Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi key Rules

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Zindagi key Rules

    Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
    chal jhootey :lpop:

    abb mien ne tumare saath koun sa jhoot bola ...ek tu shareef lardke ki koi value hi nahi sacha tu maufat mien mara jata hai ...

    Comment


    • #17
      Re: Zindagi key Rules

      Jeo aur jeenay do....laikin kisi ki ghalt baat bardasht mat kero

      khud bhi khush raho aur doosron k liey bhi khushian dhoondo

      Doosron ki Help k liey her waqt mojood raho...apnay is asool ki wajha say kaee dafa apna kafi nuqsan bhi ker chuka hoon laikin kia kerooon

      Jo kaam kero thok Baja ker kero...jo ho ga daikha jaey ga
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Zindagi key Rules

        Meyri aik kind request hai sab sey key is thread ko thora sa serious lein :D aur sirf topic pey baat karein inshAlllah :rose

        and sorry for being tht strict :D
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #19
          Re: Zindagi key Rules

          Originally posted by yellowsky View Post
          Meyri aik kind request hai sab sey key is thread ko thora sa serious lein :D aur sirf topic pey baat karein inshAlllah :rose

          and sorry for being tht strict :D
          hmmmmm :mm:
          That's Enough...!!

          Comment


          • #20
            Re: Zindagi key Rules

            Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
            ek muthi bhar mitti kafi hai bicho ek liyeh yaan aur laun
            aik din hum bhi zameeN ouRh kay so jaiN gaiy :blush:, phir tum mery maqbaray par apna group lay kar wahan taliyaN peetnay aana :blush: matlab qawaliyaN paRhnay
            That's Enough...!!

            Comment


            • #21
              Re: Zindagi key Rules

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
              aik din hum bhi zameeN ouRh kay so jaiN gaiy :blush:, phir tum mery maqbaray par apna group lay kar wahan taliyaN peetnay aana :blush: matlab qawaliyaN paRhnay
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: Zindagi key Rules

                Originally posted by ZoE View Post
                khud bhi khush rahna aur dosroon ko bhi khush rakhna
                Bravo!!
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #23
                  Re: Zindagi key Rules

                  Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
                  Good thread sis ......... :thmbup:

                  wese mere ghar mei hum 2 hi log ba-asool hain aur zada dushman bhi log humarey hi hain ... me & mum ....... manythings i have learned from her only ..... jo mere asoolon mei shamil ho chukery hain ... but these things have put me in real trouble .........many times :tauba ........
                  she said once "Zindagi mei kabhi tumharey pass kisi madad ke liyeh aayeh aur wo tumharey bass mei ho to ous ki ummid matt torna kiu ke insan ousi ke pass aata hai jahan ousey ummid ho"
                  is ke ilawa ......... kabhi kisi ko jhooti ummid pe na rakhna ...
                  buhut straight forward hoon ......... is ke faidey bhi hain ke insan buhut sari tentions se bach jata hai magar nuqsan bhi hain ..... akser buhut kuch khona bhi perta hai ...
                  Galat baat bardasht nahi kerti ........ chahey ous mei kitna bhi faida kiu na ho ........ halankey ke short cuts are always easy to go on ........ magar mei pagal hoon na mushkil rastey hi chunti hoon :lol ......... takey apney asoolon per beqarar reh sakoon

                  baqi yaad aayein gai to phir btaa doon gi :p
                  :thmbup: :rose
                  mujhey aik cheez nahi samaj ayi bas

                  doosron ko jhooti ummid pey na rakhna ? ye kya hota ahi :)

                  straight forward hona aik achi baat hai leykin aap ko nahi lagta key is dunya mey is dunya key logon key sath jeetey huye kabhi kabhi ....maseleyhatan thora sa change hona perhta hai?
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #24
                    Re: Zindagi key Rules

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    aap ka asool aur mera asool kafi similar type ke hein...i am very much active helping others or when someone is in trouble...dooston mein ub yeh he ke milna bohat kum ker diya he, shayad meri nature kuch aisi ho gai he...ke mein ub kuch kuch tanhai pasand hota ja raha hoon, dooston se phone pe he rabta rehta he, aur akser gilla bhi kerte hein, lekin as mentioned above...ager kisi ko koi masla ho to mein jese tese us ke liye time zaroor nikaalta hoon.

                    doosra asool meri zindagi ka wo yeh he ke mein insaan ko baar baar jaanchnay pe yakeen rakhta hoon, in a sense kuch loog kisi insaan ke aik baar ke behave se us ke baray mein sub kuch conclude ker lete hein, lekin mein insaan ko us ki aakhri hud tak azmata hoon, usay mukhtalif tarah se parakhta hoon aur samajnay ki kooshish kerta hoon, lekin baar baar parakhnay se bhi ager wo banda teerhi kheer ki tarah ho to phir us se hameesha kinara kashi ker leta hoon :lpop:
                    Aap logon ko kaisey paraktey hein ? aur wo bhi baar baar ya akser

                    mey ney aik cheez seekhi thi key rishton ko kabhi nahi parakhna chahiye

                    to kya ye baat ghalt hai?
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Zindagi key Rules

                      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                      w/salam still respected member :khi:

                      mery to 2 he rulzz hai sanu ki tay mitti pao
                      :khi:



                      RUllz ye Rule kafi kaam ka hai ......sanu ki with those ppl jo key yunheen ird gird hein ...mitti pao tensions aur problems ke liye

                      leykin jo log hamarey bohot kareeb hotey hein ......family aur friends ley lein ....un ko to ham nahi na keh saktey hein key Sanu ki???
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #26
                        Re: Zindagi key Rules

                        Originally posted by sccorpion81 View Post
                        Jeo aur jeenay do....laikin kisi ki ghalt baat bardasht mat kero

                        khud bhi khush raho aur doosron k liey bhi khushian dhoondo

                        Doosron ki Help k liey her waqt mojood raho...apnay is asool ki wajha say kaee dafa apna kafi nuqsan bhi ker chuka hoon laikin kia kerooon

                        Jo kaam kero thok Baja ker kero...jo ho ga daikha jaey ga
                        @ last one

                        aap issey thora sa wazeh karo gey?

                        @ doosron key kaam aana

                        aap key khayal mey balance hona chahiye to ye balance kaisey aur kahan hona chahiye ta key hum doosron key kaam bhi ayein aur hamara apna nuqsaan bhi na ho ?
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #27
                          Re: Zindagi key Rules

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                          hmmmmm :mm:
                          wo sirf aik warning thi :D
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #28
                            Re: Zindagi key Rules

                            Very good thread
                            Mere Zindgi ka aik asool ye hai ke "Khabi kisi ka dil mat dukhao"

                            Comment


                            • #29
                              Re: Zindagi key Rules

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              @ last one

                              aap issey thora sa wazeh karo gey?


                              @ doosron key kaam aana

                              aap key khayal mey balance hona chahiye to ye balance kaisey aur kahan hona chahiye ta key hum doosron key kaam bhi ayein aur hamara apna nuqsaan bhi na ho ?
                              Is main wazeh kernay wali kon see baat hai..bas jo kerna hai hatdharmi say kerna hai..laikin sahi kaam...

                              Balance kerna aata hota tu apnay liey mushkilain paida hi na honay daita
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: Zindagi key Rules

                                میرے تو دو ہی اصول ہیں
                                اچھا کھانا
                                اور
                                کسی کی طرف سے کھانا۔
                                کیسا؟

                                Comment

                                Working...
                                X