Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Talking in Sleep ..............................??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Talking in Sleep ..............................??

    Originally posted by *Hala* View Post
    Asalam o Alikum WR WB:rose

    hope sab khairat sy hogi....
    Do any of you guyz .............
    talk ,
    walk , :4_1_112[1]:

    eat, :hungry:
    fight, :chair::fpan::sword:
    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    aur doosra yeh ke kabi kabi koi sahib hein, ager aap JIN sahib keh lein to ziada behtar ho ga...wo mere seenay pe bohat dabao daal dete hein, ya mere ser ko paker lete hein, mein hoosh mein aa ke bhi hil nahi paata...phir mein aahista se boolnay lagta hoon, aisay mein ghar ka koi bhi bunda mera derwaza khatkhataye ya mujay aawaz de to me us ki grift se release ho jata hoon
    Finding truth - Finding love
    These diamonds sparkle from lights above

    Lorraine Venner

    Comment

    • #17
      Re: Talking in Sleep ..............................??

      Originally posted by Aanchal View Post
      yeh tension ki waja say bhi hoo sakta hai .. mery sath bhi aisa hoo jata hai :) ..mujhay lagata hai na sooi houn na jagi hovi houn lolzz..sab ki awaaizan bhi a rahi hoti hain lekan main hil nahi pati ..zara sa bhi nahi ....or jitni aaytian or kalmay yaad hotay hian sab parh laiti houn :D
      maybe zehan pay dabaoo hoo us ki waja say aisa hoo jata hoo ga :)
      Originally posted by Shaheeen View Post
      bilkul aesa hota hai is kai bara mai mai nai b suna hai kai kuch kuch logo per hota hai .. waisa tu suna hai kai yeh ek saya keh do ya jaisa aap nai kaha jin keh do ... ... jo chest per beth jata hai and tab tak nahi jata jab tak aap ko koi or shakhs helaya ya phir awaz na dai dai ....

      hmm

      Thanx Aanchal Shaheen aur Chalaki,

      Yeh masla kafi der se he...Lekin mein aap ko yeh bata don ke mere saath yeh sub akser jagtay mein hota he, aur yeh waqee hakat hoti he, khawab nahi...

      yeh jo last eid guzri he, is ki chand raat ki baat he...TV Lounge mein meri sisters mehandi laga rahi thein, aur mein un ke paas beth ke gupein haank raha tha...raat ke 1 se 2 ke dermeyaan ka time tha, mera bhai aur cousin shave aur cutting kerwa ke wapis nahi aaye thay. Mein apnay room mein gaya jo ke lounge ke saath attached he...ja ke derwaza bund kia aur bed pe late gaya aur kumble apnay chehray pe le liya...meri aadat he ke mein jub seedha leeton to haath seene pe baand ke lait'ta hoon. mere haath seenay pe thay ke kisi ne mere haathon pe bohat zoor se wazan dala...mujay shak hua ke mera cousin mujay dranay ke liye room mein pehlay se he moojood tha...mein ne soocha ke thoora sa zoor laga ke usay bed pe he patakhta hoon :D jese he mein ne zoor lagaya to us ne bohat ziada wazan mere seenay pe daala, us ne mere baazon ko jaker liya...mein heeran tha ke mere cousin mein itna zoor kese aa gaya...mein ne thoori der saans li...jism ko dhela choora, phir achanak zoor laga ke neechay se nikalnay ki kooshish ki...kumbal mere moun per he tha, lekin is baar to mannon wazan mere seenay pe tha aur sans bhi nikalni mushkil ho gai...mujay pata chal gaya ke yeh wohi cheez he.

      mein ne aawaz deni shuru ki...lekin wo meri jaan choornay ko teyaar nahi tha...meri aawaz halak tak reh jati...koi 20 min aisay huay...mujay lag raha tha ke mein kis azab mein phans gaya hoon...aakhir kaar mein ne aawaz di to meri sister ne baag ke aa ke derwaza khatkataya aur mein release ho gaya.

      Us waqt mujay bohat ghusa aaya...mein ne apnay ghar walon ko bataya hua tha ke ager aap loog meri aawaz suno to zoor se door knock ker diya karo...lekin mujay awazein dete huay kafi time ho gaya tha...meri sister kehti thi ke aap ki awaz aisi thi jese kisi bakray ki thi :tauba ...khair...isi tarah 2 din pehlay bhi raat ko hua...raat 1-2 light off hui...mein bed se uter ke neechay carpet pe late gaya aur pakra gaya...mein acha khasa jaag raha tha, himat ker ke aik do awaz de, ghar walon ne door knock kiya aur within 3 min, me buch gaya :khi:
      :thmbup:

      Comment

      • #18
        Re: Talking in Sleep ..............................??

        Originally posted by aabi2cool View Post
        oh mundia tu 4run ksi achay se dangar doctor ko dekha tery sath to bara ghambeer masla hy:khi:
        Sharam ker molvi mein serious baat ker raha hoon :slap:
        :thmbup:

        Comment

        • #19
          Re: Talking in Sleep ..............................??

          Originally posted by Aanchal View Post
          koi dara rehay hoo :bhago:
          derne ki koi baat nahi. be brave

          aaj se kuch saal pehlay se yeh kaam start hua to mein 1, 2 baar dara, lekin ub mein kitna he bura kyon na phansa hoon, mujay yeh pata hota he ke mein eventually release ho he jaon ga us ki garift se...to mein us waqt derne ki bajaye kooshish kerta hoon ke aik do ounchi aawaz de doon :D
          :thmbup:

          Comment

          • #20
            Re: Talking in Sleep ..............................??

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Thanx Aanchal Shaheen aur Chalaki,

            Yeh masla kafi der se he...Lekin mein aap ko yeh bata don ke mere saath yeh sub akser jagtay mein hota he, aur yeh waqee hakat hoti he, khawab nahi...

            yeh jo last eid guzri he, is ki chand raat ki baat he...TV Lounge mein meri sisters mehandi laga rahi thein, aur mein un ke paas beth ke gupein haank raha tha...raat ke 1 se 2 ke dermeyaan ka time tha, mera bhai aur cousin shave aur cutting kerwa ke wapis nahi aaye thay. Mein apnay room mein gaya jo ke lounge ke saath attached he...ja ke derwaza bund kia aur bed pe late gaya aur kumble apnay chehray pe le liya...meri aadat he ke mein jub seedha leeton to haath seene pe baand ke lait'ta hoon. mere haath seenay pe thay ke kisi ne mere haathon pe bohat zoor se wazan dala...mujay shak hua ke mera cousin mujay dranay ke liye room mein pehlay se he moojood tha...mein ne soocha ke thoora sa zoor laga ke usay bed pe he patakhta hoon :D jese he mein ne zoor lagaya to us ne bohat ziada wazan mere seenay pe daala, us ne mere baazon ko jaker liya...mein heeran tha ke mere cousin mein itna zoor kese aa gaya...mein ne thoori der saans li...jism ko dhela choora, phir achanak zoor laga ke neechay se nikalnay ki kooshish ki...kumbal mere moun per he tha, lekin is baar to mannon wazan mere seenay pe tha aur sans bhi nikalni mushkil ho gai...mujay pata chal gaya ke yeh wohi cheez he.

            mein ne aawaz deni shuru ki...lekin wo meri jaan choornay ko teyaar nahi tha...meri aawaz halak tak reh jati...koi 20 min aisay huay...mujay lag raha tha ke mein kis azab mein phans gaya hoon...aakhir kaar mein ne aawaz di to meri sister ne baag ke aa ke derwaza khatkataya aur mein release ho gaya.

            Us waqt mujay bohat ghusa aaya...mein ne apnay ghar walon ko bataya hua tha ke ager aap loog meri aawaz suno to zoor se door knock ker diya karo...lekin mujay awazein dete huay kafi time ho gaya tha...meri sister kehti thi ke aap ki awaz aisi thi jese kisi bakray ki thi :tauba ...khair...isi tarah 2 din pehlay bhi raat ko hua...raat 1-2 light off hui...mein bed se uter ke neechay carpet pe late gaya aur pakra gaya...mein acha khasa jaag raha tha, himat ker ke aik do awaz de, ghar walon ne door knock kiya aur within 3 min, me buch gaya :khi:
            :mm:..kabhi kisi moulvi sey consult nahi kya....?
            khudana khuwasta woh app ko nuqsan poohnchaye tuu ?

            Comment

            • #21
              Re: Talking in Sleep ..............................??

              Originally posted by aquari View Post

              hmmm...actually jub yeh kaam start hua tha to mujay lagta tha ke masla he, but ub aadat ho gai he...baaz aukaat jub is mein der ho jaye to mein soochta hoon ke aisa kyoon nahi hua...mein chahta hoon ke mein us cheez ko achi tarah experience ker sakon...aik baar mein ne andheere mein us ka heyoola dekha, aur baar mein ne us ke baazu pakray...he was so solid...u see jese chmpansee hotay hein...is tarah ke baazu thay us ke, bohat mazboot...consult is liye nahi kerta ke mujay der nahi lagta...kai baar jub mein is door se guzarta hoon to 5 minute baad usi jagah pe light off ker ke phir se soo jata hoon, cuz mujay pata hota he ke yeh aik raat mein 2 baar attack nahi kerta
              :thmbup:

              Comment

              • #22

                :hehe: ...............

                wese mei bhi peaceful sleeper hoon infact mere pass halki sa shor yaan awaz ho to sonahi pati ........... albat'ta ek baat hai . if i'm sick specially having cold ............... then i snore ral loud kiu ke naak band hota hai na :lol
                sigpic

                Comment

                • #23

                  Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post

                  apnay he kharaaton se tum der ke uth bhi jaati ho gi :kr:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #24

                    achi baat hai k app ko dur nahi lagtaa or ek tarha sey app ko yaqeen hai Allah ki zaat pr k zindagi mout us k haath main haii :dua .
                    mainey is trhaa ki baatain kafi suni haii k gharoo main koi na koi is trha ka wajoud bojoud hota haii sub sey behter tu yehi hai k app apney room main Qurani ayat ka kuch rakhain or khud bhi raat ko 4qul parh kr sooyain .

                    Is trha merey saath hota tha ek zamaney main mager sotey main nahi jagtey main..main tahajud ki paband thi us time,kafi arsa hogaya tha mujhey parhtey howey phir aksar aisa hota thaa k jiasey main parh rahi hoti tuu mehsoos hota thaa k kitchen main koi haii jahan main parh rahi hoti thi usi rukh pr samney kitchen thaa or main neend bhganey ki gharz sey aksar tea bana leti thi ,tu bauht baar mainey feel kya k main niyat main hoo tu kitchen sey aisey awaaaz ati thi k jaisey koi stove jala raha haii ..main bhi nahi dari thi kunk ek tu woh waqt aisa hota tha raat kaakhri pehr phir main ba'wazoo or us waqt ek ajeeeb sa dil main itemnan hota thaa k Upper wala hai naa..jub mainey apney parents ko bataya phr yeh baat khatum hogaii
                    @topic
                    khasi peaceful sleeper hoo ,last 4yrs sey meri neend main sukoon nahi 607hrs bhi soo kr uthoo tu yahi lagta hai k 1min bhi nahi sooi ,i feel k jiasey ankhain tu band hoti hia mager zehn jag raha hota haii musalsal kaam kr raha hota haii abb tu kahis use to hogaii hoo ,kabhi bauhty gehri neend hoo tu ass pass waloo ko mera haath lag jata hai other wise koshish yehi hoti haii k koi meri waja sey disturb naa hoo.or barii jaldi meri ankh khul jati haii .

                    Comment

                    • #25

                      well bro is ka yahi ilaj hai sona sai pehla Ayetul Qursi and 4 qul parha karai ... or han seedha na leta karain hamesha side per leta karai .or hath b na banda karai .. side per waisa tu dono side theek hai per right side zyada behtar hai ... sunnat tareka b hai or heart per b dabao nahi hota

                      ahah bilkul jub bukhar hota phir yeh hota hai ...... waisa mujhay jub nend nahi ati tu waisa hi let kar thori boht awazain start kar deta ho

                      Comment

                      • #26

                        nahi uncle .... jab antibiotics lee hon to itna hosh nahi rehta ... besids jab aisa ho i take sleeping pills kiu ke ous ke bagair mera guzara nahi ....... :lpop:

                        Originally posted by Shaheeen View Post

                        ahah bilkul jub bukhar hota phir yeh hota hai ...... waisa mujhay jub nend nahi ati tu waisa hi let kar thori boht awazain start kar deta ho
                        tum to ho hi ............. ab mei kya kahoon :hehe:
                        sigpic

                        Comment

                        • #27

                          waise mein isay wahima kahon ga...cuz, aawazein aana raat ke waqt aik aam baat he...meri sisters bhi der jati hein, ke chut (rooftop) pe koi he, koi chal raha he, koi baag raha he, lekin mein in cheezon ki perwah nahi kerta...ya kabi kabi kitchen se koi bertan gir jata he...i know ke yeh aisa din ko bhi ho sakta he...ya chootay mootay keeray wagaira bhi aisa ker saktay hein...baki Allah behtar jananay wala h.

                          aur jo doosri baat aap ne kahi...to practicle loogon ke saath aisa hota he, yaani yeh wo loog hotay hein jo saara din apnay kaamon mein jobs mein masroof rehtay hein...wo sootay mein bhi unconsciously jaag he rahay hotay hein
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: Talking in Sleep ..............................??

                            Originally posted by Shaheeen View Post
                            well bro is ka yahi ilaj hai sona sai pehla Ayetul Qursi and 4 qul parha karai ... or han seedha na leta karain hamesha side per leta karai .or hath b na banda karai .. side per waisa tu dono side theek hai per right side zyada behtar hai ... sunnat tareka b hai or heart per b dabao nahi hota

                            ahah bilkul jub bukhar hota phir yeh hota hai ...... waisa mujhay jub nend nahi ati tu waisa hi let kar thori boht awazain start kar deta ho
                            bara technical point bataya he :wk

                            soochta hoon ke perh ke sooya karon, lekin routein aisi he ke yaad he nahi rehta :D
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: Talking in Sleep ..............................??

                              Originally posted by Shaheeen View Post
                              well bro is ka yahi ilaj hai sona sai pehla Ayetul Qursi and 4 qul parha karai ... or han seedha na leta karain hamesha side per leta karai .or hath b na banda karai .. side per waisa tu dono side theek hai per right side zyada behtar hai ... sunnat tareka b hai or heart per b dabao nahi hota
                              :thmbup:
                              sigpic

                              Comment

                              • #30
                                Re: Talking in Sleep ..............................??

                                Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
                                nahi uncle .... jab antibiotics lee hon to itna hosh nahi rehta ... besids jab aisa ho i take sleeping pills kiu ke ous ke bagair mera guzara nahi ....... :lpop:
                                ager tum antibiotics na bhi lo to bhi 3 din mein yeh sub theek ho jata he...aur ager lo bhi to bhi 3 din lagtay hein, lekin ofcourse waqti relief milta he...kooshish kia karo ke antibiotics kum khao...yeh liver mein metabolize hoti hein...so not good for liver
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X