Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ishq aur Mohabat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ishq aur Mohabat

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    seedha seedha kaho tum bhi un he logoN maiN say ho jo muhabbat aur ishq ko aik he laThi say hanktay hain :a stick:
    Muhabbat aur ishq aik hi laathi sey nahin hank raha ullu har manzil ki apni apni lathi hoti hai
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      Re: Ishq aur Mohabat

      mery nazdeek Ishq Muhabbat ki kokh say janam nahee layta, yeh donoN alag jazbat hain, muhabbat main manzil hoti hai, ishq maiN koi manzil nahee
      That's Enough...!!

      Comment


      • #18
        Re: Ishq aur Mohabat

        Originally posted by Khalil View Post
        Os main bee aik banda kehta hay k explain it
        pher wo osy kehty hian k tumhari ankhon per paati bandi hui hay jab uter jay gee to tum bee khuda hu.:na:
        yeh khud-parasti hoi... ufff...
        how come? hum apni anakho per bandhi pati ke saath khush hain..:na:
        yeh bilkul waise hai jaise.. persion mein hai na "hama az ost" sahi hai ya "hama ost".. tu sahi "hama az ost" hota hai.. yaahi sub kuch US se ha.. na ke "SUB woh hai" baat mein farq per jaata hai...

        Comment


        • #19
          Re: Ishq aur Mohabat

          Originally posted by Masood View Post
          Muhabbat aur ishq aik hi laathi sey nahin hank raha ullu har manzil ki apni apni lathi hoti hai
          miaN manzil muhabbat main hoti hai, ishq main bas chaltay rehna hota hai :fuming:
          That's Enough...!!

          Comment


          • #20
            Re: Ishq aur Mohabat

            Originally posted by Khalil View Post
            tumhari ankhon per paati bandi hui hay jab uter jay gee to tum bee khuda hu.:na:
            isi leay to tumharay leay Get well soon ka thread lagwaya hai :tasali:
            That's Enough...!!

            Comment


            • #21
              Re: Ishq aur Mohabat

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
              mery nazdeek Ishq Muhabbat ki kokh say janam nahee layta, yeh donoN alag jazbat hain, muhabbat main manzil hoti hai, ishq maiN koi manzil nahee
              Agree manta hoon tumhari is baat ko keh ishq manzil sey be-parwa hai - magar jab tak tumharey dil mein muhabbat ki chingari nahin bharkey gi to tumhein ishq key jazbey ka ehsaas nahin ho ga - beej boney sey drakht bantey hain - drakht khud sey pedah nahin ho jatey :p
              Last edited by Masood; 13 January 2007, 12:17.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #22
                Re: Ishq aur Mohabat

                Originally posted by Masood View Post
                Dekho miyaan agar sanjeedgi sey jawab chahiye to main ney apney interview key doran is baat ka jawab apni aqal aur danist key mutabiq kuchh yun diya tha...
                :tauba itni aqal is ki bajaye kisi aur kaam mein lagate..

                Comment


                • #23
                  Re: Ishq aur Mohabat

                  Originally posted by Masood View Post
                  Agree manta hoon tumhari is baat ko keh ishq manzil sey be-parwa hai - magar jab tak tumharey dil mein muhabbat ki chingari nahin bharkey gi to tumhein ishq key jazbey ka ehsaas nahin ho ga - beej boney sey drakht bantey hain - drakht khud sey pedah nahin ho jatey :p
                  agree bhi kartay ho phir ghalat baat bhi kartay hoo :tauba, maiN yehe keh rhaa hoon kay muhabbat aur ishq ki buniaad alag alag hain, kioN kay aik ki manzil hai aur dosra manzil say be-niyaz :lpop:, agar aik he buniad hoti to tazad he kion hota :hathora
                  That's Enough...!!

                  Comment


                  • #24
                    Re: Ishq aur Mohabat

                    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                    isi leay to tumharay leay Get well soon ka thread lagwaya hai :tasali:
                    aap kee ankhon per bee hay:comfort:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Ishq aur Mohabat

                      Originally posted by ummid View Post
                      yeh khud-parasti hoi... ufff...
                      how come? hum apni anakho per bandhi pati ke saath khush hain..:na:
                      yeh bilkul waise hai jaise.. persion mein hai na "hama az ost" sahi hai ya "hama ost".. tu sahi "hama az ost" hota hai.. yaahi sub kuch US se ha.. na ke "SUB woh hai" baat mein farq per jaata hai...
                      detail pata nahi

                      Comment


                      • #26
                        Re: Ishq aur Mohabat

                        Originally posted by Khalil View Post
                        yaar akal kee zarorat hay tumjy pehchanny main.....tujy to ankhain band ker k loag jan jain gy k yeh pagal hay:khi:
                        phir bewkoofoon wali baat kar giya na :D


                        tujy pehcaanany ki zaroort hi nahi aur na janany ki kuch batien natural hoti hain aur tuj mien ye natural bat hai mere munyee...heheheheh...lolxxxxxxxxxx

                        Comment


                        • #27
                          Re: Ishq aur Mohabat

                          Originally posted by Khalil View Post
                          detail pata nahi
                          tu jin baaton ki detail pata na ho unhe kaihne se guraiz karein... faydah mein raheinge... seriously.. aap ne likha tha "woh baat dil ko lag gai".. yaani aap mutasir hoye us baat se... jub ke aap mafhoom hi nahi sumjha paa rahe.. yeh kaisi baat hoi?:)

                          Comment


                          • #28
                            Re: Ishq aur Mohabat

                            Originally posted by Khalil View Post
                            aap kee ankhon per bee hay:comfort:
                            tum par film ka asar hai, halankay tumhain khud bhi is baat ka kuch pata nahee, agar pata hai to detail bata do :mm: agar nahee pata to filmoN say mutasir mat howa karo :tasali:, lazmi nahee filmi dialogue kay andar koi falsafa chupa ho :na:
                            That's Enough...!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: Ishq aur Mohabat

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                              agree bhi kartay ho phir ghalat baat bhi kartay hoo :tauba, maiN yehe keh rhaa hoon kay muhabbat aur ishq ki buniaad alag alag hain, kioN kay aik ki manzil hai aur dosra manzil say be-niyaz :lpop:, agar aik he buniad hoti to tazad he kion hota :hathora
                              main tumhari isi baat ka jawab dey raha tha keh merey zehan sey baat nikal gaii.. khair phir deta hoon..chalo aik bongi maar li jaey - sccorpion81 muhabbat ki aag laga ker khud bhag geya hai :kr: woh Farhaad key paas geya ho ga jo kah arha hai:

                              ishq mera hai dewana yeh dewana mastana
                              teshey ko bnaa key apna muqadar likhey ga neya afsana
                              Last edited by Masood; 13 January 2007, 12:35.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #30
                                Re: Ishq aur Mohabat

                                Originally posted by Masood View Post
                                main tumhari isi baat ka jawab dey raha tha keh merey zehan sey baat nikal gaii.. khair phir deta hoon..chalo aik bongi maar li jaey - sccorpion81 muhabbat ki aag laga ker khud bhag geya hai :kr: woh Farhaad key paas geya ho ga jo kah arha hai:

                                ishq mera hai dewana yeh dewana mastana
                                teshey ko bnaa key apna muqadar likhey ga neya afsana
                                haan usay farhaad uncle he saheh jawab day saktay hain, hum to abhi bach'chay hain :lpop:
                                That's Enough...!!

                                Comment

                                Working...
                                X