Asalamaalaikum...
ummid hai ap sub khairirat se honge...:rose
Neighbor.. hum ne apni nanu se suna hai ke parosiyon ke hooqoq ka ziker Islam mein itna hai ke jibra-il-ameen ko is baat ki fiker ho chali ke kahein parosiyon ko wirast mein bhi hissa na de diya jaaye... tu chaliye aaj is thread mein apne neighbors per baat karte hain.... aap ke un se relations?? Cooperation.. aur bhi bauaht kuch.... jo aap share karna chahein... kuch gossips bhi chalegi:D ... and many more...:thmbup:
chaliye paihle hum batate hain....:)
Humari society bauaht bari hai ... almost 140 flats hai yahan.. jis mein se kuch 20/25 hi muslims honge... baaqi sub hindu... Jain.. Christian.. gujrati..south Indians.. etc etc... but koi farq nahi.. sub mil jul ker rehte hain... museebat mein aik dosre ke kaam aana... festivals saath manna... eid.. diwali.. Christmas.. lohri..saare hi festivals hum saath manate hain... foods exchange hote hain... aik dosre ke gher dawat hoti hai.. koi kisi ko hurt nahi karta... sub mil jul ker rehte hain... Allahmdullilah... apna bachpan yahein in logon ke beech guzara.. per kabhi kisi qism ka koi larai jhagra nahi daikha... 1992/93 ke bomaby riots mein humari society per bhi hamla howa tha.. it was the bad era for us.. muslims ko kata jaa raha tha.. and at that time jub humari society ki taraf fasdiyon ka rukh howa tu humare ground floor per name paltes hoti thi ke kaun kaun se floor per rehta hai.. aur room number.. with in 5 mins.. society walon ne who charon board ukhare the.. it was really difficult.. per yeh un logon ne kiya.. hath zakhmi kiye.hmmm.. hum sub raat apne hindu parosiyon ke yahan sote the..aur jub muslimsfasadi ka group ata tu who humare gharo mein aa jate..... khane ko kuch nahi tha.. jo sub ke gharon mein tha 140 gher ke log mil baat ker khate the..aur aisa kai dinu tak chala kyun ke baher curfew laga tha...raat bher jag jag ker paihra dete the sub.. woh bura waqt aakhir kaar guzar gaya...Allah ne hume waqai paros accha diya..:alhamd: :)
Chaliye ab aap sub bataiye...
khsuh rahiye...
Allah haafiz...:rose

Comment