Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Edher aao sab...plz

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Edher aao sab...plz

    Aslam o alikum , aap sab loag kaisy hain? main new new hun shaid ap muj sy ziyda bat na karian lakin pher bee main yehi kahongee k kam az kam yehan reply hee ker daina....

    aap sy aik baat pochni hay
    kia kabi aap ko ahsaas huwa hy k aap ny koi bee baat kahee ho to wo ghalt keh di hu. ya pher aisa hay k aap ny baad main socha hun k meri baat ka koi faida hee nahi main ny apny elfaz zaya kiy hian.
    ya pher yeh k ap ke un elfaz kee kisi ny qadar nahi kee
    aisa kuch huta hay ap k sath bee.

  • #2
    Re: Edher aao sab...plz

    Originally posted by Zindgi View Post

    Waalaikumasalam....:rose
    is mein naye purrane ki kya baat hai dear....yahan tu subhi lage rehte hain...:khi:
    khair... nice question.. akser hi aisa hota hai... specially hum tu akser hi kuch na kuch bongiyaan marte rehte hain .. gher mein..:lpop: aihsas us waqt hota hai jub amma ya nanu per nazar perhti hai:blush: ... baqool amma... itna perh likh ker bhi kahan kya bolna hai tumhe sumjh nahi aati.:embarasse . per ab hum aise hi bewaqoof nahi...:D aur raha sawal humare alfaz ki qader ka tu :alhamd: aisa seriously tu kabhi nahi howa.. I mean... mazaq mein tu akser hi bongiyaan chalti rehti hai.. per jub serious mashwarah dena ho tu hum unhe hi dete hain jo mangein... aur woh bhi through empathy.. aisa nahi ke yun hi bol diya..

    Comment

    • #3
      Re: Edher aao sab...plz

      Pg per ap ko Welcome..............
      ap ney kafi sary sawal poch liya ..... jab ghalt bat karny ka ehsaas ho gya to phir yeh kio sochna k main ney apny ilfaz zaya kia. yah mare is bat ka koe faida nahe howa, or ap k ilfaz ke kise nay kadar nahe ke....... jab bat he ghalt ke to koe kadar kion kary...? ghalt bat karny k bad yeh sochna chahiya ke ap ki is bat sey koe heart to nahe howa..yah phir kise ney is bat sey ap ko ghat observe ker liya...??
      Life is more strict than a teacher
      A teacher teaches a lesson
      and takes an exam.
      But life takes an exam
      and then teaches a lesson

      Comment

      • #4
        Re: Edher aao sab...plz

        Wa slaam... hotaa hai janab.. Mai nai 1,2 baar kisi sey kuch talakh kalmii kar dii thiii magar baaad mai mujhay ehsaas hua k mai nai ghalt kia hai tou mai nai foran uss sey muafiii maaangee thaaaaa.
        Insaaan ko ehsaaas ho hii jataaaa hai.

        Comment

        • #5
          Re: Edher aao sab...plz

          han esa ho jata he kabhi kabhi ke bolne ke baad ehsas hota hy k ghalat bol gai

          Comment

          • #6
            Re: Edher aao sab...plz

            Walaikom Assalam..
            jahan aisa lagay keh ham bol kar bus baat zayaa kar rahay hain ...wahan ham bolty hi nahin ....simple:lpop:
            aur aap naye puranay ki fiker nahin karain....yahan per sab aik dosray say aat kartay hain:phool:
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment

            • #7
              Re: Edher aao sab...plz

              hhota hai kaafi dfa howa hai

              jab main sochta hon k maine ghalti ki to main sorry bool deta hon

              mujay sorry boolne man sharam nai aati bilkol b

              aur jab dekhta hon k mari baat ka kisi pe koe asar nai ho raha ...

              to kata hon bhaar man jaye jo nia sonta ...

              jo sonta hai wo hi acha hai ... chahay ak hi ho magher wo ak baaki sab ki jga ko fil kar deta hia :)

              Comment

              • #8
                Re: Edher aao sab...plz

                uf kia dil ki baat ki hay mayray sath roz aysa hi hota hay jub bhi mama ko kutch kahti hon humysha kahti hain tum to chup hi kero ager kah don mama aysay nahi hota bolti hain zayda pher likh gay ho tumhain zyda pata hay.bus ji kia kahon mayri batain sirf mayray baba suntay hain baqi ub per mayri batain zaya hi jatin hain.tum nain dil ko chayr dia hay

                Comment

                • #9
                  Re: Edher aao sab...plz

                  Originally posted by neha_ahmad View Post
                  uf kia dil ki baat ki hay mayray sath roz aysa hi hota hay jub bhi mama ko kutch kahti hon humysha kahti hain tum to chup hi kero ager kah don mama aysay nahi hota bolti hain zayda pher likh gay ho tumhain zyda pata hay.bus ji kia kahon mayri batain sirf mayray baba suntay hain baqi ub per mayri batain zaya hi jatin hain.tum nain dil ko chayr dia hay
                  chalain aap k baba jo aap ki baath suntey hain tho iss sey ziadah aap ko aur kia chaahiye?keh nahi chaahiye?

                  Comment

                  • #10
                    Re: Edher aao sab...plz

                    Originally posted by Zindgi View Post
                    Aslam o alikum , aap sab loag kaisy hain? main new new hun shaid ap muj sy ziyda bat na karian lakin pher bee main yehi kahongee k kam az kam yehan reply hee ker daina....

                    aap sy aik baat pochni hay
                    kia kabi aap ko ahsaas huwa hy k aap ny koi bee baat kahee ho to wo ghalt keh di hu. ya pher aisa hay k aap ny baad main socha hun k meri baat ka koi faida hee nahi main ny apny elfaz zaya kiy hian.
                    ya pher yeh k ap ke un elfaz kee kisi ny qadar nahi kee
                    aisa kuch huta hay ap k sath bee.

                    Wa alaikum salam Zindagi:)
                    Pegham par sab khas hien koi nya ho ya puraana matters not:)
                    haan dear aysa hota hay kabhi kabhi k baat karnay k baad ehsaas hota hay k hum nay galat baat ki :embarasse ya kabhi hum moozoon alfaaz istemaal nhi kar paaty to baat ka matlab galat lay liya jaata hay......:tauba
                    to ik aadh baar aysa bhi hua k baat karty karty ehsaas hua k khamoshi behtr hay :shh: ...baat karna nah karna brabar hay ...to khamosh ho gay kiun k hamien baat sunaanay k liay saamnay waalay ki mukamal tawajah chahiay hoti hay warna hum baat nhi karty.:na:
                    hum un k saamnay hee baat karty hien jo qadar karien warna khamosh rehtay hien:)

                    Comment

                    • #11
                      Re: Edher aao sab...plz

                      Pg per ap ko Welcome..............
                      hota hai hota aasa meray sath kafi baar howah hai

                      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

                      Comment

                      • #12
                        Re: Edher aao sab...plz

                        Originally posted by ummid View Post
                        Waalaikumasalam....:rose
                        is mein naye purrane ki kya baat hai dear....yahan tu subhi lage rehte hain...:khi:
                        khair... nice question.. akser hi aisa hota hai... specially hum tu akser hi kuch na kuch bongiyaan marte rehte hain .. gher mein..:lpop: aihsas us waqt hota hai jub amma ya nanu per nazar perhti hai:blush: ... baqool amma... itna perh likh ker bhi kahan kya bolna hai tumhe sumjh nahi aati.:embarasse . per ab hum aise hi bewaqoof nahi...:D aur raha sawal humare alfaz ki qader ka tu :alhamd: aisa seriously tu kabhi nahi howa.. I mean... mazaq mein tu akser hi bongiyaan chalti rehti hai.. per jub serious mashwarah dena ho tu hum unhe hi dete hain jo mangein... aur woh bhi through empathy.. aisa nahi ke yun hi bol diya..
                        :thmbup: khush rahin:tauba

                        Comment

                        • #13
                          Re: Edher aao sab...plz

                          Originally posted by ASAD View Post
                          Pg per ap ko Welcome..............
                          ap ney kafi sary sawal poch liya ..... jab ghalt bat karny ka ehsaas ho gya to phir yeh kio sochna k main ney apny ilfaz zaya kia. yah mare is bat ka koe faida nahe howa, or ap k ilfaz ke kise nay kadar nahe ke....... jab bat he ghalt ke to koe kadar kion kary...? ghalt bat karny k bad yeh sochna chahiya ke ap ki is bat sey koe heart to nahe howa..yah phir kise ney is bat sey ap ko ghat observe ker liya...??
                          :SubhanAllhaa: very nice asad sahib ap ny acha nukta paish kia

                          Comment

                          • #14
                            Re: Edher aao sab...plz

                            Originally posted by shahbaznk View Post
                            Wa slaam... hotaa hai janab.. Mai nai 1,2 baar kisi sey kuch talakh kalmii kar dii thiii magar baaad mai mujhay ehsaas hua k mai nai ghalt kia hai tou mai nai foran uss sey muafiii maaangee thaaaaa.
                            Insaaan ko ehsaaas ho hii jataaaa hai.
                            :phool: achi baat hay:comfort:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Edher aao sab...plz

                              Originally posted by hamzad View Post
                              han esa ho jata he kabhi kabhi ke bolne ke baad ehsas hota hy k ghalat bol gai
                              to pher kia karty hu ap?

                              Comment

                              Working...
                              X