Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

parents or bachay........?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • parents or bachay........?

    Assalamalikum
    yeh topics parents or bachoun kay taluqaat pay hain ....
    main nay aik cheez note ki hai kay kuch parents bachoun kay sath kafi sakht raweya reakhtay hian kay woh bachay parents say apni baat keh bhi nahi patay ...parents ka khayal hota hai kay bachoun main parents ka "dar" peda karnay say bachay baat zaida mantay hian or bigratay nahi hain :D: ..

    or dosri taraf kuch parents ka khayal hai kay bachoun say "dosti" karni chaye is taraha kay har baat woh parents say share karain ...kuch bachay aisay hain kay woh jis taraha apnay dostoun say baat kartay hain wesay hi free hoo kay apnay parents say bhi kartay hian ....


    No doubt donoo taraha kay waldeen apnay bachoun say buhat peyaar kartay hain lekan tareeka donoo ka alag alag hota hai ....aap logoo ki raye main kia tareeka sahi hai ?

    mujhay dosti wali baat zaida pasand hai ...or kio pasand hai is pay bhi comments doun gee apnay ....aap loog bhi apnay comments daian is pay :thmbup:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: parents or bachay........?

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum
    yeh topics parents or bachoun kay taluqaat pay hain ....
    main nay aik cheez note ki hai kay kuch parents bachoun kay sath kafi sakht raweya reakhtay hian kay woh bachay parents say apni baat keh bhi nahi patay ...parents ka khayal hota hai kay bachoun main parents ka "dar" peda karnay say bachay baat zaida mantay hian or bigratay nahi hain :D: ..

    or dosri taraf kuch parents ka khayal hai kay bachoun say "dosti" karni chaye is taraha kay har baat woh parents say share karain ...kuch bachay aisay hain kay woh jis taraha apnay dostoun say baat kartay hain wesay hi free hoo kay apnay parents say bhi kartay hian ....


    No doubt donoo taraha kay waldeen apnay bachoun say buhat peyaar kartay hain lekan tareeka donoo ka alag alag hota hai ....aap logoo ki raye main kia tareeka sahi hai ?

    mujhay dosti wali baat zaida pasand hai ...or kio pasand hai is pay bhi comments doun gee apnay ....aap loog bhi apnay comments daian is pay :thmbup:
    buhat acha topic chose kia hai mishhh jiii:khi:

    hum is per tafeeli comments dein gy ...abhi jaldi hai ...:)

    Comment


    • #3
      Re: parents or bachay........?

      dosti wala option zeada acha he

      Comment


      • #4
        Re: parents or bachay........?

        bilkul ji bachchon may dur khof nahi hosla paida karna chaahiye,aur yeh unn say dosti kar k he paida ki jaasakti hai.

        Comment


        • #5
          Re: parents or bachay........?

          Originally posted by Aanchal View Post
          Assalamalikum
          yeh topics parents or bachoun kay taluqaat pay hain ....
          main nay aik cheez note ki hai kay kuch parents bachoun kay sath kafi sakht raweya reakhtay hian kay woh bachay parents say apni baat keh bhi nahi patay ...parents ka khayal hota hai kay bachoun main parents ka "dar" peda karnay say bachay baat zaida mantay hian or bigratay nahi hain :D: ..

          or dosri taraf kuch parents ka khayal hai kay bachoun say "dosti" karni chaye is taraha kay har baat woh parents say share karain ...kuch bachay aisay hain kay woh jis taraha apnay dostoun say baat kartay hain wesay hi free hoo kay apnay parents say bhi kartay hian ....


          No doubt donoo taraha kay waldeen apnay bachoun say buhat peyaar kartay hain lekan tareeka donoo ka alag alag hota hai ....aap logoo ki raye main kia tareeka sahi hai ?

          mujhay dosti wali baat zaida pasand hai ...or kio pasand hai is pay bhi comments doun gee apnay ....aap loog bhi apnay comments daian is pay :thmbup:

          walaikum salam Aanchal!

          meyrey khayal mey na hi itni sakhti kerni chahiye key bachey apney parents key naam sey hi dartey hon, aur na hi itni narmi key bachey apney friends aur parents mey koi farq nahi jaantey hoN.


          Dosti sey muraad Parents ko apney bachoN ko itna kareeb rakhna cahhiye key bachey apni saari planings aur saari activities un sey kahein aur respect bilkul parents wali deiN like unhein apney friends ki tarhaN to bilkul na treat kareiN ........
          Aik aur baat wo ye hai key bachey akser apni baateiN jab parents ko btatey hein to kabhi Parents un mey koi interest nahi leytey hein ya phir foran sey hi mana ker deytey hein key "nahi" .......Parents ka iss tarhaN ka attitude bhi ghalt hota hai kyun key agar wo her baat mey Nahi kahein gey to bohot mumkin hai key aik bacha ainda koi kaam apney Parents ko bata key nahi karey ga kyun key us key zeyhan mey ye baat beyT jaye gi key Parents ney to NO hi kehna hai ..........
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: parents or bachay........?

            Originally posted by Aanchal View Post
            Assalamalikum
            yeh topics parents or bachoun kay taluqaat pay hain ....
            main nay aik cheez note ki hai kay kuch parents bachoun kay sath kafi sakht raweya reakhtay hian kay woh bachay parents say apni baat keh bhi nahi patay ...parents ka khayal hota hai kay bachoun main parents ka "dar" peda karnay say bachay baat zaida mantay hian or bigratay nahi hain :D: ..

            or dosri taraf kuch parents ka khayal hai kay bachoun say "dosti" karni chaye is taraha kay har baat woh parents say share karain ...kuch bachay aisay hain kay woh jis taraha apnay dostoun say baat kartay hain wesay hi free hoo kay apnay parents say bhi kartay hian ....


            No doubt donoo taraha kay waldeen apnay bachoun say buhat peyaar kartay hain lekan tareeka donoo ka alag alag hota hai ....aap logoo ki raye main kia tareeka sahi hai ?

            mujhay dosti wali baat zaida pasand hai ...or kio pasand hai is pay bhi comments doun gee apnay ....aap loog bhi apnay comments daian is pay :thmbup:
            w/alaikum Assalam:salam:

            balance is the keyword here...balance hona chahiye, na ziada sakhti k bachay ki personality destroy hojaye durr k maaray ..aur woh doosri jagah'on say support lainay jaye jo' zaruri nahi k sahii loag ho'n plus na hii ziada narmii because obviously phir respect khatam ho'jati hay.

            i guess iska solution yehi hay k aik parent ko thora strict aur aik ko thora soft hona chahiye taqay balance rahay:blush:
            Finding truth - Finding love
            These diamonds sparkle from lights above

            Lorraine Venner

            Comment


            • #7
              Re: parents or bachay........?

              Originally posted by Aanchal View Post
              Assalamalikum
              yeh topics parents or bachoun kay taluqaat pay hain ....
              main nay aik cheez note ki hai kay kuch parents bachoun kay sath kafi sakht raweya reakhtay hian kay woh bachay parents say apni baat keh bhi nahi patay ...parents ka khayal hota hai kay bachoun main parents ka "dar" peda karnay say bachay baat zaida mantay hian or bigratay nahi hain :D: ..

              or dosri taraf kuch parents ka khayal hai kay bachoun say "dosti" karni chaye is taraha kay har baat woh parents say share karain ...kuch bachay aisay hain kay woh jis taraha apnay dostoun say baat kartay hain wesay hi free hoo kay apnay parents say bhi kartay hian ....


              No doubt donoo taraha kay waldeen apnay bachoun say buhat peyaar kartay hain lekan tareeka donoo ka alag alag hota hai ....aap logoo ki raye main kia tareeka sahi hai ?

              mujhay dosti wali baat zaida pasand hai ...or kio pasand hai is pay bhi comments doun gee apnay ....aap loog bhi apnay comments daian is pay :thmbup:
              sub loogon ke comments perhay mein ne achay comments hein lag bag sabi ke.

              mera nazriya yeh he ke buchon se bohat ziada doostana mahool rakha jaye...yahan sakhti ki koi gunjaish nahi. Lekin

              Lekin yeh ke parents ko kuch sensible hona chahiye...unhein buchay ki psychology ko read kerna chahiye ke buchay ne kis tarah ka charector inherit kia he aur wo us ke accordingly plan karein...meri nazar mein buchay mein shaoor paida kerna aik KEY he...buchay ko aap bilkul free rakhein apnay saath lekin us ke saath buchay ke ander itna shaoor hona chahiye ke wo apnay parents ki respect ker sakay aur apnay parents ki feelings ka ehtaram bhi ker sakay...is liye meri nazar mein buchay ko ziada pyaar ya ziada daant se ziada SHAOOR pe emphasize karon ga. buchay mein ager shaoor aur samaj paida ho jati he to wo confident aur parents ki respect kerne wala insaan banay ga
              :thmbup:

              Comment


              • #8
                Re: parents or bachay........?

                mujhe dono theek lagte hain..... :) kyun ke kuch bachay sakhti se line pay rahte hain

                Comment


                • #9
                  Re: parents or bachay........?

                  yaar buchay pyaar ki zuban samajtay hein...nunny munny phoolon per zulm kyon kia jaye
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: parents or bachay........?

                    topic bohat acha hai aanchal jaani.

                    auroo ka tou ziyada patta nahi
                    lekin mere mama papa ney hume bohat hi laad pyaar se paala hai
                    humare saath un ka relation bohat hi frank hai
                    hum un se apni sab hi baatei bejhijhak share kar saktey hai
                    woh naraaz nahi hote hai baat ghalat ho tou pyaar se samjha detey hai aur baat achi ho tou support kartey hai.
                    aisa hi relation hona chahiye.
                    specialy meri mama , dost ziyada hai aur mama kamm hai.
                    jab tak bachey apney parents se har baat share karey ge mera nahi khayal ke woh bigree ge.
                    :rose Refreshing_breeze :rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: parents or bachay........?

                      bohat acha topic hay aanchal .myray baba or mama hum say bohat qreab hain.humain un ki taraf say full sport hi rahi hay,her trhan say.isi leay hum un say dertay nahi hain un ka ahtram kertay hain,daykho der say bachay kabhi kutch nahi ker pata or na hi kutch kah patay hain,parents ka der unhain khul ker apni koi bhi salaheat manwanay hi nahi dayta.or rahi baat dosti ki to acha hay na hum nain bahir dost bohat kum banay hain is leay kay hum nain apnay baba say dosti ki un say her baat share ki un say kuth nahi chupatay isi leay to wp humarai her bat suntay or mantay hain.dosti main un ka ahtram lazim hay.isi leay aaj hum jo chahtay hain khul ker ker saktay hain.baba ko aytmad main lay ker bina kisi der or khof kay.

                      Comment

                      Working...
                      X