Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

welcome Masood bro.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • welcome Masood bro.

    Asalam alaikum bro. and Pegham as a whole

    Aaj mey aap key liye lai hun sawalaat ka khazana :devilsmil:

    :hehe:

    Hum sab ney gtg ki copy files perh li hein aur ab hamein inteyzaar hai original file ka :D

    chalein ab serious ho key sawal kerti hun
    1- Jab Pegham gtg final ho gaya to us time aap ki kya feelings thien aap kis tarhan is sab ko deykh rahey they?

    2- 28 feb. when you were leaving Copenhagen us time aap ki kya feelings thien?

    3- PIA hi kyun?

    4- Throughout apney safar mey aap kya kertey rahey ?7-8 hrs?

    5- Jab jahaz mey announcement hui key hum lahore airport pey land ker rahey hein to us time aap ki kya feelings thein?

    6- Aap ka pehla qadam jab Pakistan ki zameen per perha to aap key chehrey kya expressions they?

    7- Air port sey hotel kaisey gaye aur sara rasta aap kya sochtey rahey ? ya agar koi sath tha to kya baat hoti rahi?

    8- Hotel ki inteyzamiya kaisi thi?

    9- were you feeling quite tired at that moment or sab kuch fresh tha?

    10- 2nd March--kab uthey subha aur 10 bajey tak kya kya kiya ?
    now at meeting

    11- Aap kya expect ker rahey they sabhi members sey key wo punctual hon gey ya....being pakistan deyr sey hi ayein gey :D ?

    12- Hamein poori Kahani suna'ein lol 10h-17h tak ki?

    13- And yes Rullz ko dandey maarney ka jee chaha aap ka ?? coz aap ney in key sath most imp. cheez (Tehreek) discuss kerni thi?

    14- Aap ney apni speech ki thi?

    15- at 17h aap ki kya feelings thien?

    16- and once everybody left aap ney kya kiya?

    17- Lahore mey kaheen gaye koi khas jaga deykhney?

    18- back in airport tak key safar mey aap kya kuch sochtey rahey ?

    19- Rawangi key liye jab aap jahaz mey enter hotey huye aap ney peechey muR ker bye bye kiya Pakistan ko? :D

    20- Wapsi ka safar copenhagen tak kaisa raha? and i have heard sun. ko kuch protests chal rahey they main city mey? everything was/is okay?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: welcome Masood bro.

    Masood Uncle hazir hoonn
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: welcome Masood bro.

      Masssoooooooodddddddd Bhaeeeee
      Jaldi aaoww
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: welcome Masood bro.

        :welcome: masood ji...jaldi aae aur jawaab dein....ham sab wait kar rahe hai.....:)
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: welcome Masood bro.

          InshaAllah raat ko jawab doon ga - abhi office mein hoon :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: welcome Masood bro.

            :welcome: Masood g...:)

            :blush: waisay innay mushkil sawal
            Masood G...plz jawab aasan aasan daina:blush:
            Finding truth - Finding love
            These diamonds sparkle from lights above

            Lorraine Venner

            Comment

            • #7
              Re: welcome Masood bro.

              Asalam alaikum bro. and Pegham as a whole
              Aaj mey aap key liye lai hun sawalaat ka khazana :
              Hum sab ney gtg ki copy files perh li hein aur ab hamein inteyzaar hai original file ka chalein ab serious ho key sawal kerti hun

              1- Jab Pegham gtg final ho gaya to us time aap ki kya feelings thien aap kis tarhan is sab ko deykh rahey they?

              GTG ka idea mera nahin tha. Magar mujhey un members sey jinhein ham rozana miltey hain PG per un sey milney ki bohat tamana thi...

              2- 28 feb. when you were leaving Copenhagen us time aap ki kya feelings thien?
              Saturday 24. february ko suneney mein aaya keh PIA ki flights ko European Union mein parwaz key liye ban kiya ja raha hai Yeh sun ker ajeeb si feelings ho gaein keh ab kya ho ga. Magar phir elan huwa keh abhi iska impact nahin. PIA as usual late thi - feeling kuchh khaas nahin thi bas aik intizar tha - aik khamoshi thi - kisi toofan ki aamad ka intizar tha...

              3- PIA hi kyun?
              Mujhey safar karney sey nafrat si ho gaii hai. Main ney IBM ki job isi liye chhorri hai keh is mein safar bohat karna parrta tha. Doosri flights mein kaii jaghon per stay karna parrta hai jabkeh PIA directly Islamabad ya Lahore ley jati hai... and it's worth paying.

              4- Throughout apney safar mey aap kya kertey rahey ?7-8 hrs?
              At Copenhagen Airport - kuchh larkon sey different issues per batein hoti rahin, especially sports... Phir jab plane mein aaya to PIA ki yeh flight Oslo, Norway jaa rahi thi. Meri seat key saath aik Norwegian betha huwa tha, woh Islamabad sey Oslo jaa raha tha. Islamabad mein woh UN ki janib sey zalzila-zadgaan key liye kaam karney aaya huwa tha. Us sey baat cheet rahi. I asked him keh how is the reliefe work going. Kehna laga (no-one wud believe it) keh Millitary has done a remarkable job The general, who is appointed in that area is the real man for that job - honest, straightforward and a hardworking man . Is key baad mein ney us sey poocha keh jo billions dollars ki grant mili hai, woh kya theek theek distribute hui hai - is per woh hans parra aur kehney laga: agar aisa ho jata to ham Pakistan mein na hotey . Uskey baad woh to Oslo utar geya aur mera Oslo sey Lahore ka safar usi be'chaini mein guzarney laga keh what's going to be happen....

              5- Jab jahaz mey announcement hui key hum lahore airport pey land ker rahey hein to us time aap ki kya feelings thein?
              At last I am here.... to be very honest - koi aisi khaas feeling nahin thi - bas itna tha keh aik intizar khatam honey wala hai - aik aarzu thi kuchh logon sey milney woh samney nazar aa rahi thi aur yeh keh yeh mulaqat kaisi ho gi....

              6- Aap ka pehla qadam jab Pakistan ki zameen per perha to aap key chehrey kya expressions they?
              The first thing I noticed was the giant screen outside Lahore Airport main ney socha chalo kuchh to nazar aaya :D Waisey bohat change ho chuka hai Pakistan mein... apney log, apni zuban, apni shaklein aur apney QULI - magar mangtey they Euros :D :D :D

              7- Airport sey hotel kaisey gaye aur sara rasta aap kya sochtey rahey ? ya agar koi sath tha to kya baat hoti rahi?
              Airport per Holiday Inn ki garri aai hui thi mujhey leney aur aik banda merey naam ka board liyey kharra tha. Magar main ney return ticket confirm karwani thi jo mujhey quli hi ney karwaa ker di. Holiday Inn walon key aik aur guest arrive ho geya to unhon ney ham dono ko aik hi garri mein hotel rawana kiya... Sochon mein siraf yeh tha how to manage the day tomorrow...

              8- Hotel ki inteyzamiya kaisi thi?
              Insano jaisi Garri sey nikalney key baad mera bag hotel ka amla hi laya, I went direct to the reception and said keh meri booking hai aik kamrey ki - she told me yes sir! . Aik bandah taza taza orange juice ley ker aageya and there were smiles all around...

              9- were you feeling quite tired at that moment or sab kuch fresh tha?
              Quite honestly I never feel physically tiredness... mujhey infact kuchh khaas feel nahin huwa keh I was in Copenhagen or in Lahore. I felt keh main apney hi ghar mein hoon..

              10- 2nd March--kab uthey subha aur 10 bajey tak kya kya kiya ?

              Mujhey Adnan ney kaha tha keh woh 7-8 bajey tak Lahore pohanch jaey ga, uski fiker thi aur 7 bajey utha - shower key baad nashta kiya aur 9 bajey KISI ney promise kiya tha call karney ka uska wait kiya :)... Phir conference room mein jaa ker final setup check kiya... 10 bajney mein 10 min tak ooper hall mein chala geya jahan per mujhey "mehmano" key aaney ki tawaqo thi...

              now at meeting
              11- Aap kya expect ker rahey they sabhi members sey key wo punctual hon gey ya....being pakistan deyr sey hi ayein gey ?

              At 5 past 10 mujhey aik bandah poochney laga "sahib aap key mehmaan nahin aaey abhi" main ney ussey yehi kaha "bhai yeh pakistani hain, agar waqt per aa jaein to kya chahiye"... Kuchh bhi tha, I felt ashamed keh merey mehmaan (ma'siwaey Refreshig Breeze key) koi bhi waqt per nahin aaya - that's huge embarrasment

              12- Hamein poori Kahani suna'ein lol 10h-17h tak ki?
              Yeh kahani aap kaii jagah per parh chuki hain....

              13- And yes Rullz ko dandey maarney ka jee chaha aap ka ?? coz aap ney in key sath most imp. cheez (Tehreek) discuss kerni thi?
              Mazahir sey meri pehli baat sms per hui jab main abhi Copenhagen hi mein tha - phir Lahore pohanch kar bhi us sey sms hui - call bhi hui usney kuchh majbooriyon ka ziker kiya aur aaney sey maazrat pesh kar di - which was understandable :)...

              14- Aap ney apni speech ki thi?
              Hamara jo original agenda tha woh change ho geya tha - kuchh zaati wajoohat ki bina per ham GTG per woh activities pesh nahin kar paey jo hamein karna thin - lehaza uf front per dekha jaey to it was a flop...

              15- at 17h aap ki kya feelings thien?
              Keh mujhey apna aik taweel safar phir sey nazar aa raha tha - lag raha tha jaisey meri musaftein abhi khatam nahin huin. Us GTG meina aney waley SABHI ki mojoodgi sey khushi thi... jis andaz mein sab arrange huwa woh bhi theek tha. I was please what we achived...

              16- and once everybody left aap ney kya kiya?
              Main apney kamrey mein jaa ker let geya aur sochon mein doob geya........

              17- Lahore mey kaheen gaye koi khas jaga deykhney?
              Nahin, itna waqt nahin mila

              18- back in airport tak key safar mey aap kya kuch sochtey rahey ?
              Meri 07:40 ki flight thi. Hotel ki lift mein meri mulaqat aik ghair-mulki sey hui - goodmorning hui and I said to him - "leaving for home?" He said "Yes...." - "where?" - "Copenhagen" - he said . I said "I am leaving for Copenhagen as well" - ham aik hi garri mein bethey - I asked him "r u danish, do u speak danish?" He said "yes" - uskey baat to sari batein danish mein huin.... He paid fee for me at airport as well :D :D :D. Raastey mein phir yehi batein hui keh woh yahan kyun aaya tha aur main kyun ...

              19- Rawangi key liye jab aap jahaz mey enter hotey huye aap ney peechey muR ker bye bye kiya Pakistan ko?
              Subah subah 6:15 min key qareeb main ney duty free sey aik kitab khareedi: Kuliyat-e-Khalil Jibraan aur woh parhna shuru ki. Phir 6:30 key qareeb aik bohat special person ko phone kiya keh I am leaving....

              20- Wapsi ka safar copenhagen tak kaisa raha? and i have heard sun. ko kuch protests chal rahey they main city mey? everything was/is okay?
              Wapsi ka safar very pleasant tha - jahaz mein kuchh larkon sey batein hoti rahin about Pakistan key halaat per - Zinia aap ko yaad hai aap ney aik video mujhey dikhaii thi jis mein aik larka Mushi Uncle sey bohat sakht sawal kar raha tha? Wohi aik larkey ney apney mobile mein capture ki hui thi us per behas chal rahi thi.... aur kaafi achha raha...

              aur tumhari CID badi tez hai .... Haan Copenhagen key halaat kharab they. Government ney tanhaa rehney waley nau'jawano key liye aik building allocate ki hui thi jahan per woh rehtey they - uska kharcha band kar diya geya hai, aur nau'jawano ney us per tashadud kiyey hain aisey keh Copenhagen ki police control nahin kar paii aur mulk bhar sey police bulwana parri yahan tak keh Sweden sey police ki 10 gariyaan aaein help key liye - demonstrations abhi tak jari hain - kaii raastey blocked hain so kaafi garr barr ho chuki hai .....
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: welcome Masood bro.

                ASALAM_O_ALIKUM,

                app k answers per kar bohat acha laga.......:)

                app ka safar acha rha....
                but i think k app GTG say itny khush nhi howy....jitna app chahty thay...:mm: ....shyd is liy bhee k itny zada members nhi aiy thay...:embarasse .....ya kuch aur..:donno:

                baki app jo jo bata rhay thay...wo wo hum sath main apny mind main dekh bhe rhay thay:lpop: ..hamri imaginations kafi high hain

                aur app ny kisi special person ka zikar bhe kiya hy......:cc: ...ye bhee to bataein na ..k wo kon hy..????:D

                Comment

                • #9
                  Re: welcome Masood bro.

                  Assalaam-0-Alaikom:rose
                  Gul aap kay sawal perh kar bhi acha laga.......:)
                  aik acha thread start kia aap nay....
                  aur Masood... aap kay jawab bhi pasand aaye.:)

                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment

                  • #10
                    Re: welcome Masood bro.

                    quite interesting questions & answers
                    well written
                    special person?? :mm:
                    :rose Refreshing_breeze :rose

                    Comment

                    • #11
                      Re: welcome Masood bro.

                      Originally posted by Masood View Post
                      Asalam alaikum bro. and Pegham as a whole
                      Aaj mey aap key liye lai hun sawalaat ka khazana :
                      Hum sab ney gtg ki copy files perh li hein aur ab hamein inteyzaar hai original file ka chalein ab serious ho key sawal kerti hun

                      1- Jab Pegham gtg final ho gaya to us time aap ki kya feelings thien aap kis tarhan is sab ko deykh rahey they?

                      GTG ka idea mera nahin tha. Magar mujhey un members sey jinhein ham rozana miltey hain PG per un sey milney ki bohat tamana thi...

                      2- 28 feb. when you were leaving Copenhagen us time aap ki kya feelings thien?
                      Saturday 24. february ko suneney mein aaya keh PIA ki flights ko European Union mein parwaz key liye ban kiya ja raha hai Yeh sun ker ajeeb si feelings ho gaein keh ab kya ho ga. Magar phir elan huwa keh abhi iska impact nahin. PIA as usual late thi - feeling kuchh khaas nahin thi bas aik intizar tha - aik khamoshi thi - kisi toofan ki aamad ka intizar tha...

                      3- PIA hi kyun?
                      Mujhey safar karney sey nafrat si ho gaii hai. Main ney IBM ki job isi liye chhorri hai keh is mein safar bohat karna parrta tha. Doosri flights mein kaii jaghon per stay karna parrta hai jabkeh PIA directly Islamabad ya Lahore ley jati hai... and it's worth paying.

                      4- Throughout apney safar mey aap kya kertey rahey ?7-8 hrs?
                      At Copenhagen Airport - kuchh larkon sey different issues per batein hoti rahin, especially sports... Phir jab plane mein aaya to PIA ki yeh flight Oslo, Norway jaa rahi thi. Meri seat key saath aik Norwegian betha huwa tha, woh Islamabad sey Oslo jaa raha tha. Islamabad mein woh UN ki janib sey zalzila-zadgaan key liye kaam karney aaya huwa tha. Us sey baat cheet rahi. I asked him keh how is the reliefe work going. Kehna laga (no-one wud believe it) keh Millitary has done a remarkable job The general, who is appointed in that area is the real man for that job - honest, straightforward and a hardworking man . Is key baad mein ney us sey poocha keh jo billions dollars ki grant mili hai, woh kya theek theek distribute hui hai - is per woh hans parra aur kehney laga: agar aisa ho jata to ham Pakistan mein na hotey . Uskey baad woh to Oslo utar geya aur mera Oslo sey Lahore ka safar usi be'chaini mein guzarney laga keh what's going to be happen....

                      5- Jab jahaz mey announcement hui key hum lahore airport pey land ker rahey hein to us time aap ki kya feelings thein?
                      At last I am here.... to be very honest - koi aisi khaas feeling nahin thi - bas itna tha keh aik intizar khatam honey wala hai - aik aarzu thi kuchh logon sey milney woh samney nazar aa rahi thi aur yeh keh yeh mulaqat kaisi ho gi....

                      6- Aap ka pehla qadam jab Pakistan ki zameen per perha to aap key chehrey kya expressions they?
                      The first thing I noticed was the giant screen outside Lahore Airport main ney socha chalo kuchh to nazar aaya :D Waisey bohat change ho chuka hai Pakistan mein... apney log, apni zuban, apni shaklein aur apney QULI - magar mangtey they Euros :D :D :D

                      7- Airport sey hotel kaisey gaye aur sara rasta aap kya sochtey rahey ? ya agar koi sath tha to kya baat hoti rahi?
                      Airport per Holiday Inn ki garri aai hui thi mujhey leney aur aik banda merey naam ka board liyey kharra tha. Magar main ney return ticket confirm karwani thi jo mujhey quli hi ney karwaa ker di. Holiday Inn walon key aik aur guest arrive ho geya to unhon ney ham dono ko aik hi garri mein hotel rawana kiya... Sochon mein siraf yeh tha how to manage the day tomorrow...

                      8- Hotel ki inteyzamiya kaisi thi?
                      Insano jaisi Garri sey nikalney key baad mera bag hotel ka amla hi laya, I went direct to the reception and said keh meri booking hai aik kamrey ki - she told me yes sir! . Aik bandah taza taza orange juice ley ker aageya and there were smiles all around...

                      9- were you feeling quite tired at that moment or sab kuch fresh tha?
                      Quite honestly I never feel physically tiredness... mujhey infact kuchh khaas feel nahin huwa keh I was in Copenhagen or in Lahore. I felt keh main apney hi ghar mein hoon..

                      10- 2nd March--kab uthey subha aur 10 bajey tak kya kya kiya ?

                      Mujhey Adnan ney kaha tha keh woh 7-8 bajey tak Lahore pohanch jaey ga, uski fiker thi aur 7 bajey utha - shower key baad nashta kiya aur 9 bajey KISI ney promise kiya tha call karney ka uska wait kiya :)... Phir conference room mein jaa ker final setup check kiya... 10 bajney mein 10 min tak ooper hall mein chala geya jahan per mujhey "mehmano" key aaney ki tawaqo thi...

                      now at meeting
                      11- Aap kya expect ker rahey they sabhi members sey key wo punctual hon gey ya....being pakistan deyr sey hi ayein gey ?

                      At 5 past 10 mujhey aik bandah poochney laga "sahib aap key mehmaan nahin aaey abhi" main ney ussey yehi kaha "bhai yeh pakistani hain, agar waqt per aa jaein to kya chahiye"... Kuchh bhi tha, I felt ashamed keh merey mehmaan (ma'siwaey Refreshig Breeze key) koi bhi waqt per nahin aaya - that's huge embarrasment

                      12- Hamein poori Kahani suna'ein lol 10h-17h tak ki?
                      Yeh kahani aap kaii jagah per parh chuki hain....

                      13- And yes Rullz ko dandey maarney ka jee chaha aap ka ?? coz aap ney in key sath most imp. cheez (Tehreek) discuss kerni thi?
                      Mazahir sey meri pehli baat sms per hui jab main abhi Copenhagen hi mein tha - phir Lahore pohanch kar bhi us sey sms hui - call bhi hui usney kuchh majbooriyon ka ziker kiya aur aaney sey maazrat pesh kar di - which was understandable :)...

                      14- Aap ney apni speech ki thi?
                      Hamara jo original agenda tha woh change ho geya tha - kuchh zaati wajoohat ki bina per ham GTG per woh activities pesh nahin kar paey jo hamein karna thin - lehaza uf front per dekha jaey to it was a flop...

                      15- at 17h aap ki kya feelings thien?
                      Keh mujhey apna aik taweel safar phir sey nazar aa raha tha - lag raha tha jaisey meri musaftein abhi khatam nahin huin. Us GTG meina aney waley SABHI ki mojoodgi sey khushi thi... jis andaz mein sab arrange huwa woh bhi theek tha. I was please what we achived...

                      16- and once everybody left aap ney kya kiya?
                      Main apney kamrey mein jaa ker let geya aur sochon mein doob geya........

                      17- Lahore mey kaheen gaye koi khas jaga deykhney?
                      Nahin, itna waqt nahin mila

                      18- back in airport tak key safar mey aap kya kuch sochtey rahey ?
                      Meri 07:40 ki flight thi. Hotel ki lift mein meri mulaqat aik ghair-mulki sey hui - goodmorning hui and I said to him - "leaving for home?" He said "Yes...." - "where?" - "Copenhagen" - he said . I said "I am leaving for Copenhagen as well" - ham aik hi garri mein bethey - I asked him "r u danish, do u speak danish?" He said "yes" - uskey baat to sari batein danish mein huin.... He paid fee for me at airport as well :D :D :D. Raastey mein phir yehi batein hui keh woh yahan kyun aaya tha aur main kyun ...

                      19- Rawangi key liye jab aap jahaz mey enter hotey huye aap ney peechey muR ker bye bye kiya Pakistan ko?
                      Subah subah 6:15 min key qareeb main ney duty free sey aik kitab khareedi: Kuliyat-e-Khalil Jibraan aur woh parhna shuru ki. Phir 6:30 key qareeb aik bohat special person ko phone kiya keh I am leaving....

                      20- Wapsi ka safar copenhagen tak kaisa raha? and i have heard sun. ko kuch protests chal rahey they main city mey? everything was/is okay?
                      Wapsi ka safar very pleasant tha - jahaz mein kuchh larkon sey batein hoti rahin about Pakistan key halaat per - Zinia aap ko yaad hai aap ney aik video mujhey dikhaii thi jis mein aik larka Mushi Uncle sey bohat sakht sawal kar raha tha? Wohi aik larkey ney apney mobile mein capture ki hui thi us per behas chal rahi thi.... aur kaafi achha raha...

                      aur tumhari CID badi tez hai .... Haan Copenhagen key halaat kharab they. Government ney tanhaa rehney waley nau'jawano key liye aik building allocate ki hui thi jahan per woh rehtey they - uska kharcha band kar diya geya hai, aur nau'jawano ney us per tashadud kiyey hain aisey keh Copenhagen ki police control nahin kar paii aur mulk bhar sey police bulwana parri yahan tak keh Sweden sey police ki 10 gariyaan aaein help key liye - demonstrations abhi tak jari hain - kaii raastey blocked hain so kaafi garr barr ho chuki hai .....
                      Well MAsood bro boht acha naqshah aap nai bayaan kiy hai waisay aap kai jawabat kai sath sath mai b pohonch gaya tha holiday inn hotel mai itna gehree soch mai doob gaya tha any way thanks for sharing with us and thanks to Yellow sky also deera manana :)

                      Comment

                      • #12
                        Re: welcome Masood bro.

                        Originally posted by refreshing_breeze View Post
                        quite interesting questions & answers
                        well written
                        special person?? :mm:
                        :khi: u dont know...........

                        Comment

                        • #13
                          Re: welcome Masood bro.

                          Originally posted by شاھین View Post
                          Well MAsood bro boht acha naqshah aap nai bayaan kiy hai waisay aap kai jawabat kai sath sath mai b pohonch gaya tha holiday inn hotel mai itna gehree soch mai doob gaya tha any way thanks for sharing with us and thanks to Yellow sky also deera manana :)
                          hahah very nice yaaaaaaaaaaaaaaaaaaar

                          Comment

                          • #14
                            Re: welcome Masood bro.

                            Originally posted by Khalil View Post
                            :khi: u dont know...........
                            hum ney aisa tou nahi kaha
                            woh question mark ki wajjah kuch aur hai
                            :rose Refreshing_breeze :rose

                            Comment

                            • #15
                              Re: welcome Masood bro.

                              @ Masood bro.

                              Q 12-13 key answers mujhey pata tha key aap yahi dein gey :D

                              aur baki key liye shukriya!

                              @ chalakie

                              ye koi mushkil sawal they .....btw tum ney note nahi kiya kaisey in key sath football kheyli gai hai :D

                              @ Rida

                              thanks :D

                              @Shaheen

                              deyra meharbaani wrora:D

                              Allah pe Amaan!

                              Working...
                              X