Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi key Rules

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Zindagi key Rules

    Originally posted by yellowsky View Post
    yep! okay.....barha gehra asool hai :D

    aik cheez mey poochun gi

    Aeysa bhi to hota hai key kabhi kisi insaan ki aik choti si baat bhi hamein itni buri lag jati hai key phir hum us sey dobara kabhi nahi miltey ? no matter wo kitna hi acha ho......ya phir ye baat issi category mey aati hai key us insaan ki ye baat us ki saari achi baaton per bhari hai .....:donno:

    jahan pey aap keh rahey ho khari khari su n'na .....kabhi aap ko ye khayal nahi ata hai key aap to us samney waley bandey ko parakh rahey hon gey magar us ko to nahi maloom aur ho sakta hai key wo aap is attitude sey kabhi dobara aap sey miley hi na ....???
    hmmm bohat achay questions hotay hein aap ke, kabi kabi aap kafi sensible larki lagti hein :) comming to the point

    Aisa bilkul hota he ke kabi koi baat buri lag jati he, lekin u know, its a fact, thoora pani jaldi boil ho jata he, baaz aukaat mere ander paani ki mikdaar bohat ziada ho jati he, aur kabi kabi bohat kum...lekin mein situation ko handle kerna janta hoon, you am always confident in it. like

    mera teen doost mere ghar aaye, kisi baat par aik se meri talakh kalaami ho gai, mein ne usay kaha ke dafa ho ja yahan se, wo ghusay mein utha aur chala gaya, baki do doost kabi mujay samjaein aur kabi usay janay se rookein, mein ne apnay baki do dooston ko kaha ke isay dafa ho janay do isay mut rooko, wo kis halat mein wapis gaya mein jaanta hoon, i know ke wo paani mein doob merne wali situation ho gi us ke liye...us ne kabi soocha bhi nahi ho ga ke mein us ke saath aisa ker sakta hoon...lekin mein ne aisa us ki kuch herkatein dekhtay huay kaha tha, kuch dinon se wo apnay aap ko kuch samajnay lag gaya tha, bari bari baatein kerne laga tha, usay aik pal mein aukaat dikha di. lekin...

    baat yahi khatam nahi hui....mere doost muj se kehtay rahay yaar aap donoo bohat achay doost ho, ham aap kosulah kerwaein ge, aur usay mananay ki kooshish karein ge, i know ke wo kisi se mananay wala nahi tha...mein ne kaha ke usay rehnay do, apni baat karo, mere paas bethna he kuch khana peena he to bolo, fazool baaton ke liye time nahi mere paas....khair...dooston mein yeh baat phail gai...aur sub samajnay lagay ke in doono dooston ki doosti hameesha ke liye gai. lekin..

    aisa nahi hua...you know i am confident...mujay pata he ke halat kese sahi kerne hein...aur waise bhi mein ne soocha ke us ke saath kuch ziada he ker diya mein ne...next day bike pakri us ke derwazay pe ja pohancha..wohi bahir aaya...mujay dekh ke wapis janay laga aur derwaza bund kerne laga, mein ne zoor laga ke derwazay ke aagay apna boot phansa dia :kr: aur kaha abay bahir nikal der gaya kia...kehnay laga ja yaar tu apna kaam ker mujay tang na ker...mein ne usay yahi dialogue mara ke dekh mein naram dil insan hoon muj se moafi maang le mein tujay moaaf ker doon ga...is pe wo be sakhta muskuraya, lekin us ka ghusa kaim tha...mein ne kaha chal bahir aa, jo kerna he ker le...road pe chalay jatay hein aur tu apna badla le le, mujay khari khari suna ke...kehnay laga mein ne tere se baat nahi kerni, mein ne kaha bakwas bund ker bike pe beth, aaj tere palay se khana khana he...wo naraz hota raha, lekin us ki aik nahi suni aur dooston ke paas usay le gaya...everyone was like

    bus inni si baat thi...everything was settled.

    i am a man of ego, lekin kabi kabi kabi dooston ke liye ego ko aik taraf rakh ke aap ko behave kerna perta he...yeh rishta he aisa hota he :)
    :thmbup:

    Comment


    • #62
      Re: Zindagi key Rules

      Originally posted by ummid View Post
      ager aap ko huamri baat sumjh mein aa gai hai... tu hi hum is shukran ko accept kareinge...:blush: :lpop:
      mujhey samaj aa gai thi Ummid :D

      aap bilkul shukran accept ker saktey ho :D

      :ff:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #63
        Re: Zindagi key Rules

        Originally posted by yellowsky View Post
        bilkul :P

        ho sakta hai mey definitions key sath agree na kerti hun :D

        ab yahan aap ye nahi keh saktey key Sanu ki


        Mujhey waqai definitions chahiyein :thmbup:
        jis terhaaN maiN nay bohot se jaghoN par kaha hai kay maiN thoRi dair baad reply karta hooN, wesay he yahan bhi keh deta hooN, maiN baad maiN reply karonga :blush:

        apnay woh hotay haiN jin kay leay insaan p'raiy choR sakta hai aur p'raiy woh hotay haiN jin kay leay insaan apnay nahee choR sakta :cc:, aur b'taoN :embarasse
        That's Enough...!!

        Comment


        • #64
          Re: Zindagi key Rules

          peeliya :fuming:
          :thmbup:

          Comment


          • #65
            Re: Zindagi key Rules

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            peeliya :fuming:
            aap mujhey yellowsky keh saktey hein :thmbup:

            and i can see the reason behind this red face :D

            mey ney yahan replies kerney hein inshAllah....
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #66
              Re: Zindagi key Rules

              Originally posted by yellowsky View Post
              aap mujhey yellowsky keh saktey hein :thmbup:

              and i can see the reason behind this red face :D

              mey ney yahan replies kerney hein inshAllah....
              mein to peeliya he kahon ga :lpop:

              aur aisa thoori kerte hein
              :thmbup:

              Comment


              • #67
                Re: Zindagi key Rules

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                mein to peeliya he kahon ga :lpop:

                aur aisa thoori kerte hein
                theek hai to phir mey reply hi nahi ker rahi ...Simple!
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #68
                  Re: Zindagi key Rules

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  theek hai to phir mey reply hi nahi ker rahi ...Simple!
                  aisa to na kaho
                  :thmbup:

                  Comment

                  Working...
                  X