Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

    Asalam-o-Alikum



    Chalein Jaldi say baataein Jab aap Udaas hotay hain tu kya kartay hain ? jab koi buhat pyaara Rooht jata hai tu tab kya kartay hian ? Zindagi Bojh khabi lagi ? lagi tu kyun ?


    In Sawalo'n kay jawab dijyeah :rose


    buhat sara khush rahyeah :rose


    Wa.Salam


    Khawahish :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

  • #2
    Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

    Originally posted by ~khawahish~
    Jab aap Udaas hotay hain tu kya kartay hain ?
    Udasi ki halat mein kamra band kar key halki si dheemi mosiqi sunta hoon, ya phir chup chaap baith kar sochta hoon. Kabhi khud sey batein karta hoon :) - Sahil peh chala jata hoon aur samunder ki lehron ko dekhta hoon aur sochta hoon - kya huwa kyun huwa theek kaisey ho ga waghera.

    Originally posted by ~khawahish~
    jab koi buhat pyaara Rooht jata hai tu tab kya kartay hian ?
    ussey roothney hi kyun diya jaey? :eye: lekin aisa ho jata hai to ussey zahir hai mananey ki koshish karta hoon. :phool: Aur bohat hadd tak kamyaab bhi rehta hoon. Lekin kabhi kabar yeh bhi dekhney mein aaya hai keh woh nahin mana, to ussey us key haal peh chhor deta hoon. Lekin is sey pehley apni tmaam tar koshishein istimaal kar deta hoo. Iskey bawajood woh na maney to is liye keh woh manena hi nahin chahta. To aisey mein ussey uski haal per chhor diya jaey to behtar hai. Agar us key dil mein aap ki utni hi kashish hai jitni aap key dil mein hai to woh zaroor lautey ga :maan:

    Mananey key liye phool paish karein :rose phoolon mein bohat kashish hoti hai :)

    Originally posted by ~khawahish~
    Zindagi Bojh khabi lagi ?
    Jab zindagi ki qadar na ki jaey aur mayoosiyon key badil ummad aaein to zindagi bojh lagti hai
    Originally posted by ~khawahish~
    lagi tu kyun ?
    Aik waqt mein lagi thi, magar jab realise kiya to sab kuchh samajh mein aa geya - Allah moaf karey keh zindagi ko bojh samjhaa jaey.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

      Originally posted by ~khawahish~
      Chalein Jaldi say baataein Jab aap Udaas hotay hain tu kya kartay hain ? jab koi buhat pyaara Rooht jata hai tu tab kya kartay hian ? Zindagi Bojh khabi lagi ? lagi tu kyun ?


      Itne saare ek saath sawal, alag alag pooch leti to achha tha...

      Originally posted by [font=Verdana
      ~khawahish~]
      Originally posted by [font=Verdana
      Jab aap Udaas hotay hain tu kya kartay hain ?
      Originally posted by [font=Verdana
      [/font]
      Jab main udas hota hoon


      To gahrai se sochta hoon ke iska kya reason hai, kyon udas huwa, phir issi udasi ke halat mein ek do sweet song sun leta hoon, then again think...aur uska koi na koi hal nikal ke normal ho jata hoon.

      Originally posted by [/font
      ~khawahish~]
      Originally posted by [/font
      jab koi buhat pyaara Rooht jata hai tu tab kya kartay hian ?


      Abhi tak to koi pyaara/pyaari hai nahi, iss liye ye mauqa kabhi nahin aaya mast rahta hoon.

      Originally posted by [font=Verdana
      ~khawahish~]
      Originally posted by [font=Verdana
      Zindagi Bojh khabi lagi ? lagi tu kyun ?


      Zindgi bojh lagi thi jab competition ki tayyari kar kar ke test diye, written selection hota tha, final nahin...tab apne aap ko worthless bojh samajhta tha,
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #4
        Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

        Originally posted by ~khawahish~






        Jab aap Udaas hotay hain tu kya kartay hain ?


        Kisi se baat nahi kerti ........... kiu ke ager mera mood kharab ho aur ous waqt koi mujhe mazak se bhi kuch keh dai to mujhe zada gussa aa jata hai aur phir ous behcarey ki shamat aa jati hai.......... yaan phir gussey mei I say things which I regret later.....Is liyeh mei kisi se zada baatnahi kerti.... ghar per hoon to try to keep my self involved in watching TV or other stuff..... mood buhut kharab ho to ja ker so jati hoon..... when I wake up I feel better :)



        Originally posted by ~khawahish~
        jab koi buhat pyaara Rooht jata hai tu tab kya kartay hian ?



        Aisa kabhi huwa nahi ke ki buhut pyara rooth jayeh....... ager ho aur galati meri ho to I say sorry..... itna kafi hota hai mananey k liyeh ke aap apni galati maan lo aur mazrat ker lo, phir bhi koi nakhrey karey to :hathora ...... mei kuch nahi kehti ous insan ko kuch waqt deti hoon ke woh khudh ko bhi evaluate kerey ......... jisey jitna zada time lagey wo mujh se outna dour jo jata hai ...shayed kharab aadat hai ... but aisi hi hoon



        Originally posted by ~khawahish~
        Zindagi Bojh khabi lagi ? lagi tu kyun ?

        Kabhi kabhi lagti hai........balkey akser lagti thi .......... Magar mere samney mere papa ki misal aa jati hai......... he has lived his life like a sldier, faced many hardships but remained as strong as a rock..... ounhein dekh ker khayal aata hai ke ager ounhon ne sari zindagi takleefein seh ker humarey liyeh itna kiya hai to mei ne to oun ke muqable mei aadhi zindagi bhi nahi ji abhi ......... He's my inspiration and I do always get hope when I think about him :)

        Ab kiu lagti hai is ka jawab kya doon....zindagi to hoti hi aisi hai, ek se ek bari mushkil lai ker samney aati hai :donno:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

          Originally posted by Saima Shaheen
          mujhe zada gussa aa jata hai aur phir ous behcarey ki shamat aa jati hai
          lagta hai kaaaafi hard ho ga aap ko seekhana, but never mind hamein bhi chellenges qabool hain. Pegham per ham aap ko sab kuchh seekha dein ge - hamara saath detey rahiye ga - aur seekhtey rahiye ga keh bardasht kya hoti hai :)

          Originally posted by Saima Shaheen
          self involved in watching TV or other stuff
          ... yeh kiya kijiye ghussey ki halat mein aainey mein apni shakal dekh liya kjiye - aap ko khud hansi :lol aa jaey gi :tang:

          Originally posted by Saima Shaheen
          buhut pyara rooth jayeh
          hmmmm kabhi aisa mat sochiye ga, agar bohat pyara rooth geya to ussey manana bohat mushkil ho jata hai - yeh tajarbah hai larki sabaq seekh lein :maan:

          Originally posted by Saima Shaheen
          outna dour jo jata hai
          :cc: so cold so cold :)

          Originally posted by Saima Shaheen
          Kabhi kabhi lagti hai
          :eek: STILLLLL?????
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

            Originally posted by Masood
            lagta hai kaaaafi hard ho ga aap ko seekhana, but never mind hamein bhi chellenges qabool hain. Pegham per ham aap ko sab kuchh seekha dein ge - hamara saath detey rahiye ga - aur seekhtey rahiye ga keh bardasht kya hoti hai :)
            Ah han ... thiekh hain jaldi seekha dijiyeh ga... kahin aisa na ho ke ous se pehley Pegham per hi kisi ki mere hathon shamat aa jayeh :lol


            Originally posted by Masood
            ... yeh kiya kijiye ghussey ki halat mein aainey mein apni shakal dekh liya kjiye - aap ko khud hansi :lol aa jaey gi :tang:
            Kayi baar dekhi nahi aati hansi ..... Aisa kero aap apni pic bhaij do ous ko dekh ker hans liya kero gi :lol

            Originally posted by Masood
            hmmmm kabhi aisa mat sochiye ga, agar bohat pyara rooth geya to ussey manana bohat mushkil ho jata hai - yeh tajarbah hai larki sabaq seekh lein :maan:
            Jo sach mei pyar kertey hain wo kabhi aisey nahi rooth'tey, kiu ke koi bhi insan jis se pyar kerta ho zada dair khafa nahi reh sakta. jo nahi kertey oun ki parwa phir kab tak ki jayeh.

            :cc:
            Originally posted by Masood
            so cold so cold :)
            Kya ......... :donno:


            Originally posted by Masood
            :eek: STILLLLL?????

            Zindagi hai aakhir, Is ka kya bharosa
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

              Originally posted by Saima Shaheen
              Ah han ... thiekh hain jaldi seekha dijiyeh ga... kahin aisa na ho ke ous se pehley Pegham per hi kisi ki mere hathon shamat aa jayeh
              :lol main aap ko sulah safaee ki taraf bulaa raha hoon aur aap phir sey laraee jhagraa kar rahi :hathora Aap ko us becharey/bechari sey hamdardi honi chahiye jo aap ko seekhaey ulta aap usi ki shamat laa rahi hai /slap :D

              Originally posted by Saima Shaheen
              Aisa kero aap apni pic bhaij do ous ko dekh ker hans liya kero gi
              Main ney picture bhaijh di to aap key sarey gham door ho jaein ge - keh hansti hi raha karo gi aur log aap ko pagal kehna shuru kar dein ge :zuban:

              Originally posted by Saima Shaheen
              Jo sach mei pyar kertey hain wo kabhi aisey nahi rooth'tey, kiu ke koi bhi insan jis se pyar kerta ho zada dair khafa nahi reh sakta. jo nahi kertey oun ki parwa phir kab tak ki jayeh.
              to kya sach mein pyaar karney walon ka dil nahin hota?


              Originally posted by Saima Shaheen
              Zindagi hai aakhir, Is ka kya bharosa
              Zindagi ka bharosa ho na ho insaan ka bharosa karna parrta hai :)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                Originally posted by Masood
                :lol main aap ko sulah safaee ki taraf bulaa raha hoon aur aap phir sey laraee jhagraa kar rahi :hathora Aap ko us becharey/bechari sey hamdardi honi chahiye jo aap ko seekhaey ulta aap usi ki shamat laa rahi hai /slap :D
                To mei ne kon sa kisi se request ki k mujhe sikhayeh... jo sikhayeh ga osuey bhugatna bhi parey ga

                Originally posted by Masood
                Main ney picture bhaijh di to aap key sarey gham door ho jaein ge - keh hansti hi raha karo gi aur log aap ko pagal kehna shuru kar dein ge :zuban:
                Nahi rehne dijiyeh........ mujhe lagta hai aap ki pic dekh ker kahin darr se mujhe heart attach ho gaya to ..... abhi chand saal aur jeena hai mujhe

                Originally posted by Masood
                to kya sach mein pyaar karney walon ka dil nahin hota?
                Dil hota hai issi liyeh to pyar kertey ahin, aur jo pyar kertey hain wo kisi se zada dair khafa nahi reh saktey


                Originally posted by Masood

                Zindagi ka bharosa ho na ho insaan ka bharosa karna parrta hai :)

                Ah han
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                  Originally posted by Masood
                  Udasi ki halat mein kamra band kar key halki si dheemi mosiqi sunta hoon, ya phir chup chaap baith kar sochta hoon. Kabhi khud sey batein karta hoon :) - Sahil peh chala jata hoon aur samunder ki lehron ko dekhta hoon aur sochta hoon - kya huwa kyun huwa theek kaisey ho ga waghera.
                  hmmmm aur us kay bawajood Udaasi main kami na ho tu phir ?




                  ussey roothney hi kyun diya jaey? :eye: lekin aisa ho jata hai to ussey zahir hai mananey ki koshish karta hoon. :phool: Aur bohat hadd tak kamyaab bhi rehta hoon. Lekin kabhi kabar yeh bhi dekhney mein aaya hai keh woh nahin mana, to ussey us key haal peh chhor deta hoon. Lekin is sey pehley apni tmaam tar koshishein istimaal kar deta hoo. Iskey bawajood woh na maney to is liye keh woh manena hi nahin chahta. To aisey mein ussey uski haal per chhor diya jaey to behtar hai. Agar us key dil mein aap ki utni hi kashish hai jitni aap key dil mein hai to woh zaroor lautey ga :maan:

                  Mananey key liye phool paish karein :rose phoolon mein bohat kashish hoti hai :)
                  ithna khuch karney kay bawajood wo na maney aur hum chah rahay hain kay wo maan jay kyun kay hum us ko us kay haal par nahin chor sakhtay tu kya karein gay aap ?



                  Jab zindagi ki qadar na ki jaey aur mayoosiyon key badil ummad aaein to zindagi bojh lagti hai
                  aur kab howa jab Zaindagi bojhh lagi ho ?



                  Aik waqt mein lagi thi, magar jab realise kiya to sab kuchh samajh mein aa geya - Allah moaf karey keh zindagi ko bojh samjhaa jaey.
                  hmmmm Zindagi say nafrat hoi khabi ??
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                    Originally posted by Spy009

                    Itne saare ek saath sawal, alag alag pooch leti to achha tha...

                    Alag say bhi pooch sakhti the lekin akhtay poochney thay na



                    To gahrai se sochta hoon ke iska kya reason hai, kyon udas huwa, phir issi udasi ke halat mein ek do sweet song sun leta hoon, then again think...aur uska koi na koi hal nikal ke normal ho jata hoon.
                    [/b]
                    yani aap ka khayal hai aur aap kay kehnay kay matabik aap kartay bhi hain tu kya Udaassi door ho jati hai ? [/b]




                    Abhi tak to koi pyaara/pyaari hai nahi, iss liye ye mauqa kabhi nahin aaya mast rahta hoon.
                    Buhat khush qismat hian aap jo aap say aap ka khabi koi Pyaara roohta nahin :)




                    Zindgi bojh lagi thi jab competition ki tayyari kar kar ke test diye, written selection hota tha, final nahin...tab apne aap ko worthless bojh samajhta tha,
                    hmmmmm Worthless samjha aap nay khud ko tu kya aap samjhtay thay Worthless hain Khud ko Worhtless kehna aur samjhna buhat muskil kaam hai yeh tu meri ankho'n dekha haal hai :)
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                      Originally posted by Saima Shaheen






                      Kisi se baat nahi kerti ........... kiu ke ager mera mood kharab ho aur ous waqt koi mujhe mazak se bhi kuch keh dai to mujhe zada gussa aa jata hai aur phir ous behcarey ki shamat aa jati hai.......... yaan phir gussey mei I say things which I regret later.....Is liyeh mei kisi se zada baatnahi kerti.... ghar per hoon to try to keep my self involved in watching TV or other stuff..... mood buhut kharab ho to ja ker so jati hoon..... when I wake up I feel better :)
                      yani aap kay khayal kay mutabil so kar uth kar aap ka MOod theek ho jata hai yeh tu buhat achi baat hai phir :)









                      Aisa kabhi huwa nahi ke ki buhut pyara rooth jayeh....... ager ho aur galati meri ho to I say sorry..... itna kafi hota hai mananey k liyeh ke aap apni galati maan lo aur mazrat ker lo, phir bhi koi nakhrey karey to :hathora ...... mei kuch nahi kehti ous insan ko kuch waqt deti hoon ke woh khudh ko bhi evaluate kerey ......... jisey jitna zada time lagey wo mujh se outna dour jo jata hai ...shayed kharab aadat hai ... but aisi hi hoon
                      tu aap ko dukh nahin ho ga us kay door ho janey ka ?






















                      Kabhi kabhi lagti hai........balkey akser lagti thi .......... Magar mere samney mere papa ki misal aa jati hai......... he has lived his life like a sldier, faced many hardships but remained as strong as a rock..... ounhein dekh ker khayal aata hai ke ager ounhon ne sari zindagi takleefein seh ker humarey liyeh itna kiya hai to mei ne to oun ke muqable mei aadhi zindagi bhi nahi ji abhi ......... He's my inspiration and I do always get hope when I think about him :)



                      Ab kiu lagti hai is ka jawab kya doon....zindagi to hoti hi aisi hai, ek se ek bari mushkil lai ker samney aati hai :donno:
                      hmmmmm kyun algti hai ki tu saaf baat hai na sab bojh lagey tu koi waja bhi tu ho gi na :p Muskilo'n say khelna tu hamara kaam hai :p
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                        Originally posted by ~khawahish~
                        hmmmm aur us kay bawajood Udaasi main kami na ho tu phir ?
                        Do rukkat namaz parh kar Allah Tala sey moafi talab karni chahiye. Behtar hai keh subha ki namaz key saath aur astkhara kar liya jaey. Phir jo Allah chahey

                        Originally posted by ~khawahish~
                        ithna khuch karney kay bawajood wo na maney aur hum chah rahay hain kay wo maan jay kyun kay hum us ko us kay haal par nahin chor sakhtay tu kya karein gay aap ?
                        Dekhein Khawahish; may be it sounds harsh but: agar sab kuchh kar leney key baad bhi aik insaan nahin maanta to ussey uskey haal per chhor deina chahiye. Jo nahin manta woh bhi aur jo manwana chahta hai woh bhi dono parley darjey key ahmaq hai. Aisa insaan agar pul sey darya mein chhalang lagata hai to ussey lganey dein. Kuchh insano ki fitrat hoti hai apna qadar jatana, aisi beshumar misalein hai, magar jab unhein unkey haal per chhor diya jaey to unhein samajh aa jati hai. Jiskey peechhey jitna bhago woh utna hi apni qadar karwata hai. Allah Tala ney bhi insaan ko usi keh haal per chhor diya hai us waqt tak jab tak woh na chahiye keh kisi ko aqal aaey. Jab Allah nahin chahta to insaan kuchh nahin kar sakta. Aisey insaan kisi tawajoh key laeeq nahin. Sorry for my harsh wording.

                        Originally posted by ~khawahish~
                        aur kab howa jab Zaindagi bojhh lagi ho ?
                        Jab main bhi har baat per gilla kiya karta tha keh mujhey shakistah kyun bnaya geya, magar jab khud ko accept kar liya zindagi aasan ho gaee.


                        Originally posted by ~khawahish~
                        hmmmm Zindagi say nafrat hoi khabi ??
                        Btaya hai na hui thi - magar ab nahin, keh ab zindagi bohat haseen hai, keh meri zindagi mein bohat achhey achhey log shamil ho gaey hain.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                          Originally posted by Masood
                          Do rukkat namaz parh kar Allah Tala sey moafi talab karni chahiye. Behtar hai keh subha ki namaz key saath aur astkhara kar liya jaey. Phir jo Allah chahey
                          yeh baat aap nay buhat achi kahi :rose :)







                          Dekhein Khawahish; may be it sounds harsh but: agar sab kuchh kar leney key baad bhi aik insaan nahin maanta to ussey uskey haal per chhor deina chahiye. Jo nahin manta woh bhi aur jo manwana chahta hai woh bhi dono parley darjey key ahmaq hai. Aisa insaan agar pul sey darya mein chhalang lagata hai to ussey lganey dein. Kuchh insano ki fitrat hoti hai apna qadar jatana, aisi beshumar misalein hai, magar jab unhein unkey haal per chhor diya jaey to unhein samajh aa jati hai. Jiskey peechhey jitna bhago woh utna hi apni qadar karwata hai. Allah Tala ney bhi insaan ko usi keh haal per chhor diya hai us waqt tak jab tak woh na chahiye keh kisi ko aqal aaey. Jab Allah nahin chahta to insaan kuchh nahin kar sakta. Aisey insaan kisi tawajoh key laeeq nahin. Sorry for my harsh wording.
                          Baz log aisa bhi nahin kar sakhtay na aur aap ki buhat sari baato'n say yahaan mujhay itefaq nahin hai :)






                          Jab main bhi har baat per gilla kiya karta tha keh mujhey shakistah kyun bnaya geya, magar jab khud ko accept kar liya zindagi aasan ho gaee.
                          haan buhat acha kartay hain aap is say aur khuch ho na ho kum-az-kum Zindagi sahel zaroor ho jati hai :) aur wessay bhi insaan Gilla karey tu karay kis say :ss Appney Allah say bhi kya gilla haan us ki Raza main Razi ho jana chayaiye :)





                          Btaya hai na hui thi - magar ab nahin, keh ab zindagi bohat haseen hai, keh meri zindagi mein bohat achhey achhey log shamil ho gaey hain.
                          yeh tu buhat achi baat hai phir kay achay log shamil ho gay hain :rose

                          Zindagi Thak Gaye ..!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                            Originally posted by ~khawahish~
                            Baz log aisa bhi nahin kar sakhtay na aur aap ki buhat sari baato'n say yahaan mujhay itefaq nahin hai
                            Dekho dost - aap doctor key paas jaein to ussey marz btana parta hai, isi tarha koi bhi maslaa ho to ussey biyaan kiye bghair to mashwra nahin liya jaa sakta. Lekin aik baat hai. Insaan hai bohat ajeeb cheez. Aur sach mein aisey insano sey chirrh hai jo apni minattein karwana chahtey hon :(
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~* Jab Udaas hotey hain tu kya kartay hain*~

                              Originally posted by Masood
                              Dekho dost - aap doctor key paas jaein to ussey marz btana parta hai, isi tarha koi bhi maslaa ho to ussey biyaan kiye bghair to mashwra nahin liya jaa sakta. Lekin aik baat hai. Insaan hai bohat ajeeb cheez. Aur sach mein aisey insano sey chirrh hai jo apni minattein karwana chahtey hon :(
                              :lol aise koi baat nahin hai main tu bus sawal kar rahi the :D :blush: Sawal karney main kya jata hai :D
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment

                              Working...
                              X