Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ajeeb-o-gareeb waaqiya..what will you do...?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ajeeb-o-gareeb waaqiya..what will you do...?

    As salam lo alaikum

    aaj boht ajab waaqiya hua meray saath...zindgi mien pehli baar....

    ghar k qareeb hee markete say kuchh shopping kar k lout rahi thi k ik goori kuri, jis ki ik taang kharaab thi k woh langraa k chal rahi thi ,mili aur kaha k mujhay road cross kara do....i said ok.....

    is k liay mujhay zara waapas jaana para wahan say ussay road cross kraai...she said ,"can u wait for me..i have to shop one thing and have to go back so..plzz...i said sorry i have to go....but....she was saying plzz, plzz,........plz,........

    mujhay rehm aaya and said ok:tauba
    us nay shop say ik cheez khareedi 5 minutes lagay..then she said...mujhay woh main-road cross karaa do mujhay aagay jaana hay....mien ussay samjha rahi hoon k mujhay wapas jaana hay ..par woh plz plz kahay jaa rahi thi...dil k haathoon majboor ussay ik baaar phir road cross karai aur wahan say hee street bhi cross karaai.....

    ab nai sunoo....kehnay lagi k plz tum yahan wait karna mien wapas aaon gi to mujhay phir road cross karni hoo gi..mujhay khud dar lagta hay na.....

    wahan traffic police lady khari thi ...mien nay kaha k mien ussay keh dayti hoon woh wapasi par tumhari help karay gi...to lo ji madam mood bana kar naraaz ho gaien...aur kehnay lagi k woh nhi karaay gi tum hee rukko.....tab apna sar peetnay ko dil chaha..keh yeh madam chahti kya hay.

    khayr mien nay lady police ko kaha k ap issay wapasi par road cross kara dayna...ab uska to kaam hee yeh hay to us nay kaha ok.....aur us larki say baat ki to woh kuchh boli hee nhi, mood mien rahi.....polce lady nay mujh say poocha k issay pata hay k yeh kahan jaa rahi hay aur kab waapas aay gi....then i told her the whole story.....khayr

    mujhay phir bhi hua k theek hay is accident k baad iski zehni haalat kharaab ho gai hoo gi .....to mien nay ussay sorry bola k mien mazeed help nhi kar sakti aur jaa rahi hoon.....aur us nay mujhy gaali di............... zindgi mien pehli baar gaali di kisi nay mujhay aur woh bhi nayki k jawaab mien:pagal: ...gussa nhi aaya magar takleef hui..

    mien bas sooch rahi thi k agar kisi k saath aysa hoo to kya woh dobara aysi nayki karnay k baaray mien soochay ga...ya ho sakta hay k woh jawaab mien ussay 2 ki chaar sunaay...
    yaa mental hay yeh sooch k jaanay day.....

    agar aap k saath aysa hee kuchh waqaya paysh aay to aap ka foran kya reaction ho ...???

  • #2
    Re: ajeeb-o-gareeb waaqiya..what will you do...?

    jab os k zahne halt theek nahe the to ap ka chup rehna he behtr thaa. ap ney jo kia naik irady se kia.....
    mery sath ik waqya howa wo is sey thora diffrent hay. mey van main beth kr ghar a rha tha. mery sath aik almost 45 years old lady bethe the. i respected her like my mother.. lakin kuch dyr baad mujy laga k os ka hath mery side pocket ki tarf ja raha hy.. or jab mujy yaqeen ho gya k os ka hath bilkul mare pocket main pohnch gya hai,,,, main ney os ke umer ka lihaz karty howy munasib na samja k sab logo k samny os ko sharminda karoo. or main ney os ka hath pakr kr dabaya. lakin mujy i was surprised .. jab os ney ik dam mujy kaha k oya larky kion ladies ka hath pakrty ho van main.sharm nahe ate......... lakin jab main ney real story batae to luckly van ka jo driver thaa os ney batya k is orat ney pehly b is taraha k vardat ke hayn..
    Life is more strict than a teacher
    A teacher teaches a lesson
    and takes an exam.
    But life takes an exam
    and then teaches a lesson

    Comment

    • #3
      Re: ajeeb-o-gareeb waaqiya..what will you do...?

      Originally posted by *Duaa* View Post

      Aisa waqeya mere saath to kabi pesh nahi aaia...lekin aap ka reaction theek tha wo mentally retarded larki lagti thi...aur zehni beemaar insaan kuch bhi keh sakta he...
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: ajeeb-o-gareeb waaqiya..what will you do...?

        Originally posted by ASAD View Post
        jab os k zahne halt theek nahe the to ap ka chup rehna he behtr thaa. ap ney jo kia naik irady se kia.....
        mery sath ik waqya howa wo is sey thora diffrent hay. mey van main beth kr ghar a rha tha. mery sath aik almost 45 years old lady bethe the. i respected her like my mother.. lakin kuch dyr baad mujy laga k os ka hath mery side pocket ki tarf ja raha hy.. or jab mujy yaqeen ho gya k os ka hath bilkul mare pocket main pohnch gya hai,,,, main ney os ke umer ka lihaz karty howy munasib na samja k sab logo k samny os ko sharminda karoo. or main ney os ka hath pakr kr dabaya. lakin mujy i was surprised .. jab os ney ik dam mujy kaha k oya larky kion ladies ka hath pakrty ho van main.sharm nahe ate......... lakin jab main ney real story batae to luckly van ka jo driver thaa os ney batya k is orat ney pehly b is taraha k vardat ke hayn..
        Thoora sa is se milta julta waqee mere saath bhi hua...mein bike pe bazar gaya, mera cousin mere saath peechay betha tha...bazar mein rush tha...break ke saath aik raah-geer aurat ka dupata atak gaya aur mein ne forun bike rook li, aur aik minute se pehlay usay sorry ker daala, phir wo kuch booli aap loogon ko sharam nahi aati, falan flan, mein ne kaha ke mein mazrat chahta hon yeh achanak hua mera kasoor nai he aur mein sorry bhi keh raha hoon, phir us aurat ne doosray merdon ki taraf moun ker ke hamein baatein sunana shuru ker dein...phir mere cousin bike se utra aur kaha dafa ho ja yahan se...warna in sub ke samnay tera hashar ker doon ga, tujay apni izat he raas nai...phir wo der ke chup ker gai...loog hamaray paas aaye lekin mein ne kisi ke sawal ka jawab dena munasib nai samja aur wapis apni raah li.
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          Working...
          X