Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~
main nay Zarqa ji ki jitni bhi poetry perhi hai...her nazm aur ghazal ko aik say barh kar aik paya hai........mujhay Zarqa ki poetry bay had pasand hai.....kabhi kabhar main buht hairaan hoti hooN keh yeh kaisay apni soch ko bay had rawani aur khobsorti kay saath alfaaz mein samo kar hum tak pohnchati hain....tashbeehat aur isteaaray is qdar dilkash hotay hain keh kuch dair kay liye tu main gum hi ho jati hoon...na sirf shairi balkay in kay mukhtalif tehreer karda mazameen bhi apni misaal aap hain....buht ba maqsad aur jamey likhti hain......sath sath apni writings ki presentation ka bhi khayal rakhti hain....yeh baat in ki nafasat paand tabiiat ki bhi akkasi karti hai...yehi nafasat in ki writings ka khasaa hai.....chahay woh shairi ho ya nasr....
shikayat in say yehi hai ...keh kam kam aati hain aur 2 , 3 sections tak hi mehdood rehti hain.....
ALLAH TALAA say dua hai...keh Zarqa ji isi tarah likhti rehain...aur hum tak apni khobsorat soch pohnchati rehain....ALLAH TALAA unhain khush rakhay...AMEEN

Comment