Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Challenge.......................

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Challenge.......................

    Originally posted by Khalil View Post
    bus pher dekhti jain,,,,,,,,,,,,,,,,,,
    kya dekhnay se mohabbat ka pata chal jaey ga :hhh:
    sigpic

    Comment


    • #47
      Re: Challenge.......................

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Khalil, mohabat aik ehsaas he...aur ub tu sabit ker ke mera jawaab ghalat he :blush:
      sabit kernay ko bhi kisey kaha :kr: :kr: :kr:
      sigpic

      Comment


      • #48
        Re: Challenge.......................

        Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
        aap nay kuch kaha kya ?:lpop: :kr:
        Nahee jeee merii kia jurrat ....

        Comment


        • #49
          Re: Challenge.......................

          luv iz lyf

          Comment


          • #50
            Re: Challenge.......................

            Mujhey is baat ki kabhi samajh nahin aai keh ham log muhabbat ki nafi kaisey kar jatey hain? Jab keh hamari zindagi ki buniyad hi muhabbat per rakhi gaii hai. Allah Tala ney Muhammad SAW sey farmaya tha keh aey nabi agar aap na hotey to main kuchh na bnata - yeh bhi to muhabbat ka aik jazbah hai - mana keh yeh muhabbat ki azeem tareen misaal hai jo aik Aaqa ko apney Bandey sey hai. Aadam ko Hawa sey muhabbat thi, har farz'shinas insaan ko apney munsab sey muhabbat hoti hai. Maa jo itni azziyaton sey guzar kar apni aulad ko janam deti hai woh bhi muhabbat hai. Baap jo apney wajood ki shakistgi key bawajood mehnat mazdoori karta hai keh apney ahl-e-khana ko halal ka khilaey woh bhi muhabbat hai.... Muhabbat infact insaani zindagi key har pehloo mein hai.

            Muhabbat karney waley jab kuchh karney per aatey hain to woh kuchh nahin dekhtey - muhabbat ka jazbah har dil ki samajh mein nahin aa sakta - yeh woh jaan saktey hain jo iski tapash ko mehsoos kartey hain keh kaisey apney mehboob key liye tarrap ka ehsaas hota hai... Muhabbat aik javedaan jazbah hai jo kabhi khatam nahin ho ga :insha:

            Lehaza main challenge karta hoon keh muhabbat key dam sey yeh duniya haseen hai muhabbat nahin hai to kuchh bhi nahin hai
            Last edited by Masood; 6 January 2007, 13:06.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #51
              Re: Challenge.......................

              acha to pher muhabbat kee tareef kia hui:mm:

              Comment


              • #52
                Re: Challenge.......................

                Originally posted by Khalil View Post
                acha to pher muhabbat kee tareef kia hui:mm:
                Muhabbat wohi kuchh hai jo aap issey samajh lein :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #53
                  Re: Challenge.......................

                  "Love is the basic ingredient of the human life."....by Gul-e-Lala
                  lakin ager aap mohabbat ki kisi khas angel say tareef ka keh rahey hain tou uss ka humain idea nahi hai
                  "All I have learned from Life is that I know nothing."




                  Comment


                  • #54
                    Re: Challenge.......................

                    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                    "Love is the basic ingredient of the human life."....by Gul-e-Lala
                    lakin ager aap mohabbat ki kisi khas angel say tareef ka keh rahey hain tou uss ka humain idea nahi hai
                    I've written alot - lekin aaj tak muhabbat ko define nahin kar paya - chakore kyun chand sey pyar karta hai? jabkeh ussey patah hai keh woh chand tak nahin pohanch sakta! Lekin uskey nazdeek aik jalan hai jo ussey bechain rakhti wohi uski muhabbat hai ...
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #55
                      Re: Challenge.......................

                      Originally posted by Masood View Post
                      I've written alot - lekin aaj tak muhabbat ko define nahin kar paya - chakore kyun chand sey pyar karta hai? jabkeh ussey patah hai keh woh chand tak nahin pohanch sakta! Lekin uskey nazdeek aik jalan hai jo ussey bechain rakhti wohi uski muhabbat hai ...
                      bhai main sab philosphy janta hun...lakin siraf muhabt kee tareef ka chalnge kia tha.....

                      Comment


                      • #56
                        Re: Challenge.......................

                        Originally posted by Masood View Post
                        I've written alot - lekin aaj tak muhabbat ko define nahin kar paya - chakore kyun chand sey pyar karta hai? jabkeh ussey patah hai keh woh chand tak nahin pohanch sakta! Lekin uskey nazdeek aik jalan hai jo ussey bechain rakhti wohi uski muhabbat hai ...
                        well
                        may be u r right
                        "All I have learned from Life is that I know nothing."




                        Comment


                        • #57
                          Re: Challenge.......................

                          Originally posted by Khalil View Post
                          bhai main sab philosphy janta hun...lakin siraf muhabt kee tareef ka chalnge kia tha.....
                          lagta hai aap ko hamari definition pasand nahi aae :cc:
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."




                          Comment


                          • #58
                            Re: Challenge.......................

                            kiun k main pehly hee janta hun:mm:

                            Comment


                            • #59
                              Re: Challenge.......................

                              Mohabat ko Define kerna koee asan kaam nahien hai...waisay u her dor main mukhtalif logon nay mukhtalif tareeqon say is ki tareef ki hai...aaj tak mere khyal main koee bhi 100% is ki tareef nahien ker saka...kiun k is ki koee tareef hi nahien hai...Aik Dafa main nay PTV k aik Programe Dr. Ajmal Niazi ko is andaz main mohabat ki tareef kertay suna...K " Mohabat Khuda Hai Aur Khuda Mohabat Hai"...Phir aik jagha aur main nay kuch is aNZAD SAY mOBAT KI tAREEF SUNI " Mohabat Sabir Hai, Mahrban Hai, Wo Apni bahtri Nahien chati, Isay Doosron ka dhiyan Rahta Hai, Fikar rahti Hai,,,,Fard Say Muashray tak Sirf Mohabat hi Nikhar Aur Sanwar Paida Kerti Hai Aur Yeh itni Mstaqil Mizaj Hoti Hai k issay na sadyion ka safar thkata hai aur na rawyion ki badmizaji,,,Mohabat Hamain aik Doosray ko Yaad Rakhnay Main Madad daiti hai..Bardasht kernay ka aur muaf kernay ka hunar sikhati hai...Agar aap ghor kerain is qainat k bnanay walay per tu wo bhi isi mohabat main ham per mahrbani ka rawia Rakhta hai...aur Her wo rasta bata daita hai k Hazrat Mohammad (PBUH) ki sunat, Jis per chal ker aman aur sakooon milta hai...Hamara Islam ..Hamara Pakistan aur Hamray tumam Tar tualqat sabhi ki bunyaad Mohabat Hai...""" Yeh mohabat ki Defination Mujhay Kafi Achi Lagi jo main nay aap say share ker dee... us k ilawa mere apnay alfaz main jo k shayad main aik dafa pahlay bhi kisi thread main bta chuka hoon wo yoon hai k "" Agar ham kisi ki Care kertay hain tu is ka matlab hai k Hamain us say Mohabat Hai kiun k Agar Mohabat Nahien ho gee tu aap kabhi us chees ya insan ki care nahien kerain gay""
                              sigpic

                              Comment


                              • #60
                                Re: Challenge.......................

                                Originally posted by Khalil View Post
                                kiun k main pehly hee janta hun:mm:
                                tou pooccha kyun tha
                                "All I have learned from Life is that I know nothing."




                                Comment

                                Working...
                                X