salam aap k khiyal main kisi sy badla laina kaisa hay?
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Badla..............
Collapse
X
-
Re: Badla..............
I'm not in favor of it ............. its neither my nature .......... mere khayal se hum kisi se badla tab letey hain jab khudh ko kisi se bartar sabit ker kai dosrey ko neecha dikhana chahtey hain ........ which a sick mind can think only ....... yeh humarey nadar ka ehsas-e-kamtari hota hai ........... khair mere sath koi galat karey to ousey ou ske haal per aur ous ka badla khudha per chor deti hoon ....... mere nazdeek is ka is se behter koi hal nahi ....... :lpop:
My mum advised me once " koi jo kerta hai (bura / galat) ousey khuda per chor do magar badley mei khudh ko apney character se matt girao) it sticked in my mind like anything :taubasigpic
Comment
-
Re: Badla..............
Originally posted by ummid View PostAsalamaalaikum zindagi ji........:blush:
badla lena zara bhi acchi baat nahi... maaf kar dena Allah ko pasnd hai... tu maaf kar dena chahiye.... thats what I think....:blush:
khush rahiye..:comfort:
Comment
-
Re: Badla..............
Originally posted by 'Sweet & Sour' View PostI'm not in favor of it ............. its neither my nature .......... mere khayal se hum kisi se badla tab letey hain jab khudh ko kisi se bartar sabit ker kai dosrey ko neecha dikhana chahtey hain ........ which a sick mind can think only ....... yeh humarey nadar ka ehsas-e-kamtari hota hai ........... khair mere sath koi galat karey to ousey ou ske haal per aur ous ka badla khudha per chor deti hoon ....... mere nazdeek is ka is se behter koi hal nahi ....... :lpop:
My mum advised me once " koi jo kerta hai (bura / galat) ousey khuda per chor do magar badley mei khudh ko apney character se matt girao) it sticked in my mind like anything :tauba
Comment
-
Re: Badla..............
Originally posted by Zindgi View PostChayee kaisi bee sort hal ho?
apna Insaaf Allah per chor dena hi kaafi hota hai... aur humare baba tu yeh bhi kaaihte hain ke kisi ko ba-duaa dena bhi aik tarah ka badla hi hai us ke khilaaf... aur maaf karne mein hurj hi kya hai.... :blush: ager aap samne waale ki di hoi kisi takleef per use se badla lein tu usey aik ajeeb si taskeen hoti hai ke jo us ne kiya us se aap ko takleef pohanchi yaani woh apne maqsad mein kamyaab howa... kisi ko maaf kar dena hi sub se bara badla hai... baaqi Allah Insaaf ke liye baitha hai... avein mein khud ko halkaan karna...sahi nahi... hai na???
Comment
-
-
Re: Badla..............
Walaikom Assalam....aap any woh baat tu suni hogi keh jo badlay lainay kay tareeqooN per ghour karta hai us kay zakhm hamesha haray rehtay hain......
badla lia ja sakta hai ...is mein koi harj.......jitnay bura koi ap kay saath karay utna hi bura aap us kay saath bhi kar sakti hain.....lakin pata hai....jab koi hamaray saath bura karta hai ...hamain takleef ponchata hai tu us kay gunaahooN mein izafa ho jata hai aur humari naikiyooN mein........jab badla lai lia....... tu hisaab barabar ho jai gaa...lakin naikiyaaN nahin mil paiN gi.....
ALLAH TALAA muaaf karna aur muaaaf karnay walooN ko pasand karta hai .....agar ham loagooN ko muaaaf karain gay tu ALLAH TALAA humain muaaaaf karay gaa...yeh ahadees say sabit hai......
dosri baat ALLAH TAALAA zyada buht zyada QADIR hai.....woh jo chahay kar sakta hai....badla lainay mein sometimes apna nuqsaaan ho jata hai.....jab keh ALLAH TALAA per chornay mein aap ko sokoon bhi milay gaa aur mustaqbil mein jab aaap us shakhs ko waisay hi takleef bardasht kartay dekhain gi tu aap ko makafaat-e-amal per yaqeen bhi aajaiga ......
ALLAH TALAA zyadti karnay walooN ko hergiz pasand nahin karta...:rose
Comment
Comment