log bastey hain woh YEHI muashra hai jo ba'zaat-e-khud aik na'soor hai - aisey mein KOI bhi leader ho - wohi aisa hi sabit ho ga...

                            I am 100% sure keh aaj agar Quaid bhi leader hon to woh bhi ini halaat key mutabiq chalein - ya phir woh siyasat chhorr detey!

                            To kehney sey murad yeh hai keh sab sey pehley muashrey ko drust kijiye - hakoomatein khud kamyaab ho jaein gi!
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #29

                              Sub se pehli baat to yeh ke Hamaray mulk mein Sadarti nazam raij nahi, lehaza hum Mussaraf ko yahan kyoon discuss ker rahay hein :donno:

                              System aur Moaashray ko theek kerne ka formula tajveez keejiye?

                              Root Level se kese chunao ho sakta he, hamaray mulk mein koi aisa institution nahi he jo young blood ko political direction de. Infact yeh system he aisa he ke yahan pe wohi aagay aata he jo powerful hota he, jis ke baazuon mein dum hota he.

                              Aisi soorat-e-haal mein change lai jaye to kese?

                              Hamaray paas ub buchti hein, 3, 4 parties

                              Muslim League-Q
                              Muslim League-N
                              PPPP
                              MMA
                              Tehreek-e-Insaaf

                              This is going to be a bitter pill to engulf, we are left with no option...so in option pe ghoor ker ke rational views pesh kiye jaein. Hum India se seyaastdaan mungwanay se rahay
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #30

                                main pakistani siyasi jumaton ko siyasi jumatein gardaneney sey gurez karta hoon! Siyasat key pech-o-khum sey yeh log waqif nahin, inhein siraf hukmrani sey shughaf hai.

                                I still want to say there is no better option than to boycott and boycott openly!!! Jab tak mulk key log sar nahin uthaein gey halaat nahin badlein gey - apni duniya aap pedah kar agar zindon mein hai - ham bani bnaii rahon per chalna chahtey hain, naii duniya pedah karney liyey bohat si takleefein bardasht karna parrti hain...

                                Working...
                                X