Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mujhe eik shaks se nafrat hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

    Nafrat. AIk Moslman ko jeez nahi deta kay wop dosray say nafrat karay.
    ALLHA tala ham sab kay diloon main muhabbat atta farmay.
    wesay bhi Islam main 3 roz say zada app naraz na rahay..ager dosra na bolay to app us say khud baat karay...yaad rakhoo bhai kay phal karnay wala hi bara hota hain..Aur ALLHA ko maaf kar daynay wallay log bohat passand hain...so dar guazar kiya kray...zindagi hain.. kal ho na ho.......
    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

    Comment

    • #32
      Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

      Originally posted by D@y W@lk3r View Post

      ahan bhai... aap london se aane ke baad kuch kuch aqalmand hogaye hain...lolz'
      agree with you.... aik mamoli si narazgi ko nafrat ka naam dena intehai bewaqoofi hai.. nafrat aik aisa jazba hai jo bagair badlah liye kabhi shaant nahi hota... jub ke narazgi mein aap aisa kuch nahi hota.. badlah wagairah lena narazgi ka hissa nahi... aur hum narazgi aur nafrat ko mila ker apni danist mein nafrat jaise jazbe ko Insaani fitrat ka naam de dete hain...:lpop:
      aur yeh bhi qatai zarori nahi ke hum ise na-pasnd karte ho'n us se nafrat karne lag jaye...:lpop:

      Comment

      • #33
        Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

        Bauht sey aisey loog hai merey ird gird jin sey mujhey behad nafrat hai k main un ka wajood bhi nahi bardsaht kr patii.thori shidat pasnd hoo ager jis ko bhi chahaha hai tu toot kr laikin ager us ney meri limits croos ki tu phr nafrat bhi inteha sey guzar kr ki haii.
        Or in general mujhey aisey insan sey behad nafrat hojati haii jo mujehy jantey howey bhi meri baat ka aietbar na kareyy ,us k nazar main meri koi value na hoo,jo mujhey taken for granted ley.Or jo loog kisi k kirdar pr ungli uthatey hain bina soochey samjhey ,apney sey related logo ki respect nahi krteyy mujhey zehar lagtey hain .

        Comment

        • #34
          Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

          Originally posted by neha_ahmad View Post
          main chah ker bhi aysay insan say nafrat nahi ker sakti jo mujhay takleaf day
          masalun
          Last edited by Mujahid Khan; 17 May 2007, 17:16.

          Comment

          • #35
            Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

            Originally posted by D@y W@lk3r View Post
            Nafrat. AIk Moslman ko jeez nahi deta kay wop dosray say nafrat karay.
            ALLHA tala ham sab kay diloon main muhabbat atta farmay.
            wesay bhi Islam main 3 roz say zada app naraz na rahay..ager dosra na bolay to app us say khud baat karay...yaad rakhoo bhai kay phal karnay wala hi bara hota hain..Aur ALLHA ko maaf kar daynay wallay log bohat passand hain...so dar guazar kiya kray...zindagi hain.. kal ho na ho.......
            jahan tak rishtadari or friendship ki baat hai us main narazgi hoo jati hai or door bhi hoo jati hai baat cheet say lekan wesay kisi or say raah chaltay aan ban hoo jaye youhni achanak woh kesay door ho gee pher :D
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment

            • #36
              Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

              mujay kuch loogon se nafrat hui, baad mein un se doosti ho gai, phir bohat achi doosti bhi rahi un se. Her bunday mein kuch aisi khobiyaan zaroor hoti hein jis ki bina pe usay pyaar kia ja sakay...yeh apni apni priority he k hum pehlay koon si khoob dekhna chahtay hein.

              Mein Fsc. mein tha ke hamara football ka aik match tha aur us match ke dooran mera jagra ho gaya...opp team ke aik player ne mere saath body play kia, wo bari aggressive body language show ker raha tha...phir mein ne us ka bazu paker ke usay gumaya, aur phir zabardast larai shuru ho gai. kafi bari larai thi bohat se loog involve ho gaye...kafiyon ko chootein aaein...mujay bhi aaein...khair, us larkay ko aik do haath ziada lag gaya...khair kuch loogon ne baad mein mil ke sula kerwai...aur wo larka us din ke baad itni izat kerne laga ke kia bataon :p khair mein bhi us ki bohat izat kerta hoon, wo mere saath walay mohalay mein rehta he and we have very good relations.

              Mere kuch relatives naraz ho jatay hein...mein baatein moun pe bool deta hoon :lol mere taya ne aik baar mujay kaha ke mere ghar se chalay jao aur aainda apna kadam bhi na rakhna yahan pe...sabi loog dekhnay lag gaye, mere cousin mere taya ko rooknay lagay ke yeh aap kia keh rahay hein (you know khandan mein loog meri kafi izat kerte hein na :hehe: ) mein ne kaha aap mujay nikaal ke dikhaein, mein to yahan betha hoon, aur un ke soofay pe beth gaya :lol aur kehnay laga aap koon hotay hein mujay ghar se nikalnay walay yeh mere taya ka ghar he :lol :lol khair us waqt mein achay mood mein tha, is liye 5 min mein wo bhi hasnay lagay...meri jagah koi aur hota to saari zindagi us taraf moun na kerta :lol

              Us match ke pehlay wo larka bohat aggressive hua kerta tha baad mein aik shareef insaan ki tarah he dikha jahan bhi dikha. so nafrat pyaar mein badal sakti he...yeh depend kerta he aap pe, ke aap mein kitni flexibility he, aur aap situation ko kese handle kertay ho.
              :thmbup:

              Comment

              • #37
                Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                Mujay kuch loogon se nafrat hui, baad mein un se doosti ho gai, phir bohat achi doosti bhi rahi un se.
                I think azamye howey logo ko dobara nahi azamaya jataa !

                Her bunday mein kuch aisi khobiyaan zaroor hoti hein jis ki bina pe usay pyaar kia ja sakay...yeh apni apni priority he k hum pehlay koon si khoob dekhna chahtay hein.
                Well u r right after all koi perfect nahi hosaktaa ,or yeh hum prhi depend krta haii k hum samney waley ki kis baat sey mutasir hokr nafrat ya mohabbat ka rishta us sey istawar krtey hain .

                Us match ke pehlay wo larka bohat aggressive hua kerta tha baad mein aik shareef insaan ki tarah he dikha jahan bhi dikha. so nafrat pyaar mein badal sakti he...yeh depend kerta he aap pe, ke aap mein kitni flexibility he, aur aap situation ko kese handle kertay ho.
                Mager yeh baat yaktarfaa tu nahi hosaktii k app hi achaa response dey rahey hoo agr woh larka dobara app k saath wohi aggresivness show krta tu yaqeenan app ka phr jhagra hotaa

                @TOPIC
                I think nafrat pehlei nazar ya 1st meeting main nahi hoti yeh unhi sey ki jaskati hai jin seykabhi gehra tauluq reh chuka hoo .1st meeting main hum kisi ko napasand krsaktey hian kisi bhi waja seyy or baat main yeh napasandeedgi pasand main badl sakti haii .Pr ek bar jo nazroo sey gir jaye us sey dobara mohabat ya utna hi gehra rishta qayim hona mushkil haii .

                Comment

                • #38
                  Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                  Originally posted by aquari View Post
                  I think azamye howey logo ko dobara nahi azamaya jataa !

                  Well u r right after all koi perfect nahi hosaktaa ,or yeh hum prhi depend krta haii k hum samney waley ki kis baat sey mutasir hokr nafrat ya mohabbat ka rishta us sey istawar krtey hain .

                  Mager yeh baat yaktarfaa tu nahi hosaktii k app hi achaa response dey rahey hoo agr woh larka dobara app k saath wohi aggresivness show krta tu yaqeenan app ka phr jhagra hotaa

                  @TOPIC
                  I think nafrat pehlei nazar ya 1st meeting main nahi hoti yeh unhi sey ki jaskati hai jin seykabhi gehra tauluq reh chuka hoo .1st meeting main hum kisi ko napasand krsaktey hian kisi bhi waja seyy or baat main yeh napasandeedgi pasand main badl sakti haii .Pr ek bar jo nazroo sey gir jaye us sey dobara mohabat ya utna hi gehra rishta qayim hona mushkil haii .
                  aap ki baat ghalat nahi, lekin mein ne kuch kabal-e-izat aur kabal-e-muhabat loogon ko roop badaltay dekha he aur isi tarah kabal-e-nafrat loog bhi kabi kabi U-turn le ker aap ki zinadagi mein ehmiyat ehteyaar ker lete hein, aur aik waqt aata he ke aap dil se un ki izat kerne lagtay ho. Koi insaan kitna he kyon na gir jaye, lekin is baat ko kabi rule out nahi kerna chahiye ke us insaan ke ander kabi achai ke jaraseem paida ho saktay hein aur wo aik acha insaan bun sakta he
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #39
                    Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    aap ki baat ghalat nahi, lekin mein ne kuch kabal-e-izat aur kabal-e-muhabat loogon ko roop badaltay dekha he aur isi tarah kabal-e-nafrat loog bhi kabi kabi U-turn le ker aap ki zinadagi mein ehmiyat ehteyaar ker lete hein, aur aik waqt aata he ke aap dil se un ki izat kerne lagtay ho. Koi insaan kitna he kyon na gir jaye, lekin is baat ko kabi rule out nahi kerna chahiye ke us insaan ke ander kabi achai ke jaraseem paida ho saktay hein aur wo aik acha insaan bun sakta he
                    :thmbup: app ki sooch bauht positive hai ..shayed merey apney experince aisey rahey hain k mainey apni dictionary sey maafi ka lafz hi haata diya or khair main aisa bauht extreme pr poohnch kr krti hoo k maaf hi na karoo..

                    Ji bilkul hr insan mainn koi tu achaii hoti haii bus apni apni nazar ki baat hai..mager kabhi jub yeh qabil-e-ahteram loog kuch kr jaye k humarey diloo sey utar jayee phr in sey nafrat bhi bari shidat sey hoti hai....waisey mainey aab tak tu kabhi aisa nahi kya k jis sey nafrat hoi us sey wpais mohabathogaii..haa practicaly kai bar aisa howa k mujhey kuch loog napasand howey start main ya middle main mager phr ahista ahista un ko janey k bad woh loog meri zindagi main shamil hogayee or aaj bauht achey or important relations hia merey un sey :) pr meri napasndeedgi kabhi nafrat nahi thi bus misunderstanding keh lain ya kuch or ....or jin sey nafrat ki hia unhoo ney chout hi aisi di haii k dobara azmaney ka hosla hi nahi

                    Comment

                    • #40
                      Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      jahan tak rishtadari or friendship ki baat hai us main narazgi hoo jati hai or door bhi hoo jati hai baat cheet say lekan wesay kisi or say raah chaltay aan ban hoo jaye youhni achanak woh kesay door ho gee pher :D

                      aaho jee baqool shair,

                      shikwa kia aur kesi shikayat, aakhir kuch buniyad to ho,,,
                      tum pay mera haq he kia hai, tum Theray beganay log...

                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • #41
                        Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                        hay to:wk
                        Meri Aankhon sai utha lena zabt k pehray
                        Sheesha sift hoon ,mujhay pathar nahee likhna:rose

                        Comment

                        • #42
                          Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                          acha kis say tell me:wk

                          Comment

                          • #43
                            Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                            Originally posted by ummid View Post
                            ahan bhai... aap london se aane ke baad kuch kuch aqalmand hogaye hain...lolz'
                            agree with you.... aik mamoli si narazgi ko nafrat ka naam dena intehai bewaqoofi hai.. nafrat aik aisa jazba hai jo bagair badlah liye kabhi shaant nahi hota... jub ke narazgi mein aap aisa kuch nahi hota.. badlah wagairah lena narazgi ka hissa nahi... aur hum narazgi aur nafrat ko mila ker apni danist mein nafrat jaise jazbe ko Insaani fitrat ka naam de dete hain...:lpop:
                            aur yeh bhi qatai zarori nahi ke hum ise na-pasnd karte ho'n us se nafrat karne lag jaye...:lpop:
                            :tauba thanko thanko
                            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                            Comment

                            • #44
                              Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                              nafrat..........kis qadar karahiyat hai is aik lafz nein....jis Dil mein Allah rehta ho wahan is ki gunjaesh hi nahin hai..

                              Comment

                              • #45
                                Re: mujhe eik shaks se nafrat hai

                                Originally posted by Aanchal View Post
                                achi baat hai kay tum dil main nahi reakhti kisi ki ghalat baat ko ...lekan maian bhool nahi pati mujhay reh reh kay batain yaad ati rehti hain ...itafaaq say mere yadashat achi hai isi leye ..main "choti choti" batoun ko serious lay kay beath jati houn or mery zehan say batain jati nahi hain jitni bhi kushish karoun :pagal: koi bhi kaam karoun bas vohi waqeya vohi baat zehan main ghoom pher kay a jati hai or main apnay kaam pay tawajoo nahi day pati houn...hai kio mery jesay pagal :tauba ufff mera hoo ga kia akhir main khud bhi apni is adat say tang houn ....mujhay achay achay mashwarey doo saray takay main apnay is malsay pay qaboo pa sakoun :tasali:

                                raafi kahain gay main nay apna masla poucha tha loog apnay apnay maslaye beyan karnay shuru hoo gay :khi:
                                mainn aap kay saath hooN .....aap fikar nahin karain.......bilkul same mairay saath hota hai.....concntration loose kar jati hooN her kaam say....bus aik hi baat dimagh per chaai rehti hai.....:pagal:....khud tang aajti hooN
                                lakin main yeh nahin keh sakti ...keh agar aisay loagooN say woh muhabbat nahin rahi tu main nafrat karnay lag jaaooN......
                                jo frnds hotay hain....woh takleef dain tu main bari had tak ignore karnay ki koshish karti hooN...agar koi ghair ho tu....na pasand karti hooN...lakin nafrat ....::mm:......mujhay nahin lagta keh yeh nafrat hai....
                                Aamir bhai ki post dekhain...is baat say hi main nay ignore karna seekha hai...chooti chooti batooN ko.......maira nahin khayal aap nafrat karti hongi.....woh na pasandeedgi ho sakti hai.....:)

                                Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                                Nafrat. AIk Moslman ko jeez nahi deta kay wop dosray say nafrat karay.
                                ALLHA tala ham sab kay diloon main muhabbat atta farmay.
                                wesay bhi Islam main 3 roz say zada app naraz na rahay..ager dosra na bolay to app us say khud baat karay...yaad rakhoo bhai kay phal karnay wala hi bara hota hain..Aur ALLHA ko maaf kar daynay wallay log bohat passand hain...so dar guazar kiya kray...zindagi hain.. kal ho na ho.......
                                buht achi baat kehi bhai...:khush rehain

                                Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                                aaho jee baqool shair,

                                shikwa kia aur kesi shikayat, aakhir kuch buniyad to ho,,,
                                tum pay mera haq he kia hai, tum Theray beganay log...

                                :em:
                                sahih kaha beegaanooN say kaisa shikwa....
                                apnooN say yooN nahin keh woh apnay hain .....darguzar karna achi baat hai.....aur beeganooN per haq hi kia hai.....jo koi shikaayat karin...
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X