Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

    allah ji ko her koi apni nazer or apni soch kay mutabiq dhalta hay.mayra or allah ji ka rishta bohat porana hay shaed tab say jub say main is rishtay ka matleb bhi nahi janti thi.mayray baba kahtay hain allah ji say dosti kerkay kay daykho daykhna zindagi kay kisi muqam per wo aap ko akyla nahi chorain gay.bus un ko chupkay say apnay dil ki her baat batana phir daykhna wo kaysay aap ki baat suntain hain or tub say main nain un say 1 bohat khobsorat rishta bana lia hay.main kabhi kabhi sochti hon kay allah ji or humaray dermian bhi aysa hi rishta hay jaysay ap ka apnay family doctor say ap chahay dor chalay jain kisi or shair main abad ho jain wapis anay per thori si yadhyani kay bad wo aap ko pahchan laytay hain isi terhan jub allah ji ko yad key bohat arsa guzer jay to bus thori si dayr us ka derwaza khatkhatana perta hay or aap kay dustak ka andaz wo pahchan laytay hain ap ki feryad or takleaf bhi baray man say or payar say sun laytay hain or phir dukh kay ilaj ka treqa bhi bata daytay hain. kyuon theak hay na?ey to tha mayra or aalh ji ka taluq or un ka tasawor ab aap ki bari hay?

  • #2
    Re: aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

    very nice topic and lovely thoughts Neha. aik baat kahen if u dont mind tou.ALLAH(SWT) likhte huwe A zaroor Capital rakha karen :)

    ham ne kahin aik baar Ashfaq Ahmed ko kehte suna tha k ALLAH(SWT) ka pyar 70 maaon k pyar se bherr ker hai tou jese apni maan se zid kerte ho wese he BARI TAALA se bhi zid karo. ager woh tumhare haq mein behter hua tou jese maan maan jati hai wese WOH bhi maan jaye ga aur ager behter na hua tou jese maan behla deti hai wese he WOH bhi kerta hai. tab se hamara yaqeen emaan ki tarah hai :)
    wese bhi hamain kabhi kuch kehne ki zaroorat he nahi perrti.hamesha bin mange sab jet set milta hai ALHAMDULLILAH
    "All I have learned from Life is that I know nothing."

    Comment

    • #3
      Re: aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

      hmm esa hi hota hai ...main ye soochti hoon k ALLAH taala to kehte ain mujh se maango main doon ga aur nahi mangte to wo naraz ho jaata hai.....

      hamareislamic teacher kaha kerte the wo bohat deta hai itna k maan se maango to w deti hai doosri baar mango to bhi de gi .......3rd baar bhi de lakin shaid 4th time wo jhrak de .............

      lekin ALLAH wo zaat hai jo na mangne per narazz ho jaata hai...
      uss ne mjhe aaj tak sab kuch bin maange diya hai............iss liye kabhi main soochti hoon shaid wo mujh se naraz hai wo nahi chahta k main uss se maango iss liye jaldi se mujhe de ker farig ker deta hai...k main uss k qareeb na aaon.....
      well ye to meri think hai pata nahi aap isss se agre hoon ya na....
      bas ye hi k uss se maango to wo khoosh hota hai..........................

      Comment

      • #4

        ey such hay kay ALLAH ji say mango to wo bohat khosh hotay hain laykin janti ho ALLAH ji bohat great hain wo hum say naraz ho hi nahi saktay ager hum kutch galat bhi kertay hain to humain saza daytay hain ey nahi kertay kay humain dayna band ker dain wo insan thori hain kay hum galati keain or humain dobara koi chez milay hi na.ey kyuon nahi sochti ALLAH ji tum say baayhud payr kertay hain tum unhain moqa hi nahi dayti kay wo tunhain saza dain.kutch na bhi chaeay ho zerori hay kay hum un say humaysa koi na koi chez mangain hum un say her waqt un ka fazal bhi to mang saktay hain na.mayray baba kahtay hain lerkuonm ko humaysha apnay leay doa kerni cheay kay ALLAH JI humrai zindagi main apna fazal or payar banay rakhna.

        Comment

        • #5
          Re: aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

          Originally posted by neha_ahmad View Post
          allah ji ko her koi apni nazer or apni soch kay mutabiq dhalta hay.mayra or allah ji ka rishta bohat porana hay shaed tab say jub say main is rishtay ka matleb bhi nahi janti thi.mayray baba kahtay hain allah ji say dosti kerkay kay daykho daykhna zindagi kay kisi muqam per wo aap ko akyla nahi chorain gay.bus un ko chupkay say apnay dil ki her baat batana phir daykhna wo kaysay aap ki baat suntain hain or tub say main nain un say 1 bohat khobsorat rishta bana lia hay.main kabhi kabhi sochti hon kay allah ji or humaray dermian bhi aysa hi rishta hay jaysay ap ka apnay family doctor say ap chahay dor chalay jain kisi or shair main abad ho jain wapis anay per thori si yadhyani kay bad wo aap ko pahchan laytay hain isi terhan jub allah ji ko yad key bohat arsa guzer jay to bus thori si dayr us ka derwaza khatkhatana perta hay or aap kay dustak ka andaz wo pahchan laytay hain ap ki feryad or takleaf bhi baray man say or payar say sun laytay hain or phir dukh kay ilaj ka treqa bhi bata daytay hain. kyuon theak hay na?ey to tha mayra or aalh ji ka taluq or un ka tasawor ab aap ki bari hay?
          Originally posted by Gul-e-Lala View Post
          very nice topic and lovely thoughts Neha. aik baat kahen if u dont mind tou.ALLAH(SWT) likhte huwe A zaroor Capital rakha karen :)

          ham ne kahin aik baar Ashfaq Ahmed ko kehte suna tha k ALLAH(SWT) ka pyar 70 maaon k pyar se bherr ker hai tou jese apni maan se zid kerte ho wese he BARI TAALA se bhi zid karo. ager woh tumhare haq mein behter hua tou jese maan maan jati hai wese WOH bhi maan jaye ga aur ager behter na hua tou jese maan behla deti hai wese he WOH bhi kerta hai. tab se hamara yaqeen emaan ki tarah hai :)
          wese bhi hamain kabhi kuch kehne ki zaroorat he nahi perrti.hamesha bin mange sab jet set milta hai ALHAMDULLILAH
          Originally posted by taarim View Post
          hmm esa hi hota hai ...main ye soochti hoon k ALLAH taala to kehte ain mujh se maango main doon ga aur nahi mangte to wo naraz ho jaata hai.....

          hamareislamic teacher kaha kerte the wo bohat deta hai itna k maan se maango to w deti hai doosri baar mango to bhi de gi .......3rd baar bhi de lakin shaid 4th time wo jhrak de .............

          lekin ALLAH wo zaat hai jo na mangne per narazz ho jaata hai...
          uss ne mjhe aaj tak sab kuch bin maange diya hai............iss liye kabhi main soochti hoon shaid wo mujh se naraz hai wo nahi chahta k main uss se maango iss liye jaldi se mujhe de ker farig ker deta hai...k main uss k qareeb na aaon.....
          well ye to meri think hai pata nahi aap isss se agre hoon ya na....
          bas ye hi k uss se maango to wo khoosh hota hai..........................
          mere khyalaat bhi aap loogon se kuch mukhtalif nahi hein :)
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

            Originally posted by neha_ahmad View Post
            allah ji ko her koi apni nazer or apni soch kay mutabiq dhalta hay.mayra or allah ji ka rishta bohat porana hay shaed tab say jub say main is rishtay ka matleb bhi nahi janti thi.mayray baba kahtay hain allah ji say dosti kerkay kay daykho daykhna zindagi kay kisi muqam per wo aap ko akyla nahi chorain gay.bus un ko chupkay say apnay dil ki her baat batana phir daykhna wo kaysay aap ki baat suntain hain or tub say main nain un say 1 bohat khobsorat rishta bana lia hay.main kabhi kabhi sochti hon kay allah ji or humaray dermian bhi aysa hi rishta hay jaysay ap ka apnay family doctor say ap chahay dor chalay jain kisi or shair main abad ho jain wapis anay per thori si yadhyani kay bad wo aap ko pahchan laytay hain isi terhan jub allah ji ko yad key bohat arsa guzer jay to bus thori si dayr us ka derwaza khatkhatana perta hay or aap kay dustak ka andaz wo pahchan laytay hain ap ki feryad or takleaf bhi baray man say or payar say sun laytay hain or phir dukh kay ilaj ka treqa bhi bata daytay hain. kyuon theak hay na?ey to tha mayra or aalh ji ka taluq or un ka tasawor ab aap ki bari hay?
            :masha :thmbup:

            buss g yehi baat hay k Allah ko apna Khaleel bana'in..ya'ni friend...and tell him everything...aur ye waqai hota hay k agar aap dukhi ho'n to' Allah say baat karain to' aik dam lagta hay boaj utar gaya aur automatically problems solve hogaee'n. ham dosri cheezo'n aur loag'on main *PEACE* find karnay ki kohshish main hotay hain...buss aik dafa Allah ko pokarain na...ussi say itna sakoon mil jata hay:)
            Finding truth - Finding love
            These diamonds sparkle from lights above

            Lorraine Venner

            Comment

            • #7
              Re: aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

              Sub ney apmney mutabiq bauht hi acha taswar peesh kya Allah kaa..:)

              Merey nazdeek Allah ka tasawur Noor hai,roshisini hai jo mujheymayoosi k andheroo main bhi nazar ati haii main kitni bhi bari mushkil ka shikar hoo main jantii hoo k woh mujhey dukh utna hi dey gaa jitna k meri bardsaht hogii agr kabhi shiqwa bhi krti hoo tu ussi sey kunk jnati hoo Wohi meri suney gaa.main janti hoo k mera Rub mujhey dekh raha hai hr waqt,hr lamhaa.Hr shey pr qadir hai woh woh chahaye tu sub kuch dey sakta hai mujhey or ager nahi dey raha tu main janti hoo k k woh is mehroomi ka silaa zaroor dey gaa is duniya main na sahii Akhrit main dey ga...Woh humain bauht chahta hai kabhi akeela choor hi nahi saktaa,kabhi apney bandey ki kisi baat sey ghafil nahi hota..Woh Rehman hai Raheem hai tu Jabar bhi hai or Qahar bhi ,hum us ko kuch bataye k na bataye woh waqif hai humarey zahir-o-batin sey.
              Kabhi kabhi main dua krtey howey khamosh si hojati hoo najaney ku mujhey lagta haii k mainkoi lafz zuban sey ada karoo k na karoo Us Zaat ko maloom hai k mujhey kya chahyeaa ,woh tu dil main majoud hian ,hr pal saath hia,ird gird hr cheez us ki kibriyai ka moo bolta saboot hain..Raat ka nadhera hoo,k din ka ujala ,phoot ki pati hoo ya kantoo ka khar hr jaga us Woh majoud hai...bus main jitna bhi kahoo kum hia mukhtasir sey lafzoo main k bus Woh Zaat-e-Pak hr jaga hr waqt majoud hai or hr haal main mujhey usi ka asra haii khush hoti hoon tub bhi moo sey be-ikhtiyar niklta hai "Ya Allah tera shukr "or jub dukh milta haii tu bhi zuban be-ikhtiyar jehdeti hai "Ya Allah merey haal pr rehm kr k meri mushkil asan kr"

              Comment

              • #8
                Re: aap allah ji ko kaysa tasawor kertay ho?

                ALLAH is my best best best best friend jab me sari dunya se mayus ho jati hun to serf or serf ALLAH ke pas se hi mujhe umeed hosla or panah milti he.

                Comment

                Working...
                X