:salam:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Pakistanion k masail...!!!!
Collapse
X
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Originally posted by ummid View Postab hum kya reply ker sakte hain is mein...:donno:
@ topic
Pakistaniyon ki deysht hi itni hai key koi kuch kehta hi nahi :hehe:
aur serious reply ye key
Alhumdulillah aeysa koi masla nahi hai :)
btw a nice topic :thmbup:" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
@
pakistan main security nhi hy........din to theek guzar jatay hain...
but...night time...uffff...:pagal:
abhi meri friend k father week pehly he pakistan aiy hain........aur un k ghar 3,4 baar ....night time koi ghar main guhnay ki koshish kar rha hy.........:pagal:
wo to unki luck achi hy k......jaagg ajati thi un ko........:aur jo koi bhe hota hy bhag jata hy....:dua
ab is ka kya hal hy
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Hamara sab sey bada masla yeh hai keh ham Pakistani hain.
Copenhagen mein Pakistani Embassy ka yeh haal hai keh jo log kisi seat per bethey hain woh intihaii bad'tehzeebi sey logon sey pesh aatey hain. Passport sey agar apni aulad ka passport elag karna ho to woh aap ka passport hi cancel kar dein gey aur btaein gey bhi nahin jabtak aap khud na dekho....
Phir jab aap Air Ticket leney kisi agent key paas jaatey hain to woh PIA key bikey huwey hotey hain. HIGH SEASON mein ticket 8000 Crowns (1 crown=17 rupees) ka milta hai aur is mein sab sey ziyada commisioin hoti hai in agenton ki. Aur PIA waley aik monopol ki tarha hai keh yahan sey koi doosri flight direct Islamabad ya Lahore nahin jati - to woh na'khudaoun ki tarha apni mann mani kartey hain.
PIA key jahaz meins service intihaii gandi hoti hai.
Pakistan ki sarhad mein qadam rakhein to sab sey pehley aap ko Immigration walon ka samna karna parta hai - woh aap key Pakistani Passport per hanstey hain keh aap ko itna arsa Europe mein ho geya hai aur abhi tak Pakistani Passport per safar kartey hain? Phir woh us passport ko kaii tareeqon sey check karein gey. Un sey bach ker aap aagey bharrein to QULI aap ka peechha nahin chhorrtey aur EUROS sey kam mein to baat kartey hai nahin. Uskey baad aatey hain Taxiyon waley jo kaii qisam key hotey hain - kuchh aap ko manzil per pohanchatey hain to koi nahin.....
(mazeed btaoun keh aaj key liye itna kaafi hai?)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Originally posted by yellowsky View Postlol
@ topic
Pakistaniyon ki deysht hi itni hai key koi kuch kehta hi nahi :hehe:
aur serious reply ye key
Alhumdulillah aeysa koi masla nahi hai :)
btw a nice topic :thmbup:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Originally posted by miss sng View Post@
pakistan main security nhi hy........din to theek guzar jatay hain...
but...night time...uffff...:pagal:
abhi meri friend k father week pehly he pakistan aiy hain........aur un k ghar 3,4 baar ....night time koi ghar main guhnay ki koshish kar rha hy.........:pagal:
wo to unki luck achi hy k......jaagg ajati thi un ko........:aur jo koi bhe hota hy bhag jata hy....:dua
ab is ka kya hal hy
Merey aik dost ki saas aur aur saaley ney Lahore mein kisi bank sey paisey nikalwaey - bharey huwey chok mein un Pistole dikha ker loot liya geya ....
Rawalpindi mein yeh haal hai keh naujawan aur khoobsurat larkiyon MAIN roads per kharri hoti hai, lift mangti hain aur kuchh aagey jaa ker apney logon sey garri aghwaa karwaa leti hain...
Herion ka karobar aam hai.... aur is mein mein larkiyon ko istimaal kiya jaa raha hai - qadam qadam per adam'tahafuz hai ....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
bhi main to PK main nahi rehta is liyah udher kay problem bhi nahi pata....
ha aik do baatein hain jo main Masood ki likhi hoi baat par agree hoon...
PIA...... main kabhi is say Travel hi nahi karta.... US ki service itni bad hain kay maat pocho....Qatar Air Yah Emirates Air line yah hi use karta hoon..PK janay kay liyah...weldone service..menu card hota hain...two choices hoti hain... aur Air hosties ka hummmmmmmmmmmmm....
2nd embassy ho ho ho mat pocho......bhai mainay PK kay Visa kay liyah Online Banking say money transfer ki.....aur uska print out nikal liyah...lo janab wo usko eceppt hi nahi kar rahay...khanay lagay wo janab jo counter par thay...kay Inter net Banking kay zaray Paisay nahi miltay...gayaab hojatay ....lol main uska face dekhta rahay gaya.....mainay kaha dear is print out ko dekho kiya likha hoya hain...to khanay laga german nahi aati....ha ha ha ha ab batao germany main bank german na likhay to kiya URDU likhay....so funny....................................is ka koi halLast edited by D@y W@lk3r; 10 February 2007, 01:21.ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Originally posted by yellowsky View Post:donno:
khl ka sawal tha key
"Pakistan sey bahar rehtey huye aap ko kya massley derpesh hein being Pakistani"
to ye is baat ka jawab thatumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
yaha ke Pakistani Embassy me last year first time gae the..aur dua ke the ke pher kabhi yaha na aana parh jae...waha bethe logo ko bolne ke tameez bilkul nahi...managment ka to mat he poochea...yaha jao , waha jao...sahe se batate bhi nahi hai.....ab me last week pher se waha gae the passport renewal ke lea..wahe haal hai..kuch nahi badla.....sigpic
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Originally posted by Khalil View PostEtny masly bahir walooon koo???????????????
pata nahi kia huga Pakistaneis ka?
:insha: PAkistan to Hamesha salamaat rahay ga......aaminya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
Re: Pakistanion k masail...!!!!
Originally posted by Masood View PostHamara sab sey bada masla yeh hai keh ham Pakistani hain.
Copenhagen mein Pakistani Embassy ka yeh haal hai keh jo log kisi seat per bethey hain woh intihaii bad'tehzeebi sey logon sey pesh aatey hain. Passport sey agar apni aulad ka passport elag karna ho to woh aap ka passport hi cancel kar dein gey aur btaein gey bhi nahin jabtak aap khud na dekho....
Phir jab aap Air Ticket leney kisi agent key paas jaatey hain to woh PIA key bikey huwey hotey hain. HIGH SEASON mein ticket 8000 Crowns (1 crown=17 rupees) ka milta hai aur is mein sab sey ziyada commisioin hoti hai in agenton ki. Aur PIA waley aik monopol ki tarha hai keh yahan sey koi doosri flight direct Islamabad ya Lahore nahin jati - to woh na'khudaoun ki tarha apni mann mani kartey hain.
PIA key jahaz meins service intihaii gandi hoti hai.
Pakistan ki sarhad mein qadam rakhein to sab sey pehley aap ko Immigration walon ka samna karna parta hai - woh aap key Pakistani Passport per hanstey hain keh aap ko itna arsa Europe mein ho geya hai aur abhi tak Pakistani Passport per safar kartey hain? Phir woh us passport ko kaii tareeqon sey check karein gey. Un sey bach ker aap aagey bharrein to QULI aap ka peechha nahin chhorrtey aur EUROS sey kam mein to baat kartey hai nahin. Uskey baad aatey hain Taxiyon waley jo kaii qisam key hotey hain - kuchh aap ko manzil per pohanchatey hain to koi nahin.....
(mazeed btaoun keh aaj key liye itna kaafi hai?)
Comment
Comment