Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

charhta suraj dheere dheere

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • charhta suraj dheere dheere

    Assalaam o alekum,



    yeh ek qawwali hai jisse aziz naazaan nien gaayi thi mujhe behud pasand hai main akser yeh suntaa hun kitni hi achchi aur such baatien hain iss mien aap sabse share ker rahaa umeed hai pasand fermaayien gey khush rahien

    hue naamwar benishan kaise kaise
    zameen kha gayi naujawan kaise kaise
    aaj jawani par itaranae wale kal pacthtayega - 2
    chadhta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jayega - 2
    dhal jayega dhal jayega - 2
    tu yahan musafir hain,ye sarai faani hai
    chaar roz ki mehmaan teri zindagani hai
    teri zindagani hai teri jindagani hai
    jaan zameen jar zevar kuch na saath jayega
    khali haath aaya hai khali haath jayega
    khali haath jayega khali haath jayega
    jaan kar bhi anjana ban raha hai deewane
    apni umrefani par tan raha hai deewane
    tan raha hai deewane tan raha hai deewane
    is kadar tu khoya hai is jahan ke mele
    tu khuda ko bhula hai phas ke is jhamaele main
    aaj tak yeh dekha hai paanewala khota hai
    zindagi ko jo samjha zindagi pe rota hai
    zindagi pe rota hai jindagi pe rota hai
    mitne wali duniya ka aaitbaar karta hai
    kya samajh ke tu aakhir isse pyar karta hai
    isse pyar karta hai isse pyar karta hai
    apne apne fikro main jo bhi hai woh uljha hai
    jo bhi hai woh uljha hai
    zindagi haqeeqat main kya hai kaun samjha hai
    kya hai kaun samjha hai
    aaj samajhle aaj samajhle kal yeh mauqa haath na tere aayega
    o gaflat ki neend main sone wale dhoka khayega
    chadhta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jayega - 2
    dhal jayega dhal jayega - 2
    maut ne zamane ko yeh samaan dikhaa dala
    kaise kaise rustam ko khaaq main mila dala
    khaaq main mila dala khaaq main mila dala
    yaad rakh sikander ke hausle to aali they
    jab gaya tha duniya se dono haath khali they
    dono haath khali they dono haath khali they
    abna woh halaku hain aur na uske saathi hain
    jung jo naa porus hain aur na uske haathi hain
    aur na uske haathi hain aur na uske haathi hain
    kal jo tanke chalte they apni shan o shauqat par
    shamma tak nahi jalti aaj unki qurbat par
    aaj unki qurbat par aaj unki qurbat par
    apna ho ya ala ho sabko laut jaana hai
    sabko laut jaana hai sabko laut jaana hai
    muflisoon tavungar ka qabr hi thikana hai
    qabr hi thikana hain qabr hi thikana hai
    jaisi karni jaisi karni waisi bharni aaj kiya kal payega
    sir ko uthakar chalne wale ek din thokar payega
    chadhta suraj dheere dheere dhalta hain dhal jayega - 2
    dhal jayega dhal jayega - 2
    maut sabko aani hain kaun isse chhuta hai
    tu fana nahi hoga yeh khayal jhutha hai
    yeh khayal jhutha hai yeh khayal jhutha hai
    saans tutate hi sab rishtey tut jaayenge
    baap, maa, behan, biwi, Bachhe chhoot jayenge
    bachche chhoot jayenge Bachche chhoot jayenge
    tere jitne hain bhai waqt ka chalan denge
    chheen kar teri daulat do hi gaz qafan denge
    do hi gaz qafan denge do hi gaz qafan denge
    jinko apna kehta hai kab yeh tere saathi hain
    qabr hai teri mazil aur yeh baraati hain
    laake qabr main tujhko murda dalenge
    apne haathon se tere munh pe khaq dalenge
    munh pe khaq dalenge munh pe khaq dalenge
    teri saari ulfat ko khak main mila denge
    tere chahne wale kal tujhe bhula denge
    kal tujhe bhula denge kal tujhe bhula denge
    isliye yeh kehta hu khoob soch le dil main
    kyon phasaye baitha hain jaan apni mushkil main
    jaan apni mushkil main jaan apni mushkil main
    kar gunaho se tauba aaqbat sambhal jaaye
    aaqbaat sambhal jaaye
    dum ka kya bharosa hai jaane kab nikal jaaye
    jaane kab nikal jaaye
    muthhi bandh ke aanewale,muthhi bandh ke aanewale
    haath pasare jayega
    dhan daulat jaagir se tune kya paya kya payega
    charhta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jayega
    Last edited by khurram_shaikh; 10 August 2005, 19:46.
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

  • #2
    Re: charhta suraj dheere dheere

    boht achi qawali share ki hey aapne Khurram, Aziz mian ko kisi zamanay mein, mein boht suna karti thi. yeh qawali bhi hey meray pas cassatte mein mugar itni lumbiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii to nhi hey yeh!

    Comment


    • #3
      Re: charhta suraj dheere dheere

      KHurram Bhai aap ka thread main Music aur SHowbiz main move kar raha hooN i think ke aap ka yeh thread wahan sahi rahe ga aap ne rules parh lene thay na:)
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: charhta suraj dheere dheere

        Oh Shaikh bhai... main kaise aap ko shukriya ada karoon. yeh qawwalli abhi main kai dino se sun raha hoon, usey lyrics mein likhne ka bhi soch tha aur yehan share karna chah raha tha yeh batane ke liye ke yeh kitni sabaq amoz qawwali hai.

        Jab main chhota tha to iss qawwali ko bahut sunta tha lekin tabhi samajh nahin, thi, abhi kuchh dino pehle is ke bol sune...kitni qeemti qawwali hai. Main website pe bhi dhoonda lekin nahin mila.

        Aziz Naza ne gaya hai, abhi unke bete Zahid Naza apni program mein iss qawwali ko shamil karte hain.

        Aziz Naza ki mashoor qawwali yeh bhi hain.

        Jhoom Barabar Jhoom Sharabi
        Kaisa nikla Faishion dekho duniya nangi ho gayi,


        Thanx Shaikhu bhai for posting this
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #5
          Re: charhta suraj dheere dheere

          Originally posted by Muskan
          boht achi qawali share ki hey aapne Khurram, Aziz mian ko kisi zamanay mein, mein boht suna karti thi. yeh qawali bhi hey meray pas cassatte mein mugar itni lumbiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii to nhi hey yeh!
          Assalaam o alekum,


          Pasandgi kaa behud shukriyaa Muskan haan ager aap chaahien to yehaan bhi sun sakti hain yeh lien
          Attached Files
          :tang: RISK IS MY BUSINESS

          DANGER IS MY GAME

          DONT PLAY WITH ME
          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

          Comment


          • #6
            Re: charhta suraj dheere dheere

            Originally posted by khurram_shaikh
            Assalaam o alekum,


            Pasandgi kaa behud shukriyaa Muskan haan ager aap chaahien to yehaan bhi sun sakti hain yeh lien
            Thanks Khurram

            Main to bahut dino se isse website pe MP3 format mein dhoondh raha tha...

            Thanx for sharing.
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment


            • #7
              Re: charhta suraj dheere dheere

              Originally posted by Spy009
              Thanks Khurram

              Main to bahut dino se isse website pe MP3 format mein dhoondh raha tha...

              Thanx for sharing.

              Assalaam o alekum,


              Pasandgi kaa shukriyaa spy009 khush rahiye
              :tang: RISK IS MY BUSINESS

              DANGER IS MY GAME

              DONT PLAY WITH ME
              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

              Comment

              Working...
              X