Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

    Salam alaikum
    shoman presents KHUDA K LIAY ..........
    ALLAH HOO iss film ka aik musical item hay kalam hay sufiana aur bohat arsay say saaeeN Zahoor paish kartay rahay haiN ab iss film maiN iss ko remake kia hay aur bohat acha hua hay.... suniay maza aayai ga....
    Attached Files

    kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

  • #2
    Re: KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

    thanks bro main esi ko talash ker raha tha

    Comment


    • #3
      Re: KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

      nice but muje mil geya tha phalay hi

      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


      Comment


      • #4
        Re: KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

        its so suprb.......i liten it already
        kya tusi Bandya jo isi film ka song hai ke lyrics ki
        tashreeh kar sktey hain
        Visit My Designed Poetry Collection Blog
        www.Carless-Lover.blogspot.com

        Comment


        • #5
          Re: KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

          Salam alaikum
          hehehe tashreeh to kar sakta hooN aur kisi hadd takk theek b kar sakta hooN laikin uss k liay bullhay shah k wisdom ko samajhna bohat zaroori hay... aap ko samjha b sakta hooN... pehlay uss k tamaam lyrics yahaaN roman maiN likh daita hooN.. aur thoRa say context b bata daita hooN baaqi aap ko samajh aa jaayai gi..

          BULLHAY NU SAMJHAAWAN AAYAAn BHAINAAn TAY BHARJAAYEEn
          MAN LAY BULLEHYA SAADA KEHNA CHAD DAY PALLA RAAEEYAAn
          AAL E NABI AULAAD E ALI NU TOOn KIOn LEEKAAn LAAEEYAAn
          JERHA SAANU SYED SADDAY DOZAKH MILAY SAZAEEYAAn
          JERA SANU RAAEEn AAKHAY BAHISHTEEn PEENGAAn PAAEEYAAn
          RAAEEn SAAEEn SABHEEn THAAEEn RABB DIAn BAY PARWAEEYAAn
          SOHNIYAAn PARAY HAtAYAAn NAE KOJHIAAn LAY GALL LAAEEYAAn
          JAY TOOn LORAIn BAAGH BAHARAAn CHAAKAR HO JA RAAEEYAAn
          BLLHAY SHOH DI ZAAT KI PUCHNAA AIN SHAKIR HO RAZAEEYAAn

          Janab maiN nay kisi say koi tashreeh poochi nahi hay aur sirf aur sirf apnay hisaab say batanay ki koshish hay... lehaza agar koi ghalti ho to maiN baba bullhay shah aur aap say maafi ka pehlay hi talab gaar hooN...

          Asal maiN baba bullhay shah syed thay aur inn k murshid hazrat shah inayat qadri aik bohat pohanchay huay bazurg aaraayeeN thay zaat k hisaab say to aik din baba bullhay shah k zehen maiN yai baat shaitaan nay Daali k tum syed ho aur wo aaraayeeN tum zaat k oonchay ho wo nahi aur iss baat ka pata shah inayat qadri Rehmat ullah alaih ko laga aur baba bullhay shah k saath wo roohaani rishta khatam ho gya baba bullhay shah ko samajh aa gya k maamla bohat kharab ho gya hay k murshid ki nazar aur taaluq khatam ho gya hay... uss k baad baba bullay shah nay apnay murshid ko manaya aur zaat ko bhula k, naach k, ghungroo daal k unn ko manaanay ka zikr kia hay jaisay "" BULLHAY NACH K YAAR MANAYA AY, , SARA DIL DA KUFR GANWAYA AY , APNAY DIL MAQSAD PAYA AY, JADOn NAZAR *INAYAT KEETI AY......?*muraad shah inayat qadri R A hain""

          JANAB YAI THA CONTEXT ab aayaiN uss baat pay jo bandya maiN hui hay yahaaN RAAEEYAAN ka matlab aaraaeeN hay yaani wo zaat hay jo k unn k murshid paak shah inayat qadri ki thi to uss hawalay say unn say kaha jaa raha ya unn k andar ki awaz thi k " ay bulheya aaraaeeoN ka daaman choR do aur aal e nabi aulad e ali pay harf matt aanay do kion k hamaiN koi syed kehta hay to aisay lagta hay k jhooTa hay aur agar aaraeeN kahay to sahi hay sach hay.. iss k baad bullhay shah khud farmaatay haiN... araeeN saayeeN (shah inayat qadri) sabb jagah haiN aur rabb ki qudrat hay k wo meray saayeeN haiN meray mohtaram murshid haiN aur yai hi rabb ki bay nyaazi hay k uss nay khoobsooratoN ko paray kar dia aur bay shakloN ko muntakhib kia kya baat hay uss bay nyaaz rabb ki jis nay aik syed k liay aik aaraaeeN murshid ka intikhaab kia. aur agar kaamyaabi chahtay ho to apnay aaraaeeN saayeeN (shah inayat qadri ) ka ghulaam ho jaa bhool jaa k tu kya hay teri zaat kya hay bass apnay murshid ko raazi rakh ALLAH ta'ala khud hi raazi ho jaayai ga.

          janab khan saab yai meray bay hadd naa cheez aur aam zehen ki akhtaraa hay tashreeh to bohat door ki baat hay q k maiN baba k wisdom ki khaak tak nahi pohanch sakta... character dedication sincerity purity genuineness aur bohat kuch baba bullhay shah ki shaaeri aur unn k character ka hissa hay.
          Baykamal
          Last edited by baykamal; 21 July 2007, 07:14.

          kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

          Comment


          • #6
            Re: KHUDA K LIAY By SHOAIB MANSOOR ka aik kalam !! ALLAH HOOO !!!

            amazing bhai
            main ny to film bee theek lee hay hay

            Comment

            Working...
            X