Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*Personality of the Month*~Zmufti*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

    in ki buri baat yeh he ke mujay aaj tak nazar nahi aaein
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      in ki buri baat yeh he ke mujay aaj tak nazar nahi aaein
      :mm: :mm: :mm:
      inhien daykhnay k liay adab k khaanay mien jaana paray ga:lpop:

      Comment


      • #18
        Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

        Originally posted by sumera View Post
        :mm: :mm: :mm:
        inhien daykhnay k liay adab k khaanay mien jaana paray ga:lpop:
        hum itnay ba-adab nahi hein, aur yeh pura PG janta he :blush:
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

          Welcome
          pata nai ho c pari hain jin ko main nahi jata

          I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


          Comment


          • #20
            Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

            Originally posted by fari View Post

            Fari jee
            aadaab
            aap ke baarey meN aik baat maaloom hui keh aap zarre ko aaftaab karna jaanti heN
            maiN kyaa aur meri meri basat kyaa
            bas apne kuch mehsoosaat hi raqam karti hooN
            is se ziyada kuch nahiN
            seekhnay ke safar per nikli hooN
            shayad lafz mujh per maharbaan ho jaayeN apne maani mujh per waa kar deN
            maiN aap ki muhabbat aur ainyaat ki maqroz Tehri
            khush rahiye
            waslaam
            zmufti

            Comment


            • #21
              Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

              Originally posted by ummid View Post
              salam....:)

              In ka shumaar PG ke poetry writers mein hota hai... yeh naser bhi likhti hain.:masha per poetry in ki pehchaan hai.... In ka naam Zarqa hai... "Zmufti"... :)
              here are the links for you people... aap log inhe nahi jaante.. tu is link per se in ke kaalam ko perhein.. aur apni raaye dein...:) .

              khush rahiye....
              Allah haafiz..

              zmufti (poems)

              mere bachpan ki chand yaadieN (naser)

              naye saal ki dua (naser)

              Saas nahiN Raas (naser)

              umiid saheba
              aadaab
              aap ki mamnoon hooN keh aap ne meri mushkil aasaan ki
              khush rahiye
              zmufti

              Comment


              • #22
                Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                Originally posted by Khalil View Post
                ary wah yeh to acha hay teen buri batian likhain gy to onn kee hosila afzai hugee:kr:
                khalil saheb
                baaz auqaat tanqeed meN bhee taameer/islaah ka koi pehlo muzmir hota hai

                Comment


                • #23
                  Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                  Originally posted by zmufti View Post
                  Fari jee
                  aadaab
                  aap ke baarey meN aik baat maaloom hui keh aap zarre ko aaftaab karna jaanti heN
                  maiN kyaa aur meri meri basat kyaa
                  bas apne kuch mehsoosaat hi raqam karti hooN
                  is se ziyada kuch nahiN
                  seekhnay ke safar per nikli hooN
                  shayad lafz mujh per maharbaan ho jaayeN apne maani mujh per waa kar deN
                  maiN aap ki muhabbat aur ainyaat ki maqroz Tehri
                  khush rahiye
                  waslaam
                  zmufti
                  Waadaab!!!Zmufti jee ALLAH karay lafz ap per hamesha maharbaan rahian aur ap aur agay jain ap ko maqroz honay ki zarort nahi ha balkay bas ab ap ko pegham per hum sab kay sath Gupshup ma shamil hona paray ga takay sab ap ko achay se jan sakay:p

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                    Originally posted by Aabgina View Post
                    Assalaam-0-Alaikom:rose

                    [ATTACH]36162[/ATTACH]

                    Zarqa


                    as Personality of the month
                    Aabgina saheba
                    aadaab
                    aap ke pukhaloos khairmaqdam ke liye mamnoon hooN:rose
                    khush rahiye
                    zmufti

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                      Originally posted by yellowsky View Post
                      walaikum salam Fari, :D


                      Zmufti: :rose

                      aik achi Shai'ra aur aik achi writer hien, iss key ilawa doosroN ki writings pey bhi achey positive comments deyti hein jin sey humain apni writings mazeed theek kerney mey madad milti hai :thmbup: iss liye mey keh sakti hun key MashAllah sey observant bhi hain aur responsive bhi :D
                      yeloow sky saheba
                      aadaab
                      aap ki aakhri baat sach hai
                      agar maiN koi zimmadari leti hooN to khaloos-e-dil aur puri lagan se usse nibhaane ki koshish karti hooN
                      baaqi sab aap ka husn-e-nazar hai
                      khush rahiye
                      zmufti

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                        Originally posted by sensible View Post
                        zmufti jee ki aik writer ki haisiat sey jitni bhi taareef ki jaaye kum hai.
                        main sumjhta hun keh zmufti jee ki shaairy may aik infiraadiat hai jo aur kisi ki shaairy may main ney nahi dekhi,woh hai inkey khayalaat ka tasalsul jo kisi nazam ya ghazal may main ney tootthey nahi dekha.
                        dusra inki shaairy may gehraai aik tehraao aik pukhtagi paai jaati hai jo bohot kum shaairy may paai jaati hai.
                        inkey khayalaat may rawaangi kesaathh saathh inkey paas mashaallah alfaaz ka zakheerah bhi bohot ziadah hota hai.
                        inki shaairy qaabil-i-fehem aur dil ko moh lainey waali shaairy hai.

                        main pegham key hawaaley sey ye he kahunga keh aik tho ye bohot kum online hoti hain, woh shaayad inki masrufiat ki koi wajah ho sakti hai,dusri baath yeh keh bohot kum likhhti hain,ya shaayad humaarey saathh share nahi karna chaahti hain.pegham key hawaaley sey main aik baath aur kahunga keh zmufti saahiba bohot ziadah reserve rehti hain.woh inkey forum information padrney say zahir hota hai.
                        Mujahid saheb
                        aadaab
                        aap ki mamnoon hooN keh aap ne mujh nacheez ke liye itne achche ilfaaz istemaal kiyye
                        magar
                        itni taareef meri sehat ke liye achchi nahiN
                        pegham per kam waqt dene ki shikayat bilkul durust hai
                        pegham per apni buhat kam nigarshaat arsaal kar saki hooN (isse aap meri kaahli samajh lijye ya waqt ki kami ko is ka maujab jaaniye)
                        magar kuch aur zimma dariaN aisi heN keh chah kar bhee ziyada waqt nahiN nikaal paati
                        regards
                        zmufti

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                          Originally posted by shummu View Post
                          Zarqaa jee ko main kaafi arse se jaanti hoon mukhtalif urdu forums ki tawassut se..unki shayri main baqaayedgi se paRhti aayi hoon...bahut umda likhti hain aur har baar apne kalaam mein kuch naya likhne ki koshish karti hain..main yun to mukhtalif forums pe bahut si shaa'iraa ko parhti rehti hoon magar mujhe zarqa jee ka andaaz-e-bayaan hamesha hi bahut bhaataa hai...ye kayi aur forums ki moderator bhi hain..aur apna kaam poori zimmedaari aur imaandaari ke saath karti hain..sab se bahut khuloos-o-muhabbat aur ehteraam ke saath pesh aati hain..kabhi maine inhe kisi se bilawajah behes karte ya laRte nahi dekha..bahut hi cool minded aur down to earth lagti hain...apne kaam se kaam rakhti hain ...khud to umda likhti hi hain...saath doosre likhne waalon ki bhi baRh chaRh ke hausla afzaayi farmaati rehti haiN..ye taqreeban sabhi forums pe diye gaye 'Tarahi ' misron pe taba'a aazmaayi karti haiN aur khoob karti haiN....Allah se yahi duaa hai ke inke qalam ko mazeeed wusat bakshe...aur zarqa jee ko aur izzat aur kaamyaabi se nawaaze!!!Ameen!! :rose
                          Shummu jee
                          aadaab
                          maiN hamesha aap ki muhabbat aur khaloos ke zir-e-baar rahoN girose:rose
                          maiN aur to kuch nahiN karti bas apne faazil waqt ka istemaal hi karti hooN
                          likhne ka shoq kaafi puraana hai is liye likhna seekh rahi hooN
                          aap ki dua ka bhee buhat shukria
                          Allah aap ki sabhi naik khawahishaat puri kare Aamin
                          zmufti

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                            Originally posted by sumera View Post
                            Zmufti boht achhi poetess + writer hien:clap: :clap: :clap:
                            inki poetry to itni zaada nhi parhi haan albatta inki tehreerien zaroor parhti hoon.....boht umda likhti hien:thmbup:
                            aur likhnay waloon ki boht achhay andaaz say hosla afzaai karti hien.:phool: ...
                            bas in say humari itni hee waqfiyat hay..:blush: ......aur ik baat ,....i think she is very sweet kuri :lpop:

                            aur inki buraii bhi karoon:embarasse
                            chaloo theek hay kar dayti hoon:D
                            inki buri baat yeh hay k kam kam hee nazar aati hien.:donno: .....
                            Sumera jee

                            you are so sweet lagta hai aap ko buraaii karni nahiN aati (magar is maiN mera hi faaeda hua na)

                            khush rahiye
                            zmufti

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                              hmmmmmmmmm
                              salam zarqa jee
                              fari ne bilkul theek kaha hai janab
                              aap bohay achi writer aur writer hain.
                              aur burai abhe tak toh dekhi nahi
                              haan ek hai k yhe bohat kam kam hi nazar aati hain
                              ALLAh aapko hamesha khush rakhay aur mazeed likhne ki wusat de (AMEEN)

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~*Personality of the Month*~Zmufti*~

                                :rose :rose wellcomr here Zrqa jii:rose :rose
                                :welcome: :welcome: :welcome: :welcome: :welcome:
                                waisy main bhi in ko ziyada to nahi janti just yeh hi janti hoon k bohat achi poet hain or kafi acxhi poetry krti hain or kafi achi hain kion k kisi k saath ziayada baat nahi krti hain:khi: :khi:
                                agr mery saath baat krti hoti too mujhy pta chalta k yeh kasii hain or kaisi batain krti hain
                                isliy just weellcome hi kahoon ge
                                or rahi burai ki baat to woh main nahi kr skti
                                kion k un ki ki jati hay jin k bary main kuch pta hoo
                                yaan jin main koi borai hoo:tauba :tauba or app itni achi poetess hain to main app ki burai nahi karoon ge :na: :lpop:
                                ok wellcome here once again:phool: :phool:
                                takecare
                                Allah hafiz
                                :rose :rose :rose :rose

                                Comment

                                Working...
                                X